Hum Soo-e-Hashr Chalenge Shah-e-Abrar Ke Sath

हम सू-ए-हश्र चलेंगे शह-ए-अबरार के साथ / Hum Soo-e-Hashr Chalenge Shah-e-Abrar Ke Sath
हम सू-ए-हश्र चलेंगे शह-ए-अबरार के साथ
क़ाफ़िला होगा रवाँ क़ाफ़िला-सालार के साथ

मिदहत-ए-ख़्वाजा-ए-दीं मिदहत-ए-सरकार के साथ
ज़िंदगी गुज़री है कैफ़िय्यत-ए-सरशार के साथ

मैं भी वाबस्ता हूँ सरकार के दरबार के साथ
ख़ाक का ज़र्रा भी है ‘आलम-ए-अनवार के साथ

रह गए मंज़िल-ए-सिदरा पे पहुँच कर जिब्रील
चल नहीं सकता फ़रिश्ता तेरी रफ़्तार के साथ

बख़्त बेदार है, यावर है मुक़द्दर उस का
जिस ने देखा है उन्हें दीदा-ए-बेदार के साथ

ये तो तयबा की मोहब्बत का असर है वर्ना
कौन रोता है लिपट कर दर-ओ-दीवार के साथ

मिल ही जाएगा कोई ख़्वान-ए-करम का टुकड़ा
है त’अल्लुक़ जो सगान-ए-दर-ए-सरकार के साथ

ऐ ख़ुदा ! दी है अगर ना’त-ए-नबी की तौफ़ीक़
हुस्न-ए-किरदार भी दे लज़्ज़त-ए-गुफ़्तार के साथ

जब खुले हश्र में गेसू-ए-शफ़ा’अत उन के
हम से ‘आसी भी नज़र आएँगे अबरार के साथ

ऐसा हज ज़हमत-ए-बे-जा के सिवा कुछ भी नहीं
‘इश्क़ मोहकम न हो गर अहमद-ए-मुख़्तार के साथ

गर मदीने का तसव्वुर हो तो ज़ुल्मत कैसी ?
रब्त मज़बूत रहे ‘आलम-ए-अनवार के साथ

पुल से मुझ सा भी गुनहगार गुज़र जाएगा
होगी सरकार की रहमत जो गुनहगार के साथ

रात-दिन भेज सलाम उन पे मलाइक की तरह
पढ़ दुरूद उन पे ग़ुलामान-ए-वफ़ादार के साथ

देख, ऐ मो’तरिज़-ए-ना’त-ए-रसूल-ए-‘अरबी !
क़ुर्ब हस्साँ को मिला था इन्ही अश’आर के साथ

सब ‘अताएँ हैं ख़ुदा की मेरे मौला के तुफ़ैल
वर्ना ये लुत्फ़-ओ-करम मुझ से गुनहगार के साथ

हम भी मज़हर से सुनेंगे कोई ना’त-ए-रगीं
गर मुलाक़ात हुई शा’इर-ए-दरबार के साथ

शायर:
हाफ़िज़ मज़हरुद्दीन

ना’त-ख़्वाँ:
क़ारी ज़ुबैद रसूल
वक़ार अहमद रज़ा अत्तारी

 

ham soo-e-hashr chalenge shah-e-abraar ke saath
qaafila hoga rawaa.n qaafila-saalaar ke saath

mid.hat-e-KHwaja-e-dee.n mid.hat-e-sarkaar ke saath
zindagi guzri hai kafiyyat-e-sarshaar ke saath

mai.n bhi waabasta hu.n sarkaar ke darbaar ke saath
KHaak ka zarra bhi hai ‘aalam-e-anwaar ke saath

reh gae manzil-e-sidra pe pahunch kar jibreel
chal nahi.n sakta farishta teri raftaar ke saath

baKHt bedaar hai, yaawar hai muqaddar us ka
jis ne dekha hai unhe.n deeda-e-bedaar ke saath

ye to tayba ki mohabbat ka asar hai warna
kaun rota hai lipaT kar dar-o-deewaar ke saath

mil hi jaaega koi KHwaan-e-karam ka Tuk.Da
hai ta’alluq jo sagaan-e-dar-e-sarkaar ke saath

ai KHuda ! di hai agar naa’t-e-nabi ki taufeeq
husn-e-kirdaar bhi de lazzat-e-guftaar ke saath

jab khule hashr me.n gesu-e-shafaa’at un ke
ham se ‘aasi bhi nazar aaenge abraar ke saath

aisa hajj zehmat-e-be-ja ke siwa kuchh bhi nahi.n
‘ishq mohkam na ho gar ahmad-e-muKHtaar ke saath

gar madine ka tasawwur ho to zulmat kaisi ?
rabt mazboot rahe ‘aalam-e-anwaar ke saath

pul se mujh saa bhi gunahgaar guzar jaaega
hogi sarkaar ki rahmat jo gunahgaar ke saath

raat-din bhej salaam un pe malaaik ki tarah
pa.Dh durood un pe Gulaamaan-e-wafaadaar ke saath

dekh, ai mo’tariz-e-naa’t-e-rasool-e-‘arabi !
qurb hassaa.n ko mila tha inhi ash’aar ke saath

sab ‘ataae.n hai.n KHuda ki mere maula ke tufail
warna ye lutf-o-karam mujh se gunahgaar ke saath

ham bhi Maz.har se sunenge koi naa’t-e-ragee.n
gar mulaaqaat hui shaa’ir-e-darbaar ke saath

Poet:
Hafiz Mazhar-ud-Din

Naat-Khwaan:
Qari Zubaid Rasool
Waqar Ahmed Raza Attari

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top