Tera Dayar Hai Daar Us Salaam Ya Khwaja Lyrics

 

Tera Dayar Hai Darussalam Lyrics

 

Tera Dayar Hai Daar Us Salaam Ya Khwaja Lyrics

 

Tera Dayar Hai Daar Us Salaam Ya Khwaja

Tajalliyañ Haiñ Nayi Sub’ho Shaam Ya Khwaja

Na Fiqre Mai Na Ghame Jaam Tere Mastoñ Ko

Teri Nigaah Se Chalta Hai Kaam Ya Khwaja.

 

Islam Ke Naayab Dafeene Meiñ Hai Ajmer

Jannat Ki Safar Uske Qareene Me Hai Ajmer

Kaaba Hai Sare Arsh To Zeene Meiñ Hai Ajmer.

 

Nafrat Ka Zahar Baatoñ Meiñ Tum Ghol Ke Dekho

Aa Jaayeñge Khwaja Mujhe Kuchh Bol Ke Dekho

Ye, Meezaan E Aqeedat To Zara Tol Ke Dekho

Lillah Farishto Ye Kafan Khol Ke Dekho

Huñ Aashiq E Khwaja Mere Seene Meiñ Hai Ajmer.

 

Pakad Kar Jaaliyoñ Ko Jhoom Jaane Ki Tamanna Hai

Mere Maula Mujhe Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai ..

 

Zamaane Se Nahi Khwaja Se Nisbat Chaahiye Mujhko

Jo Pahuñchade Wahañ Tak Aisi Wahshat Chahiye Mujhko

Na Shohrat Chaahiye Mujhko Na Daulat Chaahiye Mujhko

Faqat Khwaja Ke Rauze Ki Ziyarat Chaahiye Mujhko

Mazaare Paak Pe Chaadar Chadhaane Ki Tamanna Hai

Mere Maula Mujhe Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai ..

 

Mere Khwaja Janab E Mustafa Ka Waasta Tumko

Umar, Siddiq O Usman O Ali Ka Waasta Tumko

Hasan Shabbir, Bibi Fatima Ka Waasta Tumko

Shaheedaan E Zameen E Karbala Ka Waasta Tumko

Bula Lo Paas Mujhko Paas Aane Ki Tamanna Hai

Mere Maula Mujhe Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai..

 

Haqeeqat Sab Pe Khul Jaaye, Fazeelat Ho To Aisi Ho

Katore Meiñ Mile Saaghar, Karaamat Ho To Aisi Ho

Bhare Har Ek Ki Jholi, Inaayat Ho To Aisi Ho

Bina Maañge Mile Sab Kuch, Sakhawat Ho To Aisi Ho

Usi Daata Ko Haal E Dil Sunane Ki Tamanna Hai

Mere Maula Mujhe Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai..

 

Wo Hain Hindal Wali Kya Shaan Hai Unke Gharane Ki

Karamaate Haiñ Aisi Ke Aql Hairaañ Hai Zamaane Ki

Karam Unka Mile To Zindagani Ho Thikane Ki

Saba Laa De Uda Kar Khaak Unke Aastane Ki

Mujhe Wo Khaak Aañkhoñ Se Lagane Ki Tamanna Hai

Mere Maula Mujhe Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai ..

 

Ye Armañ Dil Meiñ Lekar Aaj Tak Duniyañ Meiñ Zinda Hooñ

Ke, Kabhi Khwaja Ka Mela Jaake Apni Aañkhoñ Se Dekhooñ

Ye Hasrat Hai Ke Us Darbaar Meiñ Maiñ Sar Ke Bal Pahuñchuñ

Pahuñch Kar Rauza E Khwaja Pe Jhuk Jhuk Kar Salami Duñ

Usi Chaukhat Pe Qismat Aazmaane Ki Tamanna Hai

Mere Maula Mujhe Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai..

 

Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai

Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai

Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai ..

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *