Fida Kr Ishq E Nabi Par Jaan Naat Lyrics

 

Fida Kr Ishq-E-Nabi Par Jaan
Muqammal Karle Tu Iman Zamana Yaad Karega

Jab Yaad Nabi Ki Aati Hai Ik Kaif Sa Aalam Hota Hai
Jab Zikre Nabi Chhid Jata Hai Ik Wajd Ka Mosam Hota Hai
Yahi To Kahta Hai Qur’an K Aaqa Hai Jaan-E-Iman
Zamana Yaad Karega Zamana Yaad Karega

Sarkar Se Tu Hai Door Magar Sarkar To Tujh Se Door Nahi
Kyu Khoya Khoya Rehta Hai Mukhtar Hai Tu Majboor Nahi

Nabi Ko Pahle Dil Se Maan, Nabi Par Sab Kuch Kar Qurbaan
Zamana Yaad Karega Zamana Yaad Karega

Aslaf Ki Hai Taarikh Yahi Sahil Pe Jala Di Hai Kashtee
Daudaye Hain Ghode Dariya Par Kya Ishq-E-Nabi Ki Masti Thi
Tumhi Ho Wo Mard-E-Maidan Zara Dhundo Apni Pahchan
Zamana Yaad Karega Zamana Yaad Karega

Sarkar Ke Jalwo Se Raushan Iman-O-Amal Ki Duniya Hai
Sarkar Ke Deewano Ki Sada Taqleed Zamana Krta Hai
Nabi Ka Dekh Zara Faizaan Ki Taza Ho Jaye Iman
Zamana Yaad Karega Zamana Yaad Karega

Darbare Wilayat Kya Kehna Jab Unka Ishara Milta Hai
Baarah Barso Ki Doobi Kashti Ko Ik Pal Me Kinara Milta Hai

Asad Ye Ghaus Ka Hai Faizan Hai Jis Se Fikr-O-Nazar Hairan
Zamana Yaad Karega Zamana Yaad Karega

Jo Baat Thi Aa’la Hazrat Ki Wo Aaj Kisi Molwi Me Nahi
Wo Ishq-E-Nabi Ke Paikar The, Tharrate The Unse Dushman Bhi
Diya Humko Kanzul Iman Ye Hai Hum Par Unka Ehsaan
Zamana Yaad Karega Zamana Yaad Karega

Ishq-E-Nabi Par Jaan Fida Kar,
Iman Ko Pura Karle Tu.
Zamana Yaad Karega,
Zamana Yaad Karega.

Jab Yaad Nabi Ki Aati Hai,
Ek Kaif Sa Aalam Hota Hai.
Jab Zikre Nabi Chhid Jata Hai,
Ek Wajd Ka Mosam Hota Hai.

Yahi To Kehta Hai Qur’an,
Aaqa Hai Jaan-E-Iman.
Zamana Yaad Karega,
Zamana Yaad Karega.

Sarkar Se Tu Hai Door,
Magar Sarkar To Tujh Se Door Nahi.
Kyu Khoya Khoya Rehta Hai,
Mukhtar Hai Tu Majboor Nahi.

Nabi Ko Pahle Dil Se Maan,
Nabi Par Sab Kuch Kar Qurbaan.
Zamana Yaad Karega,
Zamana Yaad Karega.

Aslaf Ki Hai Taarikh Yahi,
Sahil Pe Jala Di Hai Kashtee.
Daudaye Hain Ghode Dariya Par,
Kya Ishq-E-Nabi Ki Masti Thi.

Tum Hi Ho Wo Mard-E-Maidan,
Zara Dhundo Apni Pahchan.
Zamana Yaad Karega,
Zamana Yaad Karega.

Sarkar Ke Jalwo Se Raushan,
Iman-O-Amal Ki Duniya Hai.
Sarkar Ke Deewano Ki Sada,
Taqleed Zamana Karta Hai.

Nabi Ka Dekh Zara Faizaan,
Ki Taza Ho Jaye Iman.
Zamana Yaad Karega,
Zamana Yaad Karega.

Darbare Wilayat Kya Kehna,
Jab Unka Ishara Milta Hai.
Baarah Barso Ki Doobi Kashti Ko,
Ek Pal Me Kinara Milta Hai.

Asad Ye Ghaus Ka Hai Faizan,
Hai Jis Se Fikr-O-Nazar Hairan.
Zamana Yaad Karega,
Zamana Yaad Karega.

Jo Baat Thi Aa’la Hazrat Ki,
Wo Aaj Kisi Molvi Me Nahi.
Wo Ishq-E-Nabi Ke Paikar The,
Tharrate The Unse Dushman Bhi.

Diya Humko Kanzul Iman,
Ye Hai Hum Par Unka Ehsaan.
Zamana Yaad Karega,
Zamana Yaad Karega.

FacebookMastodonEmailShare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *