Khush-Alhaan Aur Maroof Shayar Fazal Balrampuri Ka Likha Gaya Yeh Nihayat Shandar Aur Rooh-Parwar Kalaam Naat Padhti Rahin Titliyan Raat Bhar Bargah-E-Risalat Mein Behad Aqeedat Ke Sath Parha Jata Hai.
Is Ruhani Kalaam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Script Mein Paish-E-Khidmat Hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Naat Padhti Rahin Titliyan Raat Bhar |
| Poet / Writer | Fazal Balrampuri |
| Category | Naat Shareef |
| Naatkhawan / Reciter | Shakil Rahbar Chainpuri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Naat Padhti Rahin Titliyan Raat Bhar Lyrics In Roman
Phool Ki Pattiyan Daliyan Raat Bhar
Naat Padhti Rahin Titliyan Raat Bhar
Naat Darya Kinare Main Padhta Raha
Aa Ke Sunti Rahin Machhliyan Raat Bhar
Kash Aaye Madine Se Baad-E-Saba
Is Liye Khol Deen Khidkiyan Raat Bhar
Kaun Rota Raha Sab Unhein Hai Pata
Kaun Bharta Raha Siskiyan Raat Bhar
So Gaya Padh Ke Main Mustafa Par Darood
Unki Rahmat Ne Deen Thapkiyan Raat Bhar
Maine Chooma Tha Sun Kar Ke Naam-E-Nabi
Bas Mahakti Rahin Ungliyan Raat Bhar
Mere Aaqa Bulayenge Shayad Mujhe
Mujhko Aati Rahin Hichkiyan Raat Bhar
Naat Padhti Rahin Titliyan Raat Bhar Lyrics In Hindi
फूल की पत्तियां डालियां रात भर
नात पढ़ती रहीं तितलियां रात भर
नात दरिया किनारे मैं पढ़ता रहा
आके सुनती रहीं मछलियां रात भर
काश आये मदीने से बाद-ए-सबा
इसलिए खोल दीं खिड़कियां रात भर
सब पता है उन्हें कौन रोता रहा
कौन भरता रहा सिसकियां रात भर
सो गया पढ़के मैं मुस्तफ़ा पर दरूद
उनकी रहमत ने दीं थपकियां रात भर
मैंने चूमा था सुन कर के नाम-ए-नबी
बस महकती रहीं उंगलियां रात भर
मेरे आक़ा बुलाएंगे शायद मुझे
मुझको आती रहीं हिचकियां रात भर
Naat Padhti Rahin Titliyan Raat Bhar Lyrics In Urdu
پھول کی پتیاں ڈالیاں رات بھر
نعت پڑھتی رہیں تتلیاں رات بھر
نعت دریا کنارے میں پڑھتا رہا
آ کے سنتی رہیں مچھلیاں رات بھر
کاش آئے مدینے سے بادِ صبا
اس لیے کھول دیں کھڑکیاں رات بھر
سب پتا ہے انہیں کون روتا رہا
کون بھرتا رہا سسکیاں رات بھر
سو گیا پڑھ کے میں مصطفیٰ پر درود
ان کی رحمت نے دیں تھپکیاں رات بھر
میں نے چوما تھا سن کر کے نامِ نبی
بس مہکتی رہیں انگلیاں رات بھر
میرے آقا بلائیں گے شاید مجھے
مجھ کو آتی رہیں ہچکیاں رات بھر