Hussain Ki Ye Mohabbat Hai Aur Musalsal Hai

हुसैन की ये मोहब्बत है और मुसलसल है / Hussain Ki Ye Mohabbat Hai Aur Musalsal Hai
न पूछ कैसे कोई शाह-ए-मशरिक़ैन बना
बशर कहूँ उसे, ‘अक़ीदत का ज़ेब-ओ-ज़ैन बना
‘अली का ख़ून, लु’आब-ए-रसूल, शीर-ए-बतूल
मिले हैं जब ये ‘अनासिर तो फिर हुसैन बना

हुसैन की ये मोहब्बत है और मुसलसल है
ये किब्रिया की ‘इनायत है और मुसलसल है

हुसैन की ये मोहब्बत है और मुसलसल है

नसीब में जो न हो वो हुसैन से माँगो
याँ माँगने की ‘इजाज़त है और मुसलसल है

हुसैन की ये मोहब्बत है और मुसलसल है

बता दिया है नबी के तवील सज्दे ने
हुसैन रूह-ए-‘इबादत है और मुसलसल है

हुसैन की ये मोहब्बत है और मुसलसल है

हुसैन तेरी मोहब्बत में मौत आती नहीं
यही तो राह-ए-शहादत है और मुसलसल है

हुसैन की ये मोहब्बत है और मुसलसल है

हुसैन फ़ातेह-ए-‘आलम है तय हुआ है, बतूल !
यज़ीद के लिए ला’नत है और मुसलसल है

हुसैन की ये मोहब्बत है और मुसलसल है

शा’इरा:
सय्यिदा फ़ख़्रा बतूल नक़वी

सना-ख़्वाँ:
मास्टर अली ज़ामिन

 

na poochh kaise koi shaah-e-mashriqain bana
bashar kahu.n use, ‘aqeedat ka zeb-o-zain bana
‘ali ka KHoon, lu’aab-e-rasool, sheer-e-batool
mile hai.n jab ye ‘anaasir to phir husain bana

husain ki ye mohabbat hai aur musalsal hai
ye kibriya ki ‘inaayat hai aur musalsal hai

husain ki ye mohabbat hai aur musalsal hai

naseeb me.n jo na ho wo husain se maango
yaa.n maangne ki ‘ijaazat hai aur musalsal hai

husain ki ye mohabbat hai aur musalsal hai

bata diya hai nabi ke taweel sajde ne
husain rooh-e-‘ibaadat hai aur musalsal hai

husain ki ye mohabbat hai aur musalsal hai

husain teri mohabbat me.n maut aati nahi.n
yahi to raah-e-shahaadat hai aur musalsal hai

husain ki ye mohabbat hai aur musalsal hai

husain faateh-e-‘aalam hai tai huaa hai, Batool !
yazeed ke liye laa’nat hai aur musalsal hai

husain ki ye mohabbat hai aur musalsal hai

Poetess:
Syeda Fakhra Batool Naqvi

Sana-Khwaan:
Master Ali Zamin

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top