Maqam E Ali Ko Samajhna Hai Mushkil Qawwali Lyrics
Maqam E Ali Ko Samajhna Hai Mushkil
Maqam E Ali Ko Samajhna Hai Mushkil Qawwali Lyrics| Manqabat Maula Ali | मक़ाम ए अली को समझना है मुश्किल
Qawwali: Inamulla Saeedulla Qawwal
Ali Imam E Man Ast O Manam Ghulam E Ali..
Khata Iblis Ki Misl E Adam Maaf Ho Jaati
Agar Kambakht Kah Deta
Manam Ghulam E Ali..
Jungal Pahaad Kehte Hain
Manam Ghulam E Ali..
Azal Toñ Dil Mera Shaida Ali Al Murtaza Da Ae
Qasam Haq Di Mainu Taqwa Ali Al Murtaza Da Ae.
Manam Ghulam E Ali..
Pas E Murdan Farishtoñ Ne Talaashi Li To Kya Nikla
Faqat Ik Dil Ke Kone Pe Likh Nikla
Manam Ghulam E Ali..
Fishaar E Qabr Ko Aisa Nidhaal Kar Dooñga
Maiñ Mushkiloñ Ki Tabiyat Bahaal Kar Dooñga
Ali Ke Zikr Ne Woh Jurrat Di Hai Ke Zer E Lahad
Maiñ Khud Farishtoñ Pe Koi Sawal Kar Doonga.
Manam Ghulam E Ali..
Haañ, Maiñ Be Waris Nahi Hooñ
Manam Ghulam E Ali..
Le Zindagi Ka Khums Ali Ke Ghulam Se
Aye Maut Aa Zaroor Magar Ehtram Se
Manam Ghulam E Ali..
Rakhna Ye Baat Yaad, Agar Azeeyat Hui Mujhe
Shikwa Karooñga Tera Maiñ Apne Imam Se.
Manam Ghulam E Ali..
Ali Imam E Manasto Manam Ghulam E Ali
Hazar Jaan E Girami Fida Ba-Naam E Ali
Chaman Ki Baat Karo Ya Kali Ki Baat Karo
Khuda Ke Baad Khuda Ke Wali Baat Karo,
Idhar Udhar Ke Fasane Hame Pasand Nahi
Nabi Ki Baat Karo Ya Ali Ki Baat Karo.
Maqam E Ali Ko Samajhna Hai Mushkil
Ke Iski Haqiqat Nabi Jante Hain
Ali Ki Shan E Wilayat Ko Har Wali Jane
Jahañ Ki Bastiyañ, Sahra, Gali-Gali Jane
Rasool Jaane Haiñ ‘Sajid’ Ali Ki Azmat Ko
Rasool E Paak Ki Azmat Ko Ya Ali Jane.
Maqaam E Ali Ko Samajhna Hai Mushkil
Ke Iski Haqiqat Nabi Jante Hain..
Ain (ع) Se Ain Ibadat Ka Sar-Anjan Hua
Laam (ل) Woh Laam Ke Jis Laam Se Islam Hua
Yey (ی) Se Yawar Hue Mushkil Me Har Ik Bande Ki
Sadqe Is Naam Ke Kya Khoob Ali Naam Hua.
Maqaam E Ali Ko Samajhna Hai Mushkil
Ke Iski Haqiqat Nabi Jante Hain..
Ye Sochna Hi Abas Hai, Kahañ-Kahan Hai Ali
Jahañ-Jahan Hai Haqeeqat Wahañ Wahañ Hai Ali
Idhar Hai Zaat E Muhammad ﷺ Udhar Sifaat E Khuda
In Latif Hijaaboñ Ke Darmayañ Hai Ali.
Maqaam E Ali Ko Samajhna Hai Mushkil
Ke Iski Haqiqat Nabi Jante Hain..
Ustad Hai Jibreel Ka Khaliq Ka Wali Hai
Woh Dukhtar E Kaunain Ka Fard E Azali Hai
Aadam Ka Kahiñ Naam Na Tha Jabse Ali Hai
Is Naam Ki Tasbih To Farishtoñ Ne Padhi Hai.
Maqam E Ali Ko Samajhna Hai Mushkil
Ke Iski Haqeeqat Nabi Jante Haiñ,
Ali Shaah E Mardaañ, Ali Sher E Yazdañ
Hai Kya Shaan O Shaukat Nabi Jante Hain.
Zahoor E Ali Hai Kaaba Ke Andar
Jabke Ye Kaaba To Ghar Hai Khuda Ka,
Ali Kaun Hai Kyon Wo Is Ghar Meiñ Aaya
Ali Ki Shanakhat Nabi Jante Hain.
Kaañdho Pe Apne Uthaya Nabi Ne
Butoñ Ko Ukhada Giraya Ali Ne,
Ali Aur Kaabe Mein Kya Hai Ta’alluq
Ye Donoñ Ki Nisbat Nabi Jante Hain.
Chehra Ali Ka Hai Chehra Khuda Ka
Ke Zeba Ali Ko Hai Mushkil Kushayi,
Yuñ ‘Iqbal’ Zikr E Ali Karte Rahna
Ye Kyun Hai Ibadat Nabi Jante Hain.