Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina Naat Lyrics
Aaya Ramzaan ka mahina Khafila chala soo-e-Madina
Mujhe bhi do izn-e-Madina aane ki Sarkare Madina
Mujhe na aaya bulawa kitni hai dil me tamanna
kash Aqa mai bhi dekh leta bahar-e-Ramzaan-e-Madina
Meri qismat ko bhi Khudara Tum sajana
Hasnain ke sadqe me dikhana baar baar Madina
Kahaan jaun kahaan daman pasaroon mai Malik-e-Madina
Aas lagai hamne Tumhare Dar se ae Shahinsha-e-Madina
kaheen aisa na ho seene me dafn karke gham-e-Madina
Mai duniya se chala jaon bin deed ke Madina
Ghamaun ke sailab me dooba jaraha hoon Sultan-e-Madina
LILLAH IMDAD ko aao meri Sarwar-e-Madina
Iss saal zaroor mujh aasi ko Sarkar bulana
Rauda-e-Anwar aur Gumbade Khizra dikhana
Chamka kar meri aankhaun ko jalwa dikha dena
Dekh loon aankh bharke Tum ko Shahe Madina
Duniya ki mohabbat dil se nikal jae Aqa-e-Madina
Rahe chashm-e-nam dil me bas gham-e-Madina
Maana ke nahi qabil hoon jo dekhoon Tumhara Madina
Phir laoon kahaan se wo aamal mai Sarkar-e-Madina
Nahi jaber ke paas koi zar jo dekhe Pyara Madina
Itna to ho Karam khabaun me ise dikhado Madina
Nahi mal o zar to kya hain main gareeb hoon yehi na
mere ishq mujhko le chal tu janibe madina madina.
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌿Fiqhe Hanfi Ki Roshni Me Roza Kin Kin Baton Se Nahi Toot’Ta Wo Zail Me Hain🍃*
*↪Mas’ala:-*
Makhkhi Ya Dhuwan Ya Gubaar (dhool mitti) Halaq Me Jane Se Roza Nahi Toot’Ta chahe Wo Gubar Aate Ka Ho Ki Chakki Peesne Ya Chhanne Me Udta Ho,,,
Ya Galle Ka Gubar Ho,,
Ya Hawa Se Mitti Ud Kar Halq Me Paohchi agarche Rozadar hona Yaad Tha Magar Roza Nahi Toota…
Agar Khud Qasdan Dhuwan Paohchaya To Roza Toot Gaya Jabki Roza Dar Hona Yaad Ho phir Chahe Jis Chiz Ka dhuwan ho,,,
Yahan Tak Ki AgarBatti Sulagti Thi Uske Qareeb Muh Kar Ke Naak se Dhuwa Khicha To Roza Toot Gaya…
Yun Hi HUQQA Peene Se Bhi Roza Toot Gaya… aur Rozadar Hona Yaad Tha Phir HUQQA Piya To Use Kaffarah Bhi Lazim Ayega
*√(61 roze rakhne Honge)*
*📚{Bahar-e-shariat, Hissa-5,}*
*↪Mas’ala:-*
Pachhna alagaya Ya Tel (Oil) Ya surma Lagaya To Roza Na Gaya…
Agar Che Tel Ya Surma Ka Maza HALAQ Me Mahsoos Hota Ho Balki Thook Me Surma Ka Rang Bhi Dikhai Deta ho Jab Bhi Nahi Tootega…
*📚{Bahar-e-shariat hissa-5}*
*_📜POST NO.1⃣8⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*➡Mas’ala:-*
Bosa (kiss) Liya Magar Inzal Na hua (mani nahi nikli) To Roza Nahi Toota…
Yun Hi Aurat Ki sharmgah Ki taraf Nazar ki Magar Hath Na Lagaya aur inzal Ho Gaya agarche Bar Bar Nazar Karne & jima Karne Ke Khayal Se inzal Hua agarche Der Tak Khayal Jamane Se Aisa hua In Sab Surton Me Roza Nahi Toota
*{📚Bahar-e-shariat, Hissa-5,)*
*Mas’ala⤵*
Bhule Se Khana Kha Raha Tha Yad Aate Hi Luqma Ugal Diya To Roza Nahi Toota Aur Yaad Aate Huye Nigal Liya To Toot Gaya
*{📚Alamgiri, jild-1, page-203}*
*Mas’ala⤵*
Gusl Wajib Tha Isi Halat Me Sehri Kar Ke Roza Rakha To Roza Ho Gaya….
Magar Sara Din Isi Halat Me Guzarna Ki Namaze Bhi Qaza hon Gunah O Haram Hai….
*(📚Bahar-e-shariat, Hissa -5, page-984)*
*_📜POST NO.1⃣9⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*SEHRI KHANE KI FAZEELAT…..*
_Sehri khaaya karo kyon ki Sehri khane me har Luqme ke badle 60 baras ki ibadat ka sawab milta hai…_
AAQA SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ka Farman hai
Sehri khao !
Kyunki Sehri me barkat hai
Jis ne ALLAH PAK Ki Raah ME Roza rakha to ALLAH PAK uske chehre ko Jahannum se 70 saal ki Musafat jitna door farma dayta hai…..
_Jis shaks ne Roze Rakhkar bhi jhoot bolna aur jhoot par amal karna na choda to ALLAH PAK ko is se koi Dilchuspi nahi ki wo bhuka aur pyasa rahe…_
*(📚Muslim Sharif 1153)*
↪Mas,ala :-
Sahri ka khana aur usme Takhir (deri) karna mustahab hai magar itni takhir makrooh hai ki subah saadiq hone ka shak ho jaye…
*(📚Alamgeeri)*
*↪Mas,ala :-*
Iftaar me jaldi karna mustahab hai magar iftaar us waqt kare ki guroob ka gaalib gumaan ho jab tak gumaan gaalib na ho iftaar na kare Agarche muazzin ne azaan kah di hai aur abr ke din me aftaar jaldi nahi karni chahiye.
*(📚Bahare shariat)*
*_📜POST NO.2⃣0⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌹SEHRI KHANE KI FAZEELAT🌹*
_*🌿 UMAR RADIYALLAHU T’ALA ANHUMA* riwayat karte hain ki *HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM* ne farmaya ki *ALLAH T’ALA* aur uske farishte Sahri khane walon par durood bhejte hain.…_
*(📚Bahare shariat)*
_Bukhari wa Muslim wa Ibne Maja Me *ANAS RADIYALLAHU T’ALA ANHU* se rawi ki *HUZOOR E AKRAM SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM* ne farmaya ki Sahri khaao ki Sahri Khane me barkat hai,…_
_Muslim wa Aboo Daud wa Ibne Khuzaima *AMR IBNE AAS RADIYALLAHU T’ALA ANHU* se rawi ki *HUZOOR E AQDAS SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM* farmate hain ki Humare aur Ahle kitaab ke Rozon me Farq Sahri ka Luqma hai. ….._
*[ 📚Bahare shariat ]*
*_📜POST NO.2⃣1⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*HADEES⤵*
_*🌹HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA’ALA ANHU* ne kaha ki *NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALLAIHI WA SALLAM* ne farmaya ki jo shaqs(roza rakhkar) buri baat kaihna aur usper amal karna na choore to *ALLAH TA’ALA* ko iski parwa nahi ki usne khana pina choor diya ._
*(📚BUKHARI SHAREEF)*
_Is HADITH Shareef ki sharah me *HAZRAT SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHLVI RAHMATULLAH ALLAIH* likhte hai !_
_Matlab ye hai ki Roza qabool na hoga isliye ki roze ke wajib karne ka maqsad yahi bhuk piyas nahi hai balki lazzato ki khwaisho ka todna aur khud garzi ki aag bujhana maqsad hai taqi nafs khwaisho ki taraf jane ke bajaye *ALLAH* ke hukm per chalne wala ho jaye ._
*(📚ASHIATUL’LMAAT JILD 2 SAFA 85)*
*_📜POST NO.2⃣2⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*💐ROZA TODNE KI UN SORTO KA BAYAN JINME KAFFARA BHI LAZIM HAI …*
Ramzaan ka Roza kasdan tod dalne se kaffara lazim ata hai !
Roza todne ka kaffara ye hai ki ek laondi ya gulam azaad kare aur ye na ho sake to lagataar Barabar 60 roze rakkhe agar ye bhi na kar sake to 60 miskino ko bhar pet dono waqt khana khilaye aur Roza rakhne ki surat me agar bich me ek din ka bhi roza chut gya to ab se 60 roze rakkhe paihle ki ginti nahi !
59 rakh chuka tha aur 60 na rakh saka bimari wagairah kisi uzr se,to fir se 60 pure lagatar rakkhe !
Paihle ke 59 nahi hue Albatta Aurto ko agar haiz aa jaye to haiz ki wajah se jitne nahe hue ya nage nahi gine jayege yani paihle ke roze aur haiz ke baad wale roze dono milakar 60 ho jane se kaffara ada ho jayega !
Roza todne se kaffara lazim ane ki chand sharte hai jab ye sab payi jayegi tab kaffara lazim ayega warna nahi.
*📚(QANOON-A-SHARYAT PAGE NO181)*
*_📜POST NO.2⃣3⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌺Sehri k muttaliq Faramin e Mustafaﷺ….*
_Sehri Khaya Karo kyun ki Sehri me Barkat hai…_
*📚(Sahih Muslim, jild:1, Safa:633, Hadees : 1923)*
_Humare aur Ahle Kitab k Darmiyan Sehri khane ka farq hai …_
*📚(Sahih muslim, Safah:552, Hadees : 1096)*
_*🍃Allah (azhawajal)* aur uske farishte Sehri khane walo per Rehmat nazil farmate hai !_
*📚(Al Ahsan bi Tartib, Sahih ibn e Habban, jild:5, Safah:194, Hadees : 3458)*
_*🍃Nabiye Kareem, Rauf ur Raheem, Mehbob E RAB e Azeem(azhawajal)ﷺ* Apne sath jab kisi Sahabi (RadiAllahu tala anhu) ko Sehri khane k liye bulate toa Irshad farmate,.._
*” AAO BARKAT KA KHANA KHALO “*
*(📚Sunna Abu Dawud, jild : 2, Safah : 442, Hadees, 2344)*
*_📜POST NO.2⃣4⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🍃Sehri k muttaliq Faramin e Mustafaﷺ….*
_Roza rakhne k liye Sehri kha kr quwwat hasil karo aur din (Yani dopher) k waqt Aaram kar k Rat ki Ibadat k liye Taqat hasil karo !!_
*(📚Sunna Ibn e Majah, jild : 2, Safah : 321, Hadees : 1693)*
_Sehri Barkat ki chiz hai jo *ALLAH (azhawajal)* ne tum ko ata farmai hai, Is ko mat chodhna !_
*(📚Assunnul Qurb, linnisai, jild : 2, Safah : 79 , Hadees : 2472)*
_Tin 3 Aadmi jitna b khalo (In sha Allah) (azhawajal) Un se koi hisab na hoga Ba shart ki Khana halal ho…_
1 :- Rozedar Iftar k waqt.
2 :- Sehri khane wale.
3 :- Mujahid jo ALLAH (azhawajal) k rasste me sarhad Islam ki Hifazat kare !
*(📚A targib wa tahrib, jild : 2, Safah, : 90, Hadees : 9)*
_Sehri Puri ki Puri barkat hai pas Tum na Chodho Chahe yehi ho ki tum pani ka ek ghunt pee loo !_
_Beshaq *ALLAH (azhawajal)* aur uske farishte Rehmat bhejte hai Sehri krne wale per !!_
*(📚Musnad e Imam e Ahmad, jild : 4, Safah : 88, Hadees : 11396)*
_*🌺Hazrat e Saiyyaduna Ibaj bin Suuraiya (RadiAllahu tala anhu)* bayan krte hai ki ek Dafa Ramzan ul Mubarak me *RasulAllah'(Azhawajala)ﷺ* Ne Mujjhe apne sath Sehri kahne k liye bulaya aur Farmaya ” AAO MUBARAK NASHTE K LIYE !”_
*(📚Sunna Abu Dawud , Jild : 2, Safah : 442, Hadees : 2344)*
‘
*_📜POST NO.2⃣5⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*IFTAARI……*
_*🌹Saad Radi allahu anhu* se Rivayat hai ki *Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam* ne farmaya , “Meri Ummat ke Logon mein us waqt tak khair baqi rahegi jab tak wo iftaar mein jaldi kartey rahengey”._
*_(📚Sahih Bukhari, Volume 3, 1957)_*
_*🌹Hazrat Salman Ibn Amir* se Rivayat hai ki *Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam* ne farmaya “Jo shaks Rozedaar ho to usey chahiye ki wo Khajur se Iftaar karey aur agar Khajur Na mil paye to Pani se Iftaar karey kyunki Paani paak karney wala hai “_
*_(📚Sunan Abu Dawud, Rozo ka bayan , 583,)_*
*_(📚Sunan Ibn Majah, Vol 1’1699-Sahih)_*
_*🍃Hazrath Abdullah bin Amr bin As Radi Allahu Anhu* se rivayat hai ki *Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam* ne farmaya ” Iftar ke waqt Rozedar ki Dua radd Nahi hoti “._
*_(📚Sunan ibn Majah, vol 1, 1753-Hasan)_*
*_📜POST NO.2⃣6⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌸UN SHARTO KA BAYAN JINMAI QAZA KE SATH KAFFARA BHI LAZIM HAI…._*
_Ramzaan Mein Rozah daar Mukallaf (Jispar Rozah Farz ho) Muqim Ne K Adaaye Rozahe Ramzaan Ki Niyyat Se Rozah Rakha Aur Geeza Ya Dawa Khaayi Ya Paani Piya Ya Koi Cheez Lazzat Ke Liye Khaayi Ya Pi Inn Sab Surton Mein Qaza Ke Saath Kaffara Bhi Laazim Hai._
*↪Mas’ala-*
_Jis Jagah Rozah Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai Usme Shart Hai k Raat Hi Se Rozae Ramzaan Ki Niyyat Ki Ho Agar Din Mein Niyyat Ki Thi Aur Todh Diya To Kaffara Laazim Nahin…_
*↪Mas’ala-*
_Kaffara Wajib Hone Ke Liye Bhar Pet Khaana Zaroori Nahin. Thodasa Khaane se Bhi Wajib Ho Jaayega…._
*↪Mas’ala-*
_Tel Lagaaya Ya Geebat Ki Phir Ye Gumaan Kar Liya K Rozah Toot Gaya Phir Usne Kha Pi Liya Jab Bhi Kaffara Laazim Hai ….._
*↪Mas’ala-*
_Jin Surton Mein Rozah Todhne Par Kaffara Laazim Nahin Unme Shart Hai K Ek Hi Baar Aisa Hua Ho Aur Gunaah Ka Iraada Na Kiya Ho Warna Unme Kaffara Dena Hoga._
*↪Mas’ala-*
_Sehri Ka Niwala munh Mein Tha K Subah Tulo’o Ho Gayi Aur Use Nigal Gaya Kaffara Wajib Hai._
*↪Mas’ala-*
_Bhoolkar Kha Raha ThaYaad Aa Gaya Aur Nigal Gaya, Kaffara Wajib Hai._
*↪Mas’ala-*
_Ehtlaam (Night Fall) Hua Aur Usse Maloom Tha Ke Rozah Na Gaya Phir Kha Liya To Kaffara Laazim Hai._
*↪Mas’ala-*
_Ramzaan Ka Rozah Qasdan (Jaanbujhkar) Todhne Se Kaffara Laazim Aata Hai…._
*(📚Qanoon-E-Shriyat)*
*_📜POST NO.2⃣7⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌸UN SHARTO KA BAYAN JINMAI QAZA KE SATH KAFFARA BHI LAZIM HAI…._*
*↪MAS’ALA:-*
_Bhul se khana kha raha tha yaad ate hi faoran niwala thook diya to ROZA na gya aur nigal liya to ROZA jata raha!_
*↪MAS’ALA:-*
_Subha sadiq shuru hone se paihle sahri khana shuru kiya khate khate subha sadiq shuru hone lagi subha shuru hote hi agar niwala ugal dya to ROZA na tuta aur agar nigal gya to ROZA tut gya!…_
*↪MAS’ALA :-*
_Gibat ki to ROZA na tuta agarche gibat bahut sakht qabira gunah hai!_
_QURAN SHAREEF me gibat karne ke bare me farmaya gya hai jaise apne murda bhai ka gosht khana aur HADITH me aya hai ki gibat zina se badkar hai! Gibat ki wajah se ROZA ki nooraniyat jati rahti hai._
*(📚QANOON-E-SHARIYAT PAGE NO. 183)*
*_📜POST NO.2⃣8⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*↪HADEES:*
_🍂IBNE KHUZAIMAH Ne ABU MASOOD Giffari Se Eik Taveel Hadees Riwayat Ki Usme Ke Kuch Alfaz Ye Hain…_
*_🌹Farmaya ALLAH Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Agar Bandon Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Chiz Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ke Pura Saal Ramzan Hi Ho…_*
*●{📚صحیح ابن خزيمة، كتاب الصيام، باب ذكر تزيين الجنة لشهر رمضان……إلخ، ج-3، ص-190، الرقم الحديث-1886}*
*↪Hades*
_☄Qayamat ke din us Darwazey se sirf Rozedaar hi jannat mein dakhil hongey_
_Sahal bin Sad Radi allahu Anhu se Rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya jannat mein ek Darwaza hai jisey Ar-Raiyan kahtey hain Qayamat ke din us Darwazey se sirf Rozedaar hi jannat mein dakhil hongey unkey siwa aur koi usmein se dakhil nahi hoga,_
*👥Pukara jayega ki rozedar kaha hain Wo khadey ho jayengey,*
_Unkey siwa us sey aur koi andar nahi janey payega aur jab ye log andar chaley jayengey to ye darwaza band kar diya jayega phir us sey koi andar nahi ja sakega_
*(📚Sahih Bukhari, Vol 3,1896)*
*_📜POST NO.2⃣9⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌷”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌷_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌸Roze Ke 3 Darje Hain…🌸*
_1⃣👉 Aam logo ka Roza Ke Yahi Pet Aur Sharmgah Khane Pine Aur jima Se Rokna.._
_2⃣👉 Khas Logo Ka Roza kaan Ankh zaban Aur Hath Paon Tamam Aazaye Jism Ko Gunaho Se Baaz Rakhna,_
_3⃣👉 Khasul Khas Logo Ka Roza Ki ALLAH Ke Siwa apne Ko sab Se Juda Karna aur apni Tamam Tawajjoh Ko sirf ALLAH Ki Taraf Lagana_
*{📚Bahar-e-shariat, Hissa-5, P-966}*
_*(📚Fazail-e-iftaari Hadees ki Roshni me..)*_
*↪Hadees:-*
_🎊Hazrat e sayyiduna Sahal bin Sa’ad RadiyAllahu anho se riwayat he k Huzoor Nabi-e-Akram,Noor-e-Mujassam,Shafi-e-Muazzam SallAllahu alaihe Wa sallam farmate hey “Hamesha Log Khair ke Saath Rahenge jab tak iftaar mey Jaldi Karenge.”_
_🍔Jab iftaari ka Waqt ho jaaye to Bila-TaaKheer khajoor ya paani wagairah se Roza Khol le Taake iftaar mey Kisi Qism ki Taa-Kheer na ho aur Roza Khol Kar Dua Bhi Maange._
*↪Hadees:-*
_🍓Huzoor Nabi -e-Akram, Noor-e-Mujassam SallAllahu alaihe wa sallam ka Irshad he “Meri Ummat meri Sunnat par Rahegi jab Tak iftaar mey Sitaaro ka intezaar na kare.”_
*[📔Ahsaan Ba-Tarteeb Saheeh ibne Habban,Jild-5,Safha-209]*
🍓🍃🍓🍃🍓🍃🍓🍃🍓🍃🍓🍃
*_📜POST NO.3⃣0⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌼”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌼_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*↪Hadees:-*
*_🌺Hazrat e sayyiduna Abu-Hureirah RadiyAllahu anho se riwayat he k Huzoor-e-Paak SallAllahu alaihe Wa sallam Irshad farmate hey Allah Azzawajal ne Farmaya “Mere Bando mey mujhe Zayaada Pyaara wo he jo iftaar mey jaldi Karta he.”_*
*[📚Tirmizi,Jild-2,Safha-164]*
*↪Hadees:-*
_🌹Hazrat e sayyiduna Anas bin Maalik RadiyAllahu anho farmate hey Maine Allah ke Mehboob SallAllahu alaihe wa sallam ko Kabhi is tarah nahi dekha k aap SallAllahu alaihe wa sallam ne iftaar se pahle Namaz-e-Magrib Adaa Farmaayi ho,Chaahe ek Ghoont Paani hi tha(Aap SallAllahu alaihe wa sallam us se iftaar farmate)._
*[📚At-Targeeb Wat-TarHeeb,Jild-2,Safha-91]*
*↪Hadees :-*
_🌷Hazrat e Sayyiduna Zaid bin Khaalid RadiyAllahu anh se riwayat he k Taajdar-e-Madeena SallAllahu alaihe wa sallam ne farmaya: Jisne Kisi Gaazi Ya Haji ko SaaMaan(Zaade Raah) Diya Uske peeche uske Ghar walo ki Dekh-Bhaal ki ya Kisi Roza-daar ka Roza iftaar KarWaaya to usey bhi Unhi Ki Misl(Tarah) Ajr(Sawaab ) Milega Bagair uske k Unke Ajr mey kuch Kami ho._
*[📔Al-Kubra Lish-Shaafi,Jild-2,Safha-206]*
*_📜POST NO.3⃣1⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌸”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌸_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
_*💐KAB ROZA NA RAKHNE KI IJAAZAT HAI..💐*_
_📖Sahi Muslim shareef me ABOO SAEED KHUDRI RADIYALLAHU T’ALA ANHU se Marwi hai ki 16we Ramzaan shareef ko HUZOOR E AQDAS SALLALLAHU T’ALA ALEIYHI WASALLAM ke sath hum jihaad me gaye hum me baaz ne Roza rakha aur baaz ne na rakha to na Rozadaar ne gair Rozadaar par aib lagaya aur na inhone unpar._
*↪Mas,ala :-*
_Safar wa hamal aur bache ko doodh peelana aur marz aur budhapa aur khouf e halaak wa iqrah wa nuqsaane aql aur jihaad sab Roza na rakhne ke uzr hain In wajahon se Roza na rakha to gunahgaar nahi._
*[📚Durre Mukhtar]*
*↪Mas,ala :-*
_Safar se Muraad safare sharai hai yani itni door jane ke irade se nikale ki yahan se wahan tak teen din ki doori ho…_
_Aur Riwayato ne 92 Km Se Jyada safar ka Muamla Aya hai…_
*[📓Durre Mukhtaar] *
*_📜POST NO.3⃣2⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌸”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌸_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
_🌸Kuch logon ko dekha jata hai ki zara zara si maraz par Roza mana kar dete hain itni bhi tameez nahi rakhte ki kis maraz me Roza nuqsaan dene wala hai aur kis me nahi._
↪Mas,ala :-
_Aurat ko jab haiz wa Nifaas aa gaya to Roza jata raha, Haiz se pure 10 din 10 raat me paak hui to baharhaal aane wale kal ka Roza rakhe aur kam me paak hui to agar subah saadiq hone me itna arsaa hai ki nahaa kar thoda sa waqt bachega to bhi Roza rakhe aur agar naha kar faarig hone ke waqt subah saadiq chamka to Roza nahi._
*[📓Aalamgeeri]*
↪Mas,ala :-
*_Bhook wa pyaas aisi ho ki halaak ka sahi khouf ya aql jati rahne ka andesha ho to Roza na rakhe…._*
*[📓Aalamgeeri]*
↪Mas,ala :-
*_🌹Roza todne par majboor kiya gaya to use ikhtiyaar hai aur sabr kiya to use azr milega. …._*
*[📔Raddul Muhtaar]●*
*[📔Bahare shariat, jild 5, page 96]*
*_📜POST NO.3⃣3⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_🌷”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”🌷_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*🌟Ramzan Mubarak me Takreeban Sabhi Log Quran Sharif ki Tilawat Karte hai Aur Quran Shrif me 14 Ayate Esi Hai Jaha Sajda Karna Wajib Hai To* _Aaiye Aaj ki Post me Hum ye Samajte hai ki Sajda Kaha Kaha Aur Konsi Sureh me Kiya Jaega Aur Iske Karne Ka Tareeka Kya hai…_
*🎶Question :- Sajda-e-tilawat Quran me kitni martaba hai aur sajda kis par wajib ho jata hai ?*
*Answer :- ✅*
_Qur’an Majeed Me 14 Aayatein Aisi Hai Ke Jin Ke Padhne Ya Sunne Wale Aur Sunane Wale Dono Per Sajdah Karna Wajib Ho Jata Hai IsKo Sajdah Tilawat Kehte Hai._
*(📓Durre Mukhtaar Jild 1, Safa 513)*
*🎶Question :- Isko karne ka tarika kya Hai??*
*Answer :- ✅*
_Sajdah Tilawat Ka Tariqa Ye Hai Ke Qible Rukh Khade Ho Kar “ALLAHU AKBAR” Kehta Hua Sajdeh Me Jae Aur Kam Se Kam 3 Baar_
*“سبحــــــــــان ربي الاعلــــى”*
_(Sajde me padhi jaane wali tasbeeh) Kahe – Phir “Allahu Akbar” Kehta Hua Khada Ho Jaye – Bas Na Is Me Allahu Akbar Kehte Hue Haath Uthana Hai Na Is Me Tash’had Hai Na Salam…_
*(📔Durre Mukhtaar Jild 1, -Safa 513)*
*_📜POST NO.3⃣4⃣_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*_💐”FAIZAN-E-MAHE RAMZAN”💐_*
─┅━━━━✦✿✦◐✦✿✦━━━━┅─
*❗Question..*
_Jab sajda e tilawat Wali ayaat Suni ya Padhi toh kya sajda tab hi karna zaroori hai ?_
_Mazeed yeh bhi bata dein ki sajde wali Ayaat kon-kon se pare me hai._
*✔Answer….*
_Namaz k Dooran ager Aa Jae tou fooran kerna WAJIB hai,_
_Ager Beiroon-e-Namaz Aajae tou fooran kerna WAJIB nahi hai,_
_Lekin ager Wazoo ho tou MUSTAHAB hai ki ker lia jai…_
_Sajde Ki Ayate Yeh paaron main hai dekh lein;-_
*☑Para:9, Sura Aaraf, Verse:206*
*☑Para:13, Sura Raad, Ayat:15.*
*☑Para 14, Sura Nehl, Ayat:49.*
*☑Para 15, Sura Bani israeil, Ayat:107-109.*
*☑Para 16, Sura Mariyum, Ayat:58.*
*☑Para 17, Sura Hajj, Ayat:18*
*☑Para 19, Sura Furqan, Ayat:60*
*☑Para 19, Sura Namal, Ayat:25-26*
*☑Para 21, Sura Sajda, Ayat:15.*
*☑Para 23, Sura Daood, Ayat:25.*
*☑Para 24, Sura Sajda, Ayat:37-38*
*☑Para 27, Sura Najam, Ayat:62.*
*☑Para 30, Sura Inshiqaq, Ayat:20-21*
*☑Para 30, Sura Alaq, Ayat:19*