Ahmad Faraz Poetry Lyrics

 

 

Saaqi Kahan Se Laoun, Jaam Kahan Se Laoun

 

Saaqi Kahaan Se Laoun, Jaam Kahan Se Laoun
May’khana Hai Band, Sharab Kahan Se Laoun

Ek Baar Faqat Bhool Baitha Tha Tujhe
Ussay Bhoolnay Ki Saza Kahaan Se Laoun

Ab To Milta Nahi Maseeha Koi Is Shehar Main
Is Dard Ki Dua Kahaan Se Laoun

Ab Tak Sunaee Deti Hain Teray Kadmon Ki Aahat Per Dil Per
Is Dewaangi Ki Inteha Kahaan Se Laoun

Ab To Bhali Nahi Lagti Kaanon Ko Koi Awaaz
Teri Choorion Ki Jhankaar Kahaan Se Laoun

Wo Teri Palkon Ka Madham Madham Uthna Girna
Wo Pakeezgi Wo Haya Kahaan Se Laoun

Wo Teri Kaali Bal Khati Nagan Si Zulfain
Is Zehar Ka Taryaaq Kahaan Se Laoun

Lafaz He Chin Gay Goya Tumhare Janay Kay Baad Faraz
Uthay Hain Haath Par, Dua Kahan Se Laoun

 

Kisi Ko Ghar Se Nikaltay Hi Mil Gayi Manzil

Kisi Ko Ghar Se Nikaltay Hi Mil Gayi Manzil

Koi Hamari Tarah Umar Bhar Safar Main Raha

Main Aik Barg-E-Khizaan Ki Maanind

Main Aik Barg-E-Khizaan Ki Maanind
Kab Se Shaakh Nihaal-E-Gham Par
Laraz Raha Hoon
Mujhay Abhi Tak Hai Yaad-O-Jaan Figaar-E-Sa’aat
Keh Jab Baharon Ki Aakhri Shaam
Mujh Se Kuch Youn Lipat Kay Roi
Keh Jaisay Ab Umar Bhar Na Daikhay Ga
Hum Main Aik Doosray Ko Koi
Woh Raat Kitni Karri Thi
Jab Aandhiyon Kay Shab-E-Khoon Se
Bu-E-Gul Bhi Lahu Lahu Thi
Sehar Hui Jab Khushk-O-Zar-Daroo Thay
Keh Jaisay Maqtal Main
Meray Bichray Huye Rafeeqon Ki
Zakham Khurda Bar’hana Laashein
Garri Hui Hoon
Main Jaanta Tha
Keh Jab Yeh Bojhal Buland Ashjaar
Jin Ki Kohna Jarrein Zameen Ki Ameeq Gehraiyon Main
Barson Se Ja’guzeen Thein
Hajoom-E-Sar Sar Main
Chand Lamhi Yeh Istaada Na Reh Sakay To
Main Aik Barg-E-Khizaan Bhi
Shaakh Nihaal-E-Gham Par Na Reh Sakon Ga
Woh Aik Pal Tha Keh Aik Raat Thi
Magar Meray Wastay Bhout Thi
Mujhay Khabar Hai Keh Kal Baharon Ki Awleen Subha
Phir Se Be’barg-O-Baar Shaakhon Ko
Zindagi Ki Nayi Qaba’ein Ata Karay Gi
Magar Mera Dil Dharak Raha Hai
Mujhay , Jalsay Aandhiyon Ki Yo’rash
Khizaan Kay Toofan Na Chu Sakay Thay
Kahin Naseem-E-Bahar
Shaakh-E-Nihaal Gham Se
Juda Na Kar De

 

 

Na Hareef-E-Jaan Na Shareek-E-Gham-E-Shab Intizaar Koi To Ho

Na Hareef-E-Jaan Na Shareek-E-Gham-E-Shab Intizaar Koi To Ho
Kisi Bazam-E-Shoq Main Layein Hum Dil-E-Be’qaraar Koi To Ho

Kissay Zindagi Hai Aziz Ab Kissay Aarzu-E-Shab-E-Tarb
Magar Ae Nigaar-E-Wafa Talab Tera Aaitaabr Koi To Ho

Kahin Taar Daman-E-Gul Milay To Yeh Maan Lain Keh Chaman Khilay
Keh Nishaan Fasal-E-Bahar Ka Sar Shaakh’saar Koi To Ho

Yeh Udaas Udaas Se Baam-O-Dar Yeh Ujaar Ujaar Si Raah’guzar
Chalo Hum Nahin Na Sahi Magar Sar Ku-E-Yaar To Ho

Yeh Sakoon-E-Jaan Ki Gharri Dhallay To Chragh-E-Dil Hi Na Bujh Chalay
Woh Bala Se Ho Gham-E-Ishq Ya Gham-E-Roz’gaar Koi To Ho

Sar-E-Maqtal Shab-E-Aarzu Rahay Kuch To Ishq Ki Aab’ru
Jo Nahin Adu To Faraz Keh Naseeb Daar Koi To Ho

 

 

Juz Teray Koi Bhi Din Raat Na Janay Meray

Juz Teray Koi Bhi Din Raat

Juz Teray Koi Bhi Din Raat Na Janay Meray
Tu Kahan Hai Magar Ae Dost Puranay Meray

Tu Bhi Khushbu Hai Magar Mera Ta’jasus Be’kaar
Barg-E-Awara Ki Maanind Thikaanay Meray

Shamma Ki Lo Bhi Keh Woh To Tha Magar Hijar Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaanay Meray

Khalq Ki Be’khabri Hai Keh Meri Ruswai
Log Mujh Ko Hi Sunatay Hain Fasanay Meray

Lutt Kay Bhi Khush Hoon Keh Ashkon Se Bharra Hai Daman
Daikh Ghaarat Gar-E-Dil Yeh Bhi Khazanay Meray

Kaash Tu Bhi Meri Awaz Kahin Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhay Dil Ki Sada Ne Meray

Kaash Tu Bhi Kabhi Aa Jaye Maseehai Ko
Log Aatay Hain Bhout Dil Ko Dukhanay Meray

Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Kabhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri , Aaj Khuda Ne Meray

Tu Hai Kis Haal Ae Zood Faramosh Meray
Mujh Ko To Cheen Liya Ehad-E-Wafa Ne Meray

Chaara Gar Youn To Bhout Hain Magar Ae Jaan-E-Faraz
Juz Teray Aur Koi Zakham Na Janay Meray

 

Qurbaton Main Bhi Judai Kay Bahanay Maangay

Qurbaton Main Bhi Judai Kay Bahanay Maangay

Qurbaton Main Bhi Judai Kay Bahanay Maangay
Dil Woh Be’mehar Keh Ronay Kay Bahanay Maangay

Hum Na Hotay To Kisi Aur Kay Char’chay Hotay
Khalqat-E-Shaher To Kehnay Ko Fasanay Maangay

Yehi Dil Tha Keh Tarasta Tha Maraasam Kay Liye
Ab Yahi Tark-E-Taaluq Kay Liye Bahanay Maangay

Apna Yeh Haal Keh Jee Haar Chukay Lutt Bhi Chukay
Aur Wohi Andaz Puranay Maangay

Zindagi Hum Teray Daaghon Se Rahay Sharminda
Aur Tu Hai Keh Sada Aaina Khana Maangay

Dil Kisi Haal Pe Qanay Hi Nahin Jaan Faraz
Mil Gaye Tum Bhi To Kya Aur Na Janay Maangay

Pathar Ki Tarah Agar Main Chup Hoon

Pathar Ki Tarah Agar Main Chup Hoon

To Yeh Na Samjh Keh Meri Hasti

Be’gana Shola-E-Wafa Hai

Teh’qeer Se Na Youn Daikh Mujh Ko

Ae Sang Traash ! Tera Teesha

Mumkin Hai Keh Zarb-E-Awaleen Se

Pehchaan Sakay Keh Meray Dil Main

Jo Aag Teray Liye Dabbi Hai

Woh Aag Hi Meri Zindagi Hai

Qurb Kay Na Wafa Kay Hotay Hain

Qurb Kay Na Wafa Kay Hotay Hain

Jhagray Saray Anaa Kay Hotay Hain

 

Ungliyan Aaj Bhi Is Soch Main Gum Hain “Faraz”

Ungliyan Aaj Bhi Is Soch Main Gum Hain “Faraz”

Us Ne Kaisay Naye Haath Ko Thaama Ho Ga

Barson Kay Baad Daikha , Ik Shakhs Dil’ruba Sa

 

 

Barson Kay Baad Daikha , Ik Shakhs Dil’ruba Sa
Ab Zehan Main Nahin Hai Par Naam Tha Bhala Sa

Aabru Khichay Khichay Se Aankhein Jhuki Jhuki Si
Baatein Ruki Ruki Si Lehja Thaka Thaka Sa

Alfaaz Thay Keh Jugnu Awaz Kay Safar Main
Ban Jaye Junglon Main Jis Tarah Raasta Sa

Khawabon Main Khawab Us Kay Yaadon Main Yaad Us Ki
Neendon Main Ghull Gaya Ho Jaisay Keh Rat’jaga Sa

Pehlay Bhi Log Aaye Kitnay Hi Zindagi Main
Woh Her Tarah Se Lakin Auron Se Juda Sa

Agli Mohabbaton Ne Woh Nu’muradiyan Dein
Taza Rafaqaton Se Dil Tha Dara Dara Sa

Kuch Yeh Keh Muddaton Se Hum Bhi Nahin Thay Roye
Kuch Zehar Main Bujha Tha Ehbaab Ka Dilaasa

Phir Youn Hua Keh Sawan Aakhon Main Aa Basay Thay
Phir Youn Hua Keh Jaisay Dil Bhi Tha Aabla Sa

Ab Sach Kahein To Yaaro Hum Ko Khabar Nahin Thi
Ban Jaye Ga Qayamat Ik Waqiya Zara Sa

Taiwar Thay Be’rukhi Kay Andaz-E-Dosti Kay
Woh Ajnabi Tha Lakin Lagta Tha Aashna Sa

Hum Dast Thay Keh Dariya Hum Zehar Thay Keh Amrat
Na’haq Tha Zoham Hum Ko Jab Woh Nahin Tha Payasa

Hum Ne Bhi Us Ko Daikha Kal Shaam Ita’faaqan
Apna Bhi Haal Hai Ab Logo Faraz Ka Sa

Aazard’gaan-E-Shaher Ka Jaisa Bhi Haal Ho

Aazard’gaan-E-Shaher Ka Jaisa Bhi Haal Ho
Aye Yaar-E-Khush Diyaar Tujhay Kiyon Malaal Ho

Ab Baat Dosti Ki Nahin Hoslay Ki Hai
Laazim Nahin Keh Tu Bhi Mera Hum’khayal Ho

Khud Mera Haath Jab Meri Bar’badiyon Main Tha
Teri Jabeen Pe Kiyon Arq-E-In’fa’aal Ho

Phir Tu Ne Chairr Di Hai Gayi Sama’aton Ki Baat
Woh Guftagoo Na Kar Keh Tujhay Bhi Malaal Ho

Meri Zarooraton Se Ziyada Karam Na Kar
Aisa Salook Kar Keh Meray Hasb-E-Haal Ho

Toota To Hoon Magar Abhi Bikhra Nahin Faraz
Meray Badan Pe Jaisay Shakiston Ka Jaal Ho

 

Sitam Gari Ka Her Andaz Meharmana Laga

Sitam Gari Ka Her Andaz Meharmana Laga
Main Kya Karon Mera Dushman Mujhay Bura Na Laga

Her Aik Ko Zoham Tha Kis Kis Ko Na’khuda Kehtay
Bhala Hua Keh Safeena Kinaray Ja Na Laga

Meray Sukhan Ka Qareena Dao Gaya Mujh Ko
Keh Jis Ko Haal Sunaya Ussay Fasana Laga

Baroon-E-Dar Na Koi Roshni Na Saya Tha
Sabhi Fasaad Mujhay Androon-E-Khana Laga

Main Thak Gaya Tha Bhout Pay-Ba-Pay Uraano Se
Jabhi To Daam Bhi Is Baar Aashiyana Laga

Sitam Kay Ehad Main , Main Bhi Shareek Hoon Jaisay
Mera Sakoot Mujhay Sakhat Mujar’mana Laga

Woh Laakh Zood Faramosh Ho Faraz Magar
Ussay Bhi Mujh Ko Bhulanay Main Ik Zamana Laga

 

 

 

Sehar Kay Suraj Main Ro Raha Hoon

Sehar Kay Suraj

Sehar Kay Suraj
Main Ro Raha Hoon
Keh Mera Mashriq Lahu Lahu Hai
Woh Mera Mashriq
Jo Mera Bazu Hai Mera Dil Hai Meri Namu Hai
Jo Meray Atraaf Ka Nishan
Meri Aabru Hai
Lahu Lahu Hai
Sehar Kay Suraj
Main Nisf Tareek
Nisf Roshan Hoon
Kya Hua Hai
Tujhay Ghunn Lag Gaya
Keh Mera Wajood Tukron Main Batt Gaya Hai
Teri Shua’on Ka Noor Andheron Main Ghatt Gaya Hai
Keh Aaj Her Rishta-E-Rafaqat Hi Katt Gaya Hai

Sehar Kay Suraj
Main Apnay Paikar Ki Nisf Tasveer Ho Gaya Hoon
Main Aap Hi Aaj Apni Tehqeer Ho Gaya Hoon
Main Ism-E-Sagheer Ho Gaya Hoon
Main Apna Aadha Badan Liye Kis Taraf Ko Jaon
Kissay Dikhaon
Yeh Sheesha-E-Jaan Ki Kirchiyan
Apnay Khawab Rezay Kahan Chupa’on
Main Apni Wahiddat Kahan Se Laon

Sehar Kay Suraj
Sitam Ki Aandhi Rukay
To Main Yeh Ujaar Aankhein Jhapak Sakon Ga
Sis’sak Sakon Ga
Lahu Ki Baarish Thamay
To Main Is Dukhi Badan Ko Thapak Sakon Ga
Abhi To Main Jaan’kani Kay Dohray Azaab Main Hoon
Jo Bujh Chukay Woh Chragh Daikhon

Keh Apnay Maathay Ka Dagh Daikhon

Sehar Kay Suraj
Meri Nazar Main To In Rafeeqon Kay Qaaflay Hain
Jo Ghar Se Niklay Thay Sar Uthaye Qadam Jamaye
Jo Muntazir Thay
Keh Rizam Gaah-E-Talab Bulaye
Jo Aazmaish Ki Her Gharri Main
Yaqeen Ki Mish’alein Jalaye
Watan Ki Na’moos Kay Liye
Be’shumaar Bazu Ilam Uthaye
Rawan Huye Thay Yeh Ehad Kar Kay
Keh In Ki Jaanein Rahein , Keh Jayein
Magar Wafa Par Na Harf Aaye

Sehar Kay Suraj
Meri Nazar Main In Hi Rafeeqon Kay Qaaflay Hain
Keh Jin Ka Pindaar Reza Reza
Keh Jin Kay Maathay Arq Arq Hain
Jo Pa’zanjeer
Munfa’ilgardanein Jhukaye
Adu Kay Narghay Main
In Andheron Ki Sar’zameen Ki Taraf Rawan Hain
Jahan Haqarat Kay Ta’an
Nafrat Kay Sang
Ruswaiyon Kay Bazar
Muntazir Hain

Sehar Kay Suraj
Yeh Main Na Daikhon
Yeh Tu Na Daikhay
Yeh Jaan’nisaron , Shaheed Yaron Ka Cham’chamata Lahu Na Daikhay
Yeh Main Na Daikhon
Yeh Tu Na Daikhay

 

Her Tamashai Faqat Sahil Se Manzir Daikhta

Her Tamashai Faqat Sahil Se Manzir Daikhta
Kon Dariya Ko Ulat’ta Kon Gohar Daikhta

Woh To Duniya Ko Meri Dewangi Khush Aa Gayi
Teray Hathon Mian Wagarna Pehla Pathar Daikhta

Aankh Main Aansu Jarray Thay Par Sada Tujh Ko Na Di
Is Tawaqo Par Keh Shayed Tu Palat Kar Daikhta

Meri Qismat Ki Lakeerain Meray Hathon Main Na Thein
Teray Maathay Par Koi Mera Muqaddar Daikhta

Zindagi Phaili Hui Thi Shaam-E-Hijran Ki Tarah
Kis Ko Itna Hosla Tha Kon Jee Kar Daikhta

Doobnay Wala Tha Aur Sahil Pe Chehron Ka Hajoom
Pal Ki Mohlat Thi Main Kis Ko Aankh Bhar Kar Daikhta

Tu Bhi Dil Ko Ik Lahu Ki Boond Samjha Hai Faraz
Aankh Agar Hoti To Qatray Main Samandar Daikhta

 

Tujh Se Bichar Kay Hum Bhi Muqaddar Kay Ho Gaye

 

Tujh Se Bichar Kay Hum Bhi Muqaddar Kay Ho Gaye
Phir Jo Bhi Dar Mila Hai , Usi Dar Kay Ho Gaye

Phir Youn Hua Keh Ghair Ko Dil Se Laga Liya
Andar Woh Nafratein Thein Keh Baahir Kay Ho Agye

Kya Log Thay Keh Jaan Se Barh Kar Aziz Thay
Ab Dil Se Mehav Naam Bhi Aksar Ho Gaye

Aye Yaad-E-Yaar Tujh Se Karein Kya Shikayatein
Ae Dard-E-Hijar Hum Bhi To Pathar Kay Ho Gaye

Samjha Rahay Thay Mujh Ko Sabhi Naas’haan-E-Shaher
Phir Rafta Rafta Khud Usi Kaafir Kay Ho Gaye

Ab Kay Na Intizaar Karein Chara’gar Ka Hum
Ab Kay Gaye To Ku-E-Sitam’gar Kay Ho Gaye

Rotay Ho Ik Jazeerah-E-Jaan Ko Faraz Tum
Daikho To Kitnay Shaher Samandar Kay Ho Gaye

Kaha Tha Kis Ne Keh Ehad-E-Wafa Karo Us Se

Kaha Tha Kis Ne Keh Ehad-E-Wafa Karo Us Se
Jo Youn Kiya Hai To Phir Kiyon Gila Karo Us Se

Naseeb Phir Koi Taqreeb-E-Qarb Ho Keh Na Ho
Jo Dil Main Hon Wohi Baatein Kaha Karo Us Se

Yeh Ehal-E-Bazam Tanak Hosla Sahi Phir Bhi
Zara Fasana-E-Dil Ibtidaa Karo Us Se

Yeh Kya Keh Tum Hi Gham-E-Hijar Kay Fasanay Kaho
Kabhi To Is Kay Bahanay Suna Karo Us Se

Faraz Tark-E-Taluq To Khair Kya Ho Ga !!
Yeh Hi Bhout Hai Keh Kam Kam Mila Karo Us Se

Posted By Imran’s Poetry At Sunday, June 12, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Dil Garifta Hi Sahi Bazam Saja Li Jaye

Dil Garifta Hi Sahi Bazam Saja Li Jaye
Yaad-E-Jaana Se Koi Shaam Na Khaali Jaye

Rafta Rafta Yahi Zindaan Main Badal Jatay Hain
Ab Kisi Shaher Ki Buniyaad Na Daali Jaye

Mushaf-E-Rukh Hai Kisi Ka Keh Biyaaz-E-Hafiz
Aisay Chehray Se Kabhi Faal Nikaali Jaye

Woh Murawat Se Mila Hai To Jhuka Doon Gardan
Meray Dushman Ka Koi Waar Na Khaali Jaye

Be’nawa Shaher Ka Saya Hai Meray Dil Pe Faraz
Kis Tarah Se Meri Aashafta Khayali Jaye
Posted By Imran’s Poetry At Sunday, June 12, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Shagufta Dil Hain Keh Gham Bhi Ataa Bahar Ki Hai

Shagufta Dil Hain Keh Gham Bhi Ataa Bahar Ki Hai
Gul-E-Habaab Hain Sar Main Hawa Bahar Ki Hai

Hajoom-E-Jalwa-E-Gul Par Nazar Na Rakh Keh Yahan
Jarahaton Kay Chaman Par Rida Bahar Ki Hai

Koi To Lala-E-Kho’nain-E-Kafan Se Bhi Poochay
Yeh Fasal Chaak-E-Jiger Ki Hai Ya Bahar Ki Hai

Main Tera Naam Na Loon Phir Bhi Log Peh’chanain
Keh Aap Apna Ta’aruf Hawa Bahar Ki Hai

Shumaar Zakham Abhi Se Faraz Kya Karna
Abhi To Jaan Meri Ibtidaa Bahar Ki Hai

Abar-E-Bahar Ab Kay Bhi Barsa Parray Parray

Abar-E-Bahar Ab Kay Bhi Barsa Parray Parray
Gulshan Ujaar Ujaar Hain Jungle Harray Harray

Janay Yeh Tishnagi Hai Hawas Hai Keh Khud’kushi
Jaltay Hain Shaam Hi Se Jo Saghar Bharray Bharray

Hai Dil Ki Mout Ehad-E-Wafa Ki Shakistagi
Phir Bhi Jo Koi Tark Mohabbat Karay Karay

Ab Apna Dil Bhi Shaher-E-Khamoshan Se Kam Nahin
Sun Ho Gaye Hain Kaan Sada Par Dharray Dharray

Rehtay Hain Ehal-E-Shaher Kay Saa’iye Se Door Door
Hum Aahu In Dasht Ki Surat Darray Darray

Gul Ban Kay Phoot’ta Hai Lahu Shaakh’saar Se
Zakham Rag-E-Bahar Hain Pattay Harray Harray

Zinda Dilaan-E-Shaher Ko Kya Ho Gaya Faraz
Aankhein Bujhi Bujhi Hain To Chehray Marray Marray

 

 

Ab Kis Ka Jashan Manatay Ho !

Ab Kis Ka Jashan Manatay Ho !

Ab Kis Ka Jashan Manatay Ho
Us Dais Ka Jo Taqseem Hua
Ab Kis Ka Geet Sunatay Ho
Us Tann Mann Ka Jo Do Neem Hua
Us Khawab Ka Jo Reza Reza
In Aankhon Ki Taqdeer Hua
Us Naam Ka Jo Tukray Tukray
Galiyon Main Be’touqeer Hua

Us Parcham Ka Jis Ki Hurmat
Bazaron Main Neelaam Hui
Us Matti Ka Jis Ki Hurmat
Mansoob Adu Kay Naam Hui

Us Jang Ka Jo Tum Haar Chukay
Us Rasam Ka Jo Jaari Bhi Nahin
Us Zakham Ka Jo Seenay Pe Na Tha
Us Jaan Ka Jo Wari Bhi Nahin

Us Khoon Ka Jo Bad’qismat Tha
Rahon Main Bahaya Tann Main Raha
Us Phool Ka Jo Be’qeemat Tha
Aangan Main Khilaya Ban Main Raha

Us Mashriq Ka Jsi Ka Tum Ne
Nezay Ki Anni Marham Samjha
Us Maghrib Ka Jis Ko Tum Ne
Jitna Bhi Loota Kam Samjha

Un Masoomon Ka Jin Kay Lahu
Se Tum Ne Farozan Raatein Kein
Ya Un Mazlumon Ka Jin Se
Khanjar Ki Zuban Main Batein Kein

Us Mariyam Ka Jsi Ki Iffat
Lut’ti Hai Bharray Bazaron Main
Us Esa Ka Jo Qatil Hai
Aur Shamil Hai Gham Khawaron Main

Un Noha Garon Ka Jinhon Ne Hamein
Khud Qatil Kiya Khud Rotay Hain
Aisay Bhi Kahin Dam’saaz Huye
Aisay Jalaad Bhi Hotay Hain

Un Bhookay Nangay Dhanchon Ka
Jo Raqs Sar-E-Bazar Karein
Ya Un Zalim Qaza’qon Ka
Jo Bhais Badal Kar Waar Karein

Ya Un Jhootay Iqra’ron Ka
Jo Aaj Talak Eefa Na Huye
Ya Un Be’bas La’charon Ka
Jo Aur Bhi Dukh Ka Nishana Huye

Us Shahi Ka Jo Dast-Ba-Dast
Ayi Hai Tumharay Hissay Main
Kiyon Nang-E-Watan Ki Baat Karo
Kya Rakha Hai Is Qissay Main

Aankhon Main Chupaye Ashkon Ko
Honton Pe Wafa Kay Bol Liye
Us Jashan Main , Main Bhi Shamil Hoon
Nohon Se Bharra Kash’kol Liye

 

 

 

Jun 12, 2016
Sab Log Liye Sang-E-Malamat Nikal Aaye

Sab Log Liye Sang-E-Malamat Nikal Aaye
Kis Shaher Main Hum Ehal-E-Mohabbat Nikal Aaye

Ab Dil Ki Tamana Hai To Aye Kaash Yahi Ho
Aansu Ki Jaga Aankh Se Hasrat Nikal Aaye

Her Ghar Ka Diya Gul Na Karo Tum Keh Na’janay
Kis Baam Se Khurasheed-E-Qayamat Nikal Aaye

Jo Dar Pe Pindaar Hain Un Qatal Gahon Se
Jaan De Kay Bhi Samjho Keh Salamat Nikal Aaye

Ae Hum’nafso Kuch To Kaho Ehad-E-Sitam Ki
Ik Harf Se Mumkin Hai Hikayat Nikal Aaye

Yaro Mujhay Masloob Karo Tum Keh Meray Baad
Shayed Keh Tumhara Qad-O-Qaamat Nikal Aaye

Posted By Imran’s Poetry At Sunday, June 12, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Suna To Hai Keh Nigar-E-Bahar Raah Main Hai

Suna To Hai Keh Nigar-E-Bahar Raah Main Hai
Safar Ba’khair Keh Dushman Hazar Raah Main Hai

Guzar Bhi Jaa Gham-E-Jaan-O-Gham-E-Jahan Se Keh Yeh
Woh Manzil’ain Keh Jin Ka Shumaar Raah Main Hai

Tameez-E-Rehbar-O-Rah’zan Abhi Nahin Mumkin
Zara Thehar Keh Bala Ka Ghubaar Raah Main Hai

Garoh-E-Kaj’kalan Ko Koi Khabar To Karay
Abhi Hajoom Sar-E-Raah’guzaar Raah Main Hai

Na Janay Kab Ka Ponchbhi Chuka Sar-E-Manzil
Woh Shakhs Jis Ka Hamein Intizaar Raah Main Hai

Faraz Agarcha Karri Hai Zameen Aatish Ki
” Hazaar Haa Shajar-E-Saya’daar Raah Main Hai ”

 

Mat Socho

Mat Socho !

Aur Us Ne
Meray Saghar Main
May Surkh Undaily _____To Kaha
Mat Socho !

Tum Yahan Aaye Ho
Is Mulk Kay Is Shaher Kay
Is Hujla-E-Taskeen Main Jahan
Sab Kay Sab Raqs-E-Kinaan
Naghma-E-Bulb
Mast Ada Mat Socho
Jaagti Raat
Kay Chehray Pe Hai Khushbu Ki Rida
Mat Socho

Tum Bhi Kya Log Ho
Pardais Bhi Aatay Ho
To Le Aatay Hain
Beemaar Shab-O-Roz-O-Dil Afgaar
Azizaan-E-Watan Ki Yaadein
Apni Zoleeda-O-Boseeda Qameezon Ki Tarah
Jin Kay Dhabon Ko To Khud’kaar Machin’ein Bhi Nahin Dho Sakti
Yeh Jo Zangaar Hain Ghurbat Kay
Khud Azaarjo Tareekiyan Zehno Ki Hain
Ala’ishein Jismon Ki Hain
Is Tarah Sambhalay Huye Phirtay Ho
Keh Jaisay Yeh Tumharay Dil-O-Jaan Hon
Is Gharri Tum Ho Jahan
Mumlikat-E-Khawab Nahin
Yahan Kisi Soch Ka Gardaab Nahin
Zindagi May Ki Tarah
Shokh Hai Taraar Nahin
Zehar Ab Nahin
Apnay Kash’kol Ko Dehleez Pe Rakh Ayo
Keh Dar’youza Gari
Is Jaga Shamil-E-Aadaab Nahin
Mat Socho !

Posted By Imran’s Poetry At Saturday, June 11, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Jo Bhi Daroon-E-Dil Hai Woh Baahir Na Aaye Ga

Jo Bhi Daroon-E-Dil Hai Woh Baahir Na Aaye Ga
Ab Aagahi Ka Zehar Zuban Par Na Aaye Ga

Ab Kay Bichar Kay Us Ki Nadamat Thi Is Qadar
Jee Chahata Bhi Ho To Palat Kar Na Aaye Ga

Youn Phir Raha Hai Kaanch Ka Paikar Liye Huye
Ghafil Ko Yeh Guman Hai Keh Pathar Na Aye Ga

Phir Bo Raha Hoon Aaj Un Hi Sahilon Pe Phool
Phir Jaisay Moj Main Yeh Samnadar Na Aaye Ga

Main Jaan Bulb Hoon Tark-E-Taluq Kay Zehar Se
Woh Mut’ma’ein Kh Harf To Us Par Na Aaye Ga

 

 

Jo Ranjishein Thein Jo Dil Main Ghubaar Tha Na Gaya

Jo Ranjishein Thein Jo Dil Main Ghubaar Tha Na Gaya
Keh Ab Ki Baar Galay Mil Kay Bhi Gila Na Gaya

Ab Us Kay Wada-E-Farda Ko Bhi Tarastay Hain
Kal Us Ki Baat Pe Kiyon Aaitabar Aa Na Gaya

Ab Us Kay Hijar Main Ro’ein Na Wasal Main Khush Hon
Woh Dost Ho Bhi To Samjho Keh Dostana Gaya

Nigah-E-Yaar Ka Kya Hai Hui Hui Na Hui
Yeh Dil Ka Dard Hai Payaray Gaya Gaya Na Gaya

Sabhi Ko Jaan Thi Payari Sabhi Thay Lab Basta
Bas Ik Faraz Tha Zaalim Se Chup Raha Na Gaya
Posted By Imran’s Poetry At Saturday, June 11, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Youn To Pehlay Bhi Huye Us Se Kai Baar Juda

Youn To Pehlay Bhi Huye Us Se Kai Baar Juda
Lakin Ab Kay Nazar Aatay Hain Kuch Aasaar Juda

Gar Gham-E-Sood-E-Ziyan Hai To Tehar Ja Aye Jaan
Keh Usi Morr Pe Yaron Se Huye Yaar Juda

Do Gharri Us Se Raho Door To Youn Lagta Hai
Jis Tarah Saya-E-Dewaar Se Dewaar Juda

Yeh Judai Ki Gharri Hai Keh Jharri Sawan Ki
” Main Juda Gar Yeh Kinaan , Abar Juda , Yaar Juda ”

Kaj’kalahon Se Kahay Kon Keh Aye Be’khabro
Toq-E-Gardan Se Nahin , Tur’rah-E-Dastaar Juda

Is Qadar Roop Hain Yaaron Kay , Keh Khouf Aata Hai
Sar-E-Meh’khana Juda Aur Sar-E-Darbaar Juda

Ku-E-Jaana Main Bhi Khaasa Tha Tar’madaar Faraz
Lakin Us Shakhs Ki Saj Dhaj Thi Sar-E-Daar Juda
Posted By Imran’s Poetry At Saturday, June 11, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Khawab Martay Nahin

Khawab Martay Nahin

Khawab Martay Nahin
Khawab Dil Hain , Na Aankhein , Na Sa’atein Keh Jo
Reza Reza Huye To Bikhar Jayein Gay
Jisam Ki Mout Se Yeh Bhi Mar Jayein Gay
Khawab Martay Nahin
Khawab To Roshni Hain , Nawa Hain , Hawa Hain
Jo Kaalay Paharon Se Ruktay Nahin
Zulam Kay Dozakhon Se Bhi Pukhtay Nahin
Roshni Aur Nawa Aur Hawa Kay Alm
Maqtalon Main Ponch Kar Bhi Jhuktay Nahin
Khawab To Harf Hain
Khawab To Noor Hain
Khawab Suqraat Hain
Khawab Mansoor Hain

 

Ab Kay Rutt Badli To Khushbu Ka Safar Daikhay Ga Kon

Ab Kay Rutt Badli To Khushbu Ka Safar Daikhay Ga Kon
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkein Gay Par Daikhay Ga Kon

Daikhna Sab Raqs-E-Bismal Main Magan Ho Jayein Gay
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udhar Daikhay Ga Kon

Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Huye
Teray Haathon Kay Nishan Ae Chara Gar Daikhay Ga Kon

Woh Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Log To Phal Phool Daikhein Gay Shajar Daikhay Ga Kon

Meri Awazon Kay Saaye Meray Baam-O-Dar Pe Hain
Meray Lafzon Main Utar Kar Mera Ghar Daikhay Ga Kon

Hum Chragh-E-Shab Hi Jab Thehray To Phir Kya Sochna
Raat Thi Kis Ka Muqadar Aur Sehar Daikhay Ga Kon

Aa Faseel-E-Shaher Se Daikhein Ghaneem-E-Shaher Ko
Shaher Jalta Ho To Tujh Ko Baam Par Daikhay Ga Kon

Her Koi Apni Hawa Main Mast Phirta Hai Faraz
Shaher-E-Na’pursan Main Teri Chasham-E-Tar Daikhay Ga Kon

Posted By Imran’s Poetry At Saturday, June 11, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Ae Khuda Jo Bhi Mujhay Pand-E-Shakeebai De

Ae Khuda Jo Bhi Mujhay Pand-E-Shakeebai De
Us Ki Aankhon Ko Meray Zakham Ki Gehraai De

Teray Logon Se Gila Hai Meray Aaino Ko
In Ko Pathar Nahin Deta To Beenai De

Jis Kay Eema Pe Kiya Tark-E-Taluq Sab Se
Ab Wohi Shakhs Mujhay Tahna-E-Tanhai De

Yeh Dehan Zakham Ki Surat Hai Meray Chehray Par
Ya Meray Zakham Ko Bhar , Ya Mujhay Go’yaai De

Itna Be’sarfa Na Jaye Meray Ghar Ka Jalna
Chasham-E-Giriyan Na Sahi Chasham-E-Tamashai De

Jin Ko Pay’rahan-E-Toqeer-O-Sharf Bakhsha Hai
Woh Bar’hana Hain Unhein Khil’at-E-Ruswai De

Kya Khabar Tujh Ko Keh Kis Wazah Ka Bismal Hai Faraz
Woh To Qaatil Ko Bhi Ilzaam-E-Maseehai De
Posted By Imran’s Poetry At Saturday, June 11, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Ab Kay Tajdeed-E-Wafa Ka Nahin Imkaan Jaana

Ab Kay Tajdeed-E-Wafa Ka Nahin Imkaan Jaana
Yaad Tujh Ko Kiya Dilayein Tera Paymaan Jaana

Yun He Mosam Ke Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jatay Hain Insaan Jaana

Zindage Teri Ata The So Terey Naam Ki
Hum Ne Jaisay Bhe Basar Ki Tera Ehsaan Jaana

Dil Yeh Kehta Hai Shyed Ho Afsurda Tu Bhi
Dil Ki Kiya Baat Karain Dil To Hai Nadan Jaana

…….Kaaf……

Awal Awal Ki Mohabbat Kay Nashay Yaad To Kar
Bay’pee’ay Bhi Tera Chehra Tha Gulistan Jaana

Aakhir Aakhir To Yeh Aalam Hai Keh Ab Hosh Nahin
Rag-E-Meena Sulag Uthi Thi Keh Rag-E-Jaan Jaana

Mud’daton Se Yahi Aalam Na Tawaqo Na Umeed
Dil Pukaray Hi Chala Jata Hai Jaana Jaana

Hum Bhi Kya Sada Thay Hum Ne Bhi Samjh Rakha Tha
Gham-E-Doran Se Juda Hai Gham-E-Jaana Jaana

Ab Kay Kuch Aisi Saji Mehfil-E-Yaaran Jaana
Sar-Ba’zano Hai Koi Sar-Ba’giribaan Jaana

Her Koi Apni Hi Awaaz Se Kaamp Uth’ta Hai
Her Koi Apnay Hi Saa’iye Se Ha’rasan Jaana

Jis Ko Daikho Wohi Zanjeer Bap’pa Lagta Hai
Shaher Ka Shaher Hua Daakhil-E-Zindaan Jaana

Ab Tera Zikar Bhi Shayed Hi Ghazal Main Aaye
Aur Se Aur Huye Dard Kay Unwaan Jaana

Hum Keh Roothi Hui Rutt Ko Bhi Manaa Letay Thay
Hum Ne Daikha Hi Na Tha Mousam-E-Hijraan Jaana

Hosh Aaya To Sabhi Khawab Thay Reza Reza
Jaisay Urrtay Huye Auraaq-E-Parishan Jaana

 

Yeh Meri Ghazlein , Yeh Meri Nazamein Tamam Teri Hikayatein Hain

Yeh Meri Ghazlein , Yeh Meri Nazamein

Yeh Meri Ghazlein , Yeh Meri Nazamein
Tamam Teri Hikayatein Hain
Yeh Tazkaray Teray Lutf Kay Hain
Yeh Shair Teri Shikayatein Hain
Main Sab Teri Nazar Kar Raha Hoon
Yeh Un Zamano Ki Sa’atein Hain

Jo Zindagi Kay Naye Safar Main
Tujhay Kisi Waqat Yaad Ayein
To Aik Ik Harf Jee Uthay Ga
Pehan Kay Infaas Ki Qabaein
Udaas Tanhaiyon Kay Lamhon
Main Naach Uthain Gi Yeh Apsara’ein

Mujhay Teray Dard Kay Ilawa Bhi
Aur Dukh Thay Yeh Maanta Hoon
Hazar Gham Thay Jo Zindagi Ki
Talash Main Thay Yeh Jaanta Hoon
Mujhay Khabar Thi Keh Teray Aanchal Main
Dard Ki Rait Chhaanta Hoon

Magar Her Ik Baar Tujh Ko Chu Kar
Yeh Rait Rang-E-Hina Bani Hai
Yeh Zakham Gulzaar Ban Gaye Hain
Yeh Aah-E-Sozan Ghat’ta Bani Hai
Yeh Dard Moj-E-Saba Hua Hai
Yeh Aag Dil Ki Sada Bani Hai

Aur Ab Yeh Sari Mata-E-Hasti
Yeh Phool Yeh Zakham Sab Teray Hain
Yeh Dukh Kay Nohay Yeh Sukh Kay Naghmay
Jo Kal Meray Thay Woh Ab Teray Hain
Jo Teri Qurbar Teri Judai
Main Kat Gaye Roz-O-Shab Teray Hain

Woh Tera Shair Tera Mughni
Woh Jis Ki Baatein Ajeeb Si Thein
Woh Jis Kay Andaaz Khusar’wana Thay
Aur Ada’ein Ghreeb Si Thein
Woh Jis Ki Jeenay Ki Khawaishein Bhi
Khud Us Kay Apnay Naseeb Si Thein

Na Pooch Us Ka Keh Woh Dewana
Bhout Dino Ka Ujjar Chuka Hai
Woh Koh’kan To Nahin Tha Lakin
Karri Chitano Se Larr Chuka Hai
Woh Thak Chuka Tha Aur Us Ka Taisha
Usi Kay Seenay Main Garr Chuka Hai

Posted By Imran’s Poetry At Saturday, June 11, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
May 14, 2016
Kisi Be’wafa Ki Khatir Yeh Junoon Faraz Kab Tak

Kisi Be’wafa Ki Khatir Yeh Junoon Faraz Kab Tak

Jo Tumhain Bhula Chuka Hai Ussay Tum Bhi Bhool Jaayo
Posted By Imran’s Poetry At Saturday, May 14, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
May 13, 2016
Ek Pal Main Jo Bar’baad Kar Detay Hain Dil Ki Basti Ko Faraz

Ek Pal Main Jo Bar’baad Kar Detay Hain Dil Ki Basti Ko Faraz

Woh Log Dekhnay Main Aksar Masoom Hotay Hain

 

Shayed Koi Khawaish Roti Rehti Hai

Shayed Koi Khawaish Roti Rehti Hai

Meray Andar Baarish Hoti Rehti Hai
Posted By Imran’s Poetry At Tuesday, April 26, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Apr 20, 2016
Ae Khuda Aaj Ussay Sab Ka Muqadar Kar De

Ae Khuda Aaj Ussay Sab Ka Muqadar Kar De
Woh Mohabbat Keh Jo Insaan Ko Pay’ambar Kar De

Sanhay Woh Thay Keh Pathraa Gayi Aankhein Meri
Zakham Yeh Hain To Meray Dil Ko Bhi Pathar Kar De

Sairf Aansu Hi Agar Dast-E-Karam Deta Hai
Meri Ujri Hui Aankhon Ko Samandar Kar De

Mujh Ko Saqi Se Gila Ho Na Tanak Bakhshi Ka
Zehar Bhi De To Meray Jaam Ko Bhar Bhar Kar De

Shouq Andeshon Se Pagal Hua Jata Hai Faraz
Kaash Yeh Khana Kharabi Mujhay Be’dar Kar De

 

 

Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jaata

Qurbat Bhi Nahin Dil Se Utar Bhi Nahin Jaata
Woh Shakhs Koi Faisala Kar Bhi Nahin Jaata

Aankhein Hain Keh Khaali Nahin Rehti Hain Lahu Se
Aur Zakham-E-Judai Hai Keh Bhar Bhi Nahin Jaata

Hum Doh’ri Aziyat Kay Giraftaar Musafir
Paon Bhi Hain Shal , Shouq-E-Safar Bhi Nahin Jaata

Dil Ko Teri Chahat Pe Bharosa Bhi Bhout Hai
Aur Tujh Se Bichar Janay Ka Dar Bhi Nahin Jaata

Pagal Huye Jaatay Ho “Faraz” Us Se Milay Kya
Itni Si Khushi Se Koi Mar Bhi Nahin Jaata

 

Jism Balor Sa Nazuk Hai Jawani Bhar’pur

 

Jism Balor Sa Nazuk Hai Jawani Bhar’pur

Ab Kay Angrai Na Tooti To Badan Tootay Ga

 

 

Yeh Main Yeh Ku-E-Daar Yeh Tanhai Dosto

Yeh Main Yeh Ku-E-Daar Yeh Tanhai Dosto
Kya Tum Bhi Ban Gaye Ho Tama’shai Dosto

Paigham-E-Marg Hai Keh Paigham-E-Habib Hai
Sar Sar Chali Keh Baad-E-Muraad Aayi Dosto

Yeh Kya Keh Aik Teer-E-Malamat Na Seh Sakay
Honi Hai Ku-Ba’ku Abhi Ruswai Dosto

Aaghaz Sham-E-Hijar Hai Baithay Raho Abhi
Tehro Zara Keh Mout Hai Tanhai Dosto

Zanjeer Kat Gayi Keh Koi Dost Kat Gaya
Kuch To Kaho Yeh Kaisi Sada Aayi Dosto

Ik Baar Us Ko Meri Nigahon Se Dekh Lo
Phir Khud Kaho Keh Kon Hai Sodaai Dosto

Woh Husan-E-Dil’faroz Keh Jaan-E-Faraz Hai
Khalq-E-Khuda Hai Us Ki Tamanai Dosto

 

 

 

Janay Kis Gham Se Mann Sulagta Hai

Janay Kis Gham Se Mann Sulagta Hai
Baat Kartay Dhan Sulagta Hai

Gham Lagata Hai Aag Khilwat Main
Dil Sar-E-Anjuman Sulagta Hai

Ehmareen Jism Aanch Deta Hua
Jis Tarah Peh’rahan Sulagta Hai

Yeh Talb Hai Keh Dard-E-Mehroomi
Abar Chahye To Ban Sulagta Hai

Dekhna Lu Chali Keh Ba’murad
Dosto Phir Chaman Sulagta Hai

Jaag Uthi Khwaish-E-Gunnah Faraz
Chandani Main Badan Sulagta Hai
Posted By Imran’s Poetry At Wednesday, February 24, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Chandani Raat Ko Sehar Kehna

Chandani Raat Ko Sehar Kehna
Dosto ! Youn Nahin Gar Kehna

Ab Kahan Woh Bahar Phoolon Ki
Gul-E-Nargis Ko Chasham-E-Tar Kehna

Bujh Chukay Hain Mohabbaton Kay Chragh
In Diyaron Ko Ab Khander Kehna

Raah Main Lutt Kay Baithnay Walo
Ab Kisi Ko Na Humsafar Kehna

Khud Ujaagar Karo Hunar Apna
Dosron Ko Na Kam-Nazar Kehna

Hum Ko Awargi Kay Parday Main
Dil Ki Baatein Idher Udhar Kehna

Zikar Tera Gali Gali Karna
Haal Apna Nagar Nagar Kehna

Lab-E-Goya Azaab-E-Jaan Hai Faraz
Jo Bhi Kehna Ho Soch Kar Kehna

 

 

 

Feb 24, 2016
Ab Tak Teray Fitnay Hain Salamat Ussay Kehna

Ab Tak Teray Fitnay Hain Salamat Ussay Kehna
Yaaro ! Sar-E-Mehshar Bhi Qayamat Ussay Kehna

Ae Hum’nafso Mehav-E-Gham-E-Jaan Hain Abhi Hum
Ayen Gay Sir-E-Ku-E-Malamat Ussay Kehna

Myaar-E-Nazar Daar Ki Riffat Bhi Thi Lakin
Bhoola Nahin Tera Qad-O-Qamat Ussay Kehna

Ik Woh Hi Nahin Tark-E-Taaluq Pe Pash-E-Maan
Hai Ehal-E-Wafa Ko Bhi Nadamat Ussay Kehna

Ae Dil-E-Zad’gaan ! Mout Hai Izhaar-E-Tamana
Woh Butt Ho , Khuda Bhi To Ussay Khuda Mat Ussay Kehna

Her Chand Faraz In Dino Matoob Hai Phir Bhi
Halaat Ka Mara Hai Bura Mat Ussay Kehna
Posted By Imran’s Poetry At Wednesday, February 24, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Hum Apnay Aap Main Gum Thay Hamein Khabar Kya Thi

Hum Apnay Aap Main Gum Thay Hamein Khabar Kya Thi
Keh Ma’waraye Gham-E-Jaan Bhi Aik Duniya Thi

Wafa Pe Sakhat Garaan Hai Tera Wisaal-E-Dawaam
Keh Tujh Se Mil Kay Bicharna Meri Tamana Thi

Hua Hai Tujh Se Bicharnay Kay Baad Ab Maloom
Keh Tu Nahin Tha Teray Saath Aik Duniya Thi

Khosha Woh Dil Jo Salamat Rahay Bazam-E-Wafa
Nigah-E-Ehal-E-Jahan Warna Sang-E-Khara Thi

Diyar-E-Ehal-E-Sukhan Par Sakoot Hai , Keh Hai Jo Tha
Faraz Meri Ghazal Bhi Sada Bas’hira Thi
Posted By Imran’s Poetry At Wednesday, February 24, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Dil Ko Ab Youn Teri Her Aik Adaa Lagti Hai

Dil Ko Ab Youn Teri Her Aik Adaa Lagti Hai
Jis Tarah Nashay Ki Halat Main Hawa Lagti Hai

Rat’jagay Khawab-E-Parishaan Se Kahin Behtar Hain
Larz Uth’ta Hoon Agar Aankh Zara Num Lagti Hai

Ae Rag-E-Jaan Kay Makeen Tu Bhi Kabhi Ghour Se Sun
Dil Ki Dharkan Teray Qadmon Ki Sada Lagti Hai

Go Dukhi Dil Ko Bhout Hum Ne Bachaya Phir Bhi
Jis Jaga Zakham Ho Wahan Chot Sada Lagti Hai

Shaakh-E-Umeed Pe Khiltay Hain Talab Kay Ghunchay
Ya Kisi Shokh Kay Haathon Main Hina Lagti Hai

Tera Kehna Keh Hamein Ronq-E-Mehfil Hain Faraz
Go Ta’ali Hai Magar Baat Khuda Lagti Hai
Posted By Imran’s Poetry At Wednesday, February 24, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Raatein Hain Udaas Din Karray Hain

Raatein Hain Udaas Din Karray Hain
Ae Dil Teray Hoslay Baray Hain

Ae Yaad Habeeb Saath Dena
Kuch Marhalay Sakhat Aa Paray Hain

Rukna Ho Agar To So Bahanay
Jana Ho To Raastay Baray Hain

Ab Kaisay Bataein Waja-E-Gariya
Jab Aap Bhi Saath Ro Paray Hain

Ab Janay Kahan Naseeb Le Jaye
Ghar Se To Faraz Chal Paray Hain

 

Hum Hain Zulmat Main Keh Ubhra Nahin Khurasheed Ab Kay

Hum Hain Zulmat Main Keh Ubhra Nahin Khurasheed Ab Kay
Koi Karta Hi Nahin Raat Ki Tar’deed Ab Kay

Kon Sunta Tha Hadees-E-Gham-E-Dil Youn To Magar
Hum Ne Chhairi Hai Teray Naam Se Tamheed Ab Kay

Pee Gaye Rind Keh Na’yaab Hai Sehba Warna
Zehar Thi Mohtasib-E-Shaher Ki Tanqeed Ab Kay

Tishnagi Waja-E-Junoon Hai To Chalo Youn Hi Sahi
Koi Sang Aaye Sar-E-Sagar-E-Jamshaid Ab Kay

Ik Zamanay Se Na Roye Hain Na Jaan Tarpi Hai
Dil Pe Laazim Hai Teray Dard Ki Tajdeed Ab Kay

Qissa-E-Ehal-E-Wafa Janay Kahan Tak Ponchay
Manzil-E-Waar-O-Risn Tehri Hai Tamheed Ab Kay

Lahu Roye Hain To Gul’naar Shafaq Phoolay Gi
Aansoo Boye Hain To Hum Katein Gay Khursheed Ab Kay

Hum Ne Yeh Soch Kay Jaan Di Hai Mohabbat Main Faraz
Buwa’lahoos Kartay Hain Kis Rang Main Taqleed Ab Kay
Posted By Imran’s Poetry At Wednesday, February 24, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Lay Urra Phir Koi Khayal Hamein

Lay Urra Phir Koi Khayal Hamein
Saqiya Saqiya Sambhal Hamein

Ro Rahay Hain Keh Aik Aadat Hai
Warna Itna Nahin Malaal Hamein

Khilwati Hain Teray Jamaal Kay Hum
Aainay Ki Tarah Sambhal Hamein

Marg-E-Ambwa Jashan-E-Shadi Hai
Mil Gaye Dost Hasb-E-Haal Hamein

Ikhtilaaf-E-Jahan Ka Ranj Na Tha
De Gaye Maat Hum-Khayal Hamein

Kya Tawaqo Karein Zamanay Se
Ho Bhi Gar Jurr’at-E-Sawal Hamein

Hum Yahan Bhi Nahin Hain Khush Lakin
Apni Mehfil Se Mat Nikaal Hamein

Hum Teray Dost Hain Faraz Gar
Ab Na Uljhano Main Daal Hamein

 

 

Sakoot-E-Shaam-E-Khizan Hai Qareeb Aa Jaao

Sakoot-E-Shaam-E-Khizan Hai Qareeb Aa Jaao
Bara Udaas Samaan Hai Qareeb Aa Jao

Na Tum Ko Khud Pe Bharosa Na Hum Ko Zeham-E-Wafa
Na Aaitabar-E-Jahan Hai Qareeb Aa Jao

Raah-E-Talab Main Kisi Ko Kisi Ka Dhiyaan Nahin
Hajoom-E-Hum’safran Hai Qareeb Aa Jaao

Jo Dast-E-Ishq Main Bichray Woh Umar Bhar Na Milay
Yahan Dhuwan Hi Dhuwan Hai Qareeb Aa Jao

Yeh Aandhiyan Hain To Shaher-E-Wafa Ki Khair Nahin
Zamana Khaak-Fishaan Hai Qareeb Aa Jaao

Faqiya-E-Shaher Ki Mehfil Nahin Keh Door Raho
Yeh Bazam-E-Peer-Maghaan Hai Qareeb Aa Jaao

Faraz Door Kay Suraj Ghroob Samjhay Gaye
Yeh Dour Kam-Nazran Hai Qareen Aa Jaao

Posted By Imran’s Poetry At Wednesday, February 24, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Feb 15, 2016
Khud Ko Chuntay Huay Sara Din Guzar Jata Hai Faraz

Khud Ko Chuntay Huay Sara Din Guzar Jata Hai Faraz

Phir Hawa Shaam Ki Chalti Hai To Bikhar Jata Hoon Main

 

 

 

Woh Har Roz Dobatay Hoye Suraj Ko Dekhta Hai Faraz

Woh Har Roz Dobatay Hoye Suraj Ko Dekhta Hai Faraz

Kash Main Bhi Kisi Shaam Ka Manzar Hota

 

Is Se Pehle Kay Be’wafa Ho Jayein

 

Is Se Pehle Kay Be’wafa Ho Jayein
Kyon Na Aye Dost Hum Juda Ho Jayein

Tu Bhi Heeray Se Ban Gaya Pathar
Hum Bhi Kal Kiya Se Kiya Ho Jayein

Hum Bhi Majbooriyon Ka Uzr Karein
Aur Kahein Aur Mubtala Ho Jayein

Ishq Bhi Khel Hai Naseebon Ka
Khaak Ho Jayein Kimiyan Ho Jayein

Ab Ke Gar Tu Mile To Hum Tujh Se
Aise Liptein Teri Qabaa Ho Jayein

Bandagi Hum Ne Chor Di Hai ‘Faraz’
Kya Karein Log Jab Khuda Ho Jayein

 

Kabhi Toota Nahin Meray Dil Se Teri Yaad Ka Talism Faraz

 

Kabhi Toota Nahin Meray Dil Se Teri Yaad Ka Talism Faraz

Guftagoo Jis Se Bhe Ho Khyal Tera He Rehta Hai

 

Ab Kay Rutt Badli To Khushboo Ka Safar Dekhay Ga Kon

Ab Kay Rutt Badli To Khushboo Ka Safar Dekhay Ga Kon
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gay Par Dekhye Ga Kon

Dekhna Sab Raqs-E-Bismal Main Magan Ho Jayein Gay
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udhar Dekhye Ga Kon

Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qatil Se Huye
Teray Haathon Kay Nishaan Ae Chara Gar Dekhye Ga Kon

Woh Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Log To Phal Phool Dekhein Gay Shajar Dekhye Ga Kon

Hum Chragh-E-Subha Hi Tehray To Phir Kya Sochna
Raat Thi Kis Ka Muqaddar Aur Sehar Dekhye Ga Kon

Aa Faseel-E-Shaher Se Dekhein Ghaneem-E-Shaher Ko
Shaher Jalta Ho To Tujh Ko Baam Par Dekhye Ga Kon

Her Koi Apni Hawa Main Mast Phirta Hai “Faraz”
Shaher-E-Na’parsaan Main Teri Chashme-E-Tar Dekhye Ga Kon

 

Us Ko Juda Huye Bhi Zamana Bhout Hua

Us Ko Juda Huye Bhi Zamana Bhout Hua
Ab Kya Kahein Yeh Qissa Purana Bhout Hua

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-E-Firaq
Ae Marg-E-Na’gahaan ! Tera Aana Bhout Hua

Hum Khald Se Nikal To Gaye Hain Par Ae Khuda !
Itnay Se Waqiaye Ka Fasana Bhout Hua

Ab Hum Hain Aur Saray Zamanay Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabt Barhana Bhout Hua

Ab Kiyon Na Zindagi Pe Mohabbat Ko Waar Dain
Is Aashique Main Jaan Se Jana Bhout Hua

Ab Tak To Dil Ka Dil Se Ta’aruf Na Ho Saka
Mana Keh Us Se Milna Milaana Bhout Hua

Lo Phir Teray Labon Pe Usi Bewafa Ka Zikar
Ahmed Faraz ! Tujh Se Kaha Na Bhout Hua

 

 

Meri Halat Hai Keh Ehsaas-E-Tarb Hai Koi

Meri Halat Hai Keh Ehsaas-E-Tarb Hai Koi
Teray Be’saakhta Hans’nay Ka Sabab Hai Koi

Fitna Gardish-E-Doraan Zara Aahista Guzar
Saya-E-Zulf Main Aaraam Talab Hai Koi

Apnay Ronay Ka Sabab To Nahin Maloom Magar
Log Kehtay Hain Keh Taqreeb-E-Tarb Hai Koi

Aaj Tak Un Se Raah-O-Rasam Chali Jaati Hai
Jin Se Pehlay Kuch Tawaqo Thi Na Ab Hai Koi

Ya Tujhay Dekh Kay Bhar Aaye Khushi Se Aanoo
Ya Meri Aankhon Main Guzri Hui Shab Hai Koi

Janay Kin Logon Ki Basti Main Chalay Aaye Faraz
Abdeeda Hai Koi Khanda-E-Bulb Hai Koi

 

Teray Hotay Huye Mehfil Main Jalatay Hain Chragh

Teray Hotay Huye Mehfil Main Jalatay Hain Chragh
Log Kya Sada Hain Suraj Ko Dikhatay Hain Chragh

Apni Mehroomi Kay Ehsaas Se Sharminda Hain
Khud Nahin Rakhtay To Auron Kay Bujhatay Hain Chragh

Bastiyan Door Hui Jaati Hain Rafta Rafta
Dam-Ba-Dam Aankhon Se Chuptay Chalay Jatay Hain Chragh

Kya Khabar Un Ko Keh Daman Bhi Bharrak Uth’tay Hain
Jo Zamanay Ki Hawaon Se Bachatay Hain Chragh

Go Siyah Bakhat Hain Hum Log Par Roshan Hai Zameer
Khud Andheray Main Hain Duniya Ko Dikhatay Hain Chragh

Bastiyan Chand Sitaron Ki Basanay Walo
Kurah-E-Arz Pe Bujhtay Chalay Jatay Hain Chragh

Aisay Be’dard Huye Hum Bhi Keh Ab Gulshan Par
Barq Girti Hai To Zindaan Main Jalatay Hain Chragh

Aisi Tareekiyan Aankhon Main Basi Hain Keh Faraz
Raat To Raat Hai Hum Din Ko Jalatay Hain Chragh

 

Ghair Se Tera Aash’na Hona

Ghair Se Tera Aash’na Hona
Goya Acha Hua Bura Hona

Khud Nagoon Saar , Humsafar Baizaar
Ik Sitam Hai Shakista Paa Hona

Kitni Jaan’kah Hai Zameer Ki Mout
Kitna Aasaan Hai Be’wafa Hona

Nasha-E-Lazzat-E-Gunnah Kay Baad
Sakhat Mushkil Hai Parasaa Hona

Aadmi Ko Khuda Na Dikhlaye
Aadmi Ka Kabhi Khuda Hona

Dil Ki Baaton Pe Kon Jaye Faraz
Aisay Dushman Ka Dost Kya Hona
Posted By Imran’s Poetry At Wednesday, February 10, 2016 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Thak Jayein Gay Raah’geer Chaltay Chaltay

Thak Jayein Gay Raah’geer Chaltay Chaltay
Dhal Jayein Gay Mahol Main Dhaltay Dhaltay

Tareeki-E-Shab Main Na Kami Aaye Gi
Bujh Jayein Gay Yeh Chragh Jaltay Jaltay

 

 

Kuch Na Kisi Se Bolain Gay

Kuch Na Kisi Se Bolain Gay
Tanhai Main Ro Lain Gay

Hum Be’raah’rawon Ka Kya
Saath Kisi Kay Ho Lain Gay

Khud To Huye Ruswa Lakin
Teray Bhaid Na Kholain Gay

Jeewan Zehar Bhara Sagar
Kab Tak Amrat Gholain Gay

Hijar Ki Shab Sonay Walay
Hashar Ki Aankhein Kholain Gay

Phir Koi Aandhi Uthay Gi
Punchi Jab Par Tolain Gay

Neend To Kya Aaye Gi Faraz
Mout Aayi To So Lain Gay

 

Udaas Aur Ziyada Kahin Na Ho Jayein

Udaas Aur Ziyada Kahin Na Ho Jayein
Faraz` Anjuman-E-Dost Se Chalo Jayein

Na Ajnabi Na Musafir Na Shaher Walay Hain
Koi Pukaro Keh Hum Bhi Kisi Kay Ho Jayein

Jo Sadmay Hum Pe Guzarnay Hain Woh To Guzrain Gay
Magar Yeh Aap Ko Gham Kiyon Hai , Aap To Jayein

Ulajtay Hain Teray Sodaiyon Se Ehal-E-Khird
Yeh Sada Loh Bhi Pagal Kahin Na Ho Jayein

Zamana Apni Parshaniyon Main Khoya Hai
Chalo Keh Manzil-E-Jaana’n Ko Dosto Jayein

Shab-E-Firaaq To Kat’ti Nazar Nahin Aati
Khayal-E-Yaar Main Aao Faraz So Jayein

 

Her Zakham Ko Seenay Pe Saja Letay Hain

Her Zakham Ko Seenay Pe Saja Letay Hain
Her Dard Ko Hum Dil Main Basa Letay Hain

Tum Phoolon Pe Sotay Ho To Dukhta Hai Badan
Hum Kaanton Ko Aankhon Se Laga Letay Hain

 

 

Jab Bhi Dil Khol Kay Roye Hon Gay

Jab Bhi Dil Khol Kay Roye Hon Gay
Log Aaraam Se Soye Hon Gay

Baaz-Ouqaat Ba’majboori-E-Dil
Hum To Kya Aap Bhi Roye Hon Gay

Subha Tak Dast-E-Saba Ne Kya Kiya
Phool Kaanton Main Paroye Hon Gay

Woh Safeenay Jinhein Toofan Na Milay
Na’khuda’on Ne Daboye Hon Gay

Raat Bhar Hanstay Huye Taaron Ne
In Kay Aariz Bhi Bhigoye Hon Gay

Kya Ajab Hai Woh Milay Bhi Hon Faraz
Hum Kisi Dhiyaan Main Khoye Hon Gay

 

Tu Keh Ik Wadi-E-Gul’rang Ki Shahzadi Hai

Tu Keh Ik Wadi-E-Gul’rang Ki Shahzadi Hai
Dekh Be’kaar Se Insaan Kay Liye Waqf Na Ho

Teray Khawabon Kay Jazeeron Main Bari Ronaq Hai
Aik Anjaan Se Toofan Kay Liye Waqf Na Ho

 

Main To Awara Sa Shaair Hoon Meri Kiya Wuqat

Main To Awara Sa Shaair Hoon Meri Kiya Wuqat
Aik Do Geet Parishaan Se Gaa Leta Hoon

Gahay Gahay Kisi Na’kaam Sharabi Ki Tarah
Aik Do Zehar Kay Sagar Bhi Charhaa Leta Hoon

 

Jo Saja’ai Gayi Firdos Numaish Kay Liye

Jo Saja’ai Gayi Firdos Numaish Kay Liye
Woh Kisi Aur Ki Tameer Hai Meri To Nahin

Yeh Maka’naat , Yeh Jandir , Yeh Dukanein , Yeh Zameen
Meray Ajdaad Ki Jageer Hai Meri To Nahin

 

Tu Ne Dekha Hi Nahin Mujh Ko Tujhay Kya Maloom

Tu Ne Dekha Hi Nahin Mujh Ko Tujhay Kya Maloom
Waqat Ne Aaj Kissay Somp Diya Hai Tujh Ko

Kis Kay Daaman Se Baandha Gaya Palu Tera
Kis Se Taqdeer Ne Wabasta Kiya Hai Tujh Ko

 

Dil Jo Kehta Hai Chalo Kar Dekho

Dil Jo Kehta Hai Chalo Kar Dekho
Kisi Be’dard Kay Ho Kar Dekho

Lazat-E-Gham Bhi Ajab Nasha Hai
Dost Ki Yaad Main Ro Kar Dekho

Zindagi Silsala-E-Khawab-E-Tarb
Saya-E-Zulf Main So Kar Dekho

Kitni Taskeen Hai Ehsaas Ki Mout
Kabhi Dewana To Ho Kar Dekho

Kitna Dil’kash Hai Jahan-E-Guzran
Dil Kay Aainay Ko Dho Kar Dekho

Maah-O-Anjam Bhi Thay Aabaad Kabhi
In Kharabon Se Bhi Ho Kar Dekho

Resha-E-Gul Main Bhi Hai Moj-E-Khoon
Khaar Ki Nok Chubho Kar Dekho

Oas Ki Boond Bhi Hai Sheesh Nagar
Aankh Ashkon Se Bigho Kar Dekho

Zarhay Zarhay Main Hai Aabaad Jahan
Khud Ko Her Shai Main Samoo Kar Dekho

Shab Kay Sanaaton Main Woh Baat Kahan
Din Kay Hangamon Main Kho Kar Dekho

Tum Bagulon Kay Khuda’wand Sahi
Aatish-E-Gul To Faroo Kar Dekho

Jo Diye Le Kar Nikaltay Hain Faraz
Woh Bhi Khaa Jatay Hain Thokar Dekho

 

 

Is Adaa Se Kabhi Aa Kar Guzro

Is Adaa Se Kabhi Aa Kar Guzro
Dil Kay Sehraa Ko Basa Kar Guzro

Sang-E-Khaara Hai Zamanay Ki Nazar
Dil Kay Aainay Bacha Kar Guzro

Roshni Rehbar-E-Rehzan Bhi To Hai
Raahiyo ! Sham’ein Bujha Kar Guzro

Kon Janay Keh Yeh Pathar Hain Keh Log
Dasht-E-Ghurbar Main Sadaa Kar Guzro

Koi Kaanta Ho Keh Shabnam Ho Keh Phool
Sab Ko Aankhon Se Laga Kar Guzro

Safar-E-Shouq Ho Ya Manzil-E-Gham
Koi Hungama Utha Kar Guzro

Chartay Suraj Kay Pujari Na Bano
Apnay Saaiye Main Samaa Kar Guzro

Waqat Ne Saath Diya Hai Kis Ka
Jee Main Jo Aaye Sadaa Kar Guzro

Pehlay Dewano Ki Rasmein Thein Yahi
Khoon Kaanton Ko Pilaa Kar Guzro

Aik Pal Tehro Bagulon Ki Tarah
Aur Phir Khaak Uraa Kar Guzro

Ya To Mojon Kay Shana’sa Na Bano
Ya Kinaron Ko Baha Kar Guzro

Dil Ajab Shaher Hai Hungamon Ka
Kabhi Is Simt Bhi Aa Kar Guzro

Tu San-E-Waqat Ki Raftaar Kay Saath
Barq Kay Pankh Laga Kar Guzro

Fikar-O-Adraak Kay Dar’on Main Faraz
Mishal-E-Tibah Jala Kar Guzro

 

 

Rota Hoon To Ehbaab Bura Maantay Hain

Rota Hoon To Ehbaab Bura Maantay Hain
Hansta Hoon To Mujrim Mujhay Gar’daantay Hain

Her Haal Main Aitraaz Karnay Walay
Nadaan Meray Halaat Kahan Jaantay Hain

 

Dil Garmi-E-Ehsaas Se Phukh Jayein Gay

Dil Garmi-E-Ehsaas Se Phukh Jayein Gay
Qadmon Main Teray Zamanay Jhuk Jayein Gay

Ae Hussan Faqat Jumbish-E-Aabru Ki Hai Dair
Duniya Kay Karobaar Ruk Jayein Gay

 

Kis Qadar Aag Barasti Hai Yahan

Kis Qadar Aag Barasti Hai Yahan
Khalq Shabnam Ko Tarasti Hai Yahan

Sirf Andesha-E-Afi Hi Nahin
Phool Ki Shaakh Bhi Dusti Hai Yahan

Rukh Kidher Mor Gaya Hai Dariya
Ab Na Woh Log Na Basti Hai Yahan

Zinda Dar’gor Huye Ehl-E-Nazar
Kis Qadar Murda Parasti Hai Yahan

Zeest Woh Jins-E-Giraan Hai Keh Faraz
Mout Kay Mool Bhi Sasti Hai Yahan

 

Qaatil Kay Qissay Maqtal Ki Baatein Hain

Qaatil Kay Qissay Maqtal Ki Baatein Hain
Aaj Ki Mehfil Main Bhi Kal Ki Baatein Hain

Dewano Par Ik Ik Lamha Bhaari Hai
Hosh Ki Baatein Kitni Halki Baatein Hain

Tang Qaba’aye Kaj’kalay , Zareen Kamray
Is Kaafir Main Saari Ghazal Ki Baatein Hain

Apni Tehi Dasti Par Main Sharminda Hoon
Teray Labon Par Taaj Mehal Ki Baatein Hain

Aqal Kay Andhon Ki Mehfil Main Chup Hai Faraz
Kitni Siyaani Us Pagal Ki Baatein Hain

 

 

Her Gham Ko Dil’awaiz Kiye Deta Hoon

Her Gham Ko Dil’awaiz Kiye Deta Hoon
Ehsaas Ki Lu Tez Kiye Deta Hoon

Tu Zulf Ko Kuch Aur Pershaan Kar De
Main Jaam Ko Labraiz Kiye Deta Hoon

 

Qaaflay Guzray Hain Zanjeer Ba’pa

Qaaflay Guzray Hain Zanjeer Ba’pa
Daaim Aabaad Rahay Shaher Tera

Dil Hai Ya Shaher-E-Khamoshan Koi
Na Koi Chaap Na Koi Dharkan Na Sada

Aakhir-E-Ishq Ki Ruswai Hai
Ab Hua Charcha To Ghar Ghar Ho Ga

Tujh Ko Dekha Hai To Ab Sochtay Hain
Tujh Se Milnay Ka Sabab Kya Ho Ga

Weham Tha Qaafla-E-Hum’safran
Murr Kay Dekha To Koi Saath Na Tha

Shab-E-Tera Hi Ghaneemat Thi Faraz
Chaand Nikla Hai To Dil Doob Chala

 

Inkaar Na Iqraar Bari Dair Se Chup Hain

Inkaar Na Iqraar Bari Dair Se Chup Hain
Kya Baat Hai Sarkaar Bari Dair Se Chup Hain

Asaan Na Kar Di Ho Kahin Mout Ne Mushkil
Rotay Huye Bemaar Bari Dair Se Chup Hain

Ab Koi Ishaara Hai Na Paighaam Na Aahat
Baam-O-Dar-O-Dewaar Bari Dair Se Chup Hain

Saqi Yeh Khamoshi Bhi To Kuch Ghour Talab Hai
Saqi Teray Meh-Khawaar Bari Dair Se Chup Hain

Yeh Barq Nashaiman Pe Giri Thi Keh Qafas Par
Murghaan-E-Griftaar Bari Dain Se Chup Hain

Is Shaher Main Her Jins Bani Yousaf-E-Kinan
Bazar Kay Bazar Bari Dair Se Chup Hain

Phir Naara-R-Mastana Faraz Ayo Lagaein
Ehal-E-Risan-O-Daar Bari Dair Se Chup Hain

 

 

Woh Qaol Woh Sab Qaraar Tootay

Woh Qaol Woh Sab Qaraar Tootay
Dil Jin Se Maal-E-Kaar Tootay

Ho Khatam Khasha,Kash Zamana
Ya Daam-E-Khayal-E-Yaar Tootay

Phir Tujh Pe Yaqeen Kar Rahay Hain
Woh Dil Jo Hazaar Baar Tootay

Khayein Gay Faraib Hum Khushi Se
Par, Youn Keh Na Aitabaar Tootay

Woh Pichla Pehar Shab-E-Alm Ka
Aansoo Bhi Sitaara Waar Tootay

Kya Chortay Yaad Wusaton Ki
Woh Teer Jo Dil Kay Paar Tootay

Kaamp Uthay Faraz Dono Aalam
Jab Saaz-E-Wafa Kay Taar Tootay

 

Sakoot-E-Shab Hi Sitam Ho To , Hum Uthaein Bhi

Sakoot-E-Shab Hi Sitam Ho To , Hum Uthaein Bhi
Woh Yaad Aaye To Chalnay Lagein Hawaein Bhi

Yeh Shaher Meray Liye Ajnabi Na Tha Lakin
Tumharay Saath Badalti Gayein Fizaein Bhi

Jo Bazam-E-Dost Se Uth Kar Chalay Bazam Tamaam
Koi Pukaray To Shayed Woh Loat Ayein Bhi

Dilon Ka Qurb Kahin Faaslon Se Mit’ta Hai
Yeh Khud Faraib Tera Shaher Chor Jayein Bhi

Hum Aisay Log Jo Ashoob-E-Dehar Main Bhi Hain Khush
Ajab Nahin Hai Agar Tujh Ko Bhool Jayein Bhi

Sehar Gazeeda Sitaaron Ka Noor Bujhnay Laga
Faraz Utho Ab Us Ki Gali Se Jayein Bhi

 

Chalo Aisa Karain Mil Ky Sitaray Baant Letay Hain

Chalo Aisa Karain Mil Ky Sitaray Baant Letay Hain
Zaroorat Kay Mutabiq Sab Saharay Baant Letay Hain

Mohabbat Karnay Walon Ki Tijaarat Bhi Anokhi Hai
Munaafa Choor Detay Hain , Khasara Baant Letay Hain

Agar Milna Nahin Mumkin To Lehron Pe Qadam Rakh Kar
Abhi Dariya-E-Ulfat Kay Kinaaray Baant Letay Hain

Meri Jholi Main Jitnay Bhi Wafa Kay Phool Hain Un Ko
Ikhatay Baith Kar Ik Roz Saray Baant Letay Hain

Mohabbat Kay Ilawa Paas Apnay Kuch Nahin Faraz
Isi Doulat Ko Hum Qismat Kay Maray Baant Letay Hain

 

Dil Garifta Hi Sahi Bazam Saja Li Jaye

Dil Garifta Hi Sahi Bazam Saja Li Jaye
Yaad-E-Jana Se Koi Shaam Na Khaali Jaye

Rafta Rafta Yehi Zindaan Main Badal Jatay Hain
Ab Kisi Shaher Ki Buniyaad Na Daali Jaye

Muzhat-E-Rukh Hai Kisi Ka Keh Biyaz-E-Hafiz
Aisi Chehray Se Kabhi Faal Nikaali Jaye

Woh Murawat Se Mila Hai To Jhuka Doon Gardan
Meray Dushman Ka Koi Waar Na Khaali Jaye

Be’nawa Shaher Ka Saya Hai Meray Dil Pe Faraz
Kis Tarah Se Meri Ashafta Khayali Jaye

 

Bhly Dino Ki Baat Hai , Bhli Si Aik Shakal Thi

Bhly Dino Ki Baat Hai , Bhli Si Aik Shakal Thi
Na Yeh Ke Hussan Taam Ho , Na Dekhny Main Aam Thi

Na Yeh Keh Woh Chaly To Keh’kashaan Si Raah’guzar Lagay
Magar Woh Sath Ho To Phir , Bhla Bhla Safar Lagay

Koi Rut Bhi Ho Us Ki Chub Fiza Ka Raang-O-Roop Thi
Woh Garmi’on Ki Cha’on Thi , Woh Sardi’on Ki Dhoop Thi

Na Mud’daton Juda Rahay Na Sath Subh-O-Shaam Ho
Na Rishta Wafa Pe Zid Na Yeh Keh Azn-E-Aam Ho

Na Aisi Kush Libasiyan Keh Sadgi Gila Karay
Na Aisi Be-Takal’lafi Keh Aaina Haya Karay

Na Ehtalaat Main Woh Rum Keh Bad’maza Ho Khwaish’ein
Na Is Qadar Supurdagi Keh Zich Kar’ein Nawazishein

Na Aashqi Junoon Ki ‘ Keh Zindagi Azaab Ho
Na Is Qadar Khathor Pan , Keh Dosti Khraab Ho

Kabhi To Baat Bhi Khafi Kabhi Sakoot Bhi Sakhan
Kabhi To Kasht Zafaraan , Kabhi Udasiyon Ka Ban

Suna Hai Ik Umar Hai Mamalaat-E-Dil Ki Bhi
Wasal-E-Jaan Fiza To Kiya , Firaaq-E-Jaan Gasal Ki Bhi

So Ik Roz Kiya Hua , Wafa Ki Behas Chir Gayi
Main Ishq Ko Amar Kahon Woh Meri Zid Se Chir Gaye

Main Ishq Ka Aseer Tha , Woh Ishq Ko Qafas Kahay
Keh Umar Bhar Ke Sath Ko Bad’tras Hawas Kahay

Shajar Hijar Nahin Keh Hum Hamesha Paba Gul Rah’ein
Na Dhor Hain Keh Rasiaan , Galay Main Mustaqil Rah’ein

Mohabbaton Ki Wusat’ein Hamaray Dast-O-Paa Main Hain
Keh Aik Dar Se Nisba’tein , Sagaan-E-Ba’wafa Main Hain

Main Koi Painting Nahin Keh Aik Frame Main Rahoon
Wohi Jo Mann Ka Meet Ho , Usi Ke Prem Main Rahoon

Tumhari Jo Bhi Soch Ho , Main Us Mizaaj Ka Nahin
Mujhay Wafa Se Bair Hai , Yeh Baat Aj Ki Nahin

Na Mujh Ko Us Pe Maan Tha , Na Us Ko Mujh Pe Zaham Hi
Jan Ehad Bhi Koi Na Ho To Kiya Gham-E-Shakistagi

So Apna Apna Rasta Hansi Kushi Badal Liya
Woh Apni Raah Pe Chal Pari , Main Apni Raah Pe Chal Diya

Aankhon Ky Sitaray To Kai Shaam Se Utray

Aankhon Kay Sitaaray To Kai Shaam Se Utray
Par Dil Ki Udaasi Na Dar-O-Baam Se Utray

Kuch Rang To Ubhray Teri Gul Pehr’ani Ka
Kuch Rang To Aaina-E-Ayaam Se Utray

Hotay Rahay Dil Lamha-Ba-Lamha Teh Baala
Woh Zeena-Ba-Zenna Baray Araam Se Utray

Jab Tak Teray Qadmon Main Farookash Hain Sabu’kash
Saaqi Khat Baada Na Lab-E-Jaam Se Utray

Be’tamaah Nawazish Bhi Nahin Sang’dilon Ki
Shayed Woh Meray Ghar Bhi Kisi Kaam Se Utray

Auron Kay Qaseeday Faqat Ad’rad Thay Jaana
Jo Tujh Pe Kahay Shair Woh Ilhaam Se Utray

Ae Jaan-E-Faraz Ae Meray Her Dukh Kay Maseeha
Her Zehar Zamanay Ka Teray Naam Se Utray

 

 

Yeh Keh Kar Meray Dushman Mujhay Hanta Chor Gaye Faraz

Yeh Keh Kar Meray Dushman Mujhay Hanta Chor Gaye Faraz

Teray Dost Hi Kaafi Hain Tujhay Rulaanay Kay Liye

 

Us Ki Aankhon Ko Kabhi Ghour Se Dekha Hai Faraz

Us Ki Aankhon Ko Kabhi Ghour Se Dekha Hai “Faraz”

Jaagnay Walon Ki Tarah , Sonay Walon Jaisi

 

Wadi-E-Ishq Se Koi Nahin Aaya Jaa Kar

 

Wadi-E-Ishq Se Koi Nahin Aaya Jaa Kar
Ayo Awaz Lagaein Sar-E-Sehraa Jaa Kar

Bazam-E-Janaa Main To Sab Ehal-E-Talab Jaatay Hain
Kabhi Maqtal Main Bhi Dikhlaein Tamasha Jaa Kar

Kin Zameeno Pe Meri Khaak Kahoo Roye Gi
Kis Samandar Main Girain Gay Meray Dariya Jaa Kar

Aik Marhoom Si Umeed Hai Tujh Se Warna
Aaj Tak Aaya Nahin Koi Maseeha Jaa Kar

Dekh Yeh Hosla Mera Meray Buz’dil Dushman
Tujh Ko Lashkar Main Pukaara Tan-E-Tanha Jaa Kar

Us Sheh-E-Husan Kay Dar Pe Hai Faqeeron Ka Hajoom
Yaar Hum Bhi Na Karain Arz-E-Tamana Jaa Kar

Hum Tumhain Manah To Kartay Nahin Janay Se “Faraz”
Jaa Usi Dar Pe Magar Haath Na Phailaa Jaa Kar

 

Ab Kay Rutt Badli To Khushboo Ka Safar Dekhay Ga Kon

 

Ab Kay Rutt Badli To Khushboo Ka Safar Dekhay Ga Kon
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gay Par Dekhye Ga Kon

Dekhna Sab Raqs-E-Bismal Main Magan Ho Jayein Gay
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udhar Dekhye Ga Kon

Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qatil Se Huye
Teray Haathon Kay Nishaan Ae Chara Gar Dekhye Ga Kon

Woh Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Log To Phal Phool Dekhein Gay Shajar Dekhye Ga Kon

Hum Chragh-E-Subha Hi Tehray To Phir Kya Sochna
Raat Thi Kis Ka Muqaddar Aur Sehar Dekhye Ga Kon

Aa Faseel-E-Shaher Se Dekhein Ghaneem-E-Shaher Ko
Shaher Jalta Ho To Tujh Ko Baam Par Dekhye Ga Kon

Her Koi Apni Hawa Main Mast Phirta Hai “Faraz”
Shaher-E-Na’parsaan Main Teri Chashme-E-Tar Dekhye Ga Kon

 

Hum Bhi Khud Dushman-E-Jaan Thay Pehlay

Hum Bhi Khud Dushman-E-Jaan Thay Pehlay
Tum Magar Dost Kahan Thay Pehlay

Ab Wahan Khizaan Uraati Hai Khizaan
Phool Hi Phool Thay Jahan Pehlay

Ab Jo Dewaar Banay Baithay Hain
Surat-E-Moj-E-Rawan Thay Pehlay

Kuch Sharaabi Keh Hain Ab Raah Nasheen
Ronq-E-Bazam-E-Mughaan Thay Pehlay

Hum Keh Hain Aaj Ghubaar Pas-E-Ro
Manzil-E-Hum’safraan Thay Pehlay

Ab Keh Wazeh-E-Mohabbat Ka Khayal
Aur Hi Log Yahan Thay Pehlay

Ab To Khud Par Bhi Nahin Zohm-E-Wafa
Tujh Se Hum Shikwa Kinaan Thay Pehlay

Ban Gaya Qaafla Chaltay Chaltay
Warna Tanha Hi Rawaan Thay Pehlay

Doulat-E-Gham To Myussar Thi Faraz
Itnay Muflis Bhi Kahan Thay Pehlay

 

 

Sagar Main Sitaray Ghull Rahay Hon Jaisay

Sagar Main Sitaray Ghull Rahay Hon Jaisay
Kirno Kay Dareechay Khull Rahay Hon Jaisay

Masti Main Woh Uth’ti Hui Nazrein Toba
Palkon Pe Zamanay Tull Rahay Hon Jaisay

 

Tum Zamana Aashna , Tum Se Zamana Aashna

Tum Zamana Aashna , Tum Se Zamana Aashna
Aur Hum Apnay Liye Bhi Ajnabi Na-Aashna

Raastay Bhar Ki Rafaqat Bhi Bhout Hai Jaan-E-Man
Warna Manzil Par Ponch Kar Kon Kis Ka Aashna

Ab Kay Aisi Aandhiyan Uthein Keh Suraj Bujh Gaye
Haye Woh Shamm’en Keh Jhonkon Se Bhi Thein Na-Aashna

Muddatein Guzrein Usi Basti Main Lakin Ab Talak
Log Na’waqif , Fiza Be’gaana , Hum Na’aashna

Hum Bharray Shehron Main Bhi Tanha Hain Janay Kis Tarah
Log Veerano Main Kar Letay Hain Paida Aashna

Khalq-E-Shabnam Kay Liye Daaman Kusha Sehraaon Main
Kya Khabar Abar-E-Karam Hai Sirf Dariya Aashna

Apni Barbaadi Pe Kitnay Khush Thay Hum Lakin Faraz
Dost Dushman Ka Nikal Aaya Hai Apna Aashna

 

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa

Pahale Se Maraasim Na Sahii Phir Bhi Kabhi Tou
Rasm-O-Rahe Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa

Kis Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Ham
Tu Mujhse Khafaa Hai Tou Zamaane Ke Liye Aa

Kuch Tou Mere Pindaar-E-Mohabbat Ka Bharam Rakh
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manaane Ke Liye Aa

Ek Umr Se Hoon Lazzat-E-Giriyaa Se Bhi Maharuum
Aye Raahat-E-Jaan Mujh Ko Rulaane Ke Liye Aa

Ab Tak Dil-E-Khushfeham Ko Tujh Se Hain Ummiden
Ye Aakharii Shammen Bhi Bujhaane Ke Liye Aa

 

Ab Ky Hum Bichray To Shayed Kabhi Khwabon Main Milein

Ab Ky Hum Bichray To Shayed Kabhi Khwabon Main Milein
Jis Tarah Sookhay Huwey Phool Kitabon Main Milein

Dhoond Ujray Huwey Logon Main Wafa Ky Moti
Yeh Khazaney Tujhay Mumkin Hai Khrabon Main Milein

Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Main Shamil Kar Lo
Nasha Barhta Hai Shrabain Jo Shrabon Main Milein

Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kiyon Itney Hijaabon Main Milein

Aaj Hum Daar Pe Kheenchay Gaye Jin Baaton Par
Kiya Ajab Kal Woh Zamaney Ko Nisabon Main Milein

Ab Na Woh Main Hoon Na Tu Hai Na Woh Mazi Hai Faraz
Jaisay Do Saye Tamana Ky Saraabon Main Milein

 

Un Ke Wadon Pe Yaqeen , Log Bhi Dewane Hain

Un Ke Wadon Pe Yaqeen , Log Bhi Dewane Hain
Ik Faqat Main Hi Nahin , Log Bhi Dewanay Hain

Meri Wehshat Hi Sahi Mor-E-Ilzaam Magar
Ae Meri Zohra Jabeen , Log Bhi Dewanay Hain

Gardish-E-Jaam Kahan , Gardish-E-Ayaam Kahan
Yeh Kharabaat Nasheen , Log Bhi Dewanay Hain

Aap To Haasil-E-Emaan-E-2 Aalam Hain Hazoor
Aap Aur Dushman-E-Deen , Log Bhi Dewanay Hain

Ik Mulaqaat Sar-E-Raah Bhi Sahi Jurm Magar
Hum Kahin Aap Kahin , Log Bhi Dewanay Hain

Dard Mandan-E-Mohabbat To Hain Bad’naaam Faraz
Warna Kuch Kuch Yeh Haseen Log Bhi Dewane Hain

 

 

Raat Kay Pichlay Pehar Ronay Kay Aadi Roye

Raat Kay Pichlay Pehar Ronay Kay Aadi Roye
Aap Aaye Bhi Magar Ronay Kay Aadi Roye

Un Kay Aa Janay Se Kuch Tham Se Gaye Thay Aansoo
Un Kay Jaatay Hi Magar Ronay Kay Aadi Roye

Haye Pabandi-E-Adaab Teri Mehfil Ki
Keh Sar-E-Rag’guzar Ronay Kay Aadi Roye

Aik Taqreeb-E-Tabasam Thi Baharan Lakin
Phir Bhi Aankhein Huein Tar Ronay Kay Aadi Roye

Dard Mandon Ko Kahin Bhi To Qaraar Aa Na Saka
Koi Sehra Ho Keh Ghar Ronay Kay Aadi Roye

Ae Faraz Aisay Main Barsaat Kattay Gi Kiyon Kar
Gar Youn Hi Shaam-O-Sehar Ronay Kay Aadi Roye

 

 

Kis Ko Gumaan Hai Ab Keh Meray Saath Tum Bhi Thay

Kis Ko Gumaan Hai Ab Keh Meray Saath Tum Bhi Thay
Haye Woh Roz-O-Shab Keh Meray Saath Tum Bhi Thay

Yadish Ba’khair Ehad-E-Guzishta Ki Sohbatein
Ik Dour Tha Ajab Keh Meray Saath Tum Bhi Thay

Be’mehri Hayat Ki Shiddat Kay Ba’wajood
Dil Mut’maein Tha Jab Keh Meray Saath Tum Bhi Thay

Main Aur Taqabil-E-Gham-E-Doran Ka Hosla
Kuch Ban Gaya Sabab Keh Meray Saath Tum Bhi Thay

Ik Khawaab Ho Gayi Hai Rah-O-Rasm-E-Dosti
Ik Weham Sa Hai Ab Keh Meray Sath Tum Bhi Thay

Woh Bazam-E-Dost Yaad To Ho Gi Tumhein Faraz
Woh Mehfil-E-Tarb Keh Meray Saath Tum Bhi Thay

 

Agar Kisi Se Marasim Barhanay Lagtay Hain

Agar Kisi Se Marasim Barhanay Lagtay Hain
Teray Firaaq Kay Dukh Yaad Aanay Lagtay Hain

Hamein Sitam Ka Gila Kya , Keh Yeh Jahan Walay
Kabhi Kabhi Tera Dil Bhi Dukhanay Lagtay Hain

Safeenay Chor Kay Saahil Chalay To Hain Lakin
Yeh Dekhna Hai Keh Ab Kis Thikanay Lagtay Hain

Palak Jhapaktay Hi Duniya Ujaar Deti Hai
Woh Bastiyan Jinhein Bastay Zamanay Lagtay Hain

Faraz Miltay Hain Gham Bhi Naseeb Walon Ko
Her Ik Kay Haath Kahan Yeh Khazanay Lagtay Hain

 

 

Khawabon Main Khayal Kho Rahay Hon Jaisay

Khawabon Main Khayal Kho Rahay Hon Jaisay
Nashay Main Zamanay So Rahay Hon Jaisay

Seenay Se Dhalak Gaya Hai Kis Ka Aanchal
Khurasheed Talooh Ho Rahay Hon Jaisay

 

Gawara Bhi Sahi Jo Dukh Teray Hain

Gawara Bhi Sahi Jo Dukh Teray Hain
Magar Hum Ko Kai Gham Doosray Hain

Ajab Ehal-E-Chaman Kay Din Phiray Hain
Baharon Kay Bagoolon Main Ghirray Hain

Watan Main Wazah’daari Ne Na Chora
Paraye Shaher Hum Dar Dar Phiray Hain

Samaye Phir Na Duniya Ki Nazar Main
Na Janay Kis Bulandi Se Giray Hain

Ghaneemat Hai Jo Hans Kar Baat Kar Lein
Hamein Mat Chairiye Hum Sar Phiray Hain

Jo Duniya Kay Huye Woh Sakhat Roye
Khush Woh Log Jo Ab Tak Teray Hain

Faraz Aaj Itafaqan Mil Gaye Thay
Yeh Saahib Bhi To Deewane Teray Hain

 

Yeh Phaili Hui Raat Dhalay Ya Na Dhalay

Yeh Phaili Hui Raat Dhalay Ya Na Dhalay
Yeh Yorish-E-Halaat Talay Ya Na Talay

Roshan Kar Chragh-E-Deer-O-Kaaba
Phir Shamma-E-Kharabaat Jalay Ya Na Jalay

 

Yeh Dour May-O-Jaam Chalay Ya Na Chalay

Yeh Dour May-O-Jaam Chalay Ya Na Chalay
Nashay Se Bhi Phir Kaam Chalay Ya Na Chalay

Hum Ehal-E-Kharabaat Se Youn Bair Na Rakh
Saqi Tera Kal Naam Chalay Ya Na Chalay

 

Tu Meri Zindagi Hai Magar Jaan-E-Man

Tu Meri Zindagi Hai Magar Jaan-E-Man
Ab Woh Ishq-O-Mohabbat Ki Rasmein Nahin

Meray Dil Main Kai Ghaao Aisay Bhi Hain
Jin Ka Dar’man Teri Dastaras Main Nahin

Aik Gham Jis Ki Shiddat Hama Geer Hai
Teray Bas Main Nahin Meray Bas Main Nahin

 

Tera Ehsaan Hai Tu Ne Meray Liye

Tera Ehsaan Hai Tu Ne Meray Liye
Apni Palkon Se Raahon Kay Kaantay Chunay

Khud Karri Dhoop Main Reh Kay Meray Liye
Tu Ne Zulfon Kay Shadaab Saaye Bunay

Meri Khatar Zamanay Ko Pagal Kaha
Meri Khatar Zamanay Kay Tahnay Sunnay

 

 

Meri Afsurdagi Se Parishaan Na Ho

Meri Afsurdagi Se Parishaan Na Ho
Tu Meri Talkhiyon Ka Sabab To Nahin

Teri Aankhein To Meri Hi Dam-Saaz Hain
Thein Kabhi Ajnabi Lakin Ab To Nahin

Tujh Ko Meri Mussarat Muqadam Sahi
Tera Gham Mujh Ko Wajah-E-Tarb To Nahin

 

 

 

Kya Rukhsat-E-Yaar Ki Gharri Thi

Kya Rukhsat-E-Yaar Ki Gharri Thi
Hansti Hui Raat Ro Pari Thi

Hum Khud Hi Huye Tabbah Warna
Duniya Ko Hamari Kya Pari Thi

Yeh Zakham Hain Un Dino Ki Yaadein
Jab Aap Se Dosti Pari Thi

Jatay To Kidhar Ko Teray Wehshi
Zanjeer-E-Junoon Karri Pari Thi

Dar’yooza Gir-E-Hayat Ban Kar
Duniya Teri Raah Main Kharri Thi

Gham Thay Keh Faraz Aandhiyan Thein
Dil Tha Keh Faraz Pankhri Thi

 

Urrtay Panchi Shikaar Karnay Walo

Urrtay Panchi Shikaar Karnay Walo
Gulzaar Main Geer-O-Dar Karnay Walo

Kitni Kaliyan Masal Kay Rakh Dein Tum Ne
Tazeen-E-Gul-O-Bahar Karnay Walo

 

Her Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai

Her Shaakh Chaman Ki Jal Rahi Hai
Kya Baad-E-Muraad Chal Rahi Hai

Hum Hain Keh Faraib Kha Rahay Hain
Duniya Hai Keh Chaal Chal Rahi Hai

Youn Dil Main Hai Teri Yaad Jaisay
Veeranay Main Aag Jal Rahai Hai

Rukh Phair Liya Hai Jab Se Tu Ne
Duniya Ki Nazar Badal Rahi Hai

Dar Paish Hai Aaj Bhi Woh Surat
Jo Surat-E-Haal Kal Rahi Hai

Itni Bhi Faraz Bad’dili Kya
Sambhlo ! Keh Fiza Badal Rahi Hai

 

 

Phoolon Ki Jabeen Jhulas Gayi Hai Yaaro

Phoolon Ki Jabeen Jhulas Gayi Hai Yaaro
Gulzaar Main Aag Bas Gayi Hai Yaaro

Guzray Hain Kahan Se Rang-O-Bu Kay Toofan
Shabnam Ko Fiza Taras Gayi Hai Yaaro

 

 

Her Aik Dil Ko Talab Her Nazar Sawaali Hai

Her Aik Dil Ko Talab Her Nazar Sawaali Hai
Keh Shaher-E-Husan Main Jalwon Ki Qeh Saali Hai

Kahan Hai Dost Keh Aashoob-E-Dehar Se Main Ne
Teray Khayal Ki Asoodagi Bachaa Li Hai

Bata Raha Hai Fiza Ka Atoot Sanaata
Ufaq Se Phir Koi Aandhi Utarnay Wali Hai

Larz Rahay Hain Shagoofay Chaman Main Khiltay Huye
Hina-E-Dast-E-Saba Main Lahoo Ki Laali Hai

Piyo Sharaab Keh Naseh Ne Zehar Bhi De Kar
Hamari Jurrat-E-Rindaana Azma Li Hai

Aaj Phir Dana-E-Gandum Kay Silsalay Main Faraz
Kisi Khuda Ne Meri Khald Baich Daali Hai

 

Ghunchay Ki Chatak Sunaai De Gi Yaaro

Ghunchay Ki Chatak Sunaai De Gi Yaaro
Saagar Ki Khanak Sunaai De Gi Yaaro

Zindaan Ka Sakoot Goonjh Uthay Ga Jis Se
Aisi Dastak Sunaai De Gi Yaaro

Dost Jab Thehray Chaman Kay Dushman-E-Jaan-E-Bahar

Dost Jab Thehray Chaman Kay Dushman-E-Jaan-E-Bahar
Zakham Dikhlaein Kissay Phir Seena-E-Cha’kaan-E-Bahar

Nasha-E-Ehsaas-E-Khush Waqti Ne Andha Kar Diya
Barq Bhi Chamki To Hum Samjhay Chraghan-E-Bahar

Khoon Rulwatay Hain Sab Ko Apnay Apnay Tajarbay
Woh Pash-E-Maan-E-Khizaan Hon Ya Pash-E-Maan-E-Bahar

Ab Kay Kuch Aisi Hi Ban Aayi Keh Hum Mazoor Hain
Warna Kab Phaira Tha Hum Ne Koi Farmaan-E-Bahar

Ae Khosha Ehad-E-Khizan Jab Naghma Pairaai To Thi
Ab To Surma Dar Guloo Hain Khush’nuwan-E-Bahar

Gar Youn Hi Baad-E-Saba Athkeliyaan Karti Phiri
Shola-E-Gul Se Bharrak Utthay Ga Daaman-E-Bahar

Kab Huye Dil Tang Hum Zindaan Main Bhi Reh Kar Faraz
Haan Magar Jab Aa Gayi Hai Yaad Yaaran-E-Bahar

Ik Raah-E-Taweel Ik Karri Hai Yaaro

Ik Raah-E-Taweel Ik Karri Hai Yaaro
Fataad Ajeeb Aa Pari Hai Yaaro

Kis Simat Chalein Kidher Na Jayein Aakhir
Dorahay Pe Zindagi Kharri Hai Yaaro

Kuch Aisay Hum Ne Kharabay Basaaye Shehron Main

Kuch Aisay Hum Ne Kharabay Basaaye Shehron Main
Jo Dasht Walay Thay Woh Bhi Uth Aaye Shehron Main

Hamari Sada Dili Dekhiye Keh Dhoondtay Hain
Hum Apnay Dais Ki Baatein Puranay Shehron Main

Kuch Is Tarah Se Her Aik Baam-O-Dar Ko Dekhtay Hain
Zamanay Baad Koi Jaisay Aaye Shehron Main

Suna Hai Jab Bhi Luti Hai Bahar-E-Veerana
To Chand Aur Chaman Muskuraye Shehron Main

Qadam Qadam Pe Huye Talkh Tajarbay Phir Bhi
Hamein Hayat Kay Gham Kheench Laye Shehron Main

Hawa Na Do Keh Yeh Jungle Ki Aag Hai Yaaro
Ajab Nahin Hai Agar Phail Jaye Shehron Main

Faraz Hum Woh Ghazalan-E-Dasht-O-Sehra Main
Aseer Kar Kay Jinhein Log Laye Shehron Main

Jin Kay Dam Se Thein Bastiyan Abaad

Jin Kay Dam Se Thein Bastiyan Abaad
Aaj Woh Log Hain Kahan Abaad

Jal Rahay Hain Haray Bharay Gulzaar
Gham Hua Hai Kahan Kahan Abaad

Keh Rahi Hai Shakistagi Dil Ki
Tha Makeeno Se Yeh Makaan Abaad

Hum Ne Dekhi Hai Gosha-E-Dil Main
Aik Duniya-E-Be’karaan Abaad

Chand Manzir Ujaarnay Walo
Ho Rahay Hain Kai Jahan Abaad

Ghar Jala Kar Na Rad-E-Mohabbat Main
Yeh To Hota Hai Khan’maan Abaad

Kitnay Taray Faraz Toot Chukay
Hai Abhi Tak Yeh Khaak Daan Abaad

Barh Jata Hai Dil Ka Rog Gahay-Ba-Gahay

Barh Jata Hai Dil Ka Rog Gahay-Ba-Gahay
Kar Letay Hain Apna Sog Gahay-Ba-Gahay

Jo Yaad Dila Detay Hain Bhoolay Sadmay
Mil Jatay Hain Aisay Log Gahay-Ba-Gahay

Lafzon Main Fasanay Dhoondtay Hain Hum Log

Lafzon Main Fasanay Dhoondtay Hain Hum Log
Lamhon Main Zamanay Dhoondtay Hain Hum Log

Tu Zehar Hi De Sharaab Keh Kar Saaqi
Jeenay Kay Bahanay Dhoondtay Hain Hum Log

Teri Baatein Hi Sunanay Aaye

Teri Baatein Hi Sunanay Aaye
Dost Bhi Dil Dukhanay Hi Aaye

Phool Khiltay Hain To Hum Sochtay Hain
Teray Aanay Kay Zamanay Aaye

Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaisay
Hum Tujhay Haal Sunanay Aaye

Ishq Tanha Hai Sar-E-Manzil-E-Gham
Kon Yeh Bojh Uthanay Aaye

Ajnabi Dost Hamein Dekh Kay Hum
Kuch Tujhay Yaad Dilanay Aaye

Dil Dharakta Hai Safar Kay Hungaam
Kaash Phir Koi Bulanay Aaye

Ab To Ronay Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shayed Ab Hosh Thikanay Aaye

Kya Kahein Phir Koi Basti Ujri
Log Kiyon Jashan Mananay Aaye

So Raho Mout Kay Pehlu Main Faraz
Neend Kis Waqat Na Janay Aaye

Mera Us Shaher-E-Adawat Main Baseera Hai Jahan

Mera Us Shaher-E-Adawat Main Baseera Hai Jahan

Log Sajdon Main Bhi Logon Ka Bura Sochtay Hain

Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu

Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu
Kahan Gaya Hai Meray Shaher Kay Musafir Tu

Main Jaanta Hoon Keh Duniya Tujhay Badal De Gi
Main Maanta Hoon Keh Aisa Nahin , Ba’zahir To

Meri Misaal Ekh Ik Nikhal-E-Khushk-E-Sehra Hoon
Tera Khayal Keh Shaakh-E-Chaman Ka Tahir Tu

Faraz Tu Ne In Mushkalon Main Daal Diya
Zamana Sahib-E-Zar Aur Sirf Shair Tu

Deen Se Door Na Mazhab Se Alag Betha Hoon

Deen Se Door Na Mazhab Se Alag Betha Hoon
Teri Dehleez Pe Hoon Sab Se Alag Betha Hoon

Dhang Ki Baat Kahay Koi To Bolon Main Bhi
Matlabi Hoon Kisi Matlab Se Alag Betha Hoon

Bazam-E-Ehbaab Main Haasil Na Hua Chain Mujhay
Mutmaein Dil Hai Bhout Jab Se Alag Betha Hoon

Umar Karta Hoon Basar Gosha-E-Tanhai Main
Jab Se Woh Roorth Gaya Tab Se Alag Betha Hoon

Mera Andaz “Faraz” Ehal-E-Jahan Se Hai Juda
Sab Main Shamil Hoon Magar Sab Se Alag Betha Hoon

Jaana Dil Ka Shaher , Nagar Afsos Ka Hai

Jaana Dil Ka Shaher , Nagar Afsos Ka Hai
Tera Mera Sara Safar Afsos Ka Hai

Kis Chahat Se Zehar-E-Tamana Manga Tha
Aur Ab Haathon Main Saghar Afsos Ka Hai

Ek Dehleez Pe Jaa Kar Dil Khush Hota Tha
Ab To Shaher Main Her Aik Dar Afsos Ka Hi

Hum Ne Ishq Gunnah Se Bar’tar Jana Tha
Aur Dil Par Pehla Pathar Afsos Ka Hai

Dekho Us Chahat Kay Pairr Ki Shaakhon Par
Phool Udaasi Ka Hai Samar Afsos Ka Hai

Koi Pachtawa Sa Pachtawa Hai “Faraz”
Dukh Ka Nahin Afsos , Magar Afsos Ka Hai

Tujh Ko Bhoolay Hain To Kuch Dosh Zamanay Ka Na Tha

Tujh Ko Bhoolay Hain To Kuch Dosh Zamanay Ka Na Tha
Ab Kay Lagta Hai Keh Yeh Dukh Hi Thikaanay Ka Na Tha

Yeh Jo Maqtal Se Bacha Liye Hain Saro’on Ko Apnay
Un Main Ik Shkahs Bhi Kiya Meray Ghar’aanay Ka Na Tha

Her Bars Taza Kiye Ehad-E-Mohabbat Ko Ab Bas
Ab Khula Hai Keh Yeh Tehwaar Manaanay Ka Na Tha

Ab Kay Be-Fasal Bhi Sehra , Gul-O-Gulzaar Sa Hai
Warna Yeh Hijar Ka Mousam Teray Aanay Ka Na Tha

Dosh Par Baar-E-Zamana Bhi Liye Phirtay Hain
Masla Sirf Teray Naaz Utha’nay Ka Na Tha

Yaar , Kya Kya Teri Baaton Ne Rulaya Hamein
Yeh Tamasha Sar-E-Mehfil To Dikhanay Ka Na Tha

Koi Kis Munh Se Karay Tujh Se Shikayat Jana
Jis Ko Tu Bhool Gaya Yaad Hi Aanay Ka Na Tha

Aaye Din Ik Aafat Chali Jaati Hai “Faraz”
Ab Pashemaan Hain Keh Yeh Shaher Basaanay Ka Na Tha

Faaslay Itnay Barhay Hijar Main Aazaar Kay Saath

Faaslay Itnay Barhay Hijar Main Aazaar Kay Saath
Ab To Woh Baat Bhi Kartay Nahin Gham-Khwaar Kay Saath

Ab To Hum Ghar Se Nikaltay Hain To Rakh Detay Hain
Taaq Pe Izaat-E-Sadaqat Bhi Dastaar Kay Saath

Ik To Tum Khwaab Liye Phirtay Ho Galiyon Galiyon
Us Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Kay Saath

Hum Ko Us Shaher Main Jeenay Ka Soda Hai Jahan
Log Mai’maar Ko Chun Detay Hain Dewaar Kay Saath

Khouf Itna Hai Teray Shaher Ki Galiyon Main “Faraz”
Chaap Suntay Hain To Lag Jaatay Hain Dewaar Kay Saath

Wafa Ki Talaash To Be’wafaon Ko Hoti Hai “Faraz”

Wafa Ki Talaash To Be’wafaon Ko Hoti Hai “Faraz”

Hum Ne To Duniya Hi Chor Di Kisi Ki Wafa Kay Liye

 

Ussay Taraash Kay Heera Bana Diya Hum Ne Faraz

Ussay Taraash Kay Heera Bana Diya Hum Ne Faraz

Magar Ab Yeh Sochtay Hain Ussay Khareedain Kaisay

Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chalay Bhi Aayo Keh Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Ajal Se Keh Do Keh Ruk Jaye Do Gharri
Suna Hai Aanay Ka Wada Nibhaa Raha Hai Koi

Woh Iss Naaz Se Baithay Hain Laash Kay Paas
Jaisay Roothay Huye Ko Mana Raha Hai Koi

Palat Kar Na Aa Jaye Saans Nabzoo’n Main “Faraz”
Itnay Haseen Haathon Se Miyyat Saja Raha Hai Koi

Har Koi Jaati Hui Rutt Ka Ishaara Janay

Har Koi Jaati Hui Rutt Ka Ishaara Janay
Gul Na Janay Bhi To Kya , Baagh To Sara Janay

Kis Ko Batlaein Keh Ashoob-E-Mohabbat Kya Hai
Jis Pe Guzri Ho Wohi Haal Hamara Janay

Jaan Nikli Kisi Bismil Ki Na Suraj Nikla
Bujh Gaye Kiyon Shab-E-Hijraan Ka Sitara Janay

Jo Bhi Milta Hai Hum Hi Se Gila Karta Hai
Koi To Surat-E-Halaat Khudaara Janay

Dost Ehbaab To Reh Reh Kay Galay Miltay Hain
Kis Ne Khanjar Meray Seenay Main Utaara Janay

Tujh Se Barh Kar Koi Nadaan Nahin Ho Ga “Faraz”
Dushman-E-Jaan Ko Bhi Tu Jaan Se Pyaara Janay

Ujra Chehra Bikhri Zulfain Be’jaan Aankhein “Faraz”

Ujra Chehra Bikhri Zulfain Be’jaan Aankhein “Faraz”

Mujhay To Tum Bhi Kisi Ki Chahat Kay Maqrooz Lagtay Ho

Iss Ajnabi Shaher Main Yeh Pathar Kahan Se Aa Laga “Faraz”

Iss Ajnabi Shaher Main Yeh Pathar Kahan Se Aa Laga “Faraz”

Logon Ki Is Bheer Main Koi Apna Zaroor Hai

Wadi-E-Ishq Se Koi Nahin Aaya Jaa Kar

Wadi-E-Ishq Se Koi Nahin Aaya Jaa Kar
Ayo Awaz Lagaein Sar-E-Sehraa Jaa Kar

Bazam-E-Janaa Main To Sab Ehal-E-Talab Jaatay Hain
Kabhi Maqtal Main Bhi Dikhlaein Tamasha Jaa Kar

Kin Zameeno Pe Meri Khaak Kahoo Roye Gi
Kis Samandar Main Girain Gay Meray Dariya Jaa Kar

Aik Marhoom Si Umeed Hai Tujh Se Warna
Aaj Tak Aaya Nahin Koi Maseeha Jaa Kar

Dekh Yeh Hosla Mera Meray Buz’dil Dushman
Tujh Ko Lashkar Main Pukaara Tan-E-Tanha Jaa Kar

Us Sheh-E-Husan Kay Dar Pe Hai Faqeeron Ka Hajoom
Yaar Hum Bhi Na Karain Arz-E-Tamana Jaa Kar

Hum Tumhain Manah To Kartay Nahin Janay Se “Faraz”
Jaa Usi Dar Pe Magar Haath Na Phailaa Jaa Kar

Qurb-E-Jana Ka Na Meh’khanay Ka Mousam Aaya

Qurb-E-Jana Ka Na Meh’khanay Ka Mousam Aaya
Phir Se Be’sarfa Ujjar Janay Ka Mousam Aaya

Kanj-E-Ghurbat Main Kabhi Gosha-E-Zindan Main Thay Hum
Jaan-E-Jaan Jab Bhi Teray Aanay Ka Mousam Aaya

Ab Lahoo Ronay Ki Khwaish Na Lhoo Honay Ki
Dil-E-Zinda Teray Mar’janay Ka Mousam Aaya

Koocha-E-Yaar Se Her Fasal Main Guzray Hain Magar
Shayed Ab Jaan Se Guzar Janay Ka Mousam Aaya

Koi Zanjeer Koi Harf-E-Khard Lay Aaya
Fasal-E-Gul Aayi Keh Dewanay Ka Mousam Aaya

Seel-E-Khoon Shaher Ki Galiyon Main Dar Aaya Hai Faraz
Aur Tu Khush Hai Keh Ghar Janay Ka Mousam Aaya

Jab Woh Gaye To Is Tarha Dhachka Laga Mujhay

Jab Woh Gaye To Is Tarha Dhachka Laga Mujhay
Kuch Bhi Na Is Kay Baad Phir Acha Laga Mujhay

Teray Haseen Khayalon Main Youn Kho Gaya Tha Main
Her Shakhs Teray Shaher Main Tujh Sa Laga Mujhay

Jo Meray Aeyb Kaan Main Meray Bata Gaye
Woh Shakhs Doston Se Bhi Pyara Laga Mujhay

Zaalim Ne Meray Dil Ki Woh Basti Ujaar Di
Jis Ko Basanay Main Ik Zamana Laga Mujhay

Jab Zindagi Ki Mujh Pe Haqeeqat Khuli “Faraz”
Sara Jahan Aik Tamasha Laga Mujhay

Chalo Woh Ishq Nahin, Chahnay Ki Aadat Hai

Chalo Woh Ishq Nahin, Chahnay Ki Aadat Hai
Yeh Kya Karain Hamian Doobnay Ki Aadat Hai

Tu Apni Sheesha’gari Ka Hunar Na Kar Zaa’ia
Main Aaina Hoon Mujhay Tootnay Ki Aadat Hai

Main Kya Kahoon Keh Mujhay Sabar Kiyon Nahin Aata
Main Kiya Karon Keh Tujhay Dekhnay Ki Aadat Hai

Teray Naseeb Main Ae Dil , Sada Ki Mehroomi
Na Woh Sakhi , Na Tujhay Maangnay Ki Aadat Hai

Wisaal Main Bhi Wohi Hai Firaaq Ka Aalam
Keh Us Ko Neend Mujhay Mujhay Rat’jagay Ki Aadat Hai

Yeh Muskalain To Phir Kaisay Raastay Teh Hon Gay
Main Na’saboor Ussay Sochnay Ki Aadat Hai

Yeh Khud’aziyati Kab Tak Faraz Tu Bhi Ussay
Na Yaad Kar Keh Jissay Bhoolnay Ki Aadat Hai

Woh Zehar Deta To Duniya Ki Nazron Main Aa Jata Faraz

Woh Zehar Deta To Duniya Ki Nazron Main Aa Jata Faraz

Us Ne Youn Kiya Keh Waqat Par Dawa Na Di

Kon Saath Deta Hai Umar Bhar Kisi Ka Faraz

Kon Saath Deta Hai Umar Bhar Kisi Ka Faraz

Log To Janazon Main Bhi Kandha Badal Letay Hain

Raaz-E-Dil Na Sunaana Kisi Ko Faraz

Raaz-E-Dil Na Sunaana Kisi Ko Faraz

Duniya Main Sab Hamraaz Badal Jaatay Hain

Faqat Hum Hi Be’taab Nahin Hain Dard-E-Judai Ki Qasam Faraz

Faqat Hum Hi Be’taab Nahin Hain Dard-E-Judai Ki Qasam Faraz

Kabhi To Woh Bhi Roye Ga Tanhai Main Hamain Yaad Kar Kay

Jaanay Kiyon Shakist Ka Azaab Liye Phirta Hoon

Jaanay Kiyon Shakist Ka Azaab Liye Phirta Hoon

Main Kiya Hoon Aur Kiya Khwaab Liye Phirta Hoon

Us Ne Ik Baar Kiya Tha Sawal-E-Mohabbat

Main Her Lamha Wafa Ka Jawab Liye Phirta Hoon

Us Ne Poocha Kab Se Nahin Soye

Main Tab Se Rat’jagon Ka Hisaab Liye Phirta Hoon

Us Ki Khwaish Thi Keh Meri Aankhon Main Paani Dekhye

Main Us Waqat Se Aanso’on Ka Sailaab Liye Phirta Hoon

Afsoos Kay Woh Phir Bhi Mera Na Hua “Faraz”

Main Jis Ki Aarzoo Ki Kitaab Liye Phirta Hoon

Tumhare Shaher Ka Mausam Bara Sohana Lagay

Tumharay Shaher Ka Mousam Bara Sohana Lagay
Main Ik Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lagay

Jo Doobna Hai To Itne Sakoon Se Doobo
Keh Aas Paas Ki Lehron Ko Bhi Pata Na Lagay

Tumhare Bas Main Agar Ho To Bhool Jao Hamain
Tumhain Bhoolney Main Shayed Hamain Zamana Lageay

Na Jane Kiya Hai Kisi Ki Udaas Aankhon Main
Woh Munh Chupa Ke Bhi Jaye To Be’wafa Na Lagay

Hamare Pyaar Se Jalne Lagi Hai Ik Duniya
Dua Karo Kisi Dushman Ki Bad’dua Na Lagay

Poet : Ahmed Faraz

 

Faraz Ab Koi Gham Koi Junoon Bhi Nahin

Faraz Ab Koi Gham Koi Junoon Bhi Nahin
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Youn Bhi Nahin

Lab-O-Lehja Bhi Mila , Guftagoo Ka Fun Bhi
Magar Hoo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakoon Bhi Nahin

Na Janay Kiyon Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahoon To Kuch Aisa Udaas Hoon Bhi Nahin

Meri Zubaan Ki Luknat Se Bad Gumaan Mat Hona
Jo Tu Kahay To Umar Bhar Tujhay Milon Bhi Nahin

Faraz Jaisay Dil Qurbat-E-Hawa Chahaye
Woh Paas Aye To Mumkin Hai Keh Main Rahoon Bhi Nahin

Kiyon Hamain Mout Kay Paighaam Diye Jaatay Hain

Kiyon Hamain Mout Kay Paighaam Diye Jaatay Hain
Yeh Saza Kam To Nahin Hai Keh Jiye Jaatay Hain

Hum Hain Ek Shamma Magar Dekh , Bujhtay Bujhtay
Roshni Kitnay Andheron Ko Diye Jaatay Hain

Nasha Dono Main Hai Saaqi , Mujhay Gham Dy Keh Shraab
Meh Bhi Pee Jaati Hai , Aansoo Bhi Piyea Jaatay Hain

Tujh Ko Barson Se Kiyon Hai Tarq-E-Taaluq Ka Khyaal
Faisalay Woh Hain Jo Pal Bhar Main Liye Jaatay Hain

Apni Taarekh-E-Mohabbat Kay Woh Hi Hain Soorat
Hans Kar Her Saans Par Jo Zehar Piye Jaatay Hain

Abgeeno Ki Tarah Dil Hain Ghreebon Kay Faraz
Toot Jaatay Hain Kabhi Tor Diye Jaatay Hain

Koi To Ho Jo Meri Soch Ko Kitaab Kare

Koi To Ho Jo Meri Soch Ko Kitaab Kare
Aur Apnay Lafaz Mere Naam Intisaab Kare

Amin Apni Chaandni Raaton Main Us Kay Geet Likhon
Woh Mere Dard Kay Sehraa Ko Phir Chinaab Kare

Main Us Se Pyaar Karon Aur Be’kinaar Karon
Woh Mujh Pe Zulam Kare Aur Be’hisaab Kare

Main Dhoop Ban Kay Nikharta Rahoon Bikharta Rahoon
Woh Mujh Ko Khud Main Smaitay Ti Aftaab Karon

Ab Is Tarah Ka Saathi Kab Mile Ga “Faraz”

 

Kiyon Hamain Mout Kay Payaam Diye Jaatay Hain

Kiyon Hamain Mout Kay Payaam Diye Jaatay Hain
Yeh Saza Kam To Nahin Hai Keh Jiye Jaatay Hain

Hum Hain Ik Shamma Magar Dekh , Bujhtay Bujhtay
Roshni Kitnay Andheron Ko Diye Jaatay Hain

Nasha Dono Main Hai Saaqi , Mujhay Gham Dy Kay Shraab
Mai Bhi Pee Jati Hai , Aansoo Bhi Piyea Jatay Hain

Tujh Ko Barson Se Kiyon Hai Tark-E-Taaluq Ka Khayl
Faisalay Woh Hain Jo Pal Bhar Main Liye Jaatay Hain

Apni Tareekh-E-Mohabbat Kay Woh Hi Hain “Saqraat”
Hans Kar Her Saans Par Jo Zehar Piyea Jaatay Hain

Abgeeno Ki Tarah Dil Hain Ghreebon Kay “Faraz”
Toot Jatay Hain Kabhi Tor Diye Jaatay Hain

Woh Jo Aa Jaatay Thay Aankhon Main Sitaaray Le Kar

Woh Jo Aa Jaatay Thay Aankhon Main Sitaaray Le Kar
Jaanay Kis Dais Gaye Khwaab Hamaray Le Kar

Chaayon Main Baithnay Wale Hi To Sab Se Pehlay
Pair Girta Hai To Aa Jaatay Hain Aaray Lay Kar

Woh To Asooda-E-Saahil Hain Inhain Kiya Maloom
Ab Kay Mouj Aai To Paltay Gi Kinaaray Le Kar

Aisa Lagta Hai Keh Her Mousam-E-Hijraan Main Bahaar
Hont Rakh Dati Hai Shaakhon Pe Tumharay Le Kar

Sehraa Walon Ko Kahan Yaad Hai Woh Khwaab Framosh
Phirta Rehta Tha Jo Galiyon Main Ghubaaray Le Kar

Naqd-E-Jaan Sarf Hua Kulfat-E-Hasti Main Faraz
Ab Jo Zinda Hain To Kuch Saans Udhaar Le Kar

 

Ghazal Sun Kar Parishaan Ho Gaye Kiya

Ghazal Sun Kar Parishaan Ho Gaye Kiya
Kisi Kay Dihaan Main Tum Kho Gaye Kiya

Abhi Kuch Dair Pehlay Tak Yahin Thay
Zamana Ho Gaya Tum Ko Gaye Kiya

Kisi Taza Rafaqat Ki Lalak Hai
Puraanay Zakham Achay Ho Gaye Kiya

Palat Kar Chara’gar Kiyon Aa Gaye Hain
Shab-E-Furqat Kay Maaray Soo Gaye Kiya

Faraz Itna Na Itraa Hoslay Par
Issay Bhoolay Zamanay Ho Gaye Kiya

Karon Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaaon Ussay

Karon Na Yaad Magar Kis Tarah Bhulaaon Ussay

Ghazal Bahana Karon Aur Gun’gunaaon Ussay

Woh Khaar Khaar Hai Shaakh-E-Gulaab Ki Manind

Main Zakham Zakham Hoon Phir Bhi Galay Lagaon Ussay

Yeh Log Tazkaray Kartay Hain Apnay Logon Kay

Main Kaisay Baat Karon Ab Kahan Se Laaon Ussay

Jo Humsafar Sat-E-Manzil Bichar Raha Hai “Faraz”

Ajab Nahin Hai Agar Yaad Bhi Na Ayon Ussay

 

 

Woh Jin Ko Hum Teri Qurbat Main Bhool Baithay Hain

Woh Jin Ko Hum Teri Qurbat Main Bhool Baithay Hain

Woh Log Teri Judai Kay Baad Yaad Aye

Hum Itnay Bhi Gaye Guzray Nahin Thay “Faraz”

Keh Tujh Ko Sari Khudai Kay Baad Yaad Aye

 

Us Ne Kaha Tha Sun Ehad Nibhanay Ki Khatar Mat Aana

Us Ne Kaha Tha Sun
Ehad Nibhanay Ki Khatar Mat Aana
Ehad Nibhanay Wale Aksar

Majboori Ya Mehjoori Ki Thakhan Se Loata Kartay Hain
Tum Jaao
Samandar , Samndar Apni Piyaas Bujhao
Jin Aankhon Main Utro
Jis Dil Main Doobo
Meri Tanhai Tumhain Awaaz Na De Gi
Magar Jab
Mer Khwaish Aur Chahat Ki Lay
Itni Oonchi Aur Itni Tez Ho Jaye
Keh Dil Ro Day
To..
Loat Aana

Poet : Ahmed Faraz

 

Eye Bank

Eye Bank

Main To Is Karb-E-Nizara Se Tarap Utha Hoon
Kitnay Aisay Hain Jinhain
Hasrat-E-Beenai Hai
Jin Ki Qismat Main Kabhi Doulat-E-Deedaar Nahin
Jin Ki Qismat Main Tamasha Na Tamashae Hai
Jo Tarastay Hain Keh Kirno Ko Barasta Dekhain
Un Se Keh Do Keh Woh Ayein Meri Aankhain Le Kar
Is Se Pehlay Keh Mera Jisam Fana Ho Jaye
Is Se Pehlay Keh Yeh Khaak’star Jaan Bhi Na Rahay
Is Se Pehlay Keh Hashar Bar’pa Ho Jaye
Apnay Chehray Pe Lagaye Koi Meri Aankhain
Kon Seh Paye Ga Lakin Meri Aankhon Kay Khwaab
Kis Ko Yeh Hosala Ho Ga Keh Hamesha Dekhaye
Apni Palkon Ki Saleebon Se Utarayhuye Khwaab
Jin Ki Kirchiyon Ki Chubhan Rooh Main Bas Jaati Hai
Zindagi , Zindagi Bhar Kay Liye Kur’laati Hai

Poet : Ahmed Faraz

 

Abhi Kuch Aur Karishmay Ghazal K Dekhte Hain

Abhi Kuch Aur Karishmay Ghazal K Dekhte Hain
Faraz Ab Zara Lehja Badal Ke Dekhte Hain

Judayi’an Tau Muqaddar Hain Phir Bhi Jaan-E-Safar
Kuch Aur Door Zara Saath Chal Ke Dekhte Hain

Tu Samnay Hai Tau Phir Kyun Yaqeen Nahi Aata
Yeh Baar Baar Jo Aankhon Ko Mal Ke Dekhte Hain

Yeh Kaun Log Hain Moujood Teri Mehfil Mein
Jo Lalachoon Se Tujhe, Mujh Ko Jall Ke Dekhte Hain

Na Tujh Ko Maat Hui Hai Na Mujh Ko Maat Hui
Sau Ab K Dono Hi Chaalen Badal Ke Dekhte Hain

Bohat Dino Se Nahi Hai Kuch Us Ki Khair Khabar
Chalo Faraz Kuu-E-Yaar Chal K Dekhte Hain

 

 

Teray Qareeb Aa Kay Bari Uljhano Main Hoon

Teray Qareeb Aa Kay Bari Uljhano Main Hoon
Main Dushmano Main Hoon Keh Teray Doston Main Hoon

Aye Yaar-E-Khush Diyaar Tujhay Kiya Khabar Keh Main
Kab Se Udasiyon Kay Ghannay Junglon Main Hoon

Tu Loat Kar Bhi Ehal-E-Tamana Ko Khush Nahin
Main Lut Kay Bhi Wafa Kay Inhi Qaflon Main Hoon

Badla Na Meray Baad Bhi Mozu-E-Guftagoo
Main Jaa Chuka Hoon Phir Bhi Teri Mehfalon Main Hoon

Mujh Se Bichar Kay Tu Bhi To Roye Ga Umar Bhar
Yeh Soch Lay Keh Main Bhi Teri Khwaishon Main Hoon

Khud Hi Misaal Laala-E-Sehra Lahoo Lahoo
Aur Khud “Faraz” Apnay Tamashaiyon Main Hoon

Poet : Ahmed Faraz

 

Khaali Haaton Ko Kabhi Ghour Se Dekha Hai Faraz

Khaali Haaton Ko Kabhi Ghour Se Dekha Hai Faraz

Kis Tarah Log Lakeeron Se Nikal Jaatay Hain

 

Her Tamashai Faqat Saahil Se Manzar Dekhta

Her Tamashai Faqat Saahil Se Manzar Dekhta

Kon Dariya Ko Ulat’ta , Kon Gohar Dekhta

Woh To Duniya Ko Meri Deewangi Khush Aa Gayi

Teray Haathon Main Wagarna Pehla Pathar Dekhta

Aankhon Main Aansoo Jaray Tahy , Par Sada Tujh Ko Na Di

Is Tawaqo Pe Keh Shayed , Tu Palat Kar Dekhta

Meri Qismat Ki Lakeerain , Meray Haathon Main Na Thein

Teray Maatay Pe Koi Mera Muqadar Dekhta

Zindagi Phaili Hui Thi Shaam-E-Hijraan Ki Tarah

Kis Ko Itna Hosla Tha , Kon Jee Kar Dekhta

Doobnay Wala Tha Aur Saahil Pe Chehron Ka Hajoom

Pal Ki Mohlat Thi Main Kis Ko Aankh Bhar Kar Dekhta

Tu Bhi Dil Ko Ik Lahoo Ki Boond Samjha Hai Faraz

Aankh Agar Hoti To Qatray Main Samandar Dekhta

 

Hawa Kay Zour Se Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya

Hawa Kay Zour Se Pindaar-E-Baam-O-Dar Bhi Gaya
Chiragh Ko Jo Bachatay Thay, Un Ka Ghar Bhi Gaya

Pukarte Rahe Mehfooz Kishtiyun Waale
Main Doobta Hua Darya K Paar Utar Bhi Gaya

Ab Ehtiyaat Ki Diwaar Kya Uthate Ho
Jo Chor Dil Main Chupa Tha Wo Kaam Kar Bhi Gaya

Main Chup Raha K Is Main Thi Aafiyat Jaan Ki
Koi To Meri Tarah Tha Jo Daar Par Bhi Gaya

Sulaghte Sochte Weraan Mausamon Ki Tarah
Kara Tha Ehad-E-Jawani Magar Guzar Bhi Gaya

Jise Bhula Na Saka Us Ko Yaad Kya Rakhta
Jo Naam Dil Main Raha Zehan Se Utar Bhi Gaya

Phati Phati Huye Ankhon Se Yun Na Dekh Mujhe
Tujhe Talash Hai Jis Ki Wo Shakhs Mar Bhi Gaya

Magar Falak Ki Adawat Ussi K Ghar Se Na Thi
Jahan “Faraz” Na Tha Sayel-E-Gham Udhar Bhi Gaya

 

Wafa Kay Khwaab Mohabbat Ka Asraa Le Ja

Wafa Kay Khwaab Mohabbat Ka Asraa Le Ja
Agar Chala Hai To Kuch Mujh Se Diya Le Ja

Maqam-E-Sood-O-Ziyan A Gaya Hai Phir Janan
Yeh Zakham Meray Sahi Teer To Utha Le Ja

Yahi Hai Qismat-E-Sahara Yehi Karam Tera
Keh Boond Boond Ata Kar Ghata Ghata Le Ja

Ghroor-E-Dost Se Itna Bhi Dil’shakista Na Ho
Phir Uth Kay Samnay Daman-E-Iltaja Le Ja

Nadamatein Hon To Sar Bar-E-Dosh Hota Hai
“Faraz” Jin Kay Evaz Abroo Bacha Le Ja

Ik Pal Main Jo Barbaad Kar Detay Hain Dil Ki Basti Ko Faraz

Ik Pal Main Jo Barbaad Kar Detay Hain Dil Ki Basti Ko Faraz

Woh Log Dekhnay Main Aksar Masoom Hotay Hain

 

Wafa Ki Baat Alag Par Jissay Jissay Chaha

Wafa Ki Baat Alag Par Jissay Jissay Chaha

Kisi Main Husan Kisi Main Ada Ziada Thi

Poet : Ahmed Faraz

 

Apni Mohabbat Ke Afsanay Kab Tak Raaz Banao Gay

Apni Mohabbat Ke Afsanay Kab Tak Raaz Banao Gay
Ruswai Se Darnay Walo Baat Tumhi Phailao Gay

Is Ka Kiya Hai Tum Na Sahi To Chahnay Wale Aur Bhout
Tark-E-Mohabbat Karnay Walo Tum Tanha Reh Jaao Gay

Hijar Ke Maaron Ko Khush Fehmi Jaag Rahay Hain Pehron Se
Jaisay Youn Shab Kat Jaye Jaisay Tum Aa Jao

Zakham-E-Tamana Ka Bhar Jana Goya Jaan Se Jaana Hai
Is Ka Bhulana Sehal Nahin Hai Khud Ko Bhi Yaad Ayo Gay

Choro Ehad-O-Wafa Ki Baatain Kiyon Jhootay Iqraar Karain
Kal Main Bhi Sharminda Hoon Ga Kal Tum Bhi Pachtaao Gay

Rehnay Do Yeh Pand-O-Naseehat Hum Bhi “Faraz” Se Waqif Hain
Jis Ne Khud So Zakham Sahay Hon Us Ko Kiya Samjhao Gay

Poet : Ahemd Faraz

 

Baar Haa Mujh Se Dil Ne Kaha Keh Ae Sho’bada Gar

Baar Haa Mujh Se Dil Ne Kaha Keh Ae Sho’bada Gar
Tu Keh Alfaaz Se Asnaam Giri Karta Hai

Kabhi Is Husan-E-Araa Ki Bhi Tasveer Bana
Jo Teri Sovh Ke Khaakon Main Lahoo Bharta Hai

Baar Haa Dil Ne Yeh Awaaz Suni Aur Chaha
Maan Loon Mujh Se Jo Wajdaan Mera Kehta Hai

Lakin Is Soch Se Haara Mere Fun Ka Jaado
Chaand Ko Chaand Se Barh Kar Koi Kiya Kehta Hai

 

 

Wafa Ki Talaash To Be’wafaon Ko Hoti Hai “Faraz”

Wafa Ki Talaash To Be’wafaon Ko Hoti Hai “Faraz”

Hum Ne To Duniya Hi Chor Di Kisi Ki Wafa Kay Liye

 

Kon Parishaan Hota Hai Tere Gham Se “Faraz”

Kon Parishaan Hota Hai Tere Gham Se “Faraz”

Woh Apni Hi Kisi Baat Pe Roya Ho Ga

Kisi Be’wafa Ki Khatar Yeh Janoon Faraz Kab Tak

Kisi Be’wafa Ki Khatar Yeh Janoon Faraz Kab Tak

Jo Tumhain Bhula Chuka Hai Ussay Tum Bhi Bhool Jaao

 

Dil Ki Duniya Kuch Is Tarah Se Ujri Faraz

 

Dil Ki Duniya Kuch Is Tarah Se Ujri Faraz

Us Ne Dard Ka Addi Bana Ke Dard Dena Chor Diya

 

Tapak Partay Hain Ansoo Jab Yaad Tumhari Aati Hai Faraz

Tapak Partay Hain Ansoo Jab Yaad Tumhari Aati Hai Faraz

Yeh Woh Barsaat Hai Jis Ka Koi Mousam Nahin Hota

 

 

 

Jul 7, 2014
Ab Na Woh Main Hoon , Na Tu Hai , Na Woh Maazi Hai Faraz

Ab Na Woh Main Hoon , Na Tu Hai , Na Woh Maazi Hai Faraz

Jaisay Do Saaye Tamana Ke Srabon Main Milain

 

Yeh Aalam Shouq Ka Dekha Na Jaye

Yeh Aalam Shouq Ka Dekha Na Jaye
Woh Buut Hai Ya’khuda Dekha Na Jaye

Yeh Kin Nazron Se Tu Ne Aaj Dekha
Yeh Tera Dekhna , Dekha Na Jaye

Hamesha Kay Liye Mujh Se Bichar Ja
Yeh Manzar Bar’haa Dekha Na Jaye

Ghalat Hai Jo Suna Par Azmaa Kar
Tujhe Ae Be’wafa Dekha Na Jaye

Yeh Mehroomi Nahin Paas-E-Wafa Hai
Koi Tere Siwa Dekha Na Jaye

Yahi To Aashna Bantay Hain Aakhir
Koi Na’ashna Dekha Na Jaye

Faraz Apne Siwa Hai Kon Tera
Tujhe Tujh Se Juda Dekha Na Jaye

Poet : Ahmed Faraz

 

Tumharay Shaher Ka Mousam Bara Sohana Lage

Tumharay Shaher Ka Mousam Bara Sohana Lage
Main Ik Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lage

Jo Doobna Hai To Itne Sakoon Se Doobo
Keh Aas Paas Ki Lehron Ko Bhi Pata Na Lage

Tumhare Bas Main Agar Ho To Bhool Jao Hamain
Tumhain Bhoolney Main Shayed Hamain Zamana Lage

Na Jane Kiya Hai Kisi Ki Udaas Aankhon Main
Woh Munh Chupa Ke Bhi Jaye To Be’wafa Na Lage

Hamare Pyaar Se Jalne Lagi Hai Ik Duniya
Dua Karo Kisi Dushman Ki Bad’dua Na Lage

Poet : Ahmed Faraz

 

Ab Ky Hum Bichray To Shayed Kabhi Khwabon Main Milein

Ab Ky Hum Bichray To Shayed Kabhi Khwabon Main Milein
Jis Tarah Sookhay Huwey Phool Kitabon Main Milein

Dhoond Ujray Huwey Logon Main Wafa Ky Moti
Yeh Khazaney Tujhay Mumkin Hai Khrabon Main Milein

Gham-E-Duniya Bhi Gham-E-Yaar Main Shamil Kar Lo
Nasha Barhta Hai Shrabain Jo Shrabon Main Milein

Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farishton Jaisa
Dono Insaan Hain To Kiyon Itney Hijaabon Main Milein

Aaj Hum Daar Pe Kheenchay Gaye Jin Baaton Par
Kiya Ajab Kal Woh Zamaney Ko Nisabon Main Milein

Ab Na Woh Main Hoon Na Tu Hai Na Woh Mazi Hai Faraz
Jaisay Do Saye Tamana Ky Saraabon Main Milein

Poet : Ahmed Faraz

 

Us Ne Pyaar Ka Khail Bhi Nafrat Se Khela

Us Ne Pyaar Ka Khail Bhi Nafrat Se Khela
Her Baar Woh Zaalim Meri Hasrat Se Khela

Meri Jaan-O-Dil Pe Sara Haq Tha Ussay
Dukh Itna Hai Keh Woh Meri Ghurbat Se Khela

Dil Tora To Bikharney Bhi Na Dia Us Ne
Meray Dil Ky Sath Kitni Ulfat Se Khela

Kaisay Us Ky Hathon Main Barbaad Na Hota”Faraz”
Pehli Baar Zindagi Main Koi Itni Mohabbat Se Khela

 

 

Rooth Janay Ki Ada Hum Ko Bhi Ati Hai

Rooth Jaanay Ki Ada Hum Ko Bhi Aati Hai Faraz

Kaash Hota Koi Hum Ko Bhi Mananay Wala

Posted By Imran’s Poetry At Wednesday, June 25, 2014 No Comments:
Email This
Blogthis!
Share To Twitter
Share To Facebook
Share To Pinterest
Labels: Ahmad Faraz Poetry
Mujh Se Her Baar Woh Nazrain Chura Leta Hai Faraz

Mujh Se Her Baar Woh Nazrain Chura Leta Hai Faraz

Main Ne Kaaghaz Par Bhi Bana Ky Dekhi Hain Aankhain Us Ki

 

Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi

Gham-E-Hayat Ka Jhagra Mita Raha Hai Koi
Chalay Ayo Keh Duniya Se Ja Raha Hai Koi

Azal Se Keh Do Keh Ruk Jaye Do Gharri
Suna Hai Anay Ka Wada Nibha Raha Hai Koi

Woh Is Naaz Se Baithay Hain Laash Ky Paas
Jaisay Roothay Huwey Ko Mnna Raha Hai Koi

Plat Kar Na A Jaye Phir Saans Nabzon Main
Itnay Haseen Hathon Se Miyat Saja Raha Hai Koi

 

Suna Hai Us Ky Badan Ki Traash Aisi Hai

Suna Hai Us Ky Badan Ki Traash Aisi Hai
Keh Phool Apni Qbaein Qtar Ky Dekhtay Hain

Woh Saroo Qad Hai Magar Be’gul-E-Muraad Nahin
Keh Is Shajar Pe Shagoofy Samar Ky Dekhty Hain

Bas Ik Nigha Se Luta Hai Qafla Dil Ka
So Raah-E-Rawaan Tamana Bhi Dar Ky Dekhty Hain

Suna Hai Is Ky Shabistaan Se Mutasil Hai Behshat
Makeen Idhar Ky Bhi Jalwey Udhar Dekhty Hain

Ruky To Gardashein Is Ka Twaaf Karti Hain
Chlay To Is Ko Zamany Tehar Ky Dekhty Hain

Kissy Naseeb Hai Be’pehrahan Issay Dekhay
Kabhi Kabhi Dar-O-Dewaar Ghar Ky Dekhty Hain

Kahaniyaan Hi Sahi Sab Mubalghay Hi Sahi
Agar Woh Khwaab Hai To Tabeer Kar Ky Dekhty Hain

Ab Is Ky Shaher Main Tehrein Keh Kooch Kar Jayein
Faraz Ayo Sitaray Safar Ky Dekhty Hain

Kuch Zakham Sadiyon Baad Bhi Taza Rehtay Hain Faraz

Kuch Zakham Sadiyon Baad Bhi Taza Rehtay Hain Faraz

Waqat Kay Paas Bhi Her Marz Ki Dawa Nahin Hoti

Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain

 

Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain
So Us Ke Shaher Main Kuch Din Tehar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Rabt Hai Us Ki Khraab Haalon Se
So Apnay Aap Ko Barbaad Kar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Dard Ki Gaahak Hai Chasham-E-Naz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Se Guzar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Us Ko Bho Shair-O-Shairyse Shaghaf
So Hum Bhi Mohjazay Apnay Hunar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Bolay To Baaton Se Phool Jhartay Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Ussay Chaand Takta Rehta Hai
Sitaray Baam-E-Falak Se Utar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Din Ko Ussay Titliyaan Statai Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Tehar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Hashar Hain Us Ki Ghazaal Si Aankhain
Suna Hai Us Ko Hiran (Deer) Dasht Bhar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Se Barh Kar Hain Ka’kalain Us Ki
Suna Hai Shaam Ko Saye Guzar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Us Ke Labon Se Gulaab Jaltay Hain
So Hum Bahaar Pe Ilzaam Dhar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Aaiyna-E-Tamsaal Hai Jabeen Us Ki
Jo Sada Dil Hain Ussay Aah Bhar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Us Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Keh Phool Apni Qubaein Kutar Ke Dekhtay Hain

Bas Ik Nigah Se Lut’ta Hai Qaflaa Dil Ka
So Reh’waan-E-Tamana Bhi Dar Ke Dekhtay Hain

Rukay To Gardashain Us Ka Tawaaf Karti Hain
Chalay To Us Ko Zamanay Tehar Ke Dekhtay Hain

Kahaniyaan Hi Sahi , Sab Mubaalgay Hi Sahi
Agar Woh Khwaab Hai Tabeer Kar Ke Dekhtay Hain

Ab Us Ke Shaher Main Tehrain Keh Kooch Kar Jayein
“Faraz” Aao Sitaray Safar Ke Dekhtay Hain

 

Dost Ban Kar Bhi Nahin Sath Nibhanay Wala

Dost Ban Kar Bhi Nahin Saath Nibhanay Wala
Wohi Andaz Hai Zaalim Ka Zamanay Wala

Ab Ussay Log Samajhtay Hain Giriftaar Mera
Sakhat Nadim Hai Mujhay Daam Main Lanay Wala

Kya Kahein Kitnay Marasam Thay Hamaray Us Se
Woh Jo Ik Shakhs Hai Munh Phair Kay Janay Wala

Teray Hotay Huye Aa Jati Thi Sari Duniya
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahin Aanay Wala

Muntazir Kis Ka Hoon Tooti Hui Dehleez Pe Main
Kon Aaye Ga Yahan Kon Hai Aanay Wala

Tum Takaluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhtay Ho “Faraz”
Dost Hota Nahin Her Haath Milanay Wala

 

 

Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu

Hui Hai Shaam To Aankhon Main Bas Gaya Phir Tu
Kahan Gaya Hai , Meray Shaher Kay Musafir Tu

Bhout Udaas Hai Ik Shakhs Teray Janay Se
Jo Ho Sakay To Chala Aa Usi Ki Khatar Tu

Meri Misal Keh Ik Nakhal Khushk Sehra Hoon
Tera Khayal Keh Shaakh-E-Chaman Ka Taahirtu

Main Jaanta Hoon Keh Duniya Tujhay Badal De Gi
Main Maanta Hoon Aisa Nahin Ba’zahir Tu

Hansi Khushi Se Bichar Jaa Agar Bicharna Hai
Yeh Her Maqaam Pe Kya Sochta Hai Aakhir Tu

“Faraz” Tu Ne Ussay Mushkalon Main Daal Diya
Zamana Saahib-E- Zar Aur Sirf Shaair Tu

 

 

Wafa Ki Qadar To Aaj Bhi Bhout Hai Faraz

Wafa Ki Qadar To Aaj Bhi Bhout Hai Faraz

Faqat Mit Chukay Hain Toot Ky Chahnay Wale

 

Dost Bhi Miltay Hain Mehfil Bhi Jami Rehti Hai

Dost Bhi Miltay Hain Mehfil Bhi Jami Rehti Hai
Tu Nahin Hota To Her Shai Main Kami Rehti Hai

Kuch Jazeeron Main Kabhi Khiltay Nahin Chahat Kay Gulaab
Kuch Jazeeron Pe Sada Dhund Jami Rehti Hai

 

 

Woh Chaand Mera Humsafar Tha

Woh Chand Mera Humsafar Tha !!
Doori Kay Ujaar Junglon Main
Ab Meri Nazar Sr Chup Chuka Hai
Ik Umar Se Main Malool-O-Tanha
Zulmaat Ki Raah Guzar Main Hoon
Main Aagay Barhon Keh Loat Aayon
Kya Soch Kay Intizaar Main Hoon
Koi Nahin Jo Yeh Bataiye !!
Main Kon Hoon ? Kis Diyaar Main Hoon

 

 

Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ky Dekhtay Hain

Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain
So Us Ke Shaher Main Kuch Din Tehar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Rabt Hai Us Ki Khraab Haalon Se
So Apnay Aap Ko Barbaad Kar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Dard Ki Gaahak Hai Chasham-E-Naz Us Ki
So Hum Bhi Us Ki Gali Se Guzar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Us Ko Bho Shair-O-Shairyse Shaghaf
So Hum Bhi Mohjazay Apnay Hunar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Bolay To Baaton Se Phool Jhartay Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Ussay Chaand Takta Rehta Hai
Sitaray Baam-E-Falak Se Utar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Din Ko Ussay Titliyaan Statai Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnoo Tehar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Hashar Hain Us Ki Ghazaal Si Aankhain
Suna Hai Us Ko Hiran (Deer) Dasht Bhar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Raat Se Barh Kar Hain Ka’kalain Us Ki
Suna Hai Shaam Ko Saye Guzar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Us Ke Labon Se Gulaab Jaltay Hain
So Hum Bahaar Pe Ilzaam Dhar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Aaiyna-E-Tamsaal Hai Jabeen Us Ki
Jo Sada Dil Hain Ussay Aah Bhar Ke Dekhtay Hain

Suna Hai Us Ke Badan Ki Taraash Aisi Hai
Keh Phool Apni Qubaein Kutar Ke Dekhtay Hain

Bas Ik Nigah Se Lut’ta Hai Qaflaa Dil Ka
So Reh’waan-E-Tamana Bhi Dar Ke Dekhtay Hain

Rukay To Gardashain Us Ka Tawaaf Karti Hain
Chalay To Us Ko Zamanay Tehar Ke Dekhtay Hain

Kahaniyaan Hi Sahi , Sab Mubaalgay Hi Sahi
Agar Woh Khwaab Hai Tabeer Kar Ke Dekhtay Hain

Ab Us Ke Shaher Main Tehrain Keh Kooch Kar Jayein
“Faraz” Aao Sitaray Safar Ke Dekhtay Hain

 

 

Piyaar Aur Mohabbat Us Dour Ki Baat Hai Faraz

Pyar Aur Mohabbat Us Dour Ki Baat Hai Faraz

Jab Makaan Kacchay Aur Log Sacchay Hua Kartay Thay

 

 

Dil Munafiq Tha Shab-E-Hijar Main Soya Kaisa

Dil Munafiq Tha Shab-E-Hijar Main Soya Kaisa
Aur Jab Tujh Se Mila Toot Ky Roya Kaisa

Zindagi Main Bhi Ghazal Hi Ka Qareena Rakha
Khwaab-Dar-Khwaab Teray Gham Ko Paroya Kaisa

Ab To Chaheron Pey Bhi Kutbon Ka Gumaan Hota Hai
Aankhain Pathrai Hui Hain Lab-E-Goya Kaisa

Dekh Ab Kurab Ka Mousam Bhi Na Sar’sabaz Lagay
Hijar Hi Hijar Marasam Main Samoya Kaisa

Aik Ansoo Tha Keh Dariya-E-Nadamat Tha Faraz
Dil Se Be’baak Shanawaar Ko Doboya Kaisa

 

 

Ab Ky Youn Dil Ko Saza Di Hum Ne

Ab Ky Youn Dil Ko Saza Di Hum Ne
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Ne

Ek Ek Phool Bhout Yaad Aya
Shakh-E-Gul Jab Jala Di Hum Ne

Aaj Tak Jis Par Woh Sharmatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Ne

Shaher-E-Jahan Raakh Se Aabad Hua
Aag Jab Dil Ki Bhuja Di Hum Ne

Aj Phir Yaad Bhout Aya Woh
Aj Phir Us Ko Dua Di Hum Ne

Koi To Baat Hai Us Main Faraz
Her Kushi Jis Pe Luta Di Hum Ne

 

Main Mar Mita To Woh Samjha Yeh Intiha Thi Meri

 

Main Mar Mita To Woh Samjha Yeh Intiha Thi Meri
Issay Khabar Hi Na Thi , Khaak Ki Maya Thi Meri

Main Chup Hua To Woh Samjha Keh Baat Khatam Hui
Phir Is Ky Baad To Awaaz Ja’baja Thi Meri

Main Us Ko Yaad Karon Bhi To Yaad Ata Nahin
Main Us Ko Bhool Gaya Hoon Yahi Saza Thi Meri

Shakist De Gaya Apna Ghroor Hi Us Ko
Wagarna Us Ky Muqabal Bisaat Kiya Thi Meri

Koi Bhi Koo-E-Mohabbatse Phir Nahin Guzra
To Shaher-E-Ishq Main Kiya Aakhri Sada Thi Meri

Main Us Ko Dekhta Rehta Tha Haira’ton Se Faraz
Yeh Zindagi Se Ta’aruf Ki Ibtida Thi Meri

 

 

Phiray Ga Tu Bhi Koo-Ba-Koo Hamari Tarah

Phiray Ga Tu Bhi Koo-Ba-Koo Hamari Tarah
Dareeda-E-Daaman Woh Ashafta Hamari Tarah

Kabhi To Sang Se Phootay Gi Ab Jo Gham Ki
Kabhi To Toot Kar Roaye Ga Tu Hamari Tarah

Palat Ky Tujhay Bhi Ana Hai Is Ki Taraf Lakin
Luta Ky Qaafla-E-Rang-O-Boo Hamari Tarah

Woh Laakh Dushman-E-Jaan Hon Magar Khuda Na Karay
Keh Is Ka Haal Bhi Ho Hu Bahu Hamari Tarah

Hum Hi Faraz Saza’waar-E-Sang Kyon Tehray
Keh Aur Bhi To Hain Dewaana ‘Khu Hamari Tarah

 

 

Sang Dil Hai Woh To Kyon Us Ka Gila Main Ne Kiya

Sang Dil Hai Woh To Kyon Us Ka Gila Main Ne Kiya
Jab Ke Khud Pathar Ko Butt, Butt Ko Khuda Main Ne Kiya

Kaisay Na’manoos Lafzon Ki Kahani Tha Woh Shaks
Us Ko Kitni Mushkalon Se Tarjumaan Main Ne Kiya

Woh Meri Pehli Mohabbat , Woh Meri Pehli Shakist
Phir To Paimaan-E-Wafa So Martaba Main Ne Kiya

Hoon Saza War-E-Saza Kyon Jan Muqadar Main Meray
Jo Bhi Us Jaan-E-Jahan Ne Likh Diya , Main Ne Kiya

Woh Teh’harta Kyon Keh Guzara Tak Nahin Jis Kay Liye
Ghar To Ghar Her Rasta Aarasta Main Ne Kiya

Mujh Pe Apna Juram Sabat Ho Na Ho Lakin Faraz
Log Kehtay Hain Keh Us Ko Be’wafa Main Ne Kiya

 

 

 

Sach Kahoon Ga To Saza Dain Gay Teray Shaher Ky Log

Sach Kahoon Ga To Saza Dain Gay Teray Shaher Kay Log
Mujh Ko Sooli Pe Charha Dain Gy Teray Shaher Kay Log

Baton Baton Main Tera Zikar Karain Gy Mujh Se
Youn Zakhmon Ko Hawa Dain Gy Teray Shaher Kay Log

Main Sadiyon Main Hansanay Ka Sellqa Sekha
Khabar Na Thi Keh Pal Main Rula Dain Gy Teray Shaher Kay Log

Main To Shamma Hoon Meri To Umar Hi Kiay Hai Faraz
Subha Hotay Hi Bujha Dain Gy Teray Shaher Kay Log

 

 

Roog Aisay Bhi Gham-E-Yaar Se Lag Jatay Hain

Roog Aisay Bhi Gham-E-Yaar Se Lag Jatay Hain
Dar Se Uth’tay Hain To Dewaar Se Lag Jatay Hain

Ishq Angaiz Main Halki Si Khlash Rakhta Hai
Baad Main Saikron Azaar Se Lag Jatay Hain

Pehlay Pehlay Hawas Ik Aah Dukaan Khulti Hai
Phir To Bazaar K Bazaar Lag Jatay Hain

Be’basi Bhi Kabhi Qurbatk Sabab Banti Hai
Roo Na Payein To Galay Yaar Se Lag Jatay Hain

Qatarnain Gham Ki Galiyon Main Jo Oorhay Phirtay Hain
Ghar Main Lay Ayo To Ambar Se Lag Jatay Hain

Daagh Daman Kay Hon, Dil Kay Hon , Ya Chaharay Kay Faraz
Kuch Nishaan Umar Ki Raftaar Se Lag Jatay Hain

 

 

Teray Hotay Huye Mehfil Main Jalatya Hain Chraagh

Teray Hotay Huye Mehfil Main Jalatya Hain Chraagh
Log Kiya Sada Hain , Suraj Ko Dekhatay Hain Chraagh

Apni Mehroomi Ky Ehsaas Se Sharminda Hain
Khud Nahin Rakhtay To Aur’on Ky Bujhtay Hain Chraagh

Kiya Khabar Un Ko Keh Daaman Bhi Bhrak Uth’tay Hain
Jo Zamaney Ki Hwaon Se Bujhtay Hain Chraagh

Aisay Be’dard Huye Hum Bhe Keh Ab Gulshan Par
Barq Girti Hai To Zindaan Main Jalatay Hain Chraagh

Aisi Tareekiyan Aankhon Main Basi Hain Keh Faraz
Raat To Raat Hum Din Ko Bhi Jalatay Hain Chraagh

 

 

Teray Hotay Huye Mehfil Main Jalatya Hain Chraagh

Teray Hotay Huye Mehfil Main Jalatya Hain Chraagh
Log Kiya Sada Hain , Suraj Ko Dekhatay Hain Chraagh

Apni Mehroomi Ky Ehsaas Se Sharminda Hain
Khud Nahin Rakhtay To Aur’on Ky Bujhtay Hain Chraagh

Kiya Khabar Un Ko Keh Daaman Bhi Bhrak Uth’tay Hain
Jo Zamaney Ki Hwaon Se Bujhtay Hain Chraagh

Aisay Be’dard Huye Hum Bhe Keh Ab Gulshan Par
Barq Girti Hai To Zindaan Main Jalatay Hain Chraagh

Aisi Tareekiyan Aankhon Main Basi Hain Keh Faraz
Raat To Raat Hum Din Ko Bhi Jalatay Hain Chraagh

 

 

 

Hum Khwaab Baichney , Sar-E-Bazaar Aa Gye

Hum Khwaab Baichney , Sar-E-Bazaar Aa Gye

Yeh Soch Kar Keh Gham Ky Kharidaar Aa Gaye

Awaaz De Ky Chup Gayiher Baar Zindagi

Hum Aisay Sada Dil Thay Keh Her Baar Aa Gaye

Hum Kaj Ada Chragh Thay , Jab Bhi Hawa Chali

Gharon Ko Chor Ky Sar-E-Dewaar Aa Gaye

Suraj Ki Dosti Par Jinhain Naaz Tha Faraz

Woh Bhi Zer-E-Saya Dewaar Aa Gaye

 

 

 

Yeh Jaan Kar Bhi Dono Kay Rastay Alag Thay

Yeh Jaan Kar Bhi Dono Kay Rastay Alag Thay
Ajab Haal Tha , Jab Us Se Ho Rahay Thay Alag

Yeh Harf-O-Lafaz Hain Duniya Se Gutagoo Kay Liye
Kisi Se Hum Sakhni Ky Mukalmay Thay Alag

Khyal Un Ka Bhi Aya Kabhi Tujhay Jana
Jo Tujh Se Door Bhout Door Jee Rahay Thay Alag

Hum Hi Nahin Thay Hamari Tarah Ky Aur Bhi Log
Azaab Main Thay Jo Duniya Se Sochtay Thay Alag

Akelay Pan Ki Zaat Ka Ab Gila Kaisay ?
Faraz Khud Hi To Aur’ron Se Ho Gaye Thay Alag

Aankhain Hain Keh Khali Nahin Rehtein Lahoo Se

Aankhain Hain Keh Khali Nahin Rehtein Lahoo Se
Aur Zakhm-E-Judai Hai Keh Bhar Bhi Nahin Jata

Woh Raaht-E-Jaan Hai Magar Is Dar’badri Main
Aisa Hai Keh Ab Dehaan Udhar Bhi Nahin Jata

Hum Dohri Aziyat Ky Giriftaar Musafir
Poan Bhi Hain Shall , Shouq-E-Safar Bhi Nahin Jata

Dil Ko Teri Chahat Pe Bhrosa Bhi Bhout Hai
Aur Tujh Se Bichar Janay Ka Dar Bhi Nahin Jata

Pagal Huye Jatay Ho Faraz Us Se Milay Kiya
Itni Si Kushi Se Koi Mar Bhi Nahin Jata

Jaan Se Ishq Aur Jahan Se Guraiz

Jaan Se Ishq Aur Jahan Se Guraiz
Doston Ne Kiya Kahan Se Guraiz

Ibtida Ki Teray Qaseeday Se
Ab Yeh Mushkil, Karon Kahan Se Guraiz

Main Wahan Hoon Jahan Jahan Tum Ho
Tum Karo Gy Kahan Kahan Se Guraiz

Kar Gaya Meray Teray Qissay Main
Daastaan-Go Yahan Wahan Se Guraiz

Jung Haari Na Thi Abhi Keh Faraz
Kar Gaye Dost Darmiyaan Se Guraiz

Tujhay Khabar Hi Nahin Keh Teri Udaas Adhoori Mohabbaton Ki Kahaniyan

Tujhay Khabar Hi Nahin Keh Teri Udaas Adhoori
Mohabbaton Ki Kahani
Jo Bari Kashada Dili Se
Hans Hans Kay Sun Raha Tha
Woh Shakhs Teri Sadaqaton Pe Fareefta
Ba’wafa Aur Sabat Qadam
Keh Jis Ki Jabeen Par
Zaalim Rafaqaton Ki Jalan Se
Koi Shikan Tak Na Aayi
Woh Zabat Ki Karab Naak Shiddat Se
Dil Hi Dil Main , Khamosh Chup Chaap
Mar Gaya …………..

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga

Aankh Se Door Na Ho Dil Se Utar Jaye Ga

Waqat Ka Kiya Hai Guzarta Hai Guzar Jaye Ga

Itna Manoos Na Ho Khilwat-E-Gham Se Apni

Tu Kabhi Khud Ko Bhi Dekhay Ga To Dar Jaye Ga

Tum Sar-E-Raah-E-Wafa Dekhtay Reh Jayo Gy

Aur Woh Baam-E-Rafaqat Se Utar Jaye Ga

Zindagi Teri Ata Hai To Yeh Jany Wala

Teri Bak’shish Teri Dahleez Pe Dhar Jaye Ga

Doobtay Doobtay Kashti Ko Oochala De Doon

Main Nahin Koi To Sahil Pe Utar Jaye Ga

Zabat Lazim Hai Magar Dukh Hai Qayamat Ka Faraz

Zaalim Ab Ke Bhi Na Roye Ga To Mar Jaye Ga

Qurbaton Main Judai Kay Zamanay Maangay

Qurbaton Main Judai Kay Zamanay Maangay
Dil Woh Be’mehar Keh Ronay Kay Bahanay Maangay

Hum Na Hotay To Kisi Aur Kay Charchay Hotay
Khalqat-E-Shaher To Kehnay Ko Fasanay Maangay

Yehi Dil Tha Keh Tarasta Tha Marasam Kay Liye
Ab Yahi Tark-E-Taaluq Kay Bahanay Maangay

Apna Yeh Haal Keh Jee Haar Chukay Lut Bhi Chukay
Aur Mohabbat Wohi Andaz Puranay Maangay

Zindagi Hum Teray Daghon Se Rahay Sharminda
Aur Tu Hai Keh Sada Aainay Khanay Maangay

Dil Kisi Haal Pe Qaneh Hi Nahin Jaan-E-Faraz
Mil Gaye Tum Bhi To Kya Aur Na Janay Maangay

 

Aankhon Main Sitaray To Kai Shaam Se Utray

 

Aankhon Main Sitaray To Kai Shaam Se Utray

Par Dil Ki Udasi Na Dar-O-Baam Se Utray

Kuch Rang To Ubhrayteri Gali Pehrani Ka

Kuch Zang To Aaina Ayaam Se Utray

Hotay Rahay Dil Lanha Ba Lamha Teh-O-Bala

Woh Zeena Ba Zeena Baray Araam Se Utray

Jab Tak Teray Qadmon Main Frokash Hain Sabu’kash

Saaqi Khat-E-Bada Na Lab-E-Jaam Utray

Poet : Ahmed Faraz

Faraz Zulam Hai Itni Khud Aitamadi Bhi

 

Faraz Zulam Hai Itni Khud Aitamadi Bhi

Keh Raat Bhe Thi Andheri Chragh Bhi Na Liya

Itney Chup Kyn Ho Rafeeqan-E-Safar Kuch To Kaho

 

Itney Chup Kyn Ho Rafeeqan-E-Safar Kuch To Kaho

Dard Se Choor Huye Ho Keh Qaraar Aya Hai

Phir Gaya Hijar Ka Her Zakham Keh Jee Haar Chalay

Bujh Gaya Shauq Keh Paigham-E-Nigaar Aya Hai

Na’muradi Ki Thakan Hai Keh Khumaar-E-Shabe-E-Wasal

Jaan Sulagti Hai Keh Chaheron Pe Nikhaar Aya Hai

Kitni Ujri Hui Rut Hai Keh Sukoon Hai Na Junoon

Itni Be’faiz Hui Baad-E-Bahari Kaisay

Na Kahin Nooha-E-Jaan Hai Na Kahin Naghma-E-Dil

Kuch To Bolo Keh Shab-E-Dard Guzari Kaisay ?

Sar Bah-Zano Ho To Kyn Chaak Girabaan Walo !

Bazi Raah-E-Talab Jeet Ke Hari Kaisay ?

Poet : Ahmed Faraz

Us Ko Juda Huye Bhi Zamana Bhout Hua

Us Ko Juda Huye Bhi Zamana Bhout Hua
Ab Kiya Kahain Yeh Qissa Pura Bhout Hua

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-E-Firaaq
Ae Marg-E-Nagahan ! Tera Ana Bhout Hua

Hum Khalad Se Nikal To Gaye Hain Par Ae Khuda
Itney Se Waqiea Ka Fasana Bhout Hua

Ab Hum Hain Aur Saray Zamaney Ki Dushmani
Us Se Zara Sa Rabat Barhana Bhout Hua

Ab Kyn Na Zindagi Pe Mohabbat Ko War Dain
Is Aashqi Main Jaan Se Jana Bhout Hua

Ab Tak To Dil Ka Dil Se Taaruf Na Ho Saka
Mana Keh Is Se Milna Milana Bhout Hua

Lo Phir Teray Labon Pe Usi Be’wafa Ka Zikar
Ahmed Faraz! Tujh Se Kaha Na Bhout Hua

Poet : Ahmed Faraz

Na Manzalon Ko, Na Hum Raah Guzar Ko Dekhtay Hain

Na Manzalon Ko, Na Hum Raah Guzar Ko Dekhtay Hain
Ajab Safar Hai Keh Bas Hum Safar Ko Dekhtay Hain

Na Pooch Jab Woh Guzarta Hai Be’niazi Se
To Kis Malaal Se Hum Naam-E-Bar Ko Dekhtay Hain

Teray Jamaal Se Hat Kar Bhi Aik Duniya Hai
Yeh Sar’chasam Magar Kab Idher Ko Dekhtay Hain

Woh Be’khabar Meri Aankhon Ka Sabar Bhi Dekhein
Jo Tanz Se Meray Damaan-E-Tar Ko Dekhtay Hain

Yeh Jaan Kani Ki Ghari Kiya Tah’er Gai Hai Keh Hum
Kabho Qaza Ko Kabhi Chara Gar Ko Dekhtay Hain

Hamari Dar Badri Ka Yeh Majra Hai Keh Hum
Musafaron Ki Tarah Apney Ghar Ko Dekhtay Hain

Poet : Ahmed Faraz

 

Bhly Dino Ki Baat Hai , Bhli Si Aik Shakal Thi

 

 

 

Bhly Dino Ki Baat Hai , Bhli Si Aik Shakal Thi
Na Yeh Ke Hussan Taam Ho , Na Dekhny Main Aam Thi

Na Yeh Keh Woh Chaly To Keh’kashaan Si Raah’guzar Lagay
Magar Woh Sath Ho To Phir , Bhla Bhla Safar Lagay

Koi Rut Bhi Ho Us Ki Chub Fiza Ka Raang-O-Roop Thi
Woh Garmi’on Ki Cha’on Thi , Woh Sardi’on Ki Dhoop Thi

Na Mud’daton Juda Rahay Na Sath Subh-O-Shaam Ho
Na Rishta Wafa Pe Zid Na Yeh Keh Azn-E-Aam Ho

Na Aisi Kush Libasiyan Keh Sadgi Gila Karay
Na Aisi Be-Takal’lafi Keh Aaina Haya Karay

Na Ehtalaat Main Woh Rum Keh Bad’maza Ho Khwaish’ein
Na Is Qadar Supurdagi Keh Zich Kar’ein Nawazishein

Na Aashqi Junoon Ki ‘ Keh Zindagi Azaab Ho
Na Is Qadar Khathor Pan , Keh Dosti Khraab Ho

Kabhi To Baat Bhi Khafi Kabhi Sakoot Bhi Sakhan
Kabhi To Kasht Zafaraan , Kabhi Udasiyon Ka Ban

Suna Hai Ik Umar Hai Mamalaat-E-Dil Ki Bhi
Wasal-E-Jaan Fiza To Kiya , Firaaq-E-Jaan Gasal Ki Bhi

So Ik Roz Kiya Hua , Wafa Ki Behas Chir Gayi
Main Ishq Ko Amar Kahon Woh Meri Zid Se Chir Gaye

Main Ishq Ka Aseer Tha , Woh Ishq Ko Qafas Kahay
Keh Umar Bhar Ke Sath Ko Bad’tras Hawas Kahay

Shajar Hijar Nahin Keh Hum Hamesha Paba Gul Rah’ein
Na Dhor Hain Keh Rasiaan , Galay Main Mustaqil Rah’ein

Mohabbaton Ki Wusat’ein Hamaray Dast-O-Paa Main Hain
Keh Aik Dar Se Nisba’tein , Sagaan-E-Ba’wafa Main Hain

Main Koi Painting Nahin Keh Aik Frame Main Rahoon
Wohi Jo Mann Ka Meet Ho , Usi Ke Prem Main Rahoon

Tumhari Jo Bhi Soch Ho , Main Us Mizaaj Ka Nahin
Mujhay Wafa Se Bair Hai , Yeh Baat Aj Ki Nahin

Na Mujh Ko Us Pe Maan Tha , Na Us Ko Mujh Pe Zaham Hi
Jan Ehad Bhi Koi Na Ho To Kiya Gham-E-Shakistagi

So Apna Apna Rasta Hansi Kushi Badal Liya
Woh Apni Raah Pe Chal Pari , Main Apni Raah Pe Chal Diya

Bhli Si Us Ki Shakal Thi , Bhli Si Us Ki Dosti
Ab Us Ki Yaad Raat Din Nahin , Magar Kabhi Kabhi
Poet : Ahmed Fraz

 

 

Us Se Milne Ko Kabhi Hum Jo Machal Jatay Hain

Us Se Milnay Ko Kabhi Hum Jo Machal Jatay Hain
To Khayalon Main Bhout Door Nikal Jatay Hain

Gar Mohabbat Main Sadaqat Bhi Ho Shiddat Bhi
Phir To Ehsaas Hai Pathar Bhi Pighal Jatay Hain

Us Ki Aankhon Kay Nashay Main Hoon Jab Se Dooba
Lar’kharatay Hain Qadam Sambhal Jatay Hain

Be’wafa Ka Jab Bhi Mujhay Khayal Aata Hai
Ashk Aankhon Se Rukhsaar Bhi Pighal Jatay Hain

Pyar Main Aik Hi Mousam Hai Baharon Ka Faraz
Log Mousam Ki Tarah Kaisay Badal Jatay Hain

Khali Hathon Ko Kabhi Ghour Se Dekha Hai Faraz

Khali Hathon Ko Kabhi Ghour Se Dekha Hai Faraz

Kis Tarah Log Lakeeron Se Nikal Jatay Hain

Sajdon Main Guzaron Apni Sari Zindagi Faraz

Sajdon Main Guzaron Apni Sari Zindagi Faraz

Ik Baar Woh Keh De Mujhay Dua’on Se Mang Lo

Mohabbat Ke Baad Mohabbat Mumkin Hai Faraz

Mohabbat Ke Baad Mohabbat Mumkin Hai Faraz

Par Toot Ke Chahna Sirf Aik Baar Hota Hai

Wafa Ki Qadar To Aaj Bhi Bhout Hai Faraz

 

Wafa Ki Qadar To Aaj Bhi Bhout Hai Faraz

Faqat Mit Chukay Hain Toot Ke Chahnay Walay

Main Chup Ho Jayon Ga Bujhti Hui Shamm’on Kay Saath

Main Chup Ho Jayon Ga Bujhti Hui Shamm’on Kay Saath
Aur Kuch Lamhay Tehar ! Ae Zindagi , Ae Zindagi
Jab Talak Roshan Hain Aankhon Kay Fasurda Taach’qay
Neelgon Honton Se Phootay Gi Sada Ki Roshni
Jism Ki Girti Hui Dewaar Ko Thaamay Huye
Mom Kay Butt Aatish’ein Chehray Sulagi Muratein
Meri Bee’nai Ki Yeh Makhlooq Zinda Hai Abhi
Aur Kuch Lamhay Tehar ! Ae Zindagi , Ae Zindagi
Ho To Janay De Meray Lafzon Kay Mah’ni Se Tahi
Meri Tehre’rain , Dhuwein Ki Raangti Parchaiyan
Jin Kay Paikar Apni Awazon Se Khali Be’lahu !
Mehav Ho Janay To De Yaadon Se Khawabon Ki Tarah
Ruk To Jayein Aakhri Saanson Ki Wehshi Aandhiyaan
Phir Hata Lena Meray Maathay Se Tu Bhi Apna Haath
Main Bhi Chup Ho Jaon Ga , Bujhti Hui Shamm’on Kay Saath
Aur Kuch Lamhay Tehar ! Ae Zindagi , Ae Zindagi

 

Woh Chaand Mera Hamsafar Tha

Woh Chaand Mera Ham’safar Tha
Doori Kay Ujaar Junglon Main
Ab Meri Nazar Se Chup Chuka Hai
Ik Umar Se Malool-O-Tanha
Zulmaat Kay Rah’guzar Main Hoon
Main Aagay Barhoon Keh Loat Aaon
Kiya Soch Kay Intizaar Main Hoon
Koi Nahin Jo Yeh Bataye
Main Kon Hoon ? Kis Diyaar Main Hoon

Ahmed Faraz

Subha Hui To Ankhain Aisay Neend Se Bhoujhal Thein Faraz

 

Subha Hui To Ankhain Aisay Neend Se Bhoujhal Thein Faraz

Jisay Koi Jaag Raha Tha Mujh Main Sari Raat
Posted By Imran’s Poetry At Saturday, May 10, 2014 No Comments:

Yeh Soch Kar Uski Her Baat Ko Sach Mana Hai Faraz

 

Yeh Soch Kar Uski Her Baat Ko Sach Mana Hai Faraz

Keh Itnay Khoobsurat Lab Jhoot Kaisay Bolain Ge

Barbaad Karney Ke Aur Bhi Rastay Thay Faraz

Barbaad Karney Ke Aur Bhi Rastay Thay Faraz

Na’janay Unhain Mohabbat Ka Hi Khyal Kyn Aya

Ab Ussay Roz Na Sochon To Badan Toot’ta Hai Faraz

Ab Ussay Roz Na Sochon To Badan Toot’ta Hai Faraz

Umar Guzri Us Ki Yaad Ka Nasha Kartay Kartay

Hoti Hai Bari Zalim Yak’tarfa Mohabbat Faraz

Hoti Hai Bari Zalim Yak’tarfa Mohabbat Faraz
Woh Yaad To Atay Hain Par Yaad Nahin Kartay

 

Ab Ke Tajdeed-E-Wafa Ka Nahin Imkaan Janaa

 

 

Ab Ke Tajdeed-E-Wafa Ka Nahin Imkaan Janaa
Yaad Kiya Tujh Ko Dilaein Tera Paymaan Janaa

Youn Hi Mousam Ki Adaa Dekh Ke Yaad Aya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jatay Hain Insaan Janaa

Dil Yeh Kehta Hai Keh Shyed Ho Afsurda Tu Bhe
Dil Ki Kiya Baat Karain Dil To Hai Nadaan Janaa

Hum Bhe Kiya Sadaa Thay Hum Ne Bhe Samjh Rakha Hai
Gham-E-Douraan Se Juda Hai Gham-E-Janaan Janaa

Ab Tera Zikar Bhe Shyed He Ghazal Main Aye
Aur Se Aur Huaye Dard Ke Unwaan Janaa

Hum Keh Roothi Hui Rut Ko Bhe Mana Latay Tahy
Hum Ne Dekha He Na Tha Mousam-E-Hijraan Janaa

Poet : Ahmed Faraz

Khathan Hai Raah Guzar Thori Door Sath Chalo

Khathan Hai Raah Guzar Thori Door Sath Chalo
Bhout Kara Hai Safar Thori Door Sath Chalo

Tamam Umar Kahan Koi Sath Deta Hai
Yeh Janta Hoon Magar Thori Door Sath Chalo

Nashay Main Choor Hoon Main Bhe Tumhain Bhe Hosh Nahin
Bara Maza Ho Agar Thori Door Sath Chalo

Yeh Aik Shab Ki Mulaqat Bhe Ghaneemat Hai
Kissay Hai Kal Ki Khabar Thori Door Sath Chalo

Abhi To Jaag Rahay Hain Chraagh Rahoon Ke
Abhi Hai Door Sehar Thori Door Sath Chalo

Tawaaf Manzal Janaa Hamain Bhe Karna Hai
Faraz Tum Bhe Agar Thori Door Sath Chalo

Poet : Ahmad Faraz

 

Yeh Kiya Sab Se Biyaan Dil Ki Haltain Karni

Yeh Kiya Sab Se Biyaan Dil Ki Haltain Karni
Faraz Tujh Ko Na Ayein Mohabbatain Karni

Yeh Qarb Kiya Hai Keh Tu Samney Hai Aur Hamain
Shumaar Abhi Se Judai Ki Saatain Karni

Koi Khuda Ho Keh Pathar Jissay Bhe Hum Chayain
Tamaam Umar Usi Ibadatain Karni

Hum Apney Dil Se Hain Majboor Aur Logon Ko
Zara Se Baat Pe Barpa Qiyamtain Karni

Milain Jab In Se To Mabham Si Guftagoo Karna
Phir Apney Aap Se So So Wazahatain Karni

Kabhi Faraz Naye Mousmon Main Ro Dena
Kabhi Talash Purani Raqabtain Karni

Us Ki Sansoon Ki Tapash Se Jal Gaye Honth Faraz

Us Ki Sansoon Ki Tapash Se Jal Gaye Honth Faraz

Kitni Aag The Us Main Mujhay Jalaney Kay Liye

Yeh Aalam Shauq Ka Dekha Na Jaye

 

 

 

Yeh Aalam Shauq Ka Dekha Na Jaye
Wo Butt Hai Ya Khuda Dekha Na Jaye

Yeh Kin Nazroon Say Tu Nay Aaj Dekha
Keh Tera Dekhna Dekha Na Jaye

Hamesha Kay Liye Mujh Say Bichar Ja
Yeh Manzar Baar’ha Dekha Na Jaye

Ghalat Hai Suna Par Aazma Kar
Tujhe Ay Be-Wafa Dekha Na Jaye

Ye Mehroomi Nahin Paas-E-Wafa Hai
Koi Aur Tare Siwa Dekha Na Jaye

Yehi To Aashna Bantay Hain Aakhir
Koi Na Aashna Dekha Na Jaye

Faraz Apne Siwa Hai Kon Tera
Tujhay Tujh Se Juda Dekha Na Jaye

Tumhare Shaher Ka Mausam Bara Suhaana Lagay

 

Tumhare Shaher Ka Mausam Bara Suhaana Lagay
Main Eik Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lagay

Tumhare Bas Mein Agar Ho To Bhul Jao Mujhay
Tumhe Bhulane Mein Shayad Mujye Zamana Lagay

Humare Pyaar Se Jalne Laggi Hai Eik Duniya
Duwa Karro Kissi Dushman Ki Bad Duwa Na Lagay

Jo Dub Na Hai To Itne Sakoon Se Dubbo
Ke Ass Paas Ki Lehroon Ko Bhi Pata Na Lagay

Kuch Is Aadha Se Mere Saath Bewafai Kar
Ke Tere Baad Mujye Koi Bewafa Na Lage

 

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay Ke Liye Aa

 

Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa

Pahale Se Maraasim Na Sahii Phir Bhi Kabhi To
Rasm-O-Rahe Duniya Hi Nibhane Ke Liye Aa

Kis Kis Ko Batayenge Judaai Ka Sabab Ham
Tu Mujhse Khafaa Hai Tou Zamaane Ke Liye Aa

Kuch Tou Mere Pindaar-E-Mohabbat Ka Bharam Rakh
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manaane Ke Liye Aa

Ek Umr Se Hoon Lazzat-E-Giriyaa Se Bhi Maharuum
Aye Raahat-E-Jaan Mujh Ko Rulaane Ke Liye Aa

Ab Tak Dil-E-Khushfeham Ko Tujh Se Hain Umidain
Ye Aakharii Shammen Bhi Bujhaane Ke Liye Aa

Ab Ke Hum Bichray To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein

 

Ab Ke Hum Bichray To Shayad Kabhi Khwabon Mein Milein
Jis Tarhan Sookhay Huay Phool Kitabon Mein Milein
Dhond Ujray Huay Logon Mein Wafa Ke Moti
Ye Khazanay Tuje Mumkin Hai Kharabon Mein Milein
Tu Khuda Hai Na Mera Ishq Farshton Jaisa
Donon Insaan Hain To Kion Itna Hijaabon Mein Milein
Ghum E Dunya Bhi Ghum E Yar Mein Shamil Kar Lo
Nasha Barhta Hai Sharabi Jo Sharabon Mein Milein
Ab Na Wo Mein Hon Na Tu Hai Na Wo Mazi Hai Faraz
Jaisay Do Saaay Tamanna Ke Sarabon Mein Milaein