Allama Iqbal Poetry Lyrics

Allama Iqbal Poetry Lyrics

 

 

 

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya

Iqbal Teri Qaum Ka Iqbal Kho Gaya

Mazi To Sunehra Hai Magar Haal Kho Gaya
Posted By Imran’s Poetry At Monday, June 04, 2018 No Comments:

 

Mujhay Ishq Kay Par Laga Kar Urra

Mujhay Ishq Kay Par Laga Kar Urra

Meri Khaak Jugnoo Bana Kar Urra

Uqaabi Rooh Jab Baidaar Hoti Hai Jawano Main

Uqaabi Rooh Jab Baidaar Hoti Hai Jawano Main

Nazar Aati Hai Un Ko Apni Manzil Aasmano Main

Khuda Naseeb Karay Hind Kay Imamon Ko

Khuda Naseeb Karay Hind Kay Imamon Ko

Woh Sajda Jis Main Hai Millat Ki Zindagi Ka Payaam

 

Likhna Nahin Aata To Meri Jaan Parha Kar

 

Likhna Nahin Aata To Meri Jaan Parha Kar

Ho Jaye Gi Mushkil Teri Aasaan Parha Kar

Parhne Kay Liye Tujh Ko Agar Kuch Na Mile To

Chehron Pe Likhe Dard Kay Unwaan Parha Kar

Ay Insan Teri Rooh Ko Taskeen Mile Gi

Tu Karb Kay Lamhaat Main Quran Parha Kar

 

Elahi Teri Makhlooq Ka Ajab Ik Tamasha Dekha

Elahi Teri Makhlooq Ka Ajab Ik Tamasha Dekha
Chhalaktey Jaam Dekhey Samandron Ko Payasa Dekha

Ye Kya Majra Hai Apni To Samaj Main Nhi Aya
Admi Apni Hi Justuju Main Ulajhta Dekha

Jin K Haath Thay Khali Wo Masroof-E-Zikr Dekhay
Haathon Main Liye Tasbih Logon Ko Bhatakta Dekha

Alhamd-U-Lillah Ka Matlab To Samajh Main Aya
Siraat-E-Mostaqeem K Matlab Pe Logon Ko Jhagarta Dekha

Eiman Bechtay Howay Adam Kay Betay Dekhay
Hawwa Ki Beti Ko Sar-E-Bazar Bikta Dekha

Kese Dunya K Makr-O-Faraib Se Samjhota Kar Loon”Iqbal”
Keh In Aankhon Ne Badshahon Ko B Martay Dekha

 

Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti

 

Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti
Magar Hai Is Se Yeh Mumkin Keh Tu Badal Jaye

Teri Khudi Main Agar Inqalaab Ho Paida
Ajab Nahin Hai Keh Yeh Chaar Soo Badal Jaye

Wohi Sharab, Wohi Haye-O-Hoo Rahay Baaqi
Tareeq-E-Saqi-O-Rasam Kadu Badal Jaye

Teri Dua Hai Keh Ho Teri Aarzoo Poori
Meri Dua Hai Teri Aarzoo Badal Jaye

 

Teray Sofay Hain Afrangi , Teray Qaleen Hain Irani

Teray Sofay Hain Afrangi , Teray Qaleen Hain Irani
Lahu Mujh Ko Rulaati Hai Jawano Ki Tan’asaani

Amaraat Kya , Shikwa-E-Khusrawi Bhi Ho To Kya Haasil
Na Zor-E-Haidari Tujh Main , Na Istaghna-E-Sulemani

Na Dhoond Is Cheez Ko Tehzeeb-E-Haazir Ki Tajali Main
Keh Paya Main Ne Istaghna Main Miraaj-E-Musalmani

Uqaabi Rooh Jab Baidaar Hoti Hai Jawano Main
Nazar Aati Hai Us Ko Apni Manzil Aasmano Main

Na Ho No’umeed , No’umeedi Zawaal-E-Ilm-O-Irfan Hai
Umeed-E-Mard-E-Moman Hai Khuda Kay Raaz’daano Main

Nahin Tera Nashaiman Qasar-E-Sultani Kay Gumbad Par
Tu Shaheen Hai , Basera Kar Paharon Ki Chitano Main

 

Thokar Lagi To, Apne Muqaddar Pe Ja Gira

 

Thokar Lagi To, Apne Muqaddar Pe Ja Gira
Phir Yu Huwa K, Aaina Pathar Pe Ja Gira

Ehsaas_E_Farz Jab Bhi Huwa, Neend Aa Gayi
Chalna Tha Pul-Saraat Pe, Bister Pe Ja Gira

Baazi Mohabbaton Ki Jahaalat Ne Jeet Li
Wo Ban Gaya Khateeb, Jo Mimber Pe Ja Gira

Khushbu Qasoor-Waar, Nahi, Is Ko Chor Do
Me Phool Torte Huwe, Kanton Pe Ja Gira

Sehraaon Me Liye Phira Iqbal Paani Ki Justaju
Jab Piyas Mar Gayi To, Samundar Pe Ja Gira

 

Apni Duniya Aap Paida Kar Agar Zindon Main Hai

 

Apni Duniya Aap Paida Kar Agar Zindon Main Hai

Sar-E-Aadam Hai , Zameer-E-Kun Fikaan Hai Zindagi

Khudi Hi Ilm Se Mehkam To Ghairat-E-Jibrail

Khudi Hi Ilm Se Mehkam To Ghairat-E-Jibrail

Agar Ho Ishq Se Mehkam To Soor-E-Israfeel

Thokar Lagi To Muqaddar Pe Ja Gira

Thokar Lagi To Muqaddar Pe Ja Gira
Phir Huwa Youn Aaina Pathar Pe Ja Gira

Ehsaas-E-Farz Jab Bhi Hua Neend Aa Gayi
Chalna Tha Pul-E-Siraat Pe Bister Pe Ja Gira

Bazi Mohabbaton Ki Jahalat Ne Jeet Li
Woh Ban Gaya Khateeb Jo Nunabar Pe Ja Gira

Khushboo Qasoor Waar Nahin Ussay Chor Do
Main Phool Torta Hua Kaanton Pe Ja Gira

Sehraaon Main Liye Phira “Iqbal” Pani Ki Justagoo
Jab Pyaas Mar Gayi To Samandar Pe Ja Gira

 

Na Ishq-E-Hussain , Na Zouq-E-Shahadat

Na Ishq-E-Hussain , Na Zouq-E-Shahadat

Ghafal Samjh Baitha Hai Maatam Ko Ibaadat

 

Shaheen Kabhi Parwaaz Se Thak Kar Nahin Girta

Shaheen Kabhi Parwaaz Se Thak Kar Nahin Girta

Pur Dam Hai Agar Tu, To Nahin Khatra-E-Aftaad

 

Raah-E-Mohabbat Main Hai Kon Kisi Ka Rafeeq

Raah-E-Mohabbat Main Hai Kon Kisi Ka Rafeeq

Saath Meray Reh Gayi Aik Meri Aarzoo

 

Nahin Hai Na’umeed Iqbal Apni Kasht-E-Veeran Se

Nahin Hai Na’umeed Iqbal Apni Kasht-E-Veeran Se

Zara Nam Ho To Yeh Matti Bhout Zarkhaiz Hai Saqi

 

Yeh Kainaat Abhi Na’tamaam Hai Shayed

Yeh Kainaat Abhi Na’tamaam Hai Shayed

Keh Aa Rahi Hai Dama-Dam Sada-E-“Kun’fauakon”

Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti

Teri Dua Se Qaza To Badal Nahin Sakti
Magar Hai Is Se Yeh Mumkin Keh Tu Badal Jaye

Teri Khudi Main Agar Inqalaab Ho Paida
Ajab Nahin Hai Keh Yeh Chaar Soo Badal Jaye

Wohi Sharab, Wohi Haye-O-Hoo Rahay Baaqi
Tareeq-E-Saqi-O-Rasam Kadu Badal Jaye

Teri Dua Hai Keh Ho Teri Aarzoo Poori
Meri Dua Hai Teri Aarzoo Badal Jaye

 

Uqaabi Rooh Jab Baidaar Hoti Hai Jawano Main

Uqaabi Rooh Jab Baidaar Hoti Hai Jawano Main

Nazar Aati Hai Un Ko Apni Manzil Aasmano Main

 

Parwaz Hai Dono Ki Isi Aik Fiza Main

Parwaz Hai Dono Ki Isi Aik Fiza Main
Kargas Ka Jahan Aur Hai , Shaheen Ka Jahan Aur

Alfaaz-O-Mahni Main Tfawat Nahin Lakin
Mulla Ki Azaan Aur , Mujahid Ki Azaan Aur

 

Khamosh Ae Dil Bharri Mehfil Main Chilaana Nahin Acha

Khamosh Ae Dil Bharri Mehfil Main Chilaana Nahin Acha

Adab Pehla Qareena Hai , Mohabbat Kay Qareeno Main

 

Zamanay Kay Andaaz Badlay Gaye Naya Raag Hai Saaz Badlay Gaye

Zamanay Kay Andaaz Badlay Gaye

Naya Raag Hai Saaz Badlay Gaye

Khirad Ko Ghulaami Ko Azaad Kar

Jawaano Ko Peeron Ka Ustaad Kar

Zamanay Kay Andaaz Badlay Gaye

Naya Raag Hai Saaz Badlay Gaye

Jigar Se Wohi Teer Phir Paar Kar

Tamana Ko Seenon Main Baidaar Kar

Jawaano Ko Soz-E-Jigar Bakhsh Dy

Mera Ishq Meri Nazar Bakhsh Dy

Zamanay Kay Andaaz Badlay Gaye

Naya Raag Hai Saaz Badlay Gaye

Khirad Ko Ghulaami Ko Azaad Kar

Jawaano Ko Peeron Ka Ustaad Kar

Zamanay Kay Andaaz Badlay Gaye

Naya Raag Hai Saaz Badlay Gaye

Pila Dy Mujhay Woh Meh Parda Soz

Keh Aati Nahin Fasal-E-Gul Roz Roz

Woh Meh Jis Se Roshan Hai Zameer-E-Hayaat

Woh Meh Jis Se Hai Masti-E-Kainaat

Masti-E-Kainaat

Zamanay Kay Andaaz Badlay Gaye

Naya Raag Hai Saaz Badlay Gaye

Khirad Ko Ghulaami Ko Azaad Kar

Jawaano Ko Peeron Ka Ustaad Kar

Zamanay Kay Andaaz Badlay Gaye

Naya Raag Hai Saaz Badlay Gaye

 

 

Mar Kar Khaak Kay Putlay Pe Gharoor-O-Be’niazi Itni

 

Mar Kar Khaak Kay Putlay Pe Gharoor-O-Be’niazi Itni

Khud Ko Khudi Main Jhaank Kar Dekh Tujh Main Rakha Kya Hai

 

Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zuban Kehty Kehty

Goongi Ho Gai Aaj Kuch Zuban Kehty Kehty
Hichkicha Gya Main Khud Ko Musalman Kehty Kehty

Ye Baat Nahi K Muj Ko Us Par Yaqeen Nahi
Bas Dar Gya Khud Ko Saheb-E-Imaan Kehty Kehty

Tofeq Na Hoi Mujhy Ek Waqt Ki Namaz Ki
Aur Chup Hoa Moazan Aazaan Kehty Kehty

Kisi Kafir Ne Jo Poocha K Ye Kia Hay Maheena
Sharam Se Pani Hoa Main Ramzan Kehty Kehty

Mere Shelf Main Gard Se Ati Kitaab Ka Jo Poocha
Main Garh Gya Zameen Main Quran Kehty Kehty

Ye Sun K Chup Sadh Li “Iqbal” Us Ne
Yoon Laga Jese Ruk Gaya Ho Mujhay Hewaan Kehty Kehty

 

 

Hai Nafs Kay Haathon Tu Majboor Kitna

Hai Nafs Kay Haathon Tu Majboor Kitna

Sub Jaan Kay Bhi Hy Aaj La Shaoor Kitna

Jis Chehry Ne Hay Ik Din Matti Men Mil Jaana

Us Chehry Pe Hay Tujhe Ghuroor Kitna

Aik Sajde K Inkaar Ne Iblees Ko Shetaan Bana Dia

Tu Khud Jaan Lay Tera Hy Qusoor Kitna

Jin Ki Sunnat Pe Chalna Tujhe Gawaara Nhi

Tery Waasty Roye Thy Woh Huzoor Kitna

Tu Ne Chakhi Hy Faqat Gunaahon Ki Lazzat

Tu Kya Jaane Ae Iqbal

Zikr-E-Elaahi Main N Hai Suroor Kitna

 

 

Mohabbat Ki Tmanna Hai To Phir Woh Wasf Peda Kar

Mohabbat Ki Tmanna Hai To Phir Woh Wasf Peda Kar

Jahan Se Ishq Chalta He ,Vahan Tak Naam Peda Kar

Agr Sachai Hai Mere Ishq Me To Aey Bani-E-Adam

Nigah-E-Ishq Peda Kr Jamal-E Zarf Peda Kar

Me Tujh Ko ,Tujh Se Ziada -Aur- Sb Se Ziada Chahon Ga

Magr Shart Yeh Hai Keh Apny Andr Meri Justaju To Peda Kar

Agr Na Badloun Teri Khatir Hr Ik Cheez To Kehna

Tu Apne Aap Me Pehly Andaz-E.-Wafa To Peda Kar

 

Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par Ghair Se Ghafil Hoon Main

Sakhtiyaan Karta Hoon Dil Par Ghair Se Ghafil Hoon Main

Hay Kiya Achi Kahi Zaalim Hoon Main Jahil Hoon Main

Hai Meri Zillat Hi Meri Shraafat Ki Daleel

Jis Ki Ghaflat Ko Malaik Rotay Hain Woh Ghafil Hoon Main

Bazam-E-Hasti Apni Aaraish Petu Nazan Na Ho

Tu To Ik Tasveer Hai Mehfil Ki Aur Mehfil Hoon Main

Dhoondta Phirta Hoon Ae “Iqbal” Apnay Aap Ko

Aap Hi Gaya Muusafir Aap Hi Manzil Hoon Main

 

 

Ishq Qatil Se Bhi , Maqtool Se Hamdardi Bhi

Ishq Qatil Se Bhi , Maqtool Se Hamdardi Bhi
Yeh Bata Kis Se Mohabbat Ki Jaza Paye Ga ?

Sajda Khaliq Ko Bhi , Iblees Se Yaraana Bhi
Hashar Main Kis Se Aqeedat Ka Sila Maangay Ga ?

 

Ishq Ki Taqweem Main Asar-E-Rawaan Ke Siwa

Ishq

Ishq Ki Taqweem Main Asar-E-Rawaan Kay Siwa

Ishq Dam-E-Jibraiel , Ishq Dil-E-Mustufa (Pbuh)

Aur Zamanay Bhi Hain Jin Ka Nahin Koi Naam

Ishq Khuda Ka Rasool (Pbuh) , Ishq Khuda Ka Kalaam

Ishq Ki Masti Se Hai Paikar-E-Gul-E-Taabnaak

Ishq Fiqiya-E-Haram , Ishq Ameer-E-Junood

Ishq Hai Seh’baaiay Khaam , Ishq Hai Kaas-Ul-Ikraam

Ishq Hai Ib-Nas-Sabeel , Is Kay Hazaron Maqaam

 

“Iqbaal”Ishq Ne Teray Sab Bal Nikaal Diye

“Iqbaal”Ishq Ne Teray Sab Bal Nikaal Diye

Muddat Se Aarzoo Thi Seedha Kare Koi

 

Quwat-E-Ishaq Se Her Past Ko Baala Kar De

Quwat-E-Ishaq Se Her Past Ko Baala Kar De

Dehar Main Ism-E-Muhammad Se Ujaala Kar De

 

Jo Main Sar-Ba-Sajood Hua Kabhi To Zameen Se Anay Lagi Sada

Jo Main Sar-Ba-Sajood Hua Kabhi To Zameen Se Anay Lagi Sada

Tera Dil To Hai Sanam Ashna , Tujhe Kiya Mile Ga Nimaaz Main

 

 

Teray Ishq Ki Intiha Chahta Hoon

Teray Ishq Ki Intiha Chahta Hoon
Meri Saadgi Dekh Kiya Chahta Hoon

Sitam Ho Ke Ho Wada-E-Be’hijaabi
Koi Baat Sabar Azmaa Chahta Hoon

Yeh Jannat Mubarak Rahay Zahidon Ko
Keh Main Aap Ka Samna Chahta Hoon

Zara Sa To Dil Hoon Magar Zoq Itna
Wohi Lun Traani Suna Chahta Hoon

Koi Dam Ka Mehmaan Hoon Ae Ehal-E-Mehfil
Chraagh-E-Sehar Hoon Bujha Chahta Hoon

Bhari Bazam Main Raaz Ki Baat Keh Di
Bara Be’adab Hoon Saza Chahta Hoon

 

Manaten Kiyon Mangtay Ho Auron Ke Darbaar Se “Iqbal”

Manaten Kiyon Mangtay Ho Auron Ke Darbaar Se “Iqbal”

Kon Sa Kaam Hai Jo Nahin Hota Teray Parwardigaar Se

 

Apni Khrabiyon Ko Pas-E-Pusht Daal Kar

Apni Khrabiyon Ko Pas-E-Pusht Daal Kar

Her Shakhs Keh Raha Hai Zamana Khraab Hai

 

 

Tere Sofay Hain Afrangi , Tere Qaleen Hain Iraani

Tere Sofay Hain Afrangi , Tere Qaleen Hain Iraani

Lahoo Mujh Ko Rulaati Hai , Jawano Ki Tan Asaani

 

Youn To Syed Bho Ho , Mirza Bhi Ho , Afghaan Bhi Ho

Youn To Syed Bhi Ho , Mirza Bhi Ho , Afghaan Bhi Ho

Tum Sabhi Kuch Ho Batayo To Musalmaan Bhi Ho

 

Parindon Ki Duniya Ka Darwaish Hoon Main

Parindon Ki Duniya Ka Darwaish Hoon Main

Keh Shaheen Banata Nahin Aashiyana

 

Parwaaz Hai Dono Ki Isi Aik Fiza Main

Parwaaz Hai Dono Ki Isi Aik Fiza Main

Kargas Ka Jahan Aur Hai Shaheen Ka Jahan Aur

 

 

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai

Par Nahin Taqat-E-Parwaaz Magar Rakhti Hai

 

 

Khudi Ko Kar Buland Itna Keh Her Taqdeer Se Pehlay

Khudi Ko Kar Buland Itna Keh Her Taqdeer Se Pehlay

Khuda Bandat Se Khud Poochay Bata Teri Raza Kiya Hai

 

Dashat To Dashat Hain Dariya Bhi Na Choray Hum Ne

Dashat To Dashat Hain Dariya Bhi Na Choray Hum Ne

Behr-E-Zulmaat Main Doraa Diye Ghoray Hum Ne

 

Ae Tahir-E-La’huti Us Rizq Ae Mout Achi

Ae Tahir-E-La’huti Us Rizq Ae Mout Achi

Jis Rizq Se Ati Ho Parwaaz Main Ko’tahei

 

Banda-O-Saahib-O-Mohtaaj-O-Ghanni Aik Huye

Banda-O-Saahib-O-Mohtaaj-O-Ghanni Aik Huye

Teri Sarkaar Main Ponchay To Sabhi Aik Huye

 

Aik Hi Saff Main Kharre Ho Gaye Mehmood-O-Ayaaz

Aik Hi Saff Main Kharre Ho Gaye Mehmood-O-Ayaaz

Na Koi Banda Raha Aur Na Koi Banda Nawaaz

 

Khuda’wand Yeh Teray Sada Dil Banday Kidher Jaayein

Khuda’wand Yeh Teray Sada Dil Banday Kidher Jaayein

Keh Darwaishi Bhi Eyaari Hai , Sultaani Bhi Eyaari

 

Shikayat Hai Mujhe Ya’rab ‘ Khuda Wandaan-E-Maktab Se

Shikayat Hai Mujhe Ya’rab ‘ Khuda Wandaan-E-Maktab Se

Sabaq Shaheen Bachon Ko De Rahay Hain Paak’baazi Ka

 

Nahin Hai Na’umeed Iqbaal Apni Kasht-E-Veraan Se

Nahin Hai Na’umeed Iqbaal Apni Kasht-E-Veraan Se

Zara Num Ho To Yeh Matti Bari Zarkhaiz Hai Saaqi

 

Nahin Tera Nashai’mann Qasr-E-Sultaani Ke Gumbad Par

Nahin Tera Nashai’mann Qasr-E-Sultaani Ke Gumbad Par

To Shaheen Ahi Baseera Kar Paharon Ki Chitanon Par

 

Hazaron Saal Nargis Apni Be’noori Pe Roti Hai

Hazaron Saal Nargis Apni Be’noori Pe Roti Hai

Bari Mushkil Se Hota Hai Chamn Main Deeda War Paida

 

Sun To Sahi Jahan Main Hai Tera Fasana Kiya

Sun To Sahi Jahan Main Hai Tera Fasana Kiya

Kehti Hai Tujh Ko Khalq-E-Khuda Ghiybaana Kiya

 

Afraad Ke Hathon Main Hai Aqwaam Ki Taqdeer

Afraad Ke Hathon Main Hai Aqwaam Ki Taqdeer

Her Fard Hai Millat Ke Muqadar Ka Sitara

 

Jalaal-E-Baad’shahi Ho Keh Jamhoori Tamasha Ho

Jalaal-E-Baad’shahi Ho Keh Jamhoori Tamasha Ho

Juda Ho Deen Siyasat Se To Reh Jati Hai Changaizi

 

Yeh Faizaan-E-Nazar Tha Ya Keh Maktab Ki Kramat Thi

Yeh Faizaan-E-Nazar Tha Ya Keh Maktab Ki Kramat Thi

Sikhaye Kis Ne Ismaaeel Ko Adaab-E-Far’zandi

 

Wajood-E-Zan Se Hai Tasveer-E-Kainaat Main Rang

Wajood-E-Zan Se Hai Tasveer-E-Kainaat Main Rang

Isi Ke Saaz Se Hai Zindagi Ka Soz-E-Doraan

 

 

Sitaron Se Aagay Jahan Aur Bhi Hain

Sitaron Se Aagay Jahan Aur Bhi Hain

Abhi Ishq Ke Imtihaan Aur Bhi Hain

 

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai

Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai

Par Nahin Taqat-E-Parwaaz Magar Rakhti Hai

 

 

Be’khatar Kood Para Aatish-E-Namrood Main Ishq

Be’khatar Kood Para Aatish-E-Namrood Main Ishq

Aqal Hai Mehav-E-Tamashaye Lab-E-Baam Abhi

 

Aankh Jo Dekhti Hai Lab Pe Aa Sakta Nahin

Aankh Jo Dekhti Hai Lab Pe Aa Sakta Nahin

Main Mehv-E-Hairat Hoon Keh Duniya Kiya Se Kiya Ho Jaye Gi

 

Noor-E-Khuda Hai Kufar Ki Harkat Pe Khanda Zan

Noor-E-Khuda Hai Kufar Ki Harkat Pe Khanda Zan

Phoonkon Se Yeh Chraagh Bhujhaya Na Jaye Ga

 

 

Quwat-E-Ishq Se Her Past Ko Bala Kar De

Quwat-E-Ishq Se Her Past Ko Bala Kar De

Dehar Main Ism-E-Muhammad Se Ujala Kar De

 

Tum Haya-O-Shariyat Ky Taqazaon Ki Baat Kartay Ho

Tum Haya-O-Shariyat Ky Taqazaon Ki Baat Kartay Ho

Hum Ne Nangay Jismon Ko Malboos-E-Haya Dekha Hai

Dekhay Hain Hum Ne Ehraam Main Lipty Kai Iblees

Hum Ne Kai Baar Meh’khanon Main Khuda Dekha Hai

Poet : Allama Iqbal

 

Sitaron Se Aagay Jahan Aur Bhi Hain

Sitaron Se Aagay Jahan Aur Bhi Hain
Abhi Ishq Ky Imtihaan Aur Bhi Hain

Tahi Zindagi Se Nahin Yeh Fizaein
Yahan Sainkaron Imtihaan Aur Bhi Hain

Qna’at Na Kar Alam-E-Rang-O-Boo Par
Chaman Aur Bhi Hain Ashiyaan Aur Bhi Hain

 

Muhabbat Ki Tmanna Hai To Phir Woh Wasf Peda Kar

Muhabbat Ki Tmanna Hai To Phir Woh Wasf Peda Kar
Jahan Se Ishq Chalta He Wahan Tak Naam Peda Kar

Agar Sachaai Mere Ishq Main To Ae Bani Adam
Nigah-E-Ishq Peda Kr Jamal-E Zarf Peda Kar

Main Tujh Ko ,Tujh Se Ziada Aur Sab Se Ziada Chahon Ga
Magar Shart Yeh Hai Keh Apny Andr Meri Justaju To Peda Kar

Agar Na Badloun Teri Khatir Hr Ik Cheez To Kehna
Tu Apne Aap Me Pehly Andaz-E-Wafa To Peda Kar

 

Ya Rab Dil-E-Mslim Ko , Woh Zinda Tamana De

Ya Rab Dil-E-Mslim Ko , Woh Zinda Tamana De
Jo Qalab Ko Garma De , Jo Rooh Ko Tarpa De

Phir Wadi-E-Faraan Ky Her Zarre Ko Chmka De
Phir Shouq-E-Tamasha De , Phir Zoq-E-Tamana De

Mehrrom-E-Tamasha Ko , Phir Deeda-E-Beena De
Dekha Hai Jo Kuch Main Ne Auron Ko Bhi Dikhla De

Bhatakti Hui Aahaon Ko , Phir Soo-E-Haram Le Chal
Uss Shahaer Ky Khoogar Ko Phir Wusat-E-Sehra De

Paida Dil-E-Veeran Main , Phir Shoorish Mehshar Kar
Is Mehmal-E-Khali Ko , Phir Shahid -E-Laila De

Is Daur Ki Zulmat Main , Her Qalb-E-Parishaan Ko
Woh Daagh-E-Mohabbat De , Jo Chaand Ko Shrma De

Raf’ath Main Maqasad Ko , Hamdosh-E-Suriyya Kar
Khuddari-E-Sahil De , Azaadi-E-Dariya De

Be’lous-E-Mohabbat Ho , Be’baak Sdaaqat Ho
Seenon Main Ujala Kar , Dil Surat-E-Meena De

Ehsaas Inayat Kar Asar-E-Musibat Ka
Imroz Ki Shorish Main Andesha-E-Farda De

Main Bul’bul-E-Nadaan Hoon , Ik Ujray Gulistaan Ki
Taseer Ka Saa’il Hoon Mohtaaj Ko Daataa De

 

Jinhein Main Dhoondta Tha Aasmano Main Zameeno Main

Jinhein Main Dhoondta Tha Aasmano Main Zameeno Main
Woh Niklay Meray Zulmat Khana-E-Dil Kay Makeeno Main

Haqeeqat Apni Aankhon Par Nu’mayan Hui Jab Apni
Makan Nikla Hamaray Khana-E-Dil Kay Makeeno Main

Agar Kaccha Aashna Hona Mizaj Jaba Saai Se
To Sang Aastaan Kaaba Ja Milta Jabeeno Se

Kabhi Apna Bhi Nazara Kiya Hai Tu Ne Ae Majnoo
Keh Laila Ki Tarah Khud Bhi Hai Meh’mal Nasheeno Main

Maheenay Wasal Ki Ghariyon Ki Surat Urtay Jatay Hain
Magar Ghariyan Judai Ki Guzarti Hain Maheeno Main

Mujhay Rokay Ga Tu Ae Na’khuda Kya Gharq Honay Se
Keh Jin Ko Doobna Ho Doob Jatay Hain Safeeno Main

 

 

 

Majnoo Ne Shaher Chora To Sehra Bhi Chor De

Majnoo Ne Shaher Chora To Sehra Bhi Chor De
Nizaray Ki Hawas Ho To Laila Bhi Chor De

Wahzz ! Kamaal Tark Se Milti Hai Yan Muraad
Duniya Jo Chor Di Hai To Aqba Bhi Chor De

Sodagari Nahin Yeh Ibadat Khuda Ki Hai
Ae Be’khabar ! Jaza Ki Tamana Bhi Chor De

Acha Hai Dil Ke Paas Rahay Pasbaan-E-Aqal
Lakin Kabhi Kabhi Ussay Tanha Bhi Chor De

Shoki Si Hai Sawal-E-Mukarar Main Ae Kaleem
Shart-E-Raza Hai Keh Taqaza Bhi Chor De

Wahzz ! Saboot Laye Jo Mae Ke Jawaz Main
Iqbal Ko Zid Hai Keh Peena Bhi Chor De

Poet Allama Iqbal

 

Aj Bhi Ho Jo Ibrahim Ka Emaan Paida

Aaj Bhi Ho Jo Ibrahim (A.S) Ka Emaan Paida

Aag Kar Sakti Hai Andaz-E-Gulistan Paida

 

Sajdon Ke Ewaz Firdos Milay Yeh Baat Mujhay Manzoor Nahin

Sajdon Ke Ewaz Firdos Milay Yeh Baat Mujhay Manzoor Nahin

Be’loas Ibadat Karta Hoon Banda Hoon Tera Mazdoor Nahin

Poet : Allama Iqbal

 

Shikwa-E-Ishq Nahin Jurat-E-Guftaar Nahin

Shikwa-E-Ishq Nahin Jurat-E-Guftaar Nahin

Meray Hathon Main Koi Jabar Ki Talwaar Nahin

Ibn-E-Adam Hoon Insaan Se Mohabbat Ki Hai

Aag Ka, Chaand Ka, Pathar Ka, Paristaar Nahin

Main Ne Mana Keh Tu Yousaf Sa Haseen Hai Lakin

Yeh Mera Dil Hai Koi Misar Ka Bazaar Nahin

Ae Khuda Mujh Ko Mohabbat De Ibadat Ke Awaiz

Main To Teri Kisi Jannnat Ka Khridaar Nahin

Jis Ne Insaan Se Mohabbat Hi Na Ki Ho

Dar-Haqeeqat Woh Khuda Ka Bhi Talabgaar Nahin

Poet : Allama Iqbal

 

Teri Ishq Ki Intiha Chahta Hoon

Teri Ishq Ki Intiha Chahta Hoon
Meri Sadgi Dekh Kiya Chahat Hoon

Sitam Ho Keh Ho Wada-E-Be’hijabi
Koi Baat Sabar Azma Chahta Hoon

Yeh Jannat Mubarak Rahay Zahadon Ko
Keh Main Ap Ka Samna Chahta Hoon

Zara Sa To Dil Hon Magar Shokh Itna
Woh Lan-Turani Suna Chahta Hoon

Koi Dam Ka Mehmaan Hon Ae Ahl-E-Mehfil
Chragh-E-Sehar Hon Bujha Chah’ta Hoon

Bhari Bazam Main Raaz Ki Baat Keh Di
Bara Be-Adab Hoon Saza Chah’ta Hoon