Zauq e Naat Lyrics

Zauq e Naat Lyrics

 

Hai Paak Rutba Fikr Se Us Beniyaaz Ka Hamd Lyrics

 

Hai paak rutba fikr se us beniyaaz ka
Kuch dakhl aql ka hai na kaam imtiyaaz ka

Lab band aur dil mein woh jalwe bhare huwe
Allah re jigar tere aagaahe raaz ka

Gash aa gaya kaleem ko mushtaaqe deed se
Jalwa bhi be niyaaz hai us beniyaaz ka

Har shay se hain ayaa(n) mere saane’ ki san-ate
Aalam sab aainon mein hai aaina saaz ka

Aflaako arz sab tere farmaa(n) pazeer hain
Haakim hai tu jahaa(n) ke nashebo faraaz ka

Is bakasi mein dil ko mere tek lag gayi
Shohra suna jo rehmate bekas nawaaz ka

Maaninde sham’a teri taraf lau lagi rahe
De lutf mere jaan ko sozo gudaaz ka

Tu be hisaab bakhsh ki hain be shumaar jurm
Deta hoon waasta tujhe shaahe hijaaz ka

Bande pe tere nafse laee(n) ho gaya muheet
Allah kar ilaaj meri hirso aaz ka

Kyun kar na mere kaam banein ghaib se Hasan
Banda bhi hoon to bade kaar saaz ka

 

 

 

Fikr Asfal hay mayri martaba A’la Tera

 

Wasf kiya khak likhay khak ka putla Tayra

Her jagah zikr hay ay wahid-o-yakta Tayra

Kon si bazm mayn roshan nahin ikka Tayra

Kheerah karta hay nigahaun ko ujala Tayra

Kijiye kon si ankhaun say nazarah Tayra

Hayn tayray naam say aabadi-o-sahra abad

Shehar mayn zikr Tayra dasht mayn charcha Tayra

Bay-Nawa muflis-o-muhtaaj-o-gada kon keh mayn

Sahib-e-jood-o-karam wasf hay kis ka Tayra

Itni nisbat bhi mujhay donon jahan mayn bas hay

Tu mayra Maalik-o-Maula hay mayn bandah Tayra

Ab jamata hay Hasan us ki gali mayn bistar

Khuburiyyon ka jo mahboob hay piyara Tayra

 

KHWAJA E HIND WO DARBAAR HAI AALA TERA NAAT LYRICS

Khwaja E Hind Wo Darbaar Hai Aala Tera
Kabhi Mehroom Nahi Maangne Waala Tera

Khuftgane Shabe Ghaflat Ko Jaga Deta Hai
Saalhasaal Wo Raato Ka Na Sona Tera

Hai Teri Zaat Ajab Bahre Haqeeqat Pyare
Kisi Tairaak Ne Paaya Na Kinara Tera

Gulshan E Hind Se Shadaab Kaleje Thande
Wah Ay Abre Karam Zor Barasna Tera

Kya Mahak Hai Ki Mu’attar Hai Dimaag E Aalam
Takhta E Gulshan E Firdaus Hai Rouza Tera

Tujhme Hai Tarbiyate Khizr Ke Paida Aasaar
Bahro Bar Me Hume Milta Hai Sahara Tera

Zille Haq Ghous Pe Hai Ghous Ka Saaya Tujh Par
Saaya Gustar Sare Khuddam Pe Saaya Tera

Tujhko Baghdad Se Haasil Hui Wo Shaan E Rafe’a
Dang Rah Jaate Hai Sab Dekh Ke Rutba Tera

Kyo Na Baghdad Me Jaari Ho Tera Chashma E Faiz
Bahre Baghdad Hi Ki Nahar Hai Dariya Tera

Jabse Tune Qadme Ghous Liya Hai Sarr Par
Awliyah Sar Pe Qadam Lete Hai Shaha Tera

Muhiyyudi(n) Ghous Hai Aur Khwaja Mueenuddi(n) Hai
Ay Hasan Kyu Na Ho Mehfooz Aqeeda Tera

 

Aasma gar tere talwoon ka nazara karta

 

Aasma gar tere talwoon ka nazara karta
roz ek chand tasaddukh me utara karta

Chup gaya chand na ayi tere didar ki tab
or agar samne rehta to bhi sajda karta

Aah kya khub tha gar hazir e dar hota mai
unke saye ke tale chain se soya karta

Aank uthti to mai jhunjh lake palak si leta
dil bigad ta to mai ghabra ke sambhala karta

Kabhi khud apne taghaiyyur pe mai hairan hota
kabhi khud apne samajh ne ko na-samjha karta

Kabhi kehta ke ye kya bazm hai kaisi hai bahar
kabhi andaz e tajahul se mai taoba karta

Maut us din ko jo phir naam watan ka leta
khaak us sir pe jo is dar se kanara karta

Be khuda na kabhi sajde me sue-dar girta
janib e khibla kabhi chonk ke palta karta

Ye maze khoobi ye khismat se jo paye hote
sab se diwana tha gar khuld ki parwah karta

Aye hasan khasd e madina nahi rona hai yahi
or mai aap se kis baat ka shikwa karta

 

Aasiyon Ko Dar Tumhara Mil Gaya,

 

 

Aasiyon Ko Dar Tumhara Mil Gaya,
Be-Thikano Ko Thikana Mil Gaya.

Fazl-e-Rab Se Fir Kami Kis Baat Ki,
Mil Gaya Sab Kuch Jo Taiba Mil Gaya.

Kashf-e-Raaz-e-Man Ra’aani Yuñ Hua,
Tum Mile To Haq Ta’ala Mil Gaya.

Bekhudi Hai Baa-ees-e-Kashf-e-Hijaab,
Mil Gaya Milne Ka Rasta Mil Gaya.

Un Ke Dar Ne Sabse Mustagni Kiya,
Be-Talab Be-Khwahish Itna Mil Gaya.

Na-Khudaai Ke Liye Aaye Huzoor (ﷺ)
Dubto Niklo Sahara Mil Gaya.

Dono Aalam Se Mujhe Kyuñ Kho Diya,
Nafs-e-Khud Matlb Tujhe Kya Mil Gaya.

Aañkheñ Pur-Nam Ho Gaye Sar Jhuk Gaya,
Jab Tera Naqsh-e-Kafe-Pa Mil Gaya.

Khuld Kaisa Kya Chaman Kiska Watan,
Mujhko Sehraaye Madina Mil Gaya.

Hai Mohabbat Kis Qadar Naam-e-Khuda,
Naam-e-Haq Se Naam-e-Waala Mil Gaya.

Un Ke Taalib Ne Jo Chaha Pa Liya,
Un Ke Saa’il Ne Jo Manga Mil Gaya.

Tere Dar Ke Tukde Haiñ Aur Maiñ Gareeb,
Mujh Ko Rozi Ka Thikana Mil Gaya.

Ay «Hasan» Firdaus Me Jaayeñ Janaab,
Hamko Sahraaye Madina Mil Gaya.

 

 

Dil Mera Duniya pe Shaida Ho gaya Lyrics

 

Dil Mera Duniya Pe Shaida Hogaya
Aye Mere Allah Yeh Kia Hogaya

Kuch Mere Bachne Ki Soorat Kijiye
Ab To Jo Hona Tha Maula Hogaya

Aib Posh-e-Khalq-e-Daaman Se Mere
Sab Gunah Garon Ka Parda Hogaya

Rakh Diya Jab usne Pathar per Kadam
Saaf Ek Aaina Paida Ho Gaya

Dur Ho Mujhse Jo Unse dur hai
Use pe main sadqe Jaun ka ho gaya

Rab-e-Sallim Wo Idhar Kehnay Lagay
Us Taraf Paar Apna Bera Hogaya

Unke jalwon Mein Hai Ye Dil chaspiya
Jo wahan pahuncha wahi ka ho gaya

 

kahoon kya haal Zahid Gulshan tayyiba ki Nuzhat ka Lyrics

 

kahoon kya haal Zahid , Gulshan tayyiba ki Nuzhat ka
ke hai Khuld bareen chhota sa tukda meri jannat ka

taala Allah Shaukat tairay Naam pak ki aaqa
ke ab tak arsh aala ko hai saktah teri Haibat ka

wakeel apna kya hai Ahmed mukhtaar ko mein ne
nah kyun kar phir rihayi meri Mansha ho adalat ka

bulatay hain usi ko jis ki bigri woh banatay hain
kamar bandhna dyarِ tayyiba ko khilna hai qismat ka

khulein islam ki ankhen sun-hwa sara jahan roshan
arab ke chaand sadqy kya hi kehna teri Talat ka

nah kar رسواے Mahshar , vaastaa mehboob ka ya Rab
yeh mujrim door se aaya hai sun kar naam rehmat ka

mradin mangnay se pehlay millti hain madinah mein
hajhoom jood ne roka hai barhna dastay haajat ka

shab_e_ اسری tre jloon ne kuch aisa samaa baandha
ke ab tak arsh Azam muntazir hai teri rukhsat ka

yahan ke doubtey Dam mein udhar ja kar ubharte hain
kinara aik hai behar nedamat behar rehmat ka

ghanni hai dil, bhara hai Nemat konain se daman
gadda hon mein faqeer aastan khud badolat ka

Tuwaf roza Mooli pay nawaqif bigartai hain
aqeedah aur hi kuch hai Adab daan mohabbat ka

khazaan gham se rakhna door mujh ko uss ke sadqy mein
jo Gul ae باغباں hai itar tairay baghِ sanat ka

Ellahi baad مردن parda ہاے haail aُth jayen
Ujala mere marqad mein ho unn ki shama tُrbt ka

suna hai roz-e- Mahshar aap hi ka mun تکیں ge sab
yahan poora sun-hwa matlab dil e mshtaqِ رؤیت ka

wujood pak baais Khalqat makhlooq ka thehra
tumhari shan-e wahdat se sun-hwa Izhaar kasrat ka

hamein bhi yaad rakhna ساکنان koocha janan
salam shoq puhanche be kisaan dast-e gurbat ka

حسنؔ sarkar tayyiba ka ajab darbaar aliiiii hai
dar-e doulat pay ik Mela laga hai ehley haajat ka

 

tasawwur lutf deta hai dahane paak sarwar ka Lyrics

 

tasawwur lutf deta hai dahane e paak sarwar ka

bhara aata hai pani mere muhn main hauz e kausar ka

jo kuchh bhi ho un ke jamal e zarrahe parwar ka
mere deewan ka matla mahre maheshar ka

tasawwur lutaf deta hai دہان pak suroor ka
bhara aata hai pani mere mun mein hoz kusar ka

jo kuch bhi Wasf ho unn ke Jamal zarraa parwar ka
marey dewan ka mutala ho mutala mohar Mahshar ka

mujhe bhi dekhna hai hosla Khurshid Mahshar ka
liye جاؤں ga chhota sa koi zarraa tre dar ka

jo ik gosha chamak jaye tumahray zarraa dar ka
abhi mun daikhta reh jaye aaina Sikandar ka

agar jalva nazar aaye kaf-e پاے Munawar ka
zara sa mun nikal aaye abhi Khurshid Mahshar ka

agar dam bhar tasawwur kiijiye shan-e peyambar ka
zuba pay shore ho be sakhta اﷲ akbar ka

Ujala tor ka dekhen Jamal jaan fza dekhen
claim aa kar uttha dekhen zara parda tre dar ka

do aalam میہماں, to mizban, khawan karam jari
idher bhi koi tukda mein bhi kutta hon tre dar ka

nah ghar baithy miley johar Safa o khaksari ke
Mureed zarraa tayyiba hai aaina Sikandar ka

agar uss Khanda dandan numa ka Wasf mozoon ho
abhi lehra chalay behar sukhan se chashma gohar ka

tre daman ka saya aur daman kitney pyare hain
woh saya dast-e Mahshar ka yeh haami deedaa tar ka

tumahray koocha o marqad ke Zair ko muyassar hai
nzarah baghِ jannat ka, tamasha arsh akbar ka

گنہ گاران aُmt unn ke daman par machaltay hon
Ellahi chaak ho jis dam gireybn subh-e Mahshar ka

ملائک jin o INSAA sab aِsi dar ke salami hain
do aalam mein hai ik Shahrah marey mohtaaj parwar ka

Ellahi Tishna Kaam hijar dekhe dast-e Mahshar mein
barasna abre rehmat ka, chhalakna hoz kusar ka

ziyarat mein karoon aur woh Shafaat meri farmaen
mujhe hungama aydin ya rab din ho Mahshar ka

naseeb doastaan unn ki gali mein gir sukoonat ho
mujhe ho mughfirat ka silsila har taar bistar ka

woh giryaa اسْتن hinana ka aankhon mein phirta hai
huzoori ne badhaya tha jo paya awj minbar ka

hamesha رہروان tayyiba ke zair-e qadam aaye
Ellahi kuch to ho Aizaz mere kaasa sir ka

sahara kuch nah kuch rakhta hai har frdِ bashar apna
kisi ko naik kamon ka حسنؔ ko –apne yawar ka

 

Mujrim e Haibat Zada Jab Fard e Isyan Lyrics

 

mujrim Haibat zada jab fardِe isyaan le chala
lutaf sheh taskeen deta paish Yazdan le chala

dil ke aaina mein jo tasweer janan le chala
mehfil jannat ki Araish ka saman le chala

Rubru jannat ko tayyiba ka biyaabaan le chala
daman e dil khinchtaa khaar مغیلاں le chala

Gul nah ho jaye chairag zeenat Gulshan kahin
–apne sir mein mein ہواے dast-e janan le chala

ravay aalam taab ne bnta jo baara noor ka
mahe no kashti mein piyala mohar Taban le chala

go nahi rakhtay zamane ki woh doulat –apne paas
par zamana nematon se bhar ke daman le chala

teri Haibat se mila taaj سلاطیں khaak mein
teri Rehmat se gadda tkhtِ سلیماں le chala

aisi Shaukat par ke udta hai pharera arsh par
jis gadda ne arzoo ki unn ko mehmaan le chala

dabdaba kis se bayan ho unn ke Naam pak ka
sher ke mun se salamat jaan-e سلماں le chala

sadqy uss rehmat ke unn ko roz-e- Mahshar har taraf
ناشکیبا shore faryaad اسیراں le chala

saaz o samanِ گداے kaway suroor kya kahoon
uss ka منگتا saroori ke saaz o saman le chala

do qadam bhi chal nah satke hum sar-e Shamsheer taiz
haath pakdae Rab سلمْ ka ng_hban le chala

dastagir khasta halan dast Gary kiijiye
paon mein rasha hai sir par bari عصیاں le chala

waqt e aakhir na aُmidi mein woh soorat dekh kar
dil shakista dil ke har Parah mein qraan le chala

qaidyoun ki jnbshِ abrow se beyri kaat do
warna jrmoN ka tasalsul سوے zandan le chala

roz-e- Mahshar shaad hon aassi ke pishِ kibriya
REHAM unn ko امتیْ goyan o Giryaan le chala

shakal shabnam raton ka rona tra abre karam
subh-e Mahshar surat_e_ Gul hum ko Khandan le chala

کشتگان naz ki qismat ke sadqy jayye
unn ko maqtal mein تماشاے shaheedan le chala

Akhtar islam chamka, kufar ki zulmat چھنٹی
badar mein jab woh hlalِ tegh barran le chala

bzmِ Khuban ko kkhuda ne pehlay di آرائشیں
phir marey dulha ko سوے bzmِ Khuban le chala

اﷲ اﷲ sar sar tayyiba ki rang آمیزیاں
har bagula nuzhat saro gulisitan le chala

qatra qatra unn ke ghrse behar arfaan ho gaya
zarraa zarraa unn ke dar se mohar Taban le chala

subh-e Mahshar har اداے aariz roshan hain woh
shama noor afshaan piye shamِ gharibaan le chala

shafey roz-e- qayamat ka hon adna ummati
phir حسنؔ kya gham agar mein bari عصیاں le chala

 

 

qibla ka bhi kaaba rukhe neko nazar aaya Lyrics

 

 

qibla ka bhi kaaba rukhe neko nazar aaya

kabba ka bhi qibla khame abru nazar aaya

 

mahshr mr kisi ne bhi meri bat na puchhi

hami nazar aaya to bas ik tu nazar aaya

 

qibla ka bhi kaaba rukh e naiko nazar aaya
kaaba ka bhi qibla khham abrow nazar aaya

Mahshar mein kisi ne bhi meri baat nah poochi
haami nazar aaya to bas ik to nazar aaya

phir bndِ kashakash mein girftar nah dekhe
jab moujza jnbshِ abrow nazar aaya

uss dil ke fida jo hai tri deed ka taalib
unn aankhon ke qurbaan jinhen to nazar aaya

Sultan o gadda sab hain tre dar ke bhikari
har haath mein darwazay ka baazu nazar aaya

sajda ko jhuka jaye baraahim mein kaaba
jab qibla konain ka abrow nazar aaya

bazarِ qayamat mein jinhen koi nah pouchye
aison ka khredar hamein to nazar aaya

Mahshar mein گنہ gaar ka palla sun-hwa bhaari
palla pay jo woh qurb traazo nazar aaya

ya dekhnay wala tha tra ya tra joya
jo hum ko kkhuda bِin o kkhuda jُo nazar aaya

shall haath سلاطیں ke uthay bahar gadai
darwaaza tra qotِ baazu nazar aaya

Yousuf se hsin aur تمناے nzarah
aalam mein nah tum sa koi khush roo nazar aaya

faryaad gharibaan se hai Mahshar mein woh be chain
kusar pay tha ya qurb traazo nazar aaya

takleef uttha kar bhi dua mangi ado ki
khush khalq nah aisa koi khush khoo nazar aaya

zahir hain حسنؔ Ahmed mukhtaar ke maienay
konain pay sarkar ka qaboo nazar aaya

 

AISA TUJHE KHALIQ NE TARAH DAAR BANAYA LYRICS

Aisa Tujhe Khaaliq Ne Tarahdaar Banaya
Yusuf Ko Tera Taalib E Deedar Banaya

Kaunain Banaaye Gaye Sarkaar Ki Khaatir
Kaunain Ki Khaatir Tumhein Sarkaar Banaya

Kunji Tumhein Di Apne Khazaanon Ki Khuda Ne
Mehboob Kiya Maalik O Mukhtaar Banaya

Allah Ki Rehmat Hai Ke Aise Ki Ye Qismat
Aasi Ka Tumhein Haami O Ghumkhwaar Banaya

Aalam Ke Salaateen Bhikaari Hain Bhikaari
Sarkaar Banaya Tumhein Sarkaar Banaya

Lillah Karam Mere Bhi Veerana E Dil Par
Sehra Ko Tere Husn Ne Gulzaar Banaya

Allah Ta’ala Bhi Huwa Uss Ka Tarafdaar
Sarkaar Tumhein Jis Ka Tarafdaar Banaya

Gulzaar E Jinaan Tere Liye Haq Ne Banaye
Apne Liye Tera Gul E Rukhsaar Banaya

Be Yaaro Madadgaar Jinhein Koi Na Pooche
Aison Ka Tujhe Yaaro Madadgaar Banaya

Har Baat Bad A’amaliyon Se Maine Bigaadi
Aur Tum Ne Meri Bigdi Ko Har Baar Banaya

Unn Ke Lab E Rangeen Ki Nichhaawar Thi Wo Jis Ne
Patthar Mein Hasan La’al E Pur Anwaar Banaya

 

Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga Complete Lyrics

Tumhara Naam Musibat Mein Jab Liya Hoga
Hamara Bigda Huwa Kaam Bann Gaya Hoga

Gunahgaar Pe Jab Lutf Aapka Hoga
Kiya Bagair Kiya Be-Kiya Kiya Hoga

Khuda Ka Lutf Huwa Hoga Dastageer Zaroor
Jo Girte Girte Tera Naam Le Liya Hoga

Dikhayi Jayegi Mehshar Mein Shaan E Mehboobi
Ke Aap Hi Ki Khushi Aapka Kaha Hoga

Khuda E Paak Ki Chahenge Agle Pichle Khushi
Khuda E Paak Khushi Unki Chahta Hoga

Kisi Ke Paanv Ki Bedi Ye Kaat-te Honge
Koyi Aseer E Gham Unko Pukarta Hoga

Kisi Taraf Se Sada Aayegi Huzoor Aao
Nahi To Damm Mein Ghareebo Ka Faysla Hoga

Kisi Ke Palle Pe Ye Honge Waqt E Wazn E Amal
Koyi Ummeed Se Muh Unnka Tak Raha Hoga

Koyi Kahega Duhayi Hai Ya RasoolAllah
To Koyi Thaam Ke Daman Machal Gaya Hoga

Kisi Ko Le Ke Chalenge Firishte Suwe Jaheem
Woh Unka Raasta Phir Phir Ke Dekhta Hoga

Shikashta Pa Hu Mere Haal Ki Khabar Kar Do
Koyi Kisi Ye Ro Ro Ke Keh Raha Hoga

Khuda Ke Waaste Jald Unse Arz E Haal Karo
Kise Khabar Hai Ke Damm Bhar Mein Haaye Kya Hoga

Pakad Ke Haath Koyi Haal E Dil Sunayega
To Ro Ke Qadmo(n) Se Koyi Lipat Gaya Hoga

Zaban Sukhi Dikha Kar Koyi Lab E Kausar
Janaab E Paak Ke Qadmo Pe Gir Gaya Hoga

Nishaan E Khushrave Di Door Ki Ghulamo Ko
Liwaye Hamd Ka Parcham Bata Raha Hoga

Koyi Qareeb E Tarazu Koyi Lab E Kausar
Koyi Siraat Se Unko Pukaarta Hoga

Ye Beqaraar Karegi Sadaa Ghareebo Ki
Muqaddas Aankhon Se Taar Ashq Ka Bandha Hoga

Wo Paak Dil Ke Nahi Jisko Apna Andesha
Hujoom E Fiqr O Taraddud Mein Ghir Gaya Hoga

Hazaar Jaan Fida Narm Narm Pau Se
Pukaar Sun Ke Aseero(n) Ki Daudta Hoga

Azeez Bachhe Ko Maa(n) Jis Tarah Talaash Kare
Khuda Gawah Wahi Haal Aapka Hoga

Khudayi Bhar Inhi Haathon Ko Dekhti Hogi
Zamana Bhar Inhi Qadmo(n) Pe Laut-ta Hoga

Bani Hai Damm Pe Duhayi Hai Taaj Waale Ki
Ye Ghul Ye Shour Ye Hungame Ja-Ba-Ja Hoga

Maqaam Faasilo(n) Par Kaam Mukhtalif Itne
Ye Din Zuhoor E Kamaal E Huzoor Ka Hoga

Kahenge Aur Nabi “Iz Habu Ila Gayri”
Mere Huzoor Ke Lab Par “Ana Laha” Hoga

Dua E Ummate Badkaar Wird E Lab Hogi
Khuda Ke Saamne Sajdeh Mein Sarr Jhuka Hoga

Ghulam Unki Inayat Se Chayn Mein Honge
Aduu Huzoor Ka Aafat Mein Mubtala Hoga

Main Unke Dar Ka Bhikari Hu Fazl E Maula Se
Hasan Faqeer Ka Jannat Mein Bistara Hoga

 

Ye Ikraam Hai Mustafa Par Khuda Ka Naat Lyrics

 

Ye Ikraam Hai Mustafa Par Khuda Ka
Ke Sub Kuch Khuda Ka Huwa Mustafa Ka

Ye Betha Hai Sikka Tumhari Ataa Ka
Kabhi Haat Uthne Na Payaa Ghadaa Ka

Ye Ikram Hai Mustafa Par Khuda Ka
Ke Sub Kuch Khuda Ka Huwa Mustafa Ka

Saharaa Diya Jub Mere Na Khuda Ne
Huwee Nawa Sayyidee Pira Roekh Huwa Ka

Ye Ikram Hai Mustafa Par Khuda Ka
Ke Sub Kuch Khuda Ka Huwa Mustafa Ka

Azaan Kya Jahaan Dekho Imaan Waalo
Pase Zikre Hai Mustafa Ka

Ye Ikram Hai Mustafa Par Khuda Ka
Ke Sub Kuch Khuda Ka Huwa Mustafa Ka

Ke Pehle Zubaan Hamd Se Paak Howe
To Phir Naam Le Wo Habeebe Khuda Ka

Ye Ikram Hai Mustafa Par Khuda Ka
Ke Sub Kuch Khuda Ka Huwa Mustafa Ka

Tera Naam Le Kar Jo Maanghe Woh Paaye
Tera Naam Lewaa Hai Pyaara Khuda Ka

Ye Ikram Hai Mustafa Par Khuda Ka
Ke Sub Kuch Khuda Ka Huwa Mustafa Ka

Bhalaa He Hasan Ka Janaabe Raza Se
Bhalaa Ho Ilahee Janaabe Raza Ka

Ye Ikram Hai Mustafa Par Khuda Ka
Ke Sub Kuch Khuda Ka Huwa Mustafa Ka

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

%d bloggers like this: