Sahir Ludhianvi Poetry Lyrics

Sahir Ludhianvi Poetry Lyrics

 

Bujha Diye Hain Khud Apnay Haathon

Bujha Diye Hain Khud Apnay Haathon
Mohabbaton Kay Diye Jala Kay
Meri Wafa Ne Ujaar Di Hain
Umeed Ki Bastiyan Basa Kay
Tujhay Bhulaa Dain Gay Apnay Dil Se
Yeh Faisala To Kiya Hai Lakin
Na Dil Ko Maloom Hai Na Hum Ko
Jeeyein Gay Kaisay Tujhay Bhulaa Kay
Kabhi Milein Gay Jo Raastay Main
To Munh Phair Kar Palat Parein Gay
Kahin Sunein Gay Jo Naam Tera To
Chup Rahein Gay Nazar Jhukaa Kay
Na Sochnay Par Bhi Sochta Hoon
Keh Zindgani Main Kya Rahay Ga ?
Teri Tamana Ko Dafan Kar Kay
Teray Khayalon Se Door Jaa Kay

 

 

Is Tarah Zindagi Ne Diya Hai Hamara Saath

 

Is Tarah Zindagi Ne Diya Hai Hamara Saath

Jaisay Koi Nibah Raha Ho Raqeeb Se

 

Chalo Aik Baar Phir Se Ajnabi Ban Jayein Hum Dono

 

 

Khoobsurat Morr

Chalo Aik Baar Phir Se Ajnabi Ban Jayein Hum Dono
Na Main Tum Se Koi Umeed Rakhon Dil’nawazi Ki
Na Tum Meri Taraf Daikho Ghalt Andaaz Nazron Se
Na Meray Dil Ki Dharkan Larr’kharaye Teri Baton Se
Na Zahir Ho Tumhari Kash’ma’kash Ka Raaz Nazron Se
Tumhein Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Paish Qadmi Se
Mujhay Bhi Log Kehtay Hain Keh Yeh Jalway Par’raiye Hain
Meray Hum’raah Bhi Ruswaiyan Hain Meray Mazi Ki
Tumharay Saath Bhi Guzri Hui Raaton Kay Saye Hain
Ta’aruf Rog Ho Jaye To Is Ka Bhoolna Behtar
Taluq Bojh Ban Jaye To Is Ka Torna Acha
Woh Afsana Jissay Anjaam Tak Laana Na Ho Mumkin
Ussay Aik Khoobsurat Morr De Kar Chorna Acha
Chalo Aik Baar Phir Se Ajnabi Ban Jayein Hum Dono

 

Fiza’ein Soch Rahi Hain Keh Ibn-E-Adam Ne

 

Fiza’ein Soch Rahi Hain Keh Ibn-E-Adam Ne
Khird Ganwa Kay Junoon Aazma Kay Kya Paya

Wohi Shakist-E-Tamana Wohi Gham-E-Ayaam
Nigaar-E-Zeest Ne Sab Kuch Luta Kay Kya Paya

 

 

Faraib-E-Jannat Farda Kay Jaal Toot Gaye

 

Faraib-E-Jannat Farda Kay Jaal Toot Gaye
Hayat Apni Umeedon Pe Sharam’saar Si Hai

Chaman Main Jashan-E-Darood-E-Bahar Ho Bhi Chuka
Magar Nigah-E-Gul-O-Lala So’gawar Si Hai

 

 

Fiza Main Garam Bagulon Ka Raqs Jaari Hai

 

 

Fiza Main Garam Bagulon Ka Raqs Jaari Hai
Ufaq Pe Khoon Ki Meena Chalak Rahi Hai Abhi

Kahan Ka Mehar Munawar , Kahan Ki Tanveer’ein
Keh Baam-O-Dar Pe Siyahi Jhalak Rahi Hai Abhi

 

 

 

Umar Bhar Reengtay Rehnay Se Kahin Behtar Hai

 

Umar Bhar Reengtay Rehnay Se Kahin Behtar Hai
Aik Lamha Jo Teri Rooh Main Wusat Bhar De

Aik Lamha Jo Teray Geet Ko Shokhi De Day
Aik Lamha Jo Teri Lay Main Mussarat Bhar De

 

 

Zakham Khurda Hain Takhyul Ki Uranein Teri

 

 

Zakham Khurda Hain Takhyul Ki Uranein Teri
Teray Geeton Main Teri Rooh Kay Gahm Paltay Hain

Sar’mageen Aankhon Main Youn Hasratein Lo Deti Hain
Jaisay Veeran Mizaron Pe Diye Jaltay Hain

 

 

 

Teray Nazuk Se Paron Par Yeh Zar-O-Seem Ka Bojh

 

 

Teray Nazuk Se Paron Par Yeh Zar-O-Seem Ka Bojh
Teri Parwaz Ko Azaad Na Honay De Ga

Tu Ne Rahat Ki Tamana Main Jo Gham Pala Hai
Woh Teri Rooh Ko Abaad Na Honay De Ga

 

 

Ae Tarb Zaar-E-Jawani Ki Parishan Titli

 

 

Ae Tarb Zaar-E-Jawani Ki Parishan Titli
Tu Bhi Ik Bu-E-Giraftaar Hai Maloom Na Tha

Teray Jalwon Main Baharein Nazar Ati Thein Mujhay
Tu Sitam Khurda-E-Adbaar Hai Maloom Na Tha

 

Main Ne Jis Waqat Tujhay Pehlay Pehal Daikha Tha

 

Main Ne Jis Waqat Tujhay Pehlay Pehal Daikha Tha
Tu Jawani Ka Koi Khawab Nazar Aayi Thi

Husan Ka Naghma-E-Javed Hui Thi Maloom
Ishq Ka Jazba-E-Be’taab Nazar Aayi Thi

 

 

Meri Dar’manda Jawani Ki Tamana’on Kay

 

Meri Dar’manda Jawani Ki Tamana’on Kay
Muz’mahil Khawab Ki Tabeer Bata De Mujh Ko

Teray Daman Main Gulistan Bhi Hain Veeranay Bhi
Mera Hasil , Meri Taqdeer Bata De Mujh Ko

 

Kon Janay Meray Amroz Ka Farda Kya Hai

 

Kon Janay Meray Amroz Ka Farda Kya Hai
Qurbatein Barh Kay Pash-E-Maan Bhi Hi Jati Hain

Dil Kay Daman Se Lipat’ti Hui Rangeen Nazrein
Daikhtay Daikhtay Anjaan Bhi Ho Jati Hain

 

 

Tera Andaz-E-Karam Aik Haqeeqat Hai Magar

 

Tera Andaz-E-Karam Aik Haqeeqat Hai Magar
Yeh Haqeeqat Bhi Haqeeqat Ka Fasana Hi Na Ho

Teri Manoos Nigahon Ka Yeh Motaat Payam
Dil Kay Khoon Karnay Ka Aik Aur Bahana Hi Na Ho

 

 

Teray Hathon Ki Hararat Teray Sanson Ki Mehak

 

Teray Hathon Ki Hararat Teray Sanson Ki Mehak
Tairati Rehti Hai Ehsaas Ki Pinhaai Main

Dhoondti Rehti Hain Takhiyul Ki Baanhein Tujh Ko
Sard Raton Ki Sulagti Hui Tanhai Main

 

 

Tu Kisi Aur Kay Daman Ki Kali Hai Lakin

Tu Kisi Aur Kay Daman Ki Kali Hai Lakin
Meri Raatein Teri Khushbu Se Basi Rehti Hain

Tu Kahin Bhi Ho Teray Phool Se Aariz Ki Qasam
Teri Palkein , Mei Aankhon Main Jhuki Rehti Hain

 

Pyar Par Bas To Nahin Hai Mera Lakin Phir Bhi

Pyar Par Bas To Nahin Hai Mera Lakin Phir Bhi
Tu Bata De Keh Tujhay Pyar Karon Ya Na Karon

Tu Ne Khud Apnay Tabasam Se Jagaya Hai Jinhein
In Tamana’on Ka Izhaar Karon Ya Na Karon

 

Meri Ujri Hui Neendon Kay Shabistano Main

 

Meri Ujri Hui Neendon Kay Shabistano Main
Tu Kisi Khawab Kay Paikar Ki Tarah Aayi Hai

Kabhi Apni Si , Kabhi Ghair Nazar Aayi Hai
Kabhi Ikhlaas Ki Moorat Kabhi Harjaai Hai

 

Meray Khawabon Kay Jharokon Ko Sajanay Wali

Meray Khawabon Kay Jharokon Ko Sajanay Wali
Teray Khwabon Main Kahin Mera Guzar Hai Keh Nahin

Pooch Kar Apni Nigahon Se Bata De Mujh Ko
Meri Raton Kay Muqaddar Main Sehar Hai Keh Nahin

Chaar Din Ki Yeh Rafaqat , Jo Rafaqat Bhi Nahin
Umar Bhar Kay Liye Azaar Hui Jati Hai

Zinfagi Youn To Hamesha Se Parishan Si Thi
Ab To Her Saans Garaan Baar Hui Jati Hai

 

 

Main Ne Her Chand Gham-E-Ishq Ko Khona Chaha

Main Ne Her Chand Gham-E-Ishq Ko Khona Chaha
Gham-E-Ulfat Gham-E-Duniya Main Samona Chaha

Wohi Afsanay Meri Simat Rawan Hain Ab Tak
Woh Sholay Meray Seenay Main Nihan Hain Ab Tak

Wohi Be’sood Khalish Hai Meray Seenay Main Hanooz
Wohi Be’kaar Tamana’ein Jawan Hain Ab Tak

Woh Hi Gaisu Meri Raaton Pe Hain Bikhray Bikhray
Wohi Aankhein Meri Janib Nigran Hain Ab Tak

Kasrat-E-Gham Bhi Meray Gahm Ka Madawa Na Hui
Meray Be’chain Khayalon Ko Sakon Mil Na Saka

Dil Ne Duniya Kay Her Aik Dard Ko Apna To Liya
Muz’mahil Rooh Ko Andaz-E-Junoon Mil Na Saka

Meri Takhiyul Ka Sheeraza Barham Hai Wohi
Meray Bujhtay Huye Ehsaas Ka Aalam Hai Wohi

Wohi Be’jaan Iraday Wohi Be’rang Sawal
Wohi Be’rooh Kasha’kash Wohi Be’chain Khayal

Aah Isi Kash Mukash Subha-O-Masa Ka Anjaam
Main Bhi Na’kaam Meri Saa’ei Amal Bhi Na’kaam

 

Taaj Teray Liye Aik Mazhar Ulfat Hi Sahi

Taaj Teray Liye Aik Mazhar Ulfat Hi Sahi
Tujh Ko Is Wadi-E-Rangeen Se Aqeedat Hi Sahi
Meray Mehboob Kahin Aur Mila Kar Mujh Se

Bazam-E-Shahi Main Ghareebon Ka Guzar Kya Mahni
Sibat Jis Raah Main Hon Satoot-E-Shahi Kay Nishan
Us Par Ulfat Bharri Roohon Ka Safar Kya Mahni

Meray Mehboob Pas-E-Parda Tasheer-E-Wafa
Tu Ne Satoot Kay Nishano Ko To Daikha Hota
Murda Shahon Kay Muqabar Se Behalnay Walay
Apnay Tareek Makano Ko To Daikha Hota

Un’ginat Logon Ne Duniya Main Mohabbat Ki Hai
Kon Kehta Hai Keh Sadaq Na Thay Jazbay Un Kay
Lakin Un Kay Liye Tasheer Ka Saman Nahin
Kiyon Woh Log Bhi Apni Hi Tarah Muflis Thay

Yeh Imaraat-O-Maqabar Yeh Faseelein Yeh Hisaar
Mutlaq-Ul-Hukam Shehinshah’on Ki Azmat Kay Satoon
Seena Dhar Kay Na’soor Hain Kehna Na’soor
Jazb Hai In Main Teray Meray Ajdaad Ka Khoon

Meri Mehboob ! Unhein Bhi To Mohabbat Ho Gi
Jin Ki Sa’naahi Ne Bakhshi Hai Ussay Shakal-E-Jameel
Un Kay Payaron Kay Maqabar Rahay Be’naam-O-Namood
Aaj Tak Un Par Jalaai Na Kisi Ne Qandeel

Yeh Chaman Zaar Yeh Jamna K Akinara , Yeh Mehal
Yeh Munqish Dar-O-Dewaar Yeh Mehraab Yeh Taaq
Ik Shehinshah Ne Doulat Ka Sahara Lay Kar
Hum Ghareebon Ki Mohabbat Ka Uraya Hai Mazaq
Meri Mehboob ! Kahin Aur Mila Kar Mujh Se

 

Main Ne Jo Geet Teray Pyar Ki Khatar Likhay

Main Ne Jo Geet Teray Pyar Ki Khatar Likhay
Aaj Un Geeton Ko Bazar Main Lay Aaya Hoon

Aaj Dukaan Pe Nelaam Uthay Ga Un Ka
Tu Ne Jin Geeton Pe Rakhi Thi Mohabbat Ki Asaas

Aaj Chandi Kay Tarazu Main Tullay Gi Her Cheez
Meray Afkaar , Meri Shairy , Mera Ehsaas

Jo Teri Zaat Se Mansoob Thay Un Geeton Ko
Muflasi Jins Bananay Ko Utar Aayi Hai !

Daikh Is Arsa-E-Geh Mehnat-O-Sarmaya Main
Meray Naghmay Bhi Meray Paas Nahin Reh Saktay

Teray Jalway Kisi Zar Daar Ki Meraas Sahi
Teray Khaakay Bhi Meray Paas Nahin Reh Saktay

Aaj Un Geeton Ko Bazar Main Lay Aaya Hoon
Main Ne Jo Geet Teray Pyar Ki Khatar Likhay

 

Meri Na’kaam Mohabbat Ki Kahani Mat Chairro

Meri Na’kaam Mohabbat Ki Kahani Mat Chairro
Apni Mayoos Umangon Ka Fasana Na Suna

Zindagi Talkh Sahi , Zehar Sahi , Sam Hi Sahi
Dard-O-Aazaar Sahi , Jabar Sahi , Gham Hi Sahi

Lakin Is Dard-O-Gham-O-Jabar Ki Wusat Ko To Daikh
Zulam Ki Chaaon Main Dam Torti Khalqat Ko To Daikh

Apni Mayoos Umangon Ka Fasana Na Suna
Meri Na’kaam Mohabbat Ki Kahani Mat Chairr

Jalsa Gahon Main Yeh Dehshat Zada Sehmay Amboh
Rah’guzaron Pe Falakat Zada Logon Kay Garoh

Bhook Aur Pyas Se Yaz’murda Siyah Faam Zameen
Teera-O-Taar Makan , Muflis-O-Beemaar Makeen

Noh-E-Insaan Main Yeh Sarmaya-O-Mehnat Ka Tazaad
Aman-O-Tehzeeb Kay Parcham Talay Qomon Ka Fasaad

Her Taraf Aatish-O-Aahan Ka Yeh Sailaab-E-Azeem
Nit Naye Tarz Pe Hoti Hui Duniya Taqseem

Leh’lahatay Huye Khaiton Pe Jawani Ka Samaa
Aur Deh’qaan Kay Chappar Main Na Batti Na Dhuwan

Door Sahil Pe Woh Shafaaf Makano Ki Qataar
Sar’saratay Huye Pardon Main Sim’mattay Gulzar

Dar-O-Dewaar Pe Anwar Ka Sailaab Rawan
Jaisay Aik Shair-E-Madhosh Kay Khawabon Ka Jahan

Yeh Sabhi Kiyon Hai Yeh Kya Hai Mujhay Kuch Sochnay De
Kon Insaan Ka Khuda Hai Mujhay Kuch Sochnay De

Apni Mayoos Umangon Ka Fasana Na Sunaa!
Meri Na’kaam Mohabbat Ki Kahani Mat Chairr !

 

Apnay Seenay Se Lagaye Huye Umeed Ki Laash

Apnay Seenay Se Lagaye Huye Umeed Ki Laash
Mud’daton Zeest Ko Na’shaad Kiya Hai Main Ne

Tu Ne To Aik Hi Sadmay Se Kiya Tha Do Chaar
Dil Ko Her Tarah Se Bar’baad Kiya Hai Main Ne

Jab Bhi Rahon Main Nazar Aye Hareeri Malboos
Sard Aahon Main Tujhay Yaad Kiya Hai Main Ne

Aur Ab Jab Keh Meri Rooh Ki Pinhaai Main
Aik Sun’saan Si Maghmoom Ghatta Chaai Hai

Meri Mehboob , Yeh Hungama-E-Tajdeed-E-Wafa
Meri Afsurda Jawani Kay Liye Raas Nahin

Main Ne Jo Phool Chunay Teray Qadmon Kay Liye
Un Ka Dhundla Sa Tasawur Bhi Meray Paas Nahin

Aik Yak Basta Udasi Hai Dil-O-Jaan Pe Mohaat
Ab Meri Rooh Main Baqi Hai Na Umeed Na Josh

Reh Gaya Dab Kay Garaan Baar Sala’sal Kay Talay
Meri Dar’manda Jawani Ki Umangon Ka Kharosh

Reg’zaron Main Bagolon Kay Siwa Kuch Bhi Nahin
Saya-E-Abar-E-Gurezan Se Mujhay Kya Lena

Bujh Chukay Hain Meray Seenay Main Mohabbat Kay Kanwal
Ab Teray Husan-E-Pash-E-Maan Se Mujhay Kya Lena

Teray Aariz Pe Yeh Dhalkay Huye Seemi Aansu
Meri Afsurdagi-E-Gham Ka Madawa To Nahin

Teri Mehboob Nigahon Ka Payam-E-Tajdeed
Ik Talaafi Hi Sahi Meri Tamana To Nahin

 

Khilwat-O-Jalwat Main Tum Mujh Se Mili Ho Baar’ha

Khilwat-O-Jalwat Main Tum Mujh Se Mili Ho Baar’ha
Tum Ne Kya Daikha Nahin , Main Muskura Sakta Nahin

Main Keh Mayoosi Meri Fitrat Main Daakhil Ho Chuki
Jabar Bhi Khud Par Karon To Gun’guna Sakta Nahin

Mujh Main Kya Daikha Keh Tum Ulfat Ka Dam Bharnay Lagein
Main To Khud Apnay Bhi Koi Kaam Aa Sakta Nahin

Rooh Afza Hai Junoon-E-Ishq Kay Naghmay Magar !
Ab Main In Gaa’iye Huye Geeton Ko Gaa Sakta Nahin

Main Ne Daikha Hai Shakist Saaz Ulfat Ka Samaa
Ab Kisi Tehreek Par Bar’bat Utha Sakta Nahin

Dil Tumhari Shiddat-E-Ehsaas Se Waqif To Hai
Apnay Ehsa’saat Se Daman Chura Sakta Nahin

Tum Meri Ho Kar Bhi Be’gana Pao Gi Mujhay
Main Tumhara Ho Kar Bhi Tum Main Samaa Sakta Nahin

Gaa’iye Hain Main Ne Khaloos-E-Dil Se Bhi Ulfat Kay Geet
Ab Riya ‘Kaari Se Bhi Chahon To Gaa Sakta Nahin

Kis Tarah Tum Ko Bana Loon Main Shareek-E-Zindagi
Main To Apni Zindagi Ka Baar Utha Sakta Nahin

Yaas Ki Tareekiyon Main Doob Janay Do Mujhay
Ab Main Sham’ma-E-Aarzu Ki Lo Barha Sakta Nahin

 

Chand Kaliyan Nishat Ki Chun Kar

Chand Kaliyan Nishat Ki Chun Kar

Mud’daton Mehav-E-Yaas Rehta Hoon

Tera Milna Khushi Ki Baat Sahi

Tujh Se Mil Kar Udaas Rehta Hoon

 

Ufaq Kay Dareechay Se Kirno Ne Jhaanka

Ufaq Kay Dareechay Se Kirno Ne Jhaanka
Fiza Tan Gayi Raastay Muskuraye

Simat’nay Lagi Narm Kohray Ki Chadar !
Jawan Shaakh’saron Ne Ghoongat Uthaye

Prindon Ki Awaz Se Khait Chonkay
Pur’israar May Main Rahat Gun’gunaye

Haseen Shabnam Alood Pak’dandiyon Se
Lipatnay Lagay Sabz Pairron Kay Saye

Woh Dour Aik Teelay Pe Aanchal Se Jhalka
Tasawur Main Lakhon Diye Jhil’milaye

 

Daikha Hai Zindagi Ko Kuch Itna Qareeb Se

Daikha Hai Zindagi Ko Kuch Itna Qareeb Se
Chehray Tamaam Lagnay Lagay Hain Ajeeb Se

Ae Rooh-E-Asar Jaag , Kahan So Rahi Hai Tu
Awaz De Rahay Hain Payamber Saleeb Se

Is Reegti Hayat Ka Kab Tak Uthaein Baar
Bee’maar Ab Uljahnay Lagay Hain Tabeeb Se

Is Tarah Zindagi Ne Diya Hai Hamara Saath
Jaisay Koi Nibha Raha Ho Raqeeb Se

 

Jab Kabhi Us Ki Tawajo Main Kami Payi Gayi

Jab Kabhi Us Ki Tawajo Main Kami Payi Gayi
Az Sar-E-No Dastaan-E-Shouq Dohraai Gayi

Bik Gaye Jab Teray Lab Phir Tujh Ko Kya Shikwa Agar
Zindgani Bada-O-Saghar Se Behlaai Gayi

Ae Gham-E-Duniya ! Tujhay Kya Ilam Teray Wastay
Kin Bahano Se Tabiyat Raah Pe Laai Gayi

Hum Karein Tark-E-Wafa Acha Chalo Youn Hi Sahi
Aur Agar Tark-E-Wafa Se Bhi Na Ruswai Gayi

Kaisay Kaisay Chasham-O-Aariz Gard-E-Gham Se Bujh Gaye
Kaisay Kaisay Paikron Ki Shaan Zebai Gayi

Dil Ki Dharkan Main Tawazan Aa Chala Hai Khair Ho
Meri Nazrein Bujh Gayi Ya Teri Ra’nai Gayi

Un Ka Gham , Un Ka Tasawur Un Kay Shikway Ab Kahan
Ab To Yeh Baatein Bhi Ae Dil Ho Gayi Aai Gayi

Arsa-E-Hasti Main Ab Tesha Zano Ka Dour Hai
Rasam-E-Changaizi Uthi , Toqeer Taar’tari Gayi !

Bhar’ka Rahay Hain Aag Lab-E-Naghma Gar Se Hum

Bhar’ka Rahay Hain Aag Lab-E-Naghma Gar Se Hum
Khamosh Kya Rahein Gay Zamanay Kay Dar Se Hum

Kuch Aur Barh Gaye Jo Andheray To Kya Hua
Ma’yoos To Nahin Hain Talooh-E-Sehar Se Hum

Lay De Kay Apnay Paas Faqat Aik Nazar To Hai
Kiyon Dekhein Zindagi Ko Kisi Ki Nazar Se Hum

Mana Keh Is Zameen Ko Na Gulzaar Kar Sakay
Kuch Khaar Kam To Kar Gaye Guzray Jidher Se Hum

 

 

Nafs Kay Loch Main Rum Hi Nahin , Kuch Aur Bhi Hai

Nafs Kay Loch Main Rum Hi Nahin , Kuch Aur Bhi Hai
Hayat , Saghar Sam Hi Nahin , Kuch Aur Bhi Hai

Teri Nigah Meray Gham Ki Paas’daar Sahi
Meri Nigah Main Gham Hi Nahin , Kuch Aur Bhi Hai

Meri Nadeem Mohabbat Ki Rif’aton Se Na Guzar
Buland Bam-E-Haram Hi Nahin , Kuch Aur Bhi Hai

Yeh Ijtinaab Hai Aks Shaoor-E-Mehboobi
Yeh Ehtiyat Sitam Hi Nahin Kuch Aur Bhi Hai

Idher Bhi Aik Achat’ti Nazar Keh Duniya Main
Farogh-E-Mehfil Jam Hi Nahin , Kuch Aur Bhi Hai

Naye Jahan Basaye Hain Fikar-E-Aadam Ne
Ab Is Zameen Pe Iram Hi Nahin , Kuch Aur Bhi Hai

 

Her Qadam Marhala-E-Daar-O-Saleeb Aaj Bhi Hai

Her Qadam Marhala-E-Daar-O-Saleeb Aaj Bhi Hai
Jo Kabhi Tha Wohi Insaan Ka Naseeb Aaj Bhi Hai

Jag’magatay Hain Ufaq Par Yeh Sitaray Lakin
Raasta-E-Manzil Hasti Ka Moheeb Aaj Bhi Hai

Sar-E-Maqtal Jinhein Jana Tha Woh Jaa Bhi Ponchay
Sar-E-Manzil Koi Mohtaat Khateeb Aaj Bhi Hai

Ehal-E-Daanish Ne Jissay Amar-E-Mu’sanam Jana
Ehal-E-Dil Kay Liye Woh Baat Ajeeb Aaj Bhi Hai

Teri Yaad Hai Ya Meri Aziyat Koshi
Aik Nashtar Sa Rag-E-Jaan Kay Qareeb Aaj Bhi Hai

Kon Janay Yeh Tera Shair Aashafta Mizaaj
Kitnay Maghroor Khudaon Ka Raqeeb Aaj Bhi Hai

 

Hawas Naseeb Nazar Ko Kahin Qaraar Nahin

Hawas Naseeb Nazar Ko Kahin Qaraar Nahin
Main Muntazir Hoon Magar Tera Intizaar Nahin

Hum Hi Se Rang-E-Gulistan Hum Hi Se Rang-E-Bahar
Hum Hi Ko Nazam-E-Gulistan Pe Ikhtayar Nahin

Abhi Na Chairr Mohabbat Kay Geet Ae Mutrab
Abhi Hayat Ka Mahol Khush’gawar Nahin

Tumharay Ehad-E-Wafa Ko Main Ehad Kya Samjhon
Mujhay Khud Apni Mohabbat Pe Aitabar Nahin

Na Janay Kitnay Gilay Is Main Muztarib Hain Nadeem
Woh Aik Dil Jo Kisi Ka Gila Guzar Nahin

Gu’raiz Ka Nahin Qatil Hayat Se Lakin !
Jo Sach Kahon Keh Mujhay Mout Na’gawar Nahin

Yeh Kis Maqam Pe Poncha Diya Zamanay Ne
Keh Ab Hayat Pe Tera Bhi Ikhtiyar Nahin

 

 

Yeh Zameen Jis Qadar Sajai Gayi

Yeh Zameen Jis Qadar Sajai Gayi
Zindagi Ki Tarap Barhaai Gayi

Aainay Se Bigar Kar Baith Gaye
Jin Ki Surat Jinhein Dikhai Gayi

Dushmano Hi Se Bair Nibh Jaye
Doston Se To Aashnai Gayi

Nasal Dar Nasal Intizaar Raha
Qasar Tootay Na Be’nawai Gayi

Zindagi Ka Naseeb Kya Kehiye
Aik Seeta Thi Ji Satai Gayi

Hum Na Otaar Thay Na Paighambar
Kiyon Yeh Azmat Hamein Dilaai Gayi

Mout Paai Saleeb Par Hum Ne
Umar Ban Baas Main Bitaai Gayi

 

 

Khudariyon Kay Khoon Ko Arzan Na Kar Sakay

Khudariyon Kay Khoon Ko Arzan Na Kar Sakay
Hum Apnay Joharon Ko Nu’mayan Na Kar Sakay

Ho Kar Kharab Main Ne Teray Gham To Bhula Diye
Lakin Gham-E-Hayat Ka Dar’maan Na Kar Sakay

Toota Talisam Ehad-E-Mohabbat Kuch Is Tarah
Phir Aarzu Ki Sham’ma Farozan Na Kar Sakay

Her Shay Qareeb Aa Kay Kashish Apni Kho Gayi
Woh Bhi Ilaaj Shouq-E-Gurezan Na Kar Sakay

Kis Darja Dil’shikan Thay Mohabbat Kay Haadsay
Hum Zindagi Main Phir Koi Armaan Na Kar Sakay

Mayousi’on Ne Cheen Liye Dil Kay Wal’walay
Woh Bhi Nishat-E-Rooh Ka Samaan Na Kar Sakay

 

 

Saza Ka Haal Sunaein Jaza Ki Baat Karein

Saza Ka Haal Sunaein Jaza Ki Baat Karein
Khuda Mila Ho Jinhein Woh Khuda Ki Baat Karein

Unhein Pata Bhi Chalay Aur Woh Khafa Bhi Na Hon
Is Ehtiyaat Se Kya Mud’daa Ki Baat Karein

Hamaray Ehad Ki Tehzeeb Main Qaba Hi Nahin
Agar Qaba Ho To Band-E-Qaba Ki Baat Karein

Her Aik Dour Ka Mazhab Naya Khuda Laya
Karein To Hum Bhi Magar Kis Khuda Ki Baat Karein

Wafa Sha’aar Kai Hain , Koi Haseen Bhi To Ho
Chalo Phir Aaj Usi Be’wafa Ki Baat Karein

 

Main Zinda Hoon Yeh Mushtahir Keejiye

Main Zinda Hoon Yeh Mushtahir Keejiye
Meray Qaatlon Ko Khabar Keejiye

Zameen Sakhat Hai Aasman Door Hai
Basar Ho Sakay To Basar Keejiye

Sitam Kay Bhout Se Hain Rad-E-Amal
Zaroori Nahin Chasham-E-Tar Keejiye

Wohi Zulam Baar-E-Deegar Hai
Wohi Jurm Baar-E-Deegar Keejiye

Qafs Torna Baad Ki Baat Hai
Abhi Khawaish Baal-O-Par Keejiye

 

 

Bhout Ghuttan Hai Koi Surat-E-Biyan Nikaly

Bhout Ghuttan Hai Koi Surat-E-Biyan Nikaly
Agar Sada Na Uthay Kam Se Kam Fagan Niklay

Faqeer-E-Shaher Kay Tan Par Libas Baqi Hai
Ameer-E-Shaher Kay Arman Abhi Kahan Niklay

Haqeeqatein Hain Salamat To Khawab Bhout Saray

Malaal Yeh Hai Keh Kuch Khawab Raigaan Niklay

Idher Bhi Khaak Urri Hai Udhar Bhi Khaak Urri
Jahan Jahan Se Baharon Kay Karwan Niklay

 

Sadiyon Se Insan Yeh Sunta Aaya Hai

Sadiyon Se Insan Yeh Sunta Aaya Hai
Dukh Ki Dhoop Kay Aagay Sukh Ka Saya Hai

Hum Ko In Sasti Khushiyon Ka Lobh Na Do
Hum Ne Soch Samjh Kar Gham Apnaya Hai

Jhoot To Qatil Thehra Us K Akya Rona
Sach Ne Bhi Insaan Ka Khoon Bahaya Hai

Janam Kay Din Se Mout Ki Zad Main Hain !
Is Maqtal Main Kon Hamein Lay Aaya Hai

Awal Awal Jis Dil Ne Barbaad Kiya
Aakhir Aakhir Woh Dil Hi Kaam Aaya Hai

Itnay Din Ehsaan Kiya Dewano Par
Jitnay Din Logon Ne Saath Nibhaya Hai

 

 

Tang Aa Chukay Hain Kash’makash-E-Zindagi Se Hum

Tang Aa Chukay Hain Kash’makash-E-Zindagi Se Hum
Thukra Na Dain Jahan Ko Kahin Be’dili Se Hum

Mayoosi Maal-E-Mohabbat Na Poochiye !
Apno Se Paish Aaye Hain Baiga’nagi Se Se Hum

Lo Aaj Hum Ne Tor Diya Rishta-E-Umeed
Lo Ab Kabhi Gila Na Karein Gay Kisi Se Hum

Ubhrein Gay Aik Baar Abhi Dil Kay Wal’walay
Go Dab Gaye Hain Baar-E-Gham Zindagi Se Hum

Gar Zindagi Main Mil Gaye Phir Itafaaq Se
Poochein Gay Apna Haal Teri Be’basi Se Hum

Allah Re Faraib-E-Mashiyat Keh Aaj Tak
Duniya Kay Zulam Sehtay Rahay Khamoshi Se Hum

 

Ehal-E-Dil Aur Bhi Hain Ehal-E-Wafa Aur Bhi Hain

Ehal-E-Dil Aur Bhi Hain Ehal-E-Wafa Aur Bhi Hain
Aik Hum Hi Nahin Duniya Se Khafa Aur Bhi Hain

Hum Pe Hi Khatam Nahin Maslak-E-Shoreeda’sari
Chaak-E-Dil Aur Bhi Hain Chaak-E-Qaba Aur Bhi Hain

Kya Hua Gar Meray Yaron Ki Zubanein Chup Hain
Meray Shahid , Meray Yaron Kay Siwa Aur Bhi Hain

Sar Salamat Hai To Kya Sang-E-Malamat Ki Kami
Jaan Baqi Hai To Pai’kan-E-Qaza Aur Bhi Hain

Munsaf-E-Shaher Ki Wahidat Pe Na Harf Aa Jaye
Log Kehtay Hain Keh Arbaab-E-Jafa Aur Bhi Hain

 

Daikha To Tha Youn Hi Kisi Ghaflat Sha’aar Ne

Daikha To Tha Youn Hi Kisi Ghaflat Sha’aar Ne
Dewana Kar Diya Dil-E-Be’ikhtiyar Ne

Ae Aarzu Kay Dhundlay Khawabo ! Jwab Do
Phir Kis Ki Yaad Aayi Thi Mujh Ko Pukarnay

Tujh Ko Khabar Nahin , Magar Ik Sada Loh Ko
Bar’baad Kar Diya Teray Do Din Kay Pyar Ne

Main , Aur Tum Se Tark-E-Mohabbat Ki Aarzu
Dewana Kar Diya Hai Gham-E-Roz’gaar Ne

Ab Ae Dil Bata Tera Kya Khayal Hai
Hum To Chalay Thay Ka’kal Geeti Sanwarnay

 

 

Jurm-E-Ulfat Pe Hamein Log Saza Detay Hain

Jurm-E-Ulfat Pe Hamein Log Saza Detay Hain
Kaisay Na’daan Hain Sholon Ko Hawa Detay Hain

Hum Se Dewanay Kahin Tark-E-Wafa Kartay Hain
Jaan Jaye Keh Rahay , Baat Nibha Detay Hain

Aap Doulat Kay Tarazu Main Dilon Ko Tolein
Hum Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Detay Hain

Takhat Kya Cheez Hai Aur Laal-O-Jawahir Kya Hain
Ishq Walay To Khudai Bhi Luta Detay Hain

Hum Ne Dil De Bhi Diya , Ehad-E-Wafa Lay Bhi Liya
Aap Ab Shouq Se De Lain Jo Saza Detay Hain

 

 

Yeh Mehlon Yeh Takhton Yeh Tajon Ki Duniya

Yeh Mehlon Yeh Takhton Yeh Tajon Ki Duniya
Yeh Insan Kay Dushman Samajon Ki Duniya
Yeh Doulat Kay Bhookay Rawajon Ki Duniya

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Her Ik Jisam Ghayel Her Ik Rooh Payasi
Nigahon Main Uljhan Dilon Main Udasi
Yeh Duniya Hai Ya Aalam-E-Bad’hawasi

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Yahan Ik Khilona Hai Insan Ki Hasti
Yeh Basti Hai Murda Paraston Ki Basti !
Yahan Par To Jeewan Se Hai Mout Sasti

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Jawani Bhatakti Hai Bad’kaar Ban Kar
Jawan Jism Sajtay Hain Bazar Ban Kar
Yahan Pyar Hota Hai Be-O-Paar Ban Kar

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

Jala Do Issay Phoonk Dalo Yeh Duniya
Meray Samnay Se Hat’ta Lo Yeh Duniya
Tumhari Hai Tum Hi Sambhalo Yeh Duniya

Yeh Duniya Agar Mil Bhi Jaye To Kya Hai

 

 

Ashkon Main Jo Paya Hai , Woh Geeton Main Diya Hai

Ashkon Main Jo Paya Hai , Woh Geeton Main Diya Hai
Us Par Bhi Suna Hai Keh Zamanay Ko Gila Hai

Jo Taar Se Nikli Hai , Woh Dhun Sab Ne Suni Hai
Jo Saaz Pe Guzri Hai Woh Kis Dil Ko Pata Hai

Hum Phool Hain , Auron Kay Liye Laye Hain Khushbu
Apnay Liye Lay De Kay Bas Ik Dagh Mila Hai

 

 

Tum Chali Jao Gi , Par’chaiyan Reh Jayein Gi

Tum Chali Jao Gi , Par’chaiyan Reh Jayein Gi
Kuch Na Kuch Husan Ki Rainayan Reh Jayein Gi

Tum Keh Is Jheel Kay Sahil Pe Mili Ho Mujh Se
Jab Bhi Dekhon Ga Yahin Mujh Ko Nazar Ayo Gi

Yaad Mit’ti Hai Na Manzir Koi Mitt Sakta Hai
Door Ja Kar Bhi Tum Apnay Ko Yahin Pao Gi

Ghull Kay Reh Jaye Gi Jhonkon Main Badan Ki Khushbu
Zulf Ka Aks Ghat’taon Main Rahay Ga Sadiyon

Phool Chupkay Se Chura Lain Gay Labon Ki Surkhi
Yeh Jawan Husan Fizaon Main Rahay Ga Sadiyon

Is Dharakti Hui Shadaab-O-Haseen Wadi Main
Yeh Na Samjho Keh Zara Dair Ka Qissa Ho Tum

Ab Hamesha Kay Liye Meray Muqaddar Ki Tarah
In Nazaron Kay Muqaddar Ka Bhi Hissa Ho Tum

Tum Chali Jao Gi Par’chaiyan Reh Jayein Gi !
Kuch Na Kuch Husan Ki Rainaiyan Reh Jayein Gi

 

 

Yeh Wadiyan , Yeh Fizaein Bulaa Rahi Hain Tumhein

Yeh Wadiyan , Yeh Fizaein Bulaa Rahi Hain Tumhein
Khamoshiyon Ki Sadaein Bulaa Rahi Hain Tumhein

Taras Rahay Hain Jawan Phool Hont Choonay Ko
Machal Machal Kay Hawaein Bulaa Rahi Hain Tumhein

Tumhari Zulfon Se Khushbu Ki Bhanak Lenay Ko
Jhuki Jhuki Si Ghata’ein Bulaa Rahi Hain Tumhein

Haseen Champ’pai Pair’ron Ko Jab Se Dekha Hai
Nadi Ki Mast Adaein Bulaa Rahi Hain Tumhein

Mera Kaha Na Suno , Un Ki Baat To Sun Lo
Her Aik Dil Ki Dua’ein Bulaa Rahi Hain Tumhein

 

 

Tap’tay Dil Par Youn Girti Hai

Tap’tay Dil Par Youn Girti Hai
Teri Nazar Se Pyar Ki Shabnam

Jaltay Huye Junglon Par Jaisay
Barkha Barsay Ruk Ruk Tham Tham

Hosh Main Thori Be’hoshi Hai
Be’hoshi Main Hosh Hai Kam

Tujh Ko Panay Ki Koshish Main
Dono Jahan Se Kho Gaye Hum

 

 

Tum Agar Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahin

Tum Agar Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahin
Tum Kisi Aur Ko Chaho Gi To Mushkil Ho Gi

Ab Agar Mail Nahin Hai To Judai Bhi Nahin
Baat Torri Bhi Nahin Tum Ne Banai Bhi Nahin

Yeh Sahara Bhi Bhout Hai Meray Jeenay Kay Liye
Tum Agar Meri Nahin Ho To Paraai Bhi Nahin

Meray Dil Ko Na Saraho To Koi Baat Nahin
Ghair Kay Dil Ko Saraho Gi To Mushkil Ho Gi

Tum Haseen Ho Tumhein Sab Hi Payar Kartay Hon Gay
Main Jo Marta Hoon To Kya Uar Bhi Martay Hon Gay

Sab Ki Aankhon Main Usi Shouq Ka Toofan Ho Ga
Sab Kay Seenay Main Yeh Hi Dard Ubhartay Hon Gay

Meray Gahm Main Na Kar’raho To Koi Baat Nahin !
Aur Kay Gham Main Kar’raho Gi To Mushkil Ho Gi

Phool Ki Tarah Hanso Sab Ki Nigahon Main Raho
Apni Masoom Jawani Ki Panahon Main Raho

Mujh Ko Woh Din Na Dikhana Tumhein Apni Hi Qasam
Main Tarasta Rahon Tum Ghair Ki Banhon Main Raho

Tum Jo Mujh Se Na Nibhao To Koi Baat Nahin
Kisi Dushman Se Nibhao Gi To Mushkil Ho Gi

Tum Agar Mujh Ko Na Chaho To Koi Baat Nahin
Tum Kisi Aur Ko Chaho Gi To Mushkil Ho Gi

 

Jo Baat Tujh Main Hai , Teri Tasveer Main Nahin

Jo Baat Tujh Main Hai , Teri Tasveer Main Nahin

Rangon Main Tera Aks Dhala To Na Dhal Saki
Sanson Ki Aanch Jisam Ki Khushbu Na Dhal Saki
Tujh Main Jo Loch Hai Meri Tehreer Main Nahin

Be’jaan Husan Main Kahan Raftaar Ki Adaa
Inkaar Ki Adaa Hai Na Iqraar Ki Adaa
Koi Lachak Bhi Zulf-E-Girah Geer Mian Nahin

Duniya Main Koi Cheez Nahin Hai Teri Tarah
Phir Aik Baar Samnay Aa Jaa Kisi Tarah
Kya Aur Ik Jhalak Meri Taqdeer Main Nahin

 

 

Raat Bhi Hai Kuch Bheegi Bheegi

Raat Bhi Hai Kuch Bheegi Bheegi
Chand Bhi Hai Kuch Madham Madham

Tum Ayo To Aankhein Kholay
Soi Hui Payal Ki Chham Chham

Kis Ko Bataein Kaisay Bataein
Aaj Ajab Hai Dil Ka Aalam

Chain Bhi Hai Kuch Halka Halka
Dard Bhi Hai Kuch Madham Madham

 

 

Yeh Zulf Agar Khul Kay Bikhar Jaye To Acha

Yeh Zulf Agar Khul Kay Bikhar Jaye To Acha
Is Raat Ki Taqdeer Sanwar Jaye To Acha

Jis Tarah Se Thori Si Teray Saath Katti Hai
Baqi Bhi Isi Tarah Guzar Jaye To Acha

Duniya Ki Nigahon Main Bura Kya Hai Bhala Kya
Yeh Bojh Agar Dil Se Utar Jaye To Acha

Waisay To Tum Hi Ne Mujhay Barbaad Kiya Hai
Ilzaam Kisi Aur Kay Sar Jaye To Acha

 

 

Parbaton Kay Pairron Par Shaam Ka Basera Hai

Parbaton Kay Pairron Par Shaam Ka Basera Hai
Sur’mai Ujaala Hai , Cham’pai Andhera Hai

Dono Waqat Miltay Hain Do Dilon Ki Surat Main
Aasman Ne Khush Ho Kar Rang Sa Bakhaira Hai

Thehray Thehray Pani Main Geet Sar’saratay Hain
Bheegay Bheegay Jhonkon Main Khushbu’on Ka Daira Hai

Kiyon Na Jazab Ho Jayein Is Haseen Nazaray Main
Roshni Ka Jhurmat Hai , Mastiyon Ka Ghaira Hai

 

 

Mujhay Galay Se Laga Lo Bhout Udaas Hoon Main

Mujhay Galay Se Laga Lo Bhout Udaas Hoon Main
Gham-E-Jahan Se Churra Lo Bhout Udaas Hoon Main

Yeh Intizar Ka Dukh Ab Saha Nahin Jata
Tarap Rahi Hai Mohabbat Raha Nahin Jata
Tum Apnay Paas Bula Lo Bhout Udaas Hoon Main

Her Ik Saans Main Milnay Ki Payas Palti Hai
Sulag Raha Hai Badan Aur Rooh Jalti Hai
Bachaa Sako To Bachaa Lo Bhout Udaas Hoon Main

Bhatak Chuki Hoon Bhout Zindagi Ki Rahon Main
Mujhay Ab Aa Kay Chupa Lo Bhout Udaas Hoon Main
Mera Sawal Na Talo Bhout Udaas Hoon Main

 

Apna Dil Paish Karon , Apni Wafa Paish Karon

Apna Dil Paish Karon , Apni Wafa Paish Karon
Kuch Samjh Main Nahin Aata Tujhay Kya Paish Karon

Teray Milnay Ki Khushi Main Koi Naghma Chairon
Ya Teray Dard-Ej-Udai Ka Gila Paish Karon

Meray Khawabon Main Bhi Tu , Meray Khayalon Main Bhi Tu
Kon Si Cheez Tujhay Tujh Se Juda Paish Karon

Jo Teray Dil Ko Lubhaye Woh Ada Mujh Main Nahin
Kiyon Na Tujh Ko Koi Teri Hi Adaa Paish Karon

 

 

Naghma-O-Shair Ki Soghaat Kissay Paish Karon

Naghma-O-Shair Ki Soghaat Kissay Paish Karon
Yeh Chalaktay Huye Jazbaat Kissay Paish Karon

Shokh Aankhon Kay Ujalon Ko Lutaon Kis Par
Mast Zulfon Ki Siyah Raat Kissay Paish Karon

Garm Sanson Main Chuppay Raaz Bataon Kis Ko
Narm Honton Main Dabbi Baat Kissay Paish Karon

Koi Hum’raaz To Paon Koi Hum’dam To Milay
Dil Ki Dharkan Kay Isharaat Kissay Paish Karon

 

 

Jayein To Jayein Kahan , Samjhay Ga Kon Yahan

Jayein To Jayein Kahan
Samjhay Ga Kon Yahan , Dard Bharray Dil Ki Zuban

Jayein To Jayein Kahan

Ma’yousiyon Ka Maj’ma Hai Jee Main
Kya Reh Gaya Hai Is Zindagi Main

Rooh Main Gham , Dil Main Dhuwan
Jayein To Jayein Kahan

Un Ka Bhi Gham Hai Apna Bhi Gham Hai
Ab Dil Kay Bachnay Ki Umeed Kam Hai

Aik Kashti So Toofan
Jayein To Jayein Kahan

 

 

 

Unhein Kho Kar Dukhay Dil Ki Dua Se Aur Kya Mangon

Unhein Kho Kar Dukhay Dil Ki Dua Se Aur Kya Mangon
Main Hairaan Hoon Keh Aaj Apni Wafa Se Aur Kya Mangon

Gir-E-Baan Chaak Hai , Aankhon Main Aansu Lab Pe Aahein Hain
Yeh Kafi Hai Duniya Ki Hawa Se Aur Kya Mangon

Meri Bar’badiyon Ki Daastan Un Tak Ponch Jaye
So Us Kay Mohabbat Kay Khuda Se Aur Kya Mangon

 

 

Mujhay Galay Se Laga Lo Bhout Udaas Hoon Main

Mujhay Galay Se Laga Lo Bhout Udaas Hoon Main
Ghma-E-Jahan Se Chura Bhout Udaas Hoon Main

Yeh Intizar Ka Dukh Ab Saha Nahin Jata
Tarap Rahi Hai Mohabbat Raha Nahin Jata
Tum Apnay Paas Bula Lo Bhout Udaas Hoon Main

Her Ik Saans Main Milnay Ki Payas Palti Hai
Sulag Raha Hai Badan Aur Rooh Jalti Hai
Bachaa Sako To Bachaa Lo Bhout Udaas Hoon Main

Bhatak Chuki Hoon Bhout Zindagi Ki Rahon Main
Mujhay Ab Aa Kay Chupa Lo Bhout Udaas Hoon Main
Mera Sawal Na Talo Bhout Udaas Hoon Main

 

 

Zindagi Bhar Nahin Bhoolay Gi Woh Barsaat Ki Raat

Zindagi Bhar Nahin Bhoolay Gi Woh Barsaat Ki Raat
Aik Anjaan Haseena Se Mulaqat Ki Raat

Haye Woh Reshmi Zulfon Se Barasta Pani
Phool Se Galon Pe Ruknay Ko Tarasta Pani

Dil Main Toofan Uthaye Huye Jazbaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahin Bhoolay Gi Woh Barsaat Ki Raat

Darr Kay Bijli Se Achanak Woh Lipatna Us Ka
Aur Phir Sharam Se Bal Kha Kay Simat’na Us Ka

Kabhi Daikhi Na Suni Aisi Tilismaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahin Bhoolay Gi Woh Barsaat Ki Raat

Surkh Aanchal Ko Daba Kar Jo Nichora Us Ne
Dil Pe Jalta Hua Ik Teer Sa Chora Us Ne

Aag Pani Main Lagatay Huye Halaat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahin Bhoolay Gi Woh Barsat Ki Raat

Meray Naghmon Main Jo Basti Hai Woh Tasveer Thi Woh
No’jawani Kay Haseen Khawab Ki Tabeer Thi Woh

Aasmano Se Utar Ayi Thi Jo Raat Ki Raat
Zindagi Bhar Nahin Bhoolay Gi Woh Barsaat Ki Raat

 

 

Jeewan Kay Safar Main Raahi , Miltay Hain Bichar Janay Ko

Jeewan Kay Safar Main Raahi , Miltay Hain Bichar Janay Ko
Aur De Jatay Hain Yaadein Tanhai Main Tarpanay Ko

Ro Ro Kay Inhein Rahon Main Khona Para Ik Apnay Ko
Hans Hans Kay In Hi Rahon Main Apnaya Tha Be’ganay Ko

Ab Sath Na Guzrein Gay Hum Lakin Yeh Fiza Wadi Ki
Dohrati Rahay Gi Barson Bhoolay Huye Afsanay Ko

Tum Apni Nayi Duniya Main Kho Jao Paraye Ban Kar
Jee Paye To Hum Jee Lain Gay , Marnay Ki Saza Panay Ko

 

 

Main Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi

Main Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi
Mujh Ko Raaton Ki Siyahi Kay Siwa Kuch Na Mila

Main Woh Naghma Hoon Jissay Pyar Ki Mehfil Na Mili
Woh Musafir Hoon Jissay Koi Bhi Manzil Na Mili

Zakham Paye Hain Baharon Ki Tamana Ki Thi
Main Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi

Kisi Gaisu Kisi Aanchal Ka Sahara Hi Nahin
Raastay Main Koi Dhundla Sa Sitara Hi Nahin

Meri Nazron Ne Nazaron Ki Tamana Ki Thi
Main Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi

Dil Main Na’kaam Umeedon Kay Baseray Paye
Roshni Lenay Ko Nikla To Andheray Paye

Rang Aur Noor Kay Dharon Ki Tamana Ki Thi
Main Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi

 

 

Tum Na Janay Kis Jahan Main Kho Gaye

Tum Na Janay Kis Jahan Main Kho Gaye
Hum Bharri Duniya Main Tanha Ho Gaye

Mout Bhi Aati Nahin
Aas Bhi Jaati Nahin

Dil Ko Yeh Kya Hua
Koi Shay Bhaati Nahin

Aik Jaan Aur Laakh Gham
Ghatt Kay Reh Jaye Na Dam

Ayo Tum Ko Daikh Lain !
Doobti Nazron Se Hum

Tum Na Janay Kis Jahan Main Kho Gaye
Hum Bharri Duniya Main Tanha Ho Gaye

 

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khayal Aata Hai

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khayal Aata Hai
Keh Jaisay Tujh Ko Banaya Gaya Hai Meray Liye

Tu Ab Se Pehlay Sitaron Main Bas Rahi Thi Kahin
Tujhay Zameen Pe Bulaya Gaya Hai Meray Liye

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khayal Aata Hai

Keh Badalti Yeh Nigahein Meri Amanat Hain
Yeh Gaisu’on Ki Ghanni Chaon Hai Meri Khatar

Yeh Hont Aur Yeh Banhein Meri Amanat Hain
Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khayal Aata Hai

Keh Jaisay Bajti Hain Shehnaiyan Si Rahon Main
Sohaag Raat Hai Ghoongat Utha Raha Hoon Main

Simat Rahi Hai Tu Sharma Kay Apni Banhon Main
Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khayal Aata Hai

Keh Jaisay Tu Mujhay Chahay Gi Umar Bhar Youn Hi
Keh Luttay Gi Meri Taraf Pyar Ki Nazar Youn Hi

Main Jaanta Hoon Keh To Ghair Hai Magar Youn Hi
Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khayal Aata Hai

 

 

Main Pal Do Pal Ka Shair Hoon

Main Pal Do Pal Ka Shair Hoon
Pal Do Pal Meri Kahani Hai

Pal Do Pal Meri Hasti Hai
Pal Do Pal Meri Jawani Hai

Mujh Se Pehlay Kitnay Shair
Aye Aur Aa Kar Chalay Gaye

Kuch Aahein Bhar Kar Loat Gaye
Kuch Naghmay Gaa Kar Chalay Gaye

Woh Bhi Ik Pal Ka Qissa Thay
Main Bhi Ik Pal Ka Qissa Hoon

Kal Tum Se Juda Ho Jaon Ga
Jo Aaj Tumhara Hissa Hoon

Main Pal Do Pal Ka Shair Hoon

Kal Aur Ayein Gay Naghmon Ki
Khilti Kaliyan Chun’nanay Walay

 

Mujh Se Behtar Kehnay Walay
Tum Se Behtar Sun’nanay Walay

Kal Mujh Ko Koi Yaad Karay
Kiyon Mujh Ko Koi Yaad Karay

Masroof Zamana Meray Liye
Kiyon Waqat Apna Barbaad Karay

Main Pal Do Pal Ka Shair Hoon
Pal Do Pal Meri Kahani Hai

 

 

Mohabbat Tark Ki Main Ne , Giribaan Si Liya Main

Mohabbat Tark Ki Main Ne , Giribaan Si Liya Main
Zamanay Ab To Khush Ho , Zehar Yeh Bhi Pee Liya Main Ne

Abhi Zinda Hoon Lakin Sochta Hoon Khilwat Main
Keh Ab Tak Kis Tamana Ke Saharay Jee Liya Main Ne

Inhain Apn Anahin Keh Sakta Par Itna Bhi Kiya Kam Hai
Keh Kuch Muddat Haseen Khawbon Main Kho Kar Jee Liya Main Ne

Bas Ab To Daaman-E-Dil Chor Do Be’kaar Umeedo
Bhout Dukh Seh Liye Main Ne Bhout Din Jee Liya Main Ne

 

Main Pal Do Pal Ka Shaair Hoon

Main Pal Do Pal Ka Shaair Hoon
Pal Do Pal Meri Kahani Hai
Pal Do Pal Meri Hasti Hai
Pal Do Pal Meri Jawani Hai

Mujh Se Pehlay Kitney Shaier
Aye Aur A Kar Chalay Gaye
Kuch Aahaien Bhar Kar Loat Gaye
Kuch Naghmay Ga Kar Chalay Gaye

Woh Bhi Ik Pal Ka Qissa Thay
Main Bhi Ik Pal Ka Qissa Goon
Kal Tum Se Juda Ho Jayon Ga
Go Aaj Tumhara Hissa Hoon

Main Pal Do Pal Ka Shair Hoon

Kal Aur Ayien Ge Naghmon Ki
Khilti Kaliyaan Chun’na’nay Waly
Mujh Se Behtar Kehnay Walay
Tum Se Behtar Sun’na’nay Walay

Kal Mujh Ko Koi Yaad Karay
Kyn Koi Mujh Ko Yaad Karay
Masroof Zamana Meray Liye
Kyn Waqat Apna Barbaad Karay

Main Pal Do Pal Ka Shaier Hoon
Pal Do Pal Meri Kahani Hai

Poet : Sahir Ludhanvi

 

 

Main Ne Chaand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi

Main Ne Chaand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi
Mujh Ko Raton Ki Sihayi Ke Siwa Kuch Na Mila

Main Woh Naghma Hoon Jissay Piyaar Ki Mehfil Na Mili
Woh Musafir Hoon Jissay Koi Bhi Manzil Na Mili

Zakham Paye Hain Baharon Ki Tamana Ki Thi
Main Ne Chaand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi

Kisi Gaisoo Kisi Anchal Ka Sahara Bhi Nahin
Rastay Main Koi Dhundla Sa Sitara Bhi Nahin

Meri Nazron Ne Nizaron Ki Tamana Ki Thi
Main Ne Chaand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi

Dil Main Na-Kaam Umeedon Ke Basairay Paye
Roshni Lenay Ko Nikla To Andheray Paye

Rang Aur Noor Ke Dhar’on Ki Tamana Ki Thi
Main Ne Chand Aur Sitaron Ki Tamana Ki Thi

Poet : Sahir Ludhanivi

 

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khyal Ata Hai

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khyal Ata Hai

Keh Zindagi Teri Zulfon Ki Naram Chay’on Main
Guzarney Pati To Shadaab Ho Bhi Sakti Thi

Yeh Tair’gi Jo Meri Zeest Ka Muqadar Hai
Teri Nazar Ki Shua’on Main Kho Bhi Sakti Thi

Ajab Na Tha Keh Main Be-Gana-E-Alam Ho Kar
Teray Jamaal Ki Ranayon Main Kho Rehta

Tera Gudaaz Badan . Teri Neem Baz Ankhain
Inhi Haseen Fasano Main Hehav Ho Rehta

Magar Yeh Na Ho Saka Aur Ab Yeh Aalam Hai
Keh Tu Nahin Tera Gham ,Teri Justago Bhi Nahin

Guzar Rahi Hai Kuch Is Tarah Zindagi Jaisay
Issay Kisi Ke Saharay Ki Arzoo Bhi Nahin

Zamaney Bhar Ke Dukhon Ko Laga Chuka Hoon Galay
Guzar Raha Hoon , Kuch Anjani Raah Guzharon Se

Maheeb Saye Meri Simat Barhtay Atay Hain
Hayat-O-Mout Ke Pur-Hole Khaar’zaron Se

Na Ko Jada-E-Manzil Na Roshni Ka Suraagh
Bhatak Rahi Hai Khala’yon Main Zindagi Meri

In Khala’yon Main Rah Jayon Ga Kabhi Kho Kar
Main Janta Hoon Meri Hum Nafas Magar Youn Hi

Kabhi Kabhi Meray Dil Main Khyal Ata Hai

 

 

Sab Main Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagte Ho

Sab Main Shamil Ho Magar Sab Se Juda Lagte Ho
Sirf Hum Se Nahin Khud Se Bhe Khafa Lagte Ho

Aankh Uthati Hai Na Jukhte Hai Kisi Ke Khatar
Saans Charte Hai Na Rukhte Hai Kisi Ke Khatar

Jo Kisi Dar Pe Na Thehray Woh Hawa Lagte Hai
Zulf Lehray To Aanchal Main Chupa Late Hai

Honth Tharayen To Dantoon Main Chupa Late Hai
Jo Kabhi Khul Ke Na Barsay Woh Ghata Lagte Hai

Jagi Jagi Na Nazar Aye Ho Soi Soi !!!!!!
Tum Ho Kiya Apnay Khylat Main Khoye Khoye
Kisi Mayoos Muqadar Ki Dua Lagte Ho

Poet : Sahir Ludihanvi