Haqeeqat mein wo lutfe zindagi paya nahin karte NAAT LYRICS

Haqeeqat mein wo lutfe zindagi paya nahin karte NAAT LYRICS

Haqeeqat mein wo lutfe zindagi paya nahin karte
Jo yaade mustafa se dil ko behlaya nahin karte

Zabaan par shikwa-e-ranjo alam laya nahin karte
Nabi ke naam lewa gham se gabraya nahin karte

Are oh nasamaj ! kurban hoja unke roze par
Ye lamhe zindagi mein baar baar aaya nahin karte

Ye darbare muhammad hai yahan apno ka kya kehna
Yahan se hath khali gair bhi jaya nahin karte

Ye hai darbar aaqa ka yahan milta hai be mange
Are nadaan yahan daman ko failaya nahin karte

Muhammad Mustafa ke baag ke sab fuul aese hein
Jo bin paani ke tar rehte hein murjaya nahin karte

Jo unke damane rehmat se wabasta hai ae Hameed
Kisi ke samne daman ko failaya nahin karte

 

 

Leave a Reply