Ghaire Sahaba Ke Liye Radi Allahu Ta’ala Anhu Ka Istemaal Karne Ki Sharai Haisiyat

Tehqeeqi Pamphlet No. 7
GHAIRE SAHABA
ME TARDI
Ghaire Sahaba Ke Liye Radi Allahu Ta’ala Anhu
Ka Istemaal Karne Ki Sharai Haisiyat
متخلفات
RM ABDE MUSTAFA
ABOUT US
Abde Mustafa Official, a team from Ahle Sunnat Wa Jama’at
Our motto : Serving Quraano Sunnat, preaching Ilme Deen and
to reform people.
This team came into existence in the year 2012 and in very
few years this team did a lot of acts.
There is also a special place of Abde Mustafa Official on
social media networking sites.
Lots of people from all over the world are connected to us
via Facebook, WhatsApp, Instagram, Telegram, YouTube and
Blogger.
Abde Mustafa Official
مخلفي
AMABDE MUSTAFA
ABDE MUSTAFA OFFICIAL
abdemustafaofficial.blogspot.com
Page | 1
Ghaire Sahaba Ke Liye Radiallaho Ta’ala
Anho Ka Istemal
Kaha Jata Hai Ki Sirf Sahaba -e- Kiram Ke Naam Ke Saath
“Radiallaho Ta’ala Anho” Ka Istimaal Karna Chahiye Aur Kisi Ke
Liye Ye Kalimaat Istimaal Karna Jaiz Nahi Hai, Ye Baat Awam Mein
To Mash’hoor Hai Hi, Saath Hi Saath Badmazhabo Ki Taraf Se Bhi
Ise Bataur Aitraz Pesh Kiya Jata Hai
Durust Ye Hai Ki Sahaba -e- Kiram Ke Ilawa Bhi In Kalimaat Ka
Istimaal Kiya Ja Sakta Hai Aur Ise Saabit Karne Ke Liye Humare
Paas Kayi Dalail Hain, Is Risale Me Is Mas’ale Par Tafseeli Kalaam
Kiya Gaya Hai, Hum Ne Kayi Ulama -E- Ahle Sunnat Ki Tahqeeqat
Ko Is Mein Jama Kiya Hai Jin Ke Mutaale Ke Baad Qari’een Par Ye
Mas’ala Bilkul Waazeh Ho Jayega.
Allah Ta’ala Irshad Faramta Hai :
ن

ٰ َّم
َّنا
ْ
ِذی
) َّ ال َّ
ََِّبی اِ ن َِّةِؕ
الْ
ْم َّخ ْْی
ه
ٕى َّك
ٰٓ
ٰ
ول

ِۙ ا
ح ِت
ٰ
ٰ لِ
ص
وا ال

َّ َّعِمل
او
ْ
ِ ْی و ۷(
ْجر
نتَّ
ٍ
تعَّ ْد

ٰ
ِ ْم َّج ن
ِ ه
ب
َّ
ْم ِع ْنَّدر
ه

ؤ
َّجَّزآ
ذلِ َّكلِ
ٰ
ِؕ
ه

َّع ْن
ا
ْ
ضو
َّ
َّر
َّع ْ ْهْنو
ٰ
ّلل
ا
ِِضَّ
َّ
دار
اَّبًَّ
َّاۤ
ْه
َّنفِی
ْ
خلِ ِدی
ٰ

هر
ٰ
َّااْْلَّنْ
ْحِته
ْنتَّ
(
ٗ۠
ه

ِم بَّ
َّ
م ۸( )سورۃ البینة، َّ ْن َّخِِشَّر
)8 ،7
“Beshaq Jo Iman Laaye Aur Unhone Acche Kaam Kiye Wahi
Tamam Makhooq Mein Sab Se Behtar Hain, Un Ka Sila Un Ke Rab
Ke Paas Baaghaat (Jannat Mein) Hai Jin Ke Neeche Nahrein Bahti
Hain, Un Mein Humesha-Humesha Rahenge, Allah Un Se Razi Hua
Aur Woh Us Se Razi Hue, Ye Sila Us Ke Liye Hai Jo Apne Rab Se
Dare.”
Khaazin Mein Hai : Allah عزوجل Un Ki Ita’at Aur Ikhlaas Se Raazi
Hua Aur Woh Us Ke Karam Aur Us Ki Ata Se Raazi Hue, Ye Azeem
Basharat Us Ke Liye Hai Jo Duniya Me Apne Rab Se Dare Aur Us Ki
Nafarmani Se Bache.
،تحتآالۃی: )

ۃ

ب
بی
ل
اخزن،ا ۸ قطا

( ،ملت
Page | 2
Tafseer Siraatul Jinan Mein Hai : Har Wali Aur Buzurg Ko
RadiAllahu Ta’ala Anhu Kah Sakte Hai, Ye Lafz Sahaba -E- Kiram
Ke Saath Khaas Nahi, Is Aayat Me Ye Mazmoon Saaf Maujood Hai.
ریسفت رصاط ا ا)
( انجلن،تحتاآلۃیھذ
Imame Ahle Sunnat, Aala Hazarat Rahimahullahu Ta’ala Likhte Hain
Ki RadiAllahu Ta’ala Anhu Sahaba -E- Kiram RadiAllahu Ta’ala
Anhum Ko To Kaha Hi Jayega Aayimma Wa Auliya Wa Ulma -EDeen Ko Bhi Kah Sakte Hain, Kitabe Mustataab Bahjatul Asraar
Sharif Wa Jumla Tasaanif Imam Aarif Billah Syed Abdul Wahaab
Sharaani Waghaira Akaabir Mein Ye Shaaye’a Wa Zaaye’a Hai.
Tanwirul Absaar Mein Hai :
یستحبالرتِضللصحابة والرتحمللتابعنیومنبعدهممنالعلماءواْلخیاروکذایجوزعکسہعیلالراجح
(دراتخمر رشح ونتری االاصبر اسملئ یتش، عبطم ابتجمیئ دیلہ، 2/350)
“Sahaba -E- Kiram Ke Asma -E- Girami Ke Saath “RadiAllahu Ta’ala
Anhu” Kahna Ya Likhna Mustahab Hai. Tabayeen Aur Baad Waale
Ulma -E- Kiram Aur Shurafa Ke Liye “Rahmatullah Ta’alah Alaih”
Kahna Ya Likhna Mustahab Hai Aur Us Ka Ulta Bhi Raajeh Qaul Ki
Bina Par Jaiz Hai Yani Sahaba -E- Kiram Ke Saath Rahmatullah
Ta’ala Alaih Aur Dusro Ke Saath RadiAllahu Ta’ala Anhu”.
(اتفوی روضہی، ج،23 ص388)
Hazrate Allama Mufti Amjad Ali Aazmi Rahimahullah Likhte Hai Ki
Buzurgan -E- Deen Ke Naam Ke Saath RadiAllahu Ta’ala Anhu
Kahna Aur Likhna Jaiz Hai, Sahaba -E- Kiram Ridwanullah Alaihim
Ajmayeen Ke Saath Is Ki Khusoosiyat Saabit Nahi, Quran -EMajeed Me Sahaba -E- Kiram Aur Un Ke Muttabi’een Sab Ke Liye
Farmaaya Gaya RadiAllahu Ta’ala Anhum
قاْلاہللتعایلوالسبقوناْللونمن…اآلیة
Saahib -E- Hidaya Ke Talamiza Ne Jahan Un Ka Khas Qaul
“Hidaya” Me Zikr Kiya Yun Kaha
Page | 3
“قال رِض اہلل عنہ ”
Yani Musannif RadiAllahu Ta’ala Anhu Ne Ye Farmaya Aur Deeghar
Kutub Me Aksar Jagah Aayimma Ke Asma Ke Saath Tardi Maqtoob
Wa Mazkoor Hai,
Wallahu Aalam
(اتفوی ادجمہی، ج،4 ص345)
Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Rahimahullah Likhte Hain
Ki RadiAllahu Anhu Ka Duaaiya Jumla Sahaba -E- Kiram Ke Saath
Khaas Nahi Ghaire Sahaba Ke Naam Ke Saath Bhi Is Ka Istimaal Jaiz
Hai, Isi Liye Buzurgo Ne Bade Bade Ulma Wa Mashaikh Ke Liye Bhi
Is Ko Istimaal Farmaya Hai Jaisa Ki Hazrat Shaikh Abdul Haque
Muhaddis Dhelwi Rahimahullah Ne Ash’atul Lam’aat, Jild
Chaharum, Safa 743 Par Hazrat Owais Qarani Ko RadiAllahu Anhu
Likha Aur Allaama Ibne Aabideen Shaami Rahimahullah Ne Raddul
Muhtar, Jild Awwal, Matbu’aa Deoband Safhaat 35, 36, 37 Aur Safa
42 Par Hazrat Imam Abu Hanifa RadiAllahu Ta’ala Anhu Likha Aur
Mishqaat Ke Musannif Hazrat Shaikh Waliuddin Muhammad Bin
Abdullah Khateeb Tabrezi Ne Mishqaat Shareef Ke Muqaddame
Safa 11 Par Sahib -E- Masaabeeh Allama Abu Muhammad Hussain
Bin Masood Faraar Baghwi Ko RadiAllahu Ta’ala Anhu Likha Aur
Allama Shahabuddin Khafaji Ne Naseemur Riyaz Jild Awwal Safa 5
Par Allama Qaazi Ayaz Ko RadiAllahu Ta’ala Anhu Likha Aur
Hazrat Gaus E Paak RadiAllahu Anhu Ke Naam Ke Saath Kayi Jagah
Ye Duaaiya Jumla Likha Hai Jab Ki In Mein Se Koi Sahabi Nahi To
Maloom Hua Ki Ghaire Sahabi Ke Naam Ke Saath RadiAllahu Anhu
Likhna Aur Kahna Jaiz Hai Yahan Tak Ki Aam Deobandi Wahabi Jo
RadiAllahu Anhu Ko Sahabi Ke Saath Khaas Samjhte Hain Aur
Ghaire Sahabi Ko RadiAllah Anhu Kahne Par Lad Padte Hai Unke
Peshwa Maulwi Qaasim Aur Maulwi Rasheed Ahmad Gangohi Ko
Bhi RadiAllahu Anhu Likha Gaya Hai. Jaisa Ke Tazkiratur Rasheed,
Page | 4
Jild Awwal, Safa 28 Par Hai Maulana Qasim Sahab Maulana
Rasheed Ahmad Sahab RadiAllahu Ta’alah Anhuma…….Alakh
In Tamam Hawala Jaat Se Roze Raushan Ki Tarah Waazeh Ho Gaya
Ki Ghaire Sahabi Ke Naam Ke Saath RadiAllahu Anhu Kahna Jaiz
Hai.
(اتفوی ضیف ارلوسل، ج،2 ص541)
Aap Ek Jagah Aur Likhte Hain Ki Ghaire Sahabi Ke Liye RadiAllahu
Ta’ala Anhu Ka Istimaal Karna Jaiz Hai Jaisa Ki Durre Mukhtar Ma
Shaami Jild Panjum Safa 470 Me Hai :
یستحبالرتِضللصحابة والرتحمللتابعنیومنبعدهممنالعلماءواْلخیاروکذایجوزعکسہعیلالراجح
(دراتخمر رشح ونتری االاصبر اسملئ یتش، عبطم ابتجمیئ دیلہ، 2/350)
“Sahaba -E- Kiram Ke Asma E Girami Ke Saath “RadiAllahu Ta’ala
Anhu” Kahna Ya Likhna Mustahab Hai. Taba’een Aur Baad Waale
Ulama E Kiraam Aur Shurafa Ke Liye “Rahematullah Ta’ala Alaih”
Kahna Ya Likhna Mustahab Hai Aur Is Ka Ulta Bhi Raajeh Qaul Ke
Bina Par Jaiz Hai Yaani Sahaba -E- Kiram Ke Saath Rahmatullah
Ta’ala Alaih Aur Doosro Ke Saath RadiAllahu Ta’ala Anhu.”
Hazrat Allama Ahmad Shahabuddin Khifaji Rahmatullah Alaih
Naseemur Riyaz Sharah Shifa Qaazi Ayaaz Jild Saum Safa 509 Me
Tahreer Farmate Hain Ambiya -E- Kiram Ke Alawa Aayimma
Waghaira Ulama Wa Mashaikh Ko Gufraan Wa Raza Se Yaad Kiya
Jaaye Aur RadiAllahu Ta’ala Anhu Kaha Jaaye. (اصخلمً (
Phir Allaama Jalaaluddin Ahmad Amjadi Ne Kayi Hawaale Pesh
Farmaye Hain Jin Se Saabit Hota Hai Ki RadiAllahu Ta’ala Anhu Ka
Istimaal Sahaba Ke Saath Khaas Nahi Hai.
(اًاضی، ص426)
Al Hadeeqatun Nadiyah Mein Hai : Sahaba -E- Kiram Ke Naamo’n
Ke Saath RadiAllahu Anhu Aur Taba’een Izaam, Un Ke Baad Waale
Ulama -E- Kiram, Ibaadat Guzaro Aur Tamam Auliya -E- Kiram Ke
Naamo’n Ke Saath Rahmatullah Alaih Kahna Musatahab Hai.
Page | 5
Sawal : Kya Is Ke Bar-aqs Bhi Ho Sakta Hai? Yani Auliya Wa Ulama
Ke Liye RadiAllahu Anhu Aur Sahaba -E- Kiram Ke Liye
Raalhmatullah Alaih Kah Sakte Hai?
Jawab : Baaz Ulama -E- Kiram Rahimahumullahu Ta’alah Farmate
Hai “Aisa Karna Jaiz Nahi Balki RadiAllahu Anhu Sahaba -E- Kiram
Ke Saath Khaas Hai Aur Un Ke Ilawa Baaqi Sab Ke Saath
Rahmatullah Alaih Kaha Jaayega Jabki Hazrat Sayyidana Imam
Nawawi Alaihirrahama (Mutawaffa 884 Hijri) Farmate Hai : “Ye
Sahi Nahi, Balki Sahi Wahi Hai Jo Jamhoor Ulama -E- Kiram
Rahimahumullahu Ta’ala Ka Mauqif Hai Ki Aisa Kahna Musathab
Hai Aur Is Ke Beshumar Dala’il Hai.
(ادحلۃقی ادنلۃی رشح ارطلۃقی ادمحملۃی، اردو رتہمج انبم االصح اامعل، ص99)
Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Rahimahullahu Ta’alah Likhte
Hai :
Fatawe Ki Mashoor Kitab Durre Mukhtar Me Ise Jaiz Likha Gaya
Hai, Allama Qaazi Ayaaz Ne Aayimma, Taba’een Wa Ulama
Waghira Ke Saath RadiAllahu Anhu Ke Istimaal Ko Jaiz Likha Hai,
Imaam Nawawi Imaam Bukhaari Wa Muslim Ko RadiAllahu Anhu
Likha Hai (Sharah Muslim), Mishqaat Me Saahibe Masabih Ko
RadiAllahu Anhu Likha Gaya Hai, Ilme Tafseer Mein Imam Tabri
Wa Imam Nasfi Donon Ke Liye Rahmatullah Alaih Aur RadiAllahu
Anhu Likha Hua Milega, Agar Dhundha Jaye To Aise Naamo’n Ki
Line Lag Jayegi, Sufiya -E- Kiram Ke Tazkiro’n Me Ye Kasrat Se
Milta Hai Aur Deobandiyo Ne Bhi Apne Aqaabireen Ke Liye Kayi
Maqamaat Par Ye Qalimaat Istimaal Kiye Hai.
(ًاصخلم اتفوی رحب اولعلم، ج،1 ص124)
Ek Aur Maqam Par Aap Likhte Hain Ki Allah Ta’ala Ke Tamam Nek
Bandon Ke Saath Rahmatullah Alaih Aur RadiAllahu Anhu Likha Ja
Sakta Hai Aur Quran -E- Paak Ki Aayaat Se Bhi Maloom Hota Hai
(Phir Aap Ne Surah Ambiya Ki Aayaat Likhi Hain Jinhe Hum Naql
Kar Chuke Hai)
Page | 6
(اًاضی، ج،5 ص335)
Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Alaihirrahama Likhte Hai Ke
Sahaba Ke Ilawa Deeghar Mashaaikh Wa Ulama Ko RadiAllahu
Anhu Kahna Salaf Aur Khalaf Se Chala Aa Raha Hai, Aur Is Ka
Jawaz Quran Majeed Se Makhaz Hai, Surah Tauba Me Farmaya :
“Aur Sab Me Agle Aur Pahle Muhajir Aur Ansar Bhalai Ke Saath Un
Ke Pairo Huye, Allah Un Se Raazi Aur Woh Allah Se Raazi Ho
Gaye.”
Is Aayat Me Muhajireen Wa Ansar Ke Saath Bhalai Ke Saath
Qayamat Tak Un Ke Tab’een Ke Liye Farmaya Aur Doosri Aayat Me
Mutlaq Har Nek Wa Swaleh Momin Ke Liye Farmaya Is Liye Jo Ye
Kahta Hai Ki RadiAllah Anhu Ka Seegha Sahaba E Kiram Ke Saath
Khaas Hai Woh Quran Majeed Ke Khilaf Kah Raha Hai.
Mazhabi Kitabo Ke Muta’ale Se Ye Zaahir Hai Ki Aayimma E
A’alaam Ulama, Mashaaikh E Uzzam Ne Saikdon Ghaire Sahaba,
Ulama Wa Mashaikh Ke Liye RadiAllahu Ta’ala Anhu Isitimal
Farmaya Hai, Agar Khaali Un Sab Ko Naam Le Kar Jama Kiya Jaye
To Kam Az Kam Sau Safe Ki Kitab Taiyyar Ho Jaye. (Phir Aap Ne
Sa’il Ki Tasqeen Ke Liye Chand Hawala Jaat Pesh Farmaye Hai.)
(اتفوی اشرح رخبی، ج،1 ص609)
Ek Aur Sawal Ke Jawab Me Likhte Hai Ki RadiAllahu Anhu Sahaba
-E- Kiram Ke Liye Khaas Nahi Balki Ummat Ke Jami’a Sulahaa Ke
Liye Humesha Se Istimaal Hota Aaya Hai, Khud Quran Me
Mut’addid Jagah Sulahaa Ummat Ke Liye Ye Seegha Waarid Hai.
(اتفوی رشح رخبی، ج،3 ص453)
Allama Mufti Muhammad Fazle Kareem Razvi Likhte Hai Ki Imam
Muhaqqiq Alal Iltlaaq Waghaira Aqabireen Ne Farmaya Hai Ke
کلماکانادخلیفاْلدبوالجاللکانحسنا
Page | 7
Jo Baat Adab Wa Tazim Me Dakhal Rakhti Ho Woh Acchi Hai.
Quran Majeed Me Ye Seegha Tamam Nek Logo’n Ke Liye Istimaal
Hua Hai. (اصخلمً(
(اتفوی رشہیع، ج،2 ص608)
Hazrat Allama Mufti Ajmal Qadri Rahmatullah Alaih Likhte Hai Ki
RadiAllahu Anhu Sirf Sahaba -E- Kiram Ke Saath Khaas Nahi Balki
Taba’een Wa Taba Taba’een, Aayimma Wa Mujatahideen, Fuqha
Wa Muhaddiseen, Auliya -E- Kiram Wa Ulama E Izaam Ke Liye Bhi
Jaiz Hai Balki Mashaikh Ka Mamool Hai Jaisa Ki Tanwirul Absaar
Wa Durre Mukhtaar Mein Is Ki Tashrih Hai. (اصخلمً (
ب ۃ،ج )
مل

ج
(اتفویا ،3 ص391
Allama Mufti Waqaruddin Quadri Rahimahullah Likhte Hain Ki
Quran E Kareem Mein Hai :
Aur Jo Bhalai Ke Saath Un Ke Pairo Huye Allah Ta’alah Un Se Raazi
Hua Aur Woh Allah Ta’alah Se Raazi Hue. Ye Jumla Jab Kisi
Musalman Ke Liye Bola Jata Hai To Maqsad Duaa Hota Hai Lihaaza
Musalman Ke Liye Ye Jumla Dua Ke Taur Par Istimaal Karne Mein
Koi Harj Nahi. Durre Mukhtar Mein Ise Jaiz Likha Gaya Hai.
ٰی،ج،1 ص346)
(واقرااتفلو
Allama Mufti Khaleel Khan Barkaati Likhte Hain Ki Alaihissalato
Wassalam Alfaz Bila Shubha Hazraat Ambiya -E- Kiram Ke Saath
Makhsoos Hai Baaki Alfaz Na Sahaba Ke Saath Makhsoos Hai Na
Auliya -E- Kiram Ke Saath. Ba-Surate Dua Wa Ba-Niyate Insha,
RadiAllahu Ta’ala Anhu Hazraate Auliya E Kiram Ulama -E- Izaam
Ke Saath Bhi Bola Jata Hai Jaisa Ki Rahmatullah Alaih Auliya Wa
Ulama Donon Par Albatta Rahmatullah Alaih Ka Lafz Sahaba E
Kiram Ke Naamo Ke Saath Masmu’a Nahi Hai Aur Na Mamool Hai.
ب ۃ،ج )
ب ل
ل

(اتفویخ ،1 ص95
Page | 8
Ek Aur Makam Par Aap Likhte Hai Ki RadiAllahu Anhu Sahaba Ke
Saath Khaas Nahi Hai Balki Buzurgaan -E- Ummat Ke Liye Bhi
Istimaal Hota Chala Aa Raha Hai Jaisa Ki Mishqat Mein Saahibe
Masabih Ko RadiAllahu Anhu Likha Gaya Hai Aur Bhi Kayi Misalein
Maujood Hain (Phir Aap Ne Hawalajaat Naql Kiye Hai
(ًاصخلم)
(اًاضی، ص134)
Maulana Muhammad Ajmal Attari Ne Apni Kitab Imam Ul Awliya
Mein 6 Safhaat Par Mushtamil Ek Tahreer Likhi Hai Jis Mein Kayi
Dalail Aur Hawala Jaat Pesh Kiye Hain Jin Se Saabit Hota Hai Ki Is
Ka Istimaal Sahaba -E- Kiram Ke Saath Khaas Nahi Balki Auliya Wa
Ulama Ke Liye Bhi Is Ka Istimaal Jaiz Hai.
(اامم االوایلء، ص29ات 34)
Allama Professor Mufti Muneebur Rahman Likhte Hai Ki :
Urfe Aam Me Chunki Sahaba -E- Kiram Ke Asma E Girami Ke Saath
RadiAllahu Anhu Bola Aur Likha Jata Balki Taqreeban Is Ka Iltizaam
Kiya Jaata Hai, Is Liye Ye Samajh Liya Gaya Hai Ki Shayad Ye
Sahaba -E- Kiram Ka Laqabe Khaas Hai Lekin Ye Nazariya Durust
Nahi Hai, Kyuki Quran -E- Majeed Mein Is Ka Itlaaq Momineen
Swaliheen Ke Liye Aam Hai. (Phir Aap Ne Aayat Wa Deeghar
Hawala Jaat Se Ise Sabit Kiya Hai.
(میہفت ااسمللئ، ج،3 ص32ات 36)
Fatawa Markazi Tarbiyat Ifta Mein Hai Ki Buzurgaane Deen Ke
Naam Ke Saath RadiAllahu Anhu Likhna Jaiz Hai Balki Quran Mein
Sahaba Aur Un Ke Muttab’een Ke Liye Istimaal Kiya Gaya Hai.
(اتفوی رمزک رتتیب ااتف، ج،2 ص651)
Hazrat Allama Faiz Ahmad Owaisi Rahimhullahu Ta’ala Likhte Hain
Ki RadiAllahu Anhu Ka Istimaal Sahaba Ke Saath Khaas Nahi
Falihaaza Ghair Sahaba Ke Liye Bhi Jaiz Hai. (Phir Aap Ne Durre
Page | 9
Mukhtaar, Shaami, Naseemur Riyaz Aur Bhi Kayi Hawala Jaat Diye
Hain.)
(اتفوی اوہیسی، ص402)
Taajusshariya, Allama Mufti Akhtar Raza Khan Rahimahullah Ta’ala
Likhte Hain Ki Tardi Jis Tarah Sahaba Ke Liye Jaiz Hai Usi Tarah
Ghaire Sahaba Ke Liye Bhi Rawaa Hai. Is Ke Jawaz Ki Durre
Mukhtaar Waghaira Mu’atamad Kutub Me Tashrih Hai Aur Quran –
E- Majeed Me Alal Umoom Sab Ke Liye Mustamal Hai.
(اتفوی اتج ارشلہعی، ج،1 ص425)
Ek Aur Sawal Ke Jawab Me Aap Ne Tafseel Se Is Mas’ale Ki
Tahqeeq Pesh Farmayi Hai Aur Kayi Hawalo’n Se Ise Sabit Kiya Hai
Ki Ye Sahaba Ke Saath Khaas Nahi Hai.
(اًاضی، ص471)
Ek Aur Maqam Par Likhte Hain Ki Ye Sahaba Ke Saath Khaas Nahi
Ghaire Sahaba Ke Liye Istimaal Kar Sakte Hai.
(اتفوی اتج ارشلہعی، ج،2 ص602)
Allama Gulam Rasool Saeedi Rahimahullah Ta’alah Likhte Hai Ki Is
Ka Istimaal Sahaba Ke Saath Khaas Nahi Hai Phir Aayaat Likhne Ke
Baad Imam Nawawi Ka Qaul Naql Karte Hain Ki Tamam Ulama -EDeen Aur Swaliheen Ke Liye RadiAllahu Anhu Aur Rahematullah
Alaih Kahna Aur Likhna Jaiz Hai.
(رشح ملسم ونللوی)
Imam Raazi Jahan Aayiimma Mujtahideen Ka Zikr Karte Hain
Wahan RadiAllahu Anhu Likhte Hai Maslan Imam Abu Hanifa
RadiAllah Anhu Ne Farmaya.
(ریسفت ریبک)
(رشحملسمللسع ،1ص277 ب ذی،ج )
Page | 10
Ye Kuch Hawala Jaat The Jo Hum Ne Kutube Ahle Sunnat Se Pesh
Kiye Warna Firqahaa -E- Baatila Me Qasrat Se Is Ka Istimaal Milta
Hai Ki Woh Apne Aqabireen Ke Liye RadiAllahu Anhu Likhte Hai
Aur Un Ki Awam Ahle Sunnat Par Aitraaz Karti Hai, Agar Tamam
Hawalajaat Ko Jama Kiya Jaye To Baqaul Allama Shariful Haq
Amjadi “Ek Sau Safahaat Se Zyada Ki Kitab Ban Jayegi” Aur Hum
Ne Ise Ek Mukhtasar Risale Ki Shaql Dene Ke Liye Hawala Jaat Ko
Tafseelan Naql Nahi Kya Aur Ibaraat Bhi Mukammal Naql Nahi Ki
Gayi Hain Balki Khulasa Likhne Par Iqtifa Kiya Gaya Hai.
Is Risale Me Jitne Hawala Jaat Naql Kiye Gaye Hain, Un Se Ye Baat
Bilkul Waazeh Ho Jati Hai Ki Ghaire Sahabi Ke Liye RadiAllahu
Anhu Ka Istimaal Na Sirf Jaiz Hai Balki Salaf Wa Khalaf Mein Rayij
Aur Kutub Me Mazkoor Hai. Is Ki Takhsees Sahaba -E- Kiram Ke
Saath Sabit Nahi Balki Aayat -E- Qurani Se Bhi Yahi Maakhuz Hai
Ki Ye Muttab’een Sahaba, Swalehin Wa Buzurgaane Deen Ke Liye
Bhi Istimaal Kiya Ja Sakta Hai.
Abde Mustafa

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top