हमारी हो निगहबानी ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी | इलाही ख़ैर गर्दानी ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी / Hamari Ho Nigehbani Ba-haqq-e-Shah-e-Jilani | Ilahi Khair Gardani Ba-haqq-e-Shah-e-Jilani
हमारी हो निगहबानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
इलाही ! ख़ैर गर्दानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
मेरे मौला ! ‘अता करना हमेशा इस वसीले से
हर इक मुश्किल में आसानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
तू मालिक है ख़ज़ानों का, करम से दूर फ़रमा दे
हमारी तंग-दामानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
ख़ुदाया ! दीन-ओ-दुनिया की हर इक ने’मत ‘अता कर दे
ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
ज़माना देख कर हैरान है, हम लोग करते हैं
गदाई में भी सुल्तानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
ब-रोज़-ए-हश्र दाएँ हाथ में आ’माल-नामा हो
रहे पुर-नूर पेशानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
हमारी ख़स्ता-हाली पर, ख़ुदाया ! तेरी रहमत की
रहे हर दम फ़रावानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
वसीला भी ज़रूरी है, जभी सरवर ! ये कहते हैं
इलाही ! ख़ैर गर्दानी, ब-हक़्क़-ए-शाह-ए-जीलानी
शायर:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी
ना’त-ख़्वाँ:
सरवर हुसैन नक़्शबंदी
hamaari ho nigehbaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
ilaahi ! KHair gardaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
mere maula ! ‘ata karna hamesha is waseele se
har ik mushkil me.n aasaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
tu maalik hai KHazaano.n ka, karam se door farma de
hamaari tang-daamaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
KHudaya ! deen-o-duniya ki har ik ne’mat ‘ata kar de
ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
zamaana dekh kar hairaan hai, ham log karte hai.n
gadaai me.n bhi sultaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
ba-roz-e-hashr daae.n haath me.n aa’maal-naama ho
rahe pur-noor peshaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
hamaari KHasta-haali par, Khudaya ! teri rahmat ki
rahe har dam faraawaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
waseela bhi zaroori hai, jabhi Sarwar ! ye kehte hai.n
ilaahi ! KHair gardaani, ba-haqq-e-shaah-e-jeelaani
Poet:
Sarwar Hussain Naqshbandi
Naat-Khwaan:
Sarwar Hussain Naqshbandi
Popular Posts
-
Kya Bataun Ki Kya Madina Hai 62 views
-
Mere Aaqa Aaye Jhoomo 29 views