ROMAN URDU TRANSLITERATION
IMAME AHLE SUNNAT, AALA HAZRAT
IMAM AHMAD RAZA KHAN BARELVI
RAHIMAHULLAHU TA’ALA
1
POWERED BY ABDE MUSTAFA OFFICIAL
info@abdemustafa.com
2023 All Rights Reserved.
SABIYA VIRTUAL PUBLICATION
OUR DESIGNING PARTNER
PURE SUNNI
GRAPHICS
PUBLISHER
DETAILS
NAME
KANZUL IMAAN
(PART 01)
RAMAZAN 1444H
MARCH 2023
SANA ISHA’AT TOTAL PAGES
50
MUTARJIM
IMAME AHLE SUNNAT, AALA HAZRAT
ROMAN TRANSLITERATION
ABDE MUSTAFA OFFICIAL TRANSLATION DEPARTMENT
IMAM AHMAD RAZA KHAN BARELVI
ALLAH KE NAAM SE SHURU
JO NIHAYAT MEHARBAAN, RAHMAT WAALA HAI
Kanzul Imaan (Paara 01)
1
Contents
Nashir Ki Taraf Se Kuchh Aham Baatein …….2
Pehle Ise Padh Lijiye…………………………………5
Suratul Fatiha …………………………………………..9
Suratul Baqarah………………………………………10
Aayat 1-10……………………………………………..10
Aayat 11-20……………………………………………11
Aayat 21-30……………………………………………13
Aayat 31-40……………………………………………15
Ayat 41-50 …………………………………………….17
Aayat 51- 60…………………………………………..19
Aayat 61-70……………………………………………21
Aayat 71-80……………………………………………23
Aayat 81-90……………………………………………25
Aayat 91-100………………………………………….27
Aayat 101-110………………………………………..29
Aayat 111-120………………………………………..32
Aayat 121-130………………………………………..34
Aayat 131-141………………………………………..36
Our Books In Roman Urdu : …………………….39
Kanzul Imaan (Paara 01)
2
Nashir Ki Taraf Se Kuchh Aham
Baatein
Mukhtalaf Mamalik Se Kai Likhne Waale
Humein Apna Sarmaya Irsaal Farma Rahe Hain
Jinhein Hum Shaya Kar Rahe Hain, Hum Ye
Batana Zaroori Samajhte Hain Ke Humari
Shaya Karda Kitabo Ke Mundarijaat (Contents)
Ki Zimmedari Hum Is Hadd Tak Lete Hain Ke
Ye Sab Ahle Sunnat Wa Jama’at Se Hai Aur Ye
Zaahir Bhi Hai Ke Har Likhari Ka Talluq Ahle
Sunnat Se Hai, Dusri Janib Akabireene Ahle
Sunnat Ki Jo Kitabein Shaya Ki Ja Rahi Hain
To Un Ke Mutalliq Kuchh Kehne Ki Haajat Hi
Nahin Phir Baat Aati Hai Lafzi Aur Imlai
Ghalatiyo Ki To Jo Kitabein “Team Abde
Mustafa Official” Ki Peshkash Hoti Hain Unke
Liye Hum Zimmedar Hain Aur Wo Kitabein Jo
Mukhtalaf Zaraaye Se Humein Mausool Hoti
Hain, Un Mein Is Tarah Ki Ghalatiyo Ke
Hawale Se Hum Bari Hain Ke Wahan Hum Har
Har Lafz Ki Chhan Phatak Nahin Karte Aur
Humara Kirdaar Bas Ek Nashir Ka Hota Hai
Ye Bhi Mumkin Hai Ke Kai Kitabo Mein
Aisi Baatein Bhi Ho’n Ke Jin Se Hum Ittefaq
Kanzul Imaan (Paara 01)
3
Nahin Rakhte, Misaal Ke Taur Par Kisi Kitab
Mein Koi Aisi Riwayat Bhi Ho Sakti Hai Ke
Tehqeeq Se Jis Ka Jhoota Hona Ab Saabit Ho
Chuka Hai Lekin Use Likhne Waale Ne Adame
Tawajjo Ki Bina Par Naqal Kar Diya Ya Kisi
Aur Wajah Se Wo Kitab Mein Aa Gai Jaisa Ke
Ahle Ilm Par Makhfi Nahin Ke Kai Wujoohaat
Ki Bina Par Aisa Hota Hai, To Jaisa Humne Arz
Kiya Ke Agarche Use Hum Shaya Karte Hain
Lekin Isse Ye Na Samjha Jaaye Ke Hum Usse
Ittefaq Bhi Karte Hain
Ek Misaal Aur Hum Ahle Sunnat Ke Mabain
Ikhtelafi Masail Ki Pesh Karna Chahte Hain Ke
Kai Masail Aise Hain Jin Mein Ulama -e- Ahle
Sunnat Ka Ikhtelaf Hai Aur Kisi Ek Amal Ko
Koi Haraam Kehta Hai To Dusra Uske Jawaz
Ka Qaail Hai, Aise Mein Jab Hum Ek Nashir Ka
Kirdaar Ada Kar Rahe Hain To Dono Ki Kitabo
Ko Shaya Karna Humara Kaam Hai Lekin
Humara Mauqif Kya Hai, Ye Ek Alag Baat Hai,
Hum Fareeqain Ki Kitabo Ko Is Bunyad Par
Shaya Kar Sakte Hain Ke Dono Ahle Sunnat Se
Hain Aur Ye Ikhtelafaat Furooi Hain, Isi Tarah
Humne Lafzi Aur Imlai Ghalatiyo Ka Zikr Kiya
Tha Jis Mein Thodi Tafseel Ye Bhi Mulahiza
Kanzul Imaan (Paara 01)
4
Farmayein Ke Kai Alfaaz Aise Hain Ke Jin Ke
Talaffuz Aur Imla Mein Ikhtelaf Paaya Jaata
Hai, Ab Yahan Bhi Kuchh Aisi Hi Soorat
Banegi Ke Hum Agarche Kisi Ek Tariqe Ki
Sihhat Ke Qaail Ho’n Lekin Uske Khilaf Bhi
Humari Isha’at Mein Maujood Hoga, Is Farq Ko
Bayaan Karna Zaroori Tha Taaki Qarayeen
Mein Se Kisi Ko Shubha Na Rahe
Team Abde Mustafa Official Ki Ilmi,
Tehqeeqi Aur Islahi Kitabein Aur Risale Kai
Marahil Se Guzarne Ke Baad Shaya Hote Hain
Lekin Iske Bawajood In Mein Bhi Aisi
Ghalatiyo Ka Paaya Jaana Mumkin Hai Lihaza
Agar Aap Unhein Paayein To Humein Zaroor
Batayein Taaki Uski Tashih Ki Ja Sake
Sabiya Virtual Publication
Powered By Abde Mustafa Official
Kanzul Imaan (Paara 01)
5
Pehle Ise Padh Lijiye
Kanzul Imaan, Qurane Kareem Ka Urdu
Tarjuma Hai Jo Imame Ahle Sunnat, Aala
Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan Barelvi
Rahimahullahu Ta’ala Ne Kiya Hai
Kai Zubano Mein Iske Tarjumo Par Kaam Ho
Chuka Hai Aur Poori Dunya Mein Ise Padhne
Waale Maujood Hain, Zaroori Tha Ke Ise
Roman Urdu Mein Bhi Laaya Jaaye Kyunki Ek
Badi Tadaad Humare Mulk Hindustan Mein
Aisi Paai Jaati Hai Jo Urdu Aur Hindi Dono
Padhna Nahin Jaanti Lekin Roman Urdu Achhi
Tarah Padh Aur Samajh Leti Hai
Roman Urdu Mein Badmazhabo Ki Taraf Se
Kaam Kiya Ja Raha Hai Aur Mukhtalif
Mauzuaat Par Wo Apni Kitabein Roman Urdu
Mein Shaya (Publish) Kar Rahe Hain Phir Afsos
Ke Saath Kehna Pad Raha Hai Ke Kai Sunni
Ahbaab Bhi Un Kitabo Ko Padh Rahe Hain, Ab
Aise Mein Hum Par Laazim Hai Ke Jahan Tak
Ho Sake Roman Urdu Mein Ahle Sunnat Ke
Literature Ko Aam Kiya Jaaye
Kanzul Imaan Ko Roman Urdu Mein Aur Bhi
Chand Nashireen Ne Kiya Hai Lekin Afsos Ke
Kanzul Imaan (Paara 01)
6
Internet Par Ab Tak Kanzul Imaan Roman Urdu
Mein Available Nahin Hai! Jinhone Is Par
Kaam Kiya Hai Wo Faqat Hard Copies Yaani
Kitabein Chhaap Kar Bechne Ke Hi Qaail Hain,
Unhein Soft Copies Yaani PDF Waghaira
Fuzool Nazar Aata Hai Jaisa Ke Humne Chand
Nashireen Ko Kehta Hua Paaya, Hum Unke Is
Nazariye Se Kisi Tarah Ittefaq Nahin Kar Sakte
Kyunki Hum Is Shobe Mein Kaam Kar Rahe
Hain Aur Musalsal Milne Waale Tassuraat Se
Yaqeen Ke Saath Keh Sakte Hain Ke Digital
Publishing Ki Ab Bahut Zyada Zaroorat Hai
Aur Yahan Bhi Readers Kam Nahin Hain
Jab Humare Paas Kanzul Imaan Ki Demands
Aani Shuru Hui To Awwalan Humne Yahi
Kaha Ke Internet Par Talash Ki Jaaye Kyunki
Humein Lagta Tha Ke Kanzul Imaan Roman
Urdu Mein Net Par Zaroor Available Hogi
Lekin Jab Maloom Hua Ke Koi Achhi File
Maujood Nahin Hai To Bahut Afsos Hua, Hum
Ne Fauran Irada Kar Liya Ke Ye Kaam Bhi Jald
Az Jald Anjaam Dena Hai Aur Is Par Kaam
Shuru Kar Diya Gaya, Iski Kuchh Tafseelaat
Darje Zel Hain :
(A) Ye Roman Urdu Bilkul Aasan Tarz Par Ki
Kanzul Imaan (Paara 01)
7
Gai Hai Yaani Special Characters Waghaira Ka
Istemal Nahin Kiya Gaya Hai Jaisa Ke Baaz
Roman Urdu Likhne Waale Karte Hain
(B) Sirf Tarjume Ko Roman Urdu Kiya Gaya
Hai, Aayato Ko Roman Urdu Mein Likhne Se
Ulama -e- Ahle Sunnat Ne Sakhti Se Mana
Farmaya Hai Aur Ise Najaizo Haraam Bataya
Hai Lihaza Sirf Tarjume Par Hi Iktefa Kiya
Gaya Hai, Humare Mulk Mein Aayato Ko Bhi
Roman Urdu Mein Kar Ke Kanzul Imaan Ko
Chhaapa Ja Raha Hai Jo Ke Ek Qabile
Mazammat Amal Hai
(C) Paara Wise Aur Mukammal Dono Tarah Ki
Files Ko Publish Kiya Gaya Hai
(D) PDF Ke Ilawa EPUB Format Bhi Tayyar
Kiya Gaya Hai Jahan Aap E Book Readers Ki
Madad Se Customization Ke Saath Padh Sakte
Hain Aur Search, Copy Aur Paste Ba Aasani
Kar Sakte Hain
(E) Fehrist Mein 10-10 Aayato Ki Links De Di
Gai Hain Jiske Zariye Fauran Matlooba Aayat
Ko Dekha Ja Sakta Hai
Iske Ilawa Aur Bhi Baatein Hain Jo Aap
Khud Mulahiza Farmayenge
Allah Ta’ala Ise Apni Bargah Mein Qabool
Kanzul Imaan (Paara 01)
8
Farmaye Aur Humare Liye Maghfirat Ka
Samaan Banaye
Abde Mustafa
Muhammad Sabir Ismayeeli Qadri Razvi
CEO, Founder Abde Mustafa Official
Kanzul Imaan (Paara 01)
9
Suratul Fatiha
Allah Ke Naam Se Shuru Jo Bahut Meharbaan
Rahmat Waala (1)
Sab Khoobiya’n Allah Ko Jo Maalik Saare
Jahaan Waalo Ka (2)
Bahut Meharbaan Rahmat Waala (3)
Roze Jazaa Ka Maalik (4)
Hum Tujhi Ko Poojein Aur Tujhi Se Madad
Chahein (5)
Hum Ko Seedha Raasta Chala (6)
Raasta Un Ka Jin Par Tu Ne Ehsaan Kiya, Na
Unka Jin Par Ghazab Hua, Na Behke Huo’n Ka
(7)
Kanzul Imaan (Paara 01)
10
Suratul Baqarah
Aayat 1-10
Allah Ke Naam Se Shuru Jo Bahut Meharbaan
Rahmat Waala
Alif Laam Meem (1)
Wo Buland Rutba Kitab (Quran) Koi Shak Ki
Jagah Nahin, Is Mein Hidayat Hai Dar Waalo
Ko (2)
Wo Jo Be Dekhe Imaan Laayein Aur Namaz
Qaaim Rakhein Aur Humari Di Hui Rozi Mein
Se Humari Raah Mein Uthayein (3)
Aur Wo Ke Imaan Laayein Us Par Jo Ayr
Mahboon Tumhari Taraf Utra Aur Jo Tum Se
Pehle Utra Aur Aakhirat Par Yaqeen Rakhein
(4)
Wahi Log Apne Rab Ki Taraf Se Hidayat Par
Hain Aur Wahi Muraad Ko Pahunchne Waale
Hain (5)
Beshak Wo Jin Ki Qismat Mein Kufr Hai
Unhein Barabar Hai Chahe Tum Unhein Darao
Ya Na Darao Wo Imaan Laane Ke Nahin (6)
Kanzul Imaan (Paara 01)
11
Allah Ne Unke Dilo Par Aur Kaano Par Muhar
Kar Di Aur Un Ki Aankho Par Ghata Top Hai
Aur Un Ke Liye Bada Azaab (7)
Aur Kuchh Log Kehte Hain Ke Hum Allah Aur
Pichhle Din Par Imaan Laaye Aur Wo Imaan
Waale Nahin (8)
Fareb Diya Chahte Hain Allah Aur Iman Waalo
Ko Aur Haqeeqat Mein Fareb Nahin Dete
Magar Apni Jaano Ko Aur Unhein Shuoor
Nahin (9)
Un Ke Dilo Mein Beemari Hai To Allah Ne
Unki Beemari Badhaai Aur Unke Liye Dardnak
Azaab Hai Badla Unke Jhoot Ka (10)
Aayat 11-20
Aur Jo Unse Kaha Jaaye Zameen Mein Fasaad
Na Karo To Kehte Hain Hum To Sanwaarne
Waale Hain (11)
Sunta Hai Wahi Fasadi Hain Magar Unhein
Shuoor Nahin (12)
Aur Jab Unse Kaha Jaaye Iman Laao Jaise Aur
Log Imaan Laaye Hain To Kahein Kya Hum
Ahmaqo Ki Tarah Imaan Le Aayein? Sunta Hai!
Wahi Ahmaq Hain Magar Jaante Nahin (13)
Kanzul Imaan (Paara 01)
12
Aur Jab Imaan Waalo Se Milein To Kahein
Hum Imaan Laaye Aur Jab Shaitano Ke Paas
Akele Ho’n To Kahein Hum Tumhare Saath
Hain Hum To Yun Hi Hansi Karte Hain (14)
Allah In Se Istehza Farmata Hai (Jaisa Us Ki
Shaan Ke Laaiq Hai) Aur Inhein Dheel Deta Hai
Ke Apni Sarkashi Mein Bhatakte Rahein (15)
Ye Wo Log Hain Jinhone Hidayat Ke Badle
Gumrahi Khareedi To In Ka Sauda Kuchh Nafa
Na Laaya Aur Wo Saude Ki Raah Jaante Hi Na
The (16)
Un Ki Kahawat Is Tarah Hai Jis Ne Aag
Raushan Ki To Jab Usse Aas Paas Sab Jagmaga
Utha Allah Un Ka Noor Le Gaya Aur Unhein
Andheriyo Mein Chhod Diya Ke Kuchh Nahin
Soojhta (17)
Behre Goonge Andhe To Wo Phir Aane Waale
Nahin (18)
Ya Jaise Aasman Se Utarta Paani Ke Us Mein
Andheriya Hain Aur Garaj Aur Chamak Apne
Kaano Mein Ungliya Thoons Rahe Hain Kadak
Ke Sabab Maut Ke Dar Se Aur Allah Kafiro Ko
Ghere Hue Hai (19)
Bijli Yun Maloom Hoti Hai Ke Unki Nigahein
Uchak Le Jayegi Jab Chamak Hui Us Mein
Kanzul Imaan (Paara 01)
13
Chalne Lage Aur Jab Andhera Hua Khade Reh
Gaye Aur Allah Chahta To Unki Kaan Aur
Aankhein Le Jaata Beshak Allah Sab Kuchh
Kar Sakta Hai (20)
Aayat 21-30
Aye Logon Apne Rab Ko Pujo Jis Ne Tumhein
Aur Tum Se Aglo Ko Paida Kiya Ye Ummeed
Karte Hue Ke Tumhein Parhezgari Mile (21)
Aur Jisne Tumhare Liye Zameen Ko Bichhauna
Aur Aasman Ko Imarat Banaya Aur Aasman Se
Paani Utara To Usse Kuchh Phal Nikaale
Tumhare Khane Ko To Allah Ke Liye Jaan
Boojh Kar Barabar Waale Na Thehrao (22)
Aur Agar Tumhein Kuchh Shak Ho Is Mein Jo
Humne Apne Khaas Bande Par Utara To Is Jaisi
Ek Soorat To Le Aao Aur Allah Ke Siwa Apne
Sab Himayatiyo Ko Bula Lo Agar Tum Sachhe
Ho (23)
Phir Agar Na La Sako Aur Hum Farmaye Dete
Hain Ke Hargiz Na La Sakoge To Daro Us Aag
Se Jis Ka Indhan Aadmi Aur Patthar Hain
Tayyar Rakhi Hai Kafiro Ke Liye (24)
Aur Khushkhabri De Unhein Jo Imaan Laaye
Kanzul Imaan (Paara 01)
14
Aur Achhe Kaam Kiye Ke Un Ke Liye Baagh
Hain Jin Ke Niche Nehrein Rawaan Jab Unhein
In Baagho Se Koi Phal Khane Ko Diya Jayega
Soorat Dekh Kar Kahenge Ye To Wahi Rizq
Hai Jo Humein Pehle Mila Tha Aur Wo Soorat
Mein Milta Julta Unhein Diya Gaya Aur Unke
Liye In Baagho Mein Suthri Bibiya’n Hain Aur
Wo In Mein Humesha Rahenge (25)
Beshak Allah Usse Haya Nahin Farmata Ke
Misaal Samjhane Ko Kaisi Hi Cheez Ka Zikr
Farmaye Machhar Ho Ya Usse Badh Kar To Wo
Jo Imaan Laaye Wo To Jaante Hain Ke Ye Unke
Rab Ki Taraf Se Haq Hai Rahe Kafir Wo Kehte
Hain Aisi Kahawat Mein Allah Ka Kya
Maqsood Hai Allah Bahutero Ko Isse Gumrah
Karta Hai Aur Bahutero Ko Hidayat Farmata
Hai Aur Isse Unhein Gumrah Karta Hai Jo Be
Hukm Hain (26)
Wo Jo Allah Ke Ahad Ko Tod Dete Hain Pakka
Hone Ke Baad Aur Kaat’te Hain Us Cheez Ko
Jis Ke Jodne Ka Khuda Ne Hukm Diya Aur
Zameen Mein Fasad Phailate Hain Wahi
Nuqsan Mein Hain (27)
Bhala Tum Kyunkar Khuda Ke Munkir Hoge
Halanki Tum Murda The Usne Tumhein Jilaya
Kanzul Imaan (Paara 01)
15
Phir Tumhein Maarega Phir Tumhein Jilayega
Phir Usi Ki Taraf Palat Kar Jaoge (28)
Wahi Hai Jisne Banaya Tumhare Liye Jo Kuchh
Zameen Mein Hai Phir Aasman Ki Taraf Istiwa
(Qasd) Farmaya To Theek Aasman Banaye Aur
Wo Sab Kuchh Janta Hai (29)
Aur Yaad Karo Jab Tumhare Rab Ne Firishto Se
Farmaya Zameen Mein Apna Naaib Banane
Waala Hoon Bole Kya Aise Ko Naaib Karega
Jo Is Mein Fasaad Phailaye Aur Khunreziya
Kare Aur Hum Sarahte Hue Teri Tasbeeh Karte
Aur Teri Paaki Bolte Hain Farmaya Mujhe
Maloom Hai Jo Tum Nahin Jaante (30)
Aayat 31-40
Aur Allah Ta’ala Ne Adam Ko Tamam Ash’ya
Ke Naam Sikhaye Phir Sab Ash’ya Malaika Par
Pesh Kar Ke Farmaya Sachhe Ho To Inke Naam
To Batao (31)
Bole Paaki Hai Tujhe Humein Kuchh Ilm Nahin
Magar Jitna Tune Humein Sikhaya Hai Beshak
Tu Hi Ilmo Hikmat Waala Hai (32)
Farmaya Aye Adam Bata De Inhein Sab Ash’ya
Ke Naam Jab Adam Ne Inhein Sab Ke Naam
Kanzul Imaan (Paara 01)
16
Bata Diye Farmaya Main Na Kehta Tha Ke
Main Jaanta Hoon Aasmano Aur Zameen Ki
Sab Chhupi Cheezein Aur Main Jaanta Hoon Jo
Kuchh Tum Zaahir Karte Aur Jo Kuchh Tum
Chhupate Ho (33)
Aur Yaad Karo Jab Hum Ne Firishto Ko Hukm
Diya Ke Adam Ko Sajda Karo To Sab Ne Sajda
Kiya Siwaye Iblees Ke Munkir Hua Aur
Ghuroor Kiya Aur Kafir Ho Gaya (34)
Aur Humne Farmaya Aye Adam Tu Aur Teri
Bibi Is Jannat Mein Raho Aur Khao Is Mein Se
Be Rok Tok Jahan Tumhara Jee Chahe Magar
Us Ped Ke Paas Na Jaana Ke Hadd Se Badhne
Waalo Mein Ho Jaaoge (35)
To Shaitan Ne Jannat Se Unhein Laghzish Di
Aur Jahan Rehte The Wahan Se Unhein Alag
Kar Diya Aur Humne Farmaya Niche Utro
Aapas Mein Ek Tumhara Dusre Ka Dushman
Aur Tumhein Ek Waqt Tak Zameen Mein
Theharna Aur Baratna Hai (36)
Phir Seekh Liye Adam Ne Apne Rab Se Kuchh
Kalime To Allah Ne Uski Tauba Qabool Ki
Beshak Wahi Hai Bahut Tauba Qabool Karne
Waala Meharban (37)
Humne Farmaya Tum Sab Jannat Se Utar Jaao
Kanzul Imaan (Paara 01)
17
Phir Agar Tumhare Paas Meri Taraf Se Koi
Hidayat Aaye To Jo Meri Hidayat Ka Pairu Hua
Use Na Koi Andesha Na Kuchh Gham (38)
Aur Wo Jo Kufr Karein Aur Meri Aayatein
Jhutlayenge Wo Dozakh Wale Hain Unko
Humesha Us Mein Rehna (39)
Aye Yaqoob Ki Awlaad Yaad Karo Mera Wo
Ehsaan Jo Maine Tum Par Kiya Aur Mera Ahad
Poora Karo Main Tumhara Ahad Poora
Karunga Aur Khaas Mera Hi Dar Rakho (40)
Ayat 41-50
Aur Imaan Laao Us Par Jo Maine Utara Uski
Tasdeeq Karta Hua Jo Tumhare Saath Hai Aur
Sabse Pehle Iske Munkir Na Bano Aur Meri
Aayato Ke Badle Thode Daam Na Lo Aur
Mujhi Se Daro (41)
Aur Haq Se Batil Ko Na Milao Aur Deeda Wa
Danista Haq Na Chhupao (42)
Aur Namaz Qaaim Rakho Aur Zakaat Do Aur
Ruku Karne Waalo Ke Saath Ruku Karo (43)
Kya Logon Ko Bhalai Ka Hukm Dete Ho Aur
Apni Jaano Ko Bhoolte Ho Halanki Tum Kitab
Padhte Ho To Kya Tumhein Aql Nahin (44)
Kanzul Imaan (Paara 01)
18
Aur Sabr Aur Namaz Se Madad Chaho Aur
Beshak Namaz Zaroor Bhari Hai Magar Un Par
Jo Dil Se Meri Taraf Jhukte Hain (45)
Jinhein Yaqeen Hai Ke Unhein Apne Rab Se
Milna Hai Aur Usi Ki Taraf Phirna (46)
Aye Awlaade Yaqoob Yaad Karo Mera Wo
Ehsaan Jo Maine Tum Par Kiya Aur Ye Ke Is
Saare Zamane Par Tumhein Badai Di (47)
Aur Daro Us Din Se Jis Din Koi Jaan Dusre Ka
Badla Na Ho Sakegi Aur Na Kafir Ke Liye Koi
Sifarish Maani Jaaye Aur Na Kuchh Le Kar
Uski Jaan Chhodi Jaaye Aur Na Unki Madad Ho
(48)
Aur Yaad Karo Jab Humne Tum Ko Firaun
Waalo Se Najaat Bakhshi Ke Tum Par Bura
Azaab Karte The Tumhare Beto Ko Zibah Karte
Aur Tumhari Betiyo Ko Zinda Rakhte Aur Is
Mein Tumhare Rab Ki Taraf Se Badi Bala Thi
Ya Bada Inaam (49)
Aur Jab Humne Tumhare Liye Darya Phaad
Diya To Tumhein Bacha Liya Aur Firaun
Waalo Ko Tumhari Aankho Ke Saamne Dubo
Diya (50)
Kanzul Imaan (Paara 01)
19
Aayat 51- 60
Aur Jab Humne Moosa Se Chalees Raat Ka
Waada Farmaya Phir Uske Pichhe Tumne
Bachhde Ki Pooja Shuru Kar Di Aur Tum Zalim
The (51)
Phir Uske Baad Humne Tumhein Muaafi Di Ke
Kahin Tum Ehsaan Maano (52)
Aur Jab Humne Moosa Ko Kitab Ata Ki Aur
Haqqo Batil Mein Tameez Kar Dena Ke Kahin
Tum Raah Par Aao (53)
Aur Jab Moosa Ne Apni Qaum Se Kaha Aye
Meri Qaum Tumne Bachhda Bana Kar Apni
Jaano Par Zulm Kiya To Apne Paida Karne
Waale Ki Taraf Ruju Laao To Aapas Mein Ek
Dusre Ko Qatl Karo Ye Tumhare Paida Karne
Waale Ke Nazdeek Tumhare Liye Behtar Hai
To Usne Tumhari Tauba Qabool Ki Beshak
Wahi Hai Bahut Tauba Qabool Karne Waala
Meharbaan (54)
Aur Jab Tumne Kaha Aye Moosa Hum Hargiz
Tumhara Yaqeen Na Layenge Jab Tak Alaniya
Khuda Ko Na Dekh Lein To Tumhein Kadak Ne
Aa Liya Aur Tum Dekh Rahe The (55)
Kanzul Imaan (Paara 01)
20
Phir Mere Pichhe Humne Tumhein Zinda Kiya
Ke Kahin Tum Ehsaan Maano (56)
Aur Humne Abr Ko Tumhare Saibaan Kiya Aur
Tum Par Mann Aur Salwa Utara Khaao Humari
Di Hui Suthri Cheezein Aur Unhone Kuchh
Humara Na Bigada Haan Apni Hi Jaano Ka
Bigaad Karte The (57)
Aur Jab Humne Farmaya Is Basti Mein Jaao
Phir Is Mein Jahan Chaho Be Rok Tok Khao
Aur Darwaza Mein Sajda Karte Dakhil Ho Aur
Kaho Humare Gunah Muaaf Ho Hum Tumhari
Khatayein Bakhsh Denge Aur Qareeb Hai Ke
Neki Waalo Ko Aur Zyada Dein (58)
To Zalimo Ne Aur Baat Badal Di Jo Farmai Gai
Thi Uske Siwa To Humne Aasman Se Un Par
Azaab Utara Badla Unki Be Hukmi Ka (59)
Aur Jab Moosa Ne Apni Qaum Ke Liye Paani
Maanga To Humne Farmaya Is Patthar Par
Apna Asaa Maaro Fauran Us Mein Se Baarah
Chashme Beh Nikle Har Giroh Ne Apna Ghaat
Pehchan Liya Khao Aur Piyo Khuda Ka Diya
Aur Zameen Mein Fasaad Uthate Na Phiro (60)
Kanzul Imaan (Paara 01)
21
Aayat 61-70
Aur Jab Tumne Kaha Aye Moosa Humse To Ek
Khane Par Hargiz Sabr Na Hoga To Apne Rab
Se Dua Kijiye Ke Zameen Ki Ugai Hui
Cheezein Humare Liye Nikaale Kuchh Saag
Aur Kakdi Aur Gehu Aur Masoor Aur Pyaaz
Farmaya Kya Adna Cheez Ko Behtar Ke Badle
Mangte Ho Achha Misr Ya Kisi Shehar Mein
Utro Wahan Tumhein Milega Jo Tumne
Maanga Aur Un Par Muqarrar Kar Di Gai
Khwaari Aur Nadaari Aur Khuda Ke Ghazab
Mein Laute Ye Badla Tha Is Ka Ke Wo Allah
Ki Aayato Ka Inkaar Karte Aur Ambiya Ko
Nahaq Shaheed Karte Ye Badla Tha Unki
Nafarmaniyo Aur Hadd Se Badhne Ka (61)
Beshak Imaan Waale Neez Yahoodiyo Aur
Nasraniyo Aur Sitara Parasto Mein Se Wo Ke
Sachhe Dil Se Allah Aur Pichhle Din Par Imaan
Laayein Aur Nek Kaam Karein Unka Sawaab
Unke Rab Ke Paas Hai Aur Na Unhein Kuchh
Andesha Ho Aur Na Kuchh Gham (62)
Aur Jab Humne Tumse Ahad Liya Aur Tum Par
Toor Ko Ooncha Kiya Lo Jo Kuchh Hum Tum
Kanzul Imaan (Paara 01)
22
Ko Dete Hain Zor Se Aur Iske Mazmoon Ko
Yaad Karo Is Ummeed Par Ke Tumhein
Parhezgari Mile (63)
Phir Uske Baad Tum Phir Gaye To Agar Allah
Ka Fazl Aur Uski Rahmat Tum Par Na Hoti To
Tum Toote Waalo Mein Ho Jaate (64)
Aur Beshak Zaroor Tumhein Maloom Hai Tum
Mein Ke Wo Jinhone Hafta Mein Sarkashi Ki
To Humne Unse Farmaya Ke Ho Jaao Bandar
Dhutkare Hue (65)
To Humne (Us Basti Ka) Ye Waqiya Uske Aage
Aur Pichhe Waalo Ke Liye Ibrat Kar Diya Aur
Parhezgaro Ke Liye Naseehat (66)
Aur Jab Moosa Ne Apni Qaum Se Farmaya
Khuda Tumhein Hukm Deta Hai Ke Ek Gaaye
Zibah Karo Bole Ke Aap Humein Maskhara
Banate Hain Farmaya Khuda Ki Panah Ke Main
Jahilo Se Hon (67)
Bole Apne Rab Se Dua Kijiye Ke Wo Humein
Bata De Gaaye Kaisi Kaha Wo Farmata Hai Ke
Wo Ek Gaaye Hai Na Boodhi Aur Na Awsar
Balki In Dono Ke Beech Mein To Karo Jis Ka
Tumhein Hukm Hota Hai (68)
Bole Apne Rab Se Dua Kijiye Humein Bata De
Uska Rang Kya Hai Kaha Wo Farmata Hai Wo
Kanzul Imaan (Paara 01)
23
Ek Peeli Gaaye Hai Jiski Rangat Duhduhati
Dekhne Waalo Ko Khushi Deti (69)
Bole Apne Rab Se Dua Kijiye Ke Humare Liye
Saaf Bayaan Kare Wo Gaaye Kaisi Hai Beshak
Gaayo Mein Hum Ko Shubha Pad Gaya Aur
Allah Chahe To Hum Raah Pa Jayenge (70)
Suratul Baqarah
Aayat 71-80
Kaha Wo Farmata Hai Ke Wo Ek Gaaye Hai Jis
Se Khidmat Nahin Li Jaati Ke Zameen Jote Aur
Na Kheti Ko Paani De Be Aib Hai Jis Mein Koi
Daagh Nahin Bole Ab Aap Theek Baat Laaye
To Use Zibah Kiya Aur Zibah Karte Maloom
Na Hote The (71)
Aur Jab Tum Ne Ek Khoon Kiya To Ek Dusre
Par Uski Tohmat Daalne Lage Aur Allah Ko
Zaahir Karna Jo Tum Chhupate The (72)
To Humne Farmaya Us Maqtool Ko Gaaye Ka
Ek Tukda Maaro Allah Yun Hi Murde Jilaayega
Aur Tumhein Apni Nishaniya Dikhata Hai Ke
Kahin Tumhein Aql Ho (73)
Phir Uske Baad Tumhare Dil Sakht Ho Gaye To
Wo Pattharo Ki Misl Hain Balki Unse Bhi
Kanzul Imaan (Paara 01)
24
Zyada Kade Aur Pattharo Mein To Kuchh Wo
Hain Ke Allah Ke Dar Se Gir Padte Hain Aur
Allah Tumhare Kotko Se Bekhabar Nahin (74)
To Aye Musalmano Kya Tumhein Ye Tama Hai
Ke Ye Yahoodi Tumhara Yaqeen Layenge Aur
Un Mein Ka To Ek Giroh Wo Tha Ke Allah Ka
Kalaam Sunte Phir Samajhne Ke Baad Use
Danista Badal Dete (75)
Aur Jab Musalmano Se Milein To Kahein Hum
Imaan Laaye Aur Jab Aapas Mein Akele Ho’n
To Kahein Wo Ilm Jo Allah Ne Tum Par Khola
Musalmano Se Bayaan Kiye Dete Ho Ke Isse
Tumhare Rab Ke Yahan Tumhi Par Hujjat
Laayein Kya Tumhein Aql Nahin (76)
Kya Nahin Jaante Ke Allah Jaanta Hai Jo Kuchh
Wo Chhupate Hain Aur Jo Kuchh Zaahir Karte
Hain (77)
Aur Un Mein Kuchh Anpadh Hain Ke Jo Kitab
Ko Nahin Jaante Magar Zubani Padh Lena Ya
Kuchh Apni Man Ghadat Aur Wo Nire Gumaan
Mein Hain (78)
To Kharabi Hai Un Ke Liye Jo Kitab Apne
Haatho Se Likhein Phir Keh Dein Ye Khuda Ke
Paas Se Hai Ke Iske Iwaz Thode Daam Haasil
Karein To Kharabi Hai Un Ke Liye Un Ke
Kanzul Imaan (Paara 01)
25
Haatho Ke Likhe Se Aur Kharabi Un Ke Liye
Us Kamai Se (79)
Aur Bole Humein To Aag Na Chhuyegi Magar
Ginti Ke Din Tum Farma Do Kya Khuda Se
Tum Ne Koi Ahad Le Rakha Hai Jab To Allah
Hargiz Apna Ahad Khilaf Na Karega Ya Khuda
Par Wo Baat Kehte Ho Jis Ka Tumhein Ilm
Nahin (80)
Aayat 81-90
Haan Kyun Nahin Jo Gunah Kamaye Aur Uski
Khata Use Gher Le Wo Dozakh Waalo Mein
Hai Unhein Humesha Us Mein Rehna (81)
Aur Jo Imaan Laaye Aur Achhe Kaam Kiye Wo
Jannat Waale Hain Unhein Humesha Us Mein
Rehna (82)
Aur Jab Humne Bani Israyeel Se Ahad Liya Ke
Allah Ke Siwa Kisi Ko Na Pujo Aur Maa Baap
Ke Saath Bhalai Karo Aur Rishtedaro Aur
Yateemo Aur Miskeeno Se Aur Logon Se Achhi
Baat Kaho Aur Namaz Qaaim Rakho Aur
Zakaat Do Phir Tum Phir Gaye Magar Tum
Mein Ke Thode Aur Tum Ru Gardaa’n Ho (83)
Aur Jab Humne Tumse Ahad Liya Ke Apno Ka
Khoon Na Karna Aur Apno Ko Apni Bastiyo Se
Kanzul Imaan (Paara 01)
26
Na Nikaalna Phir Tum Ne Is Ka Iqrar Kiya Aur
Tum Gawah Ho (84)
Phir Ye Jo Ho Tum Apno Ko Qatl Karne Lage
Aur Apne Mein Ek Giroh Ko Unke Watan Se
Nikaalte Ho Un Par Madad Dete Ho (Unke
Mukhalif Ko) Gunah Aur Zyadati Mein Aur
Agar Wo Qaidi Ho Kar Tumhare Paas Aayein
To Badla De Kar Chhuda Lete Ho Aur Un Ka
Nikaalna Tum Par Haraam Hai To Kya Khuda
Ke Kuchh Hukmo Par Imaan Laate Aur Kuchh
Se Inkaar Karte Ho To Jo Tum Mein Aisa Kare
Uska Badla Kya Hai Magar Ye Ke Dunya Mein
Ruswa Ho Aur Qiyamat Mein Sakht Tar Azaab
Ki Taraf Phere Jayenge Aur Allah Tumhare
Kotko Se Be Khabar Nahin (85)
Ye Hain Wo Log Jinhone Aakhirat Ke Badle
Dunya Ki Zindagi Mol Li To Na Un Par Se
Azaab Halka Aur Na Un Ki Madad Ki Jaaye
(86)
Aur Beshak Humne Moosa Ko Kitab Ata Ki
Aur Uske Baad Pai Dar Pai Rasool Bheje Aur
Humne Eisa Bin Maryam Ko Khuli Nishaniya
Ata Farmai Aur Paak Rooh Se Uski Madad Ki
To Kya Jab Tumhare Paas Koi Rasool Wo Le
Kar Aaye Jo Tumhare Nafs Ki Khwahish Nahin
Kanzul Imaan (Paara 01)
27
Takabbur Karte Ho To Un Mein Ek Giroh Ko
Tum Jhutlate Aur Ek Giroh Ko Shaheed Karte
Ho (87)
Aur Yahoodi Bole Humare Dilo Par Parde Pade
Hain Balki Allah Ne Un Par Lanat Ki Unke
Kufr Ke Sabab To Un Mein Thode Imaan Laate
Hain (88)
Aur Jab Unke Paas Allah Ki Wo Kitab (Quran)
Aai Jo Unke Saath Waali Kitab (Taurait) Ki
Tasdeeq Farmati Hai Aur Isse Pehle Wo Isi
Nabi Ke Waseele Se Kafiro Par Fatah Mangte
The To Jab Tashreef Laaya Unke Paas Wo
Jaana Pehchana Usse Munkir Ho Baithe To
Allah Ki Lanat Munkiro Par (89)
Kis Bade Molo’n Unhone Apni Jaano Ko
Khareeda Ke Allah Ke Utaare Se Munkir Ho’n
Is Ki Jalan Se Ke Allah Apne Fazl Se Apne Jis
Bande Par Chahe Wahi Utaare To Ghazab Par
Ghazab Ke Sazawaar Hue Aur Kafiro Ke Liye
Zillat Ka Azaab Hai (90)
Aayat 91-100
Aur Jab Unse Kaha Jaaye Ke Allah Ke Utare
Par Imaan Laao To Kehte Hain Wo Jo Hum Par
Utra Us Par Imaan Laate Hain Aur Baaqi Se
Kanzul Imaan (Paara 01)
28
Munkir Hote Hain Halanki Wo Haq Hai Un Ke
Paas Waale Ki Tadeeq Farmata Hua Tum
Farmao Ke Phir Agle Ambiya Ko Kyun
Shaheed Kiya Agar Tumhein Apni Kitab Par
Imaan Tha (91)
Aur Beshak Tumhare Paas Moosa Khuli
Nishaniya Le Kar Tashreef Laaya Phir Tum Ne
Us Ke Baad Bachhde Ko Mabood Bana Liya
Aur Tum Zalim The (92)
Aur Yaad Karo Jab Humne Tumse Paimaan
Liya Aur Kohe Toor Ko Tumhare Sar Par
Buland Kiya, Lo Jo Hum Tumhein Dete Hain
Zor Se Suno Bole Humne Suna Aur Na Maana
Aur Un Ke Dilo Mein Bachhda Rach Raha Tha
Un Ke Kufr Ke Sabab Tum Farma Do Kya Bura
Hukm Deta Hai Tum Ko Tumhara Imaan Agar
Imaan Rakhte Ho (93)
Tum Farmao Agar Pichhla Ghar Allah Ke
Nazdeek Khalis Tumhare Liye Ho Na Auro Ke
Liye To Bhala Maut Ki Aarzoo To Karo Agar
Sachhe Ho (94)
Aur Hargiz Kabhi Iski Aarzoo Na Karenge Un
Bad Aamaliyo Ke Sabab Jo Aage Kar Chuke
Aur Allah Khoob Jaanta Hai Zalimo Ko (95)
Aur Beshak Tum Zaroor Unhein Paoge Ke Sab
Kanzul Imaan (Paara 01)
29
Logon Se Zyada Jeene Ki Hawas Rakhte Hain
Aur Mushriko Se Ek Ko Tamanna Hai Ke Kahin
Hazaar Baras Jiye Aur Wo Ise Azaab Se Door
Na Karega Itni Umr Diya Jaana Aur Allah
Unhein Kotak Dekh Raha Hai (96)
Tum Farma Do Jo Koi Jibreel Ka Dushman Ho
To Usne To Tumhare Dil Par Allah Ke Hukm
Se Ye Quran Utara Agli Kitabo Ki Tasdeeq
Farmata Aur Hidayat Wa Basharat Musalmano
Ko (97)
Jo Koi Dushman Ho Allah Aur Uske Firishto
Aur Uske Rasoolo Aur Jibreel Aur Mikayeel Ka
To Allah Dushman Hai Kafiro Ka (98)
Aur Beshak Humne Tumhari Taraf Raushan
Aayatein Utaari Aur Inke Munkir Na Honge
Magar Fasiq Log (99)
Aur Kya Jab Kabhi Koi Ahad Karte Hain Un
Mein Ek Fareeq Use Phenk Deta Hai Balki Un
Mein Bahutero Ko Imaan Nahin (100)
Aayat 101-110
Aur Jab Un Ke Paas Tashreef Laaya Allah Ke
Yahan Se Ek Rasool Unki Kitabo Ki Tasdeeq
Farmata To Kitab Waalo Se Ek Giroh Ne Allah
Kanzul Imaan (Paara 01)
30
Ki Kitab Peeth Pichhe Phenk Di Goya Wo
Kuchh Ilm Hi Nahin Rakhte (101)
Aur Uske Pairu Hue Jo Shaitan Padha Karte The
Saltanate Suleman Ke Zamane Mein Aur
Suleman Ne Kufr Na Kiya Haan Shaitan Kafir
Hue Logon Ko Jaadu Sikhate Hain Aur Wo
(Jaadu) Jo Babil Mein Do Firishto Haaroot Wa
Maaroot Par Utra Aur Wo Dono Kisi Ko Kuchh
Na Sikhate Jab Tak Ye Na Keh Lete Ke Hum
To Niri Aazmaish Hain To Apna Imaan Na Kho
To Un Se Seekhte Wo Jisse Judai Daalein Mard
Aur Uski Aurat Mein Aur Usse Zarar Nahin
Pahuncha Sakte Kisi Ko Magar Khuda Ke
Hukm Se Aur Wo Seekhte Hain Jo Unhein
Nuqsan Dega Nafa Na Dega Aur Beshak Zaroor
Unhein Maloom Hai Ke Jisne Ye Sauda Liya
Aakhirat Mein Us Ka Kuchh Hissa Nahin Aur
Beshak Kya Buri Cheez Hai Wo Jiske Badle
Unhone Apni Jaanein Bechi Kisi Tarah Unhein
Ilm Hota (102)
Aur Agar Wo Imaan Laate Aur Parhezgari
Karte To Allah Ke Yahan Ka Sawaab Bahut
Achha Hai Kisi Tarah Unhein Ilm Hota (103)
Aye Imaan Waalo! Raaina Na Kaho Aur Yun
Arz Karo Ke Huzoor Hum Par Nazar Rakhein
Kanzul Imaan (Paara 01)
31
Aur Pehle Se Hi Baghaur Suno Aur Kafiro Ke
Liye Dardnaak Azaab Hai (104)
Wo Jo Kafir Hain Kitabi Ya Mushrik Wo Nahin
Chahte Ke Tum Par Koi Bhalai Utre Tumhare
Rab Ke Paas Se Aur Allah Apni Rahmat Se
Khaas Karta Hai Jise Chahe Aur Allah Bade
Fazl Waala Hai (105)
Jab Koi Aayat Hum Mansookh Farmayein Ya
Bhula Dein To Usse Behtar Ya Us Jaisi Le
Aayenge Kya Tujhe Khabar Nahin Ke Allah
Sab Kuchh Kar Sakta Hai (106)
Kya Tujhe Khabar Nahin Ke Allah Hi Ke Liye
Hai Aasmano Aur Zameen Ki Baadshahi Aur
Allah Ke Siwa Tumhara Na Koi Himayati Na
Madadgaar (107)
Kya Ye Chahte Ho Ke Apne Rasool Se Waisa
Sawal Karo Jo Pehle Moosa Se Hua Tha Aur Jo
Imaan Ke Badle Kufr Le Wo Theek Rasta
Behak Gaya (108)
Bahut Kitabiyo Ne Chaha Kaash Tumhein
Imaan Ke Baad Kufr Ki Taraf Pher Dein Apne
Dilo Ki Jalan Se Baad Iske Ke Haq Un Par
Khoob Zaahir Ho Chuka Hai To Tum Chhodo
Aur Darguzar Karo Yahan Tak Ke Allah Apna
Hukm Laaye Beshak Allah Har Cheez Par Qadir
Kanzul Imaan (Paara 01)
32
Hai (109)
Aur Namaz Qaaim Rakho Aur Zakaat Do Aur
Apni Jaano Ke Liye Jo Bhalai Aage Bhejoge
Use Allah Ke Yahan Paaoge Beshak Allah
Tumhare Kaam Dekh Raha Hai (110)
Aayat 111-120
Aur Ahle Kitab Bole, Hargiz Jannat Mein Na
Jayega Magar Wo Jo Yahoodi Wa Nasrani Ho
Ye Un Ki Khayaal Bandiyaa’n Hain Tum
Farmao Laao Apni Daleel Agar Sachhe Ho
(111)
Haan Kyun Nahin Jis Ne Apna Moonh Jhukaya
Allah Ke Liye Aur Wo Nikokaar Hai To Uska
Neg Uske Rab Ke Paas Hai Aur Unhein Na
Kuchh Andesha Ho Aur Na Kuchh Gham (112)
Aur Yahoodi Bole Nasrani Kuchh Nahin Aur
Nasrani Bole Yahoodi Kuchh Nahin Halanki
Wo Kitab Padhte Hain Isi Tarah Jahilo Ne Un
Ki Si Baat Kahi To Allah Qiyamat Ke Din Un
Mein Faisla Kar Dega Jis Baat Mein Jhagad
Rahe Hain (113)
Aur Us Se Badh Kar Zaalim Kaun Jo Allah Ki
Masjido Ko Roke Un Mein Naame Khuda Liye
Kanzul Imaan (Paara 01)
33
Jaane Se Aur Un Ki Veerani Mein Koshish Kare
Un Ko Na Pahunchta Tha Ke Masjido Mein
Jaayein Magar Darte Hue Un Ke Liye Dunya
Mein Ruswai Hai Aur Un Ke Liye Aakhirat Ka
Bada Azaab (114)
Aur Purab Pachhim Sab Allah Hi Ka Hai To
Tum Jidhar Moonh Karo Udhar Wajhullah
(Khuda Ki Rahmat Tumhari Taraf Mutawajje)
Hai Beshak Allah Wusat Waala Ilm Waala Hai
(115)
Aur Bole Khuda Ne Apne Liye Awlaad Rakhi
Paaki Hai Use Balki Usi Ki Milk Hai Jo Kuchh
Aasmano Aur Zameen Mein Hai Sab Uske
Huzoor Gardan Daale Hain (116)
Naya Paida Karne Waala Aasmano Aur Zameen
Ka Aur Jab Kisi Baat Ka Hukm Farmaye To Us
Se Yahi Farmata Hai Ke Ho Ja Wo Fauran Ho
Jaati Hai (117)
Aur Jahil Bole Allah Hum Se Kyun Nahin
Kalaam Karta Ya Humein Koi Nishani Mile
Unse Aglo Ne Bhi Aisi Hi Kahi Un Ki Si Baat
In Ke Unke Dil Ek Se Hain Beshak Hum Ne
Nishaniya Khol Di Yaqeen Waalo Ke Liye
(118)
Beshak Hum Ne Tumhein Haq Ke Saath Bheja
Kanzul Imaan (Paara 01)
34
Khushkhabri Deta Aur Dar Sunata Aur Tum Se
Dozakh Waalo Ka Sawal Na Hoga (119)
Aur Hargiz Tumse Yahood Aur Nasara Raazi
Na Honge Jab Tak Tum Un Ke Deen Ki Pairwi
Na Karo Tum Farma Do Allah Ki Hi Hidayat
Hidayat Hai (Aur Aye Sunne Waale Kise
Bashad) Agar Tu Un Ki Khwahisho Ka Pairu
Hua Baad Iske Ke Tujhe Ilm Aa Chuka To
Allah Se Tera Koi Bachane Waala Na Hoga Aur
Na Madadgaar (120)
Aayat 121-130
Jinhein Hum Ne Kitab Di Hai Wo Jaisi Chahiye
Us Ki Tilawat Karte Hain Wahi Is Par Imaan
Rakhte Hain Aur Jo Is Ke Munkir Ho’n To Wahi
Ziya’n Kaar Hain (121)
Aye Awlaade Yaqoob Yaad Karo Mera Ehsaan
Jo Maine Tum Par Kiya Aur Wo Jo Maine Us
Zamana Ke Sab Logon Par Tumhein Badai Di
(122)
Aur Daro Us Din Se Ke Koi Jaan Dusre Ka
Badla Na Hogi Aur Na Usko Kuchh Le Kar
Chhodein Aur Na Kafir Ko Koi Sifarish Nafa
De Aur Na Un Ki Madad Ho (123)
Kanzul Imaan (Paara 01)
35
Aur Jab Ibrahim Ko Us Ke Rab Ne Kuchh Baato
Se Aazmaya To Us Ne Wo Poori Kar Dikhai
Farmaya Main Tumhein Logo Ka Peshwa
Banane Waala Hoon Arz Ki Aur Meri Awlaad
Se Farmaya Mera Ahad Zalimo Ko Nahin
Pahunchta (124)
Aur Yaad Karo Jab Hum Ne Us Ghar Ko Logon
Ke Liye Marja Aur Amaan Banaya Aur Ibrahim
Ke Khade Hone Ki Jagah Ko Namaz Ka Maqam
Banao Aur Hum Ne Takeed Farmai Ibrahim Wa
Ismayeel Ko Ke Mera Ghar Khoob Suthra Karo
Tawaf Waalo Aur Etikaf Waalo Aur Ruku Wa
Sujood Waalo Ke Liye (125)
Aur Jab Arz Ki Ibrahim Ne Ke Aye Rab Mere
Is Shehar Ko Amaan Waala Kar De Aur Is Ke
Rehne Waalo Ko Tarah Tarah Ke Phalo Se Rozi
De Jo In Mein Se Allah Aur Pichhle Din Par
Imaan Laayein Farmaya Aur Jo Kafir Hua
Thoda Baratne Ko Use Bhi Doonga Phir Use
Azaabe Dozakh Ki Taraf Majboor Karunga Aur
Wo Bahut Buri Jagah Hai Palatne Ki (126)
Aur Jab Uthata Tha Ibrahim Us Ghar Ki Niwein
Aur Ismayeel Ye Kehte Hue Ke Aye Rab
Humare Hum Se Qabool Farma Beshak Tu Hi
Hai Sunta Jaanta (127)
Kanzul Imaan (Paara 01)
36
Aye Rab Humare Aur Kar Humein Tere Huzoor
Gardan Rakhne Waale Aur Humari Awlaad
Mein Se Ek Ummat Teri Farmanbardar Aur
Humein Humare Ibadat Ke Qaaide Bata Aur
Hum Par Apni Rahmat Ke Saath Ruju Farma
Beshak Tu Hi Hai Bahut Tauba Qabool Karne
Waala Meharban (128)
Aye Rab Humare Aur Bhej Un Mein Ek Rasool
Unhi Mein Se Ek Un Par Teri Aayatein Tilawat
Farmaye Aur Unhein Teri Kitab Aur Pukhta Ilm
Sikhaye Aur Unhein Khoob Suthra Farmawe
Beshak Tu Hi Hai Ghalib Hikmat Waala (129)
Aur Ibrahim Ke Deen Se Kaun Moonh Phere
Siwa Us Ke Jo Dil Ka Ahmaq Hai Aur Beshak
Zaroor Humne Dunya Mein Use Chun Liya Aur
Beshak Wo Aakhirat Mein Humare Khaas Qurb
Ki Qabiliyat Waalo Mein Hai (130)
Aayat 131-141
Jabke Us Se Uske Rab Ne Farmaya Gardan
Rakh Arz Ki Maine Gardan Rakhi Uske Liye Jo
Rab Hai Saare Jahaan Ka (131)
Aur Isi Deen Ki Wasiyat Ki Ibrahim Ne Apne
Beto Ko Aur Yaqoob Ne Ke Aye Mere Beto
Beshak Allah Ne Ye Deen Tumhare Liye Chun
Kanzul Imaan (Paara 01)
37
Liya To Na Marna Magar Musalman (132)
Balki Tum Mein Ke Khud Maujood The Jab
Yaqoob Ko Maut Aai Jabki Usne Apne Beto Se
Farmaya Mere Baad Kis Ki Puja Karoge Bole
Hum Pujenge Use Jo Khuda Hai Aap Ka Aur
Aap Ke Walido Ibrahim Wa Ismayeel Wa
Is’haaq Ka Ek Khuda Aur Hum Us Ke Huzoor
Gardan Rakhe Hain (133)
Ye Ek Ummat Hai Ke Guzar Chuki Un Ke Liye
Hai Jo Unhone Kamaya Aur Tumhare Liye Hai
Jo Tum Kamao Aur Un Ke Kaamo Ki Tum Se
Pursish Na Hogi (134)
Aur Kitabi Bole Yahoodi Ya Nasrani Ho Jaao
Raah Paoge Tum Farmao Balki Hum To
Ibrahim Ka Deen Lete Hain Jo Har Batil Se Juda
The Aur Mushriko Se Na The (135)
Yun Kaho Ke Hum Imaan Laaye Allah Par Aur
Us Par Jo Humari Taraf Utra Aur Jo Utara Gaya
Ibrahim Wa Ismayeel Wa Is’haaq Wa Yaqoob
Aur Un Ki Awlaad Par Aur Jo Ata Kiye Gaye
Moosa Wa Eisa Aur Jo Ata Kiye Gaye Baaqi
Ambiya Apne Rab Ke Paas Se Hum Un Mein
Kisi Par Imaan Mein Farq Nahin Karte Aur
Hum Allah Ke Huzoor Gardan Rakhe Hain
(136)
Kanzul Imaan (Paara 01)
38
Phir Agar Wo Bhi Yun Hi Imaan Laaye Jaisa
Tum Laaye Jab To Wo Hidayat Pa Gaye Aur
Agar Moonh Pherein To Wo Niri Zidd Mein
Hain To Aye Mahboob Anqareeb Allah Un Ki
Taraf Se Tumhein Kifayat Karega Aur Wahi
Hai Sunta Jaanta (137)
Hum Ne Allah Ki Reeni Li Aur Allah Se Behtar
Kisi Ki Reeni Aur Hum Usi Ko Pujte Hain (138)
Tum Farmao Kya Allah Ke Baare Mein Hum Se
Jhagadte Ho Halanki Wo Humara Bhi Malik
Aur Tumhara Bhi Aur Humari Karni Humare
Saath Aur Tumhari Karni Tumhare Saath Aur
Hum Nire Usi Ke Hain (139)
Balki Tum To Yun Kehte Ho Ke Ibrahim Wa
Ismayeel Wa Is’haaq Wa Yaqoob Aur Un Ke
Bete Yahoodi Ya Nasrani The, Tum Farmao
Kya Tumhein Ilm Zyada Hai Ya Allah Ko Aur
Us Se Badh Kar Zalim Kaun Jis Ke Paas Allah
Ki Taraf Ki Gawahi Ho Aur Wo Use Chhupaye
Aur Khuda Tumhare Kotako Se Be Khabar
Nahin (140)
Wo Ek Giroh Hai Ke Guzar Gaya Un Ke Liye
Un Ki Kamai Aur Tumhare Liye Tumhari
Kamai Aur Un Ke Kaamo Ki Tum Se Pursish
Na Hogi (141)
Kanzul Imaan (Paara 01)
39
Our Books In Roman Urdu :
(1) Bahaar -e- Tehreer (14 Parts)
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(2) Allah Ta’ala Ko Uparwala Ya Allah Miyan Kehna Kaisa?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(3) Azaan -e- Bilal Aur Suraj Ka Nikalna
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(4) Ishqe Majazi (Muntakhab Mazameen Ka Majmua)
– Abde Mustafa Official
(5) Gaana Bajana Band Karo, Tum Musalman Ho!
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(6) Shabe Meraj Ghause Paak
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(7) Shabe Meraj Nalain Arsh Par
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(8) Hazrate Owais Qarni Ka Ek Waqiya
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(9) Dr. Tahir Aur Waqar -e- Millat
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(10) Taqreer Karne Waala Kaisa Ho?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(11) Ghaire Sahaba Mein Radiallaho Ta’ala Anho Ka Istemal
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(12) Ikhtelaf Ikhtelaf Ikhtelaf
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(13) Chand Waqiyaat -e- Karbala Ka Tehqeeqi Jaayeza
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(14) Binte Hawwa (Ek Sanjida Tehreer) – Kanize Akhtar
(15) Sex Knowledge (Islam Mein Sohbat Ke Aadab)
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(16) Hazrate Ayyoob Alaihissalam Ke Waqiye Par Tehqeeq
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
Kanzul Imaan (Paara 01)
40
(17) Aurat Ka Janaza – Janabe Ghazal Sahiba
(18) Ek Aashiq Ki Kahani Allama Ibne Jauzi Ki Zubaani
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(19) Huzoor Ki Shaan In The Quraan
– Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
(20) Husne Mustafa Aur Kalame Raza
– Maulana Sajjad Ali Faizi
(21) Afzaliyate Siddique -e- Akbar Wa Farooqe Aazam
– Tajushshariah, Mufti Akhtar Raza Khan
(22) Kya Hazrate Bilal Radiallaho Ta’ala Anho Ka Rang Kaala
Tha? – Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(23) Hazrate Bilal Ke Islam Laane Ka Waqiya Kya Tha?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(24) Sharah Mishkaat (Kitabul Iman)
– Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
(25) Chand Ghair Motabar Kitabein – Maulana Hasan Noori
(26) Tirmizi (Part 1) – Muhammad Bin Eisa Tirmizi
(27) Aaiye Namaz Seekhein (Part 1)
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(28) Sharah Mishkaat (Kitabul Ilm)
– Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
(29) Sahih Bukhari Aur Ilme Ghaib
– Allama Muhammad Abdul Qadir
(30) Difa -e- Kanzul Iman
– Tajushshariah, Mufti Akhtar Raza Khan
(31) Pehle Farz Nafl Baad Mein
– Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan Barelvi
(32) Qiyamat Ke Din Logon Ko Kis Ke Naam Ke Saath Pukara
Jayega – Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(33) Yaare Ghaar – Dr. Asif Ashraf Jalali
(34) Tie Ka Mas’ala – Huzoor Tajushshariah
(35) Sawaneh Tajushshariah – Mufti Dr. Yunus Raza
(36) Huzoor Tajushshariah Aur Bukhari Shareef Ki Pehli
Kanzul Imaan (Paara 01)
41
Hadees Ka Dars – Maulana Muhammad Raza Markazi
(37) Huzoor Tajushshariah Ke Kalaam Mein Muhawraat Ka
Istemal – Muhammad Kashif Raza Shaad Misbahi
(38) Hussamul Haramain
– Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Barelvi
(39) Haque Par Kaun? – Allama Muhammad Zafar Attari
(40) Shirk Kya Hai? – Allama Muhammad Ahmad Misbahi
(41) Qurbani Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat
– Allama Mufti Amjad Ali Aazmi
(42) Zibah Ka Bayaan From Bahaar -e- Shariat
– Allama Mufti Amjad Ali Aazmi
(43) Eisaiyat Se Islam Tak
– Allama Ghulam Rasool Qasmi
(44) Zambik Ka Maana Aur Masla -e- Durood
– Allama Syed Ahmad Sayeed Kaazmi
(45) Islami Taleem (Part 1)
– Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi
(46) Muharram Mein Kya Jaiz Aur Kya Najaiz?
– Allama Tatheer Ahmad Razvi
(47) Muharram Mein Nikah
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(48) Islami Zindagi – Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
(49) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 1)
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(50) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 2)
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(51) Sharhe Kalaame Raza
– Al Hafiz Al Qaari Maulana Ghulam Hasan Qadri
(52) Imamul Ayimma Abu Bakr Siddique
– Allama Ghulam Rasool Qasmi
(53) Aulia -e- Rijalul Hadees
– Allama Abdul Mustafa Aazmi
(54) Tamheede Imaan – Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan
Kanzul Imaan (Paara 01)
42
(55) Sharah Qasida -e- Meraj
– Al Hafiz Al Qaari Maulana Ghulam Hasan Qadri
(56) Imam Mahdi (Zamana -e- Zuhoor Aur Alamaat)
– Imam Ibne Hajar Haytmi Shafayi
(57) Break Up Ke Baad Kya Karein?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(58) Ek Nikah Aisa Bhi
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(59) Ali Wa Muawiya – Allama Ghulam Rasool Qasmi
(60) Kafir Se Sood – Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(61) Main Khan Tu Ansari
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(62) Riwayato Ki Tehqeeq (Part 3)
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri fficial
(63) Jurmana – Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(64) La Ilaha Illallah, Chishti Rasoolullah?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(65) Hazrate Ali Ki Wiladat Kahan Hui?
– Allama Qari Luqman Shahid
(66) Sarkar Ka Hulya Mubarak Ba Riwayate Umme Mabad
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(67) Qanoon -e- Shariat – Allama Qazi Shamsuddin Ahmad
(68) Saniha -e- Karbala – Allama Ghulam Rasool Qasmi
(69) Shirk Ki Haqeeqat – Allama Asif Abdullah Qadri
(70) Be Peer Ka Peer Shaitan Hai
– Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza Khan Barelvi
(71) Islami Aqaid – Allama Mufti Faiz Ahmad Owaisi
(72) Zarbe Haidari – Allama Ghulam Rasool Qasmi
(73) Saltanat -e- Mustafa
– Allama Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi
(74) Badmazhabo Se Rishte
– Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi
(75) Main Nahin Jaanta – Maulana Hasan Noori Gondavi
Kanzul Imaan (Paara 01)
43
(76) Safarnaama Bilaade Khamsa
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(77) Mansoor Hallaj
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(78) Tehqeeqe Imamat
– Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta’ala
(79) Gustakhe Nabi Kafir Hai
– Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat
(80) Gustakhe Nabi Ke Qatl Ki Hadees Par Tehqeeq
– Zubair Jamalvi
(81) Seerate Mustafa
– Allama Abdul Mustafa Aazmi Rahimahumullahu Ta’ala
(82) Tablighi Jama’at Ka Fareb
– Allama Sayyid Shah Turabul Haque Qadri
(83) Sunni Kaun? Wahabi Kaun?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(84) Farzi Qabrein – Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(85) Imam Abu Yusuf Ka Difaa
– Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta’ala
(86) Hindustan Daarul Harab Ya Daarul Islam?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(87) Raza Ya Riza?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(88) 786/92 – Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(89) Fitna Gauhar Shahi
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
(90) Deeni Taleem
– Allama Sayyid Turabul Haq Qadri
(91) Sallimu Tasleema – Khwaja Shauq
(92) Missionary Schools Mein Muslim Talaba Ka Anjaam
– Allama Imam Nabhani Rahimahullahu Ta’ala
(93) Salasil Mein Bante Hue Sunni Kab Ek Honge?
– Abde Mustafa Muhammad Sabir Qadri
Kanzul Imaan (Paara 01)
44
(95) Fatawa Barakaate Raza (Vol.1) – Mufti Abdus Sattar Faizi
(96) Ashraful Fuqaha (Seerat) – Ashraful Fuqaha Society
(97) Maahe Ramazan Aaya
– Muhammad Abdus Salam Amjadi
(98) Achhi Betiyaa’n – Qari Muhammad Naseem Qadri
(99) Kanzul Imaan
– Imame Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta’ala