Kash Wo Chehra Meri Aankh Ne Dekha Hota

काश वो चेहरा मेरी आँख ने देखा होता / Kash Wo Chehra Meri Aankh Ne Dekha Hota
काश ! वो चेहरा मेरी आँख ने देखा होता
मुझ को तक़दीर ने उस दौर में लिक्खा होता

बातें सुनता मैं कभी, पूछता मा’नी उन के
आप के सामने असहाब में बैठा होता

आयतें अब्र हैं और दश्त ज़माने सारे
हम कहाँ जाते अगर प्यास ने घेरा होता

हर सियाह रात में सूरज हैं हदीसें उन की
वो न आते तो ज़माने में अँधेरा होता

फ़ख़री ! जब मस्जिद-ए-नबवी में अज़ानें होतीं
मैं मदीने से गुज़रता हुआ झोंका होता

शायर:
ज़ाहिद फ़ख़री

ना’त-ख़्वाँ:
सय्यिद मंज़ूर-उल-कौनैन
सय्यिद ज़बीब मसूद

 

kaash ! wo chehra meri aankh ne dekha hota
mujh ko taqdeer ne us daur me.n likkha hota

baate.n sunta mai.n kabhi, poochhta maa’ni un ke
aap ke saamne as.haab me.n baiTha hota

aayate.n abr hai.n aur dasht zamaane saare
ham kahaa.n jaate agar pyaas ne ghera hota

har siyaah raat me.n sooraj hai.n hadeese.n un ki
wo na aate to zamaane me.n andhera hota

FaKHri ! jab masjid-e-nabawi me.n azaane.n hoti.n
mai.n madine se guzarta huaa jhonka hota

Poet:
Zahid Fakhri

Naat-Khwaan:
Syed Manzur ul Konain
Syed Zabeeb Masood

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top