Bahaar Tehieet2
مخلفي
AMABDE MUSTAFA
ABOUT US
Abde Mustafa Official, a team from Ahle Sunnat Wa Jama’at
Our motto : Serving Quraano Sunnat, preaching Ilme Deen and
to reform people.
This team came into existence in the year 2012 and in very
few years this team did a lot of acts.
There is also a special place of Abde Mustafa Official on
social media networking sites.
Lots of people from all over the world are connected to us
via Facebook, WhatsApp, Instagram, Telegram, YouTube and
Blogger.
Abde Mustafa Official
ملفاي
BM ABDE MUSTAFA
ABDE MUSTAFA OFFICIAL
abdemustafaofficial.blogspot.com
1
Kya Huzoor Ghause Paak Aur Sarkar Ghareeb Nawaz Ki
Mulaqat Huyi?
Chand Ghair Moatbar Kitabo Mein Is Tarah Ke Waqiyaat Darj
Hain Jin Se Zaahir Hota Hai Ke Huzoor Ghause Paak Aur
Sarkar Ghareeb Nawaz Alaihimur Rahma Ki Mulaqat Huyi Hai
Lekin Haqeeqat Ye Hai Ke Dono Buzurgo Ki Mulaqat Saabit
Nahin
Is Ki Tafseel Bayaan Karte Huye Shaarahe Bukhari, Hazrat
Allama Mufti Shariful Haque Amjadi Alaihi Rahma Likhte
Hain :-
Is Par Saare Moarrikheen Ka Ittefaq Hai Ke Sarkar Ghause
Paak Radiallaho Ta’ala Anho Ka Wisal 561 Hijri Mein Hua, Is
Par Bhi Qareeb Qareeb Ittefaq Hai Ke Hazrate Ghareeb Nawaz
Radiallaho Ta’ala Anho Ki Wiladat 537 Hijri Mein Huyi Aur Is
Par Bhi Ittefaq Hai Ke Hazrate Ghareeb Nawaz Ne 15 Saal Ki
Umr Se Ilme Zaahiri Ke Husool Ke Liye Safar Kiya
Ek Muddat Tak Aap Samarqando Bukhara Mein Ilm Haasil
Karte Rahe
Uloom -e- Zaahiri Ki Takmeel Ke Baad Murshid Ki Talash
Mein Nikle Phir 20 Saal Tak Murshid Ki Khidmat Mein Haazir
Rahe
20 Saal Ke Baad Khilafat Se Sarfaraz Farmaye Gaye Phir
Madina -e- Munawwara Mein Haazir Huye Aur Sarkar -eAazam صلى الله عليه وسلم Ne Hindustan Ki Wilayat Ata Farmayi
Ab Hisaab Lagayein Ke 15 Saal Ki Umr Tak Hazrate Ghareeb
Nawaz Apne Watan Mein Rahe Aur 20 Saal Tak Ilme Zaahir
Talab Farmate Rahe To Ye (20+15) 35 Saal Ho Gaye
2
537 Hijri Mein Wiladat Huyi, 35 Saal Tak Ilme Zaahir Ki Talab
Mein Rahe (537+35) Yaani 572 Hijri Mein Aapne Iraq Ka
Rukh Kiya Jab Ke Huzoor Ghause Aazam Ka Wisal 561 Hijri
Mein Ho Chuka Tha Yaani Hazrate Khwaja Ajmeri Ne Jab Iraq
Ka Rukh Kiya Us Se 11 Saal Pehle Huzoor Ghause Paak Ka
Wisal Ho Chuka Tha Phir Mulaqat Kaise Huyi?
) قطا:ًاتفویاشرحاخبری،ج
ًاصخلموملت ،2 ص 128 ات ،131 ط دارئۃ اربلاکت وھگیس، س 1433ھ (
Mazkoora Tafseel Se Ye Baat Bilkul Waazeh Ho Jaati Hai Ke
Sarkar Ghause Aazam Aur Sarkar Ghareeb Nawaz Ajmeri
Alaihimur Rahma Ki Mulaqaat Saabit Nahin
Abde Mustafa
Ilm Ko Likh Kar Qaid Kijiye
Hazrate Sayyiduna Anas Bin Malik Radiallaho Ta’ala Anho
Farmate Hain Ke Ilm Ko Likh Kar Qaid Kar Lo
(ونادر االوصل، 1/265)
Jab Bhi Koi Aisi Baat Maloom Ho Jise Aap Apni Yaddasht
Mein Mehfooz Karna Chahte Hain To Chahiye Ke Use Likh
Lein
Humare Buzurgo Ka Bhi Yahi Tariqa Tha Ke Aham Baato Ko
Likh Liya Karte The
Hazrate Sayyiduna Khaleel Bin Ahmad Alaihi Rahma Farmate
Hain Ke Maine Jo Kuchh Suna, Likh Liya, Jo Kuchh Likha Wo
Yaad Kar Liya, Jo Kuchh Yaad Kiya Usse Fayeda Uthaya Hai
(اجعم ایبن املعل و ہلضف، ص108)
3
Abde Mustafa
Imam Rabee Bin Naafe Halabi Aur Hazrat Ameer -eMuawiya
Imam Rabee Bin Naafe Halabi (Mutawaffa 241 Hijri) Farmate
Hain Ke Hazrate Ameer -e- Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho
Rasool -e- Kareem صلى الله عليه وسلم Ke Sahaba Ka Parda Hain, Jab Koi
Shakhs Parda Uthata Hai To Jo Kuchh Uske Pichhe Hai Us Par
Bhi Juraat Karta Hai
Yaani Jo Hazrat Ameer -e- Muawiya Radiallaho Ta’ala Anho
Par Taan Karta Hai Ek Waqt Aisa Aata Hai Ke Wo Deegar
Sahaba Par Bhi Zubaan Daraaz Karta Hai
-اترخی دغباد، ج،1 ص577ادبلاہی وااھنلہی، ج،8 ص 148
اترخی دقشم، ج،59 ص209ہب وحاہل نم وھ اعموہی ہفنصم العہم امقلن اشہ
Abde Mustafa
Nabi Ke Dushman Ko Lalkar
Jung -e- Uhud Mein Jab Kafiro Ki Taraf Se Ibne Saba Maidan
Mein Aaya To Hazrate Sayyiduna Ameer -e- Hamza
Radiallaho Ta’ala Anho Ne Us Ko Ye Keh Kar Lalkara Ke
یاابنمقطعۃالبظوراتحاداہللورسولہثمشدعلیہفکانکامسالذاھب
4
Tarjuma : (Hazrate Ameer -e- Hamza Radiallaho Ta’ala Anho
Ne Farmaya Ke) “O Aurato Ke Khatne Karne Waali Ke Ladke!
Tu Allah Ta’ala Aur Uske Rasool Se Dushmani Karta Hai?
Ye Keh Kar Aapne Us Par Sakht Hamla Kar Diya Aur Usko
Waasil -e- Jahannam Kar Diya
)1(حیحص اخبری، اتکب ااغملزی، ابب لتق زمحہ
)2(دنسم ادمح نب لبنح، ج ،3 ص501
)3( حیحص انب ابحن، ج ،6 ص300
)4(داللئ اوبنلۃ یقہیبلل، ج،3 ص242
)5( ۃفص اوفصلۃ، ج ،1 ص 373
)6(امظتنمل، ابب زغوۂ اح
)7(اجعم االوصل، ج،8 ص248
)8(دمعۃ ااقلری، ج ،17 ص211
)9( ی،ج
لعقب
ذاخرئا ،1 ص177
)10(ادبلاہی وااھنلہی، ج،4 ص19
)11(اریسلۃ اوبنلۃی النب ریثک، ج،3 ص38
)12(اترخی االالسم ذللیبہ، ج،1 ص208
)13(ریس االعم االبنلء، ج ،1 ص 178
)14(اجعم االاحدثی ویسللیط، ح41303
)15(لبس ادہلی وارلاشد، ابب زغوۂ اح
(ًاصخلم: اعملت یفطصم صلى الله عليه وسلم، ص،123 124)
5
Abde Mustafa
Musalman Kaun?
Maujooda Zamane Mein Musalmano Ko Apna Imaan Aur
Aqeeda Bachana Bahut Mushkil Ho Gaya Hai. Imaan Ke Chor
Apni Chaalbazo Aur Faraib Karo’n Ke Zariye Bhole Bhale
Musalmano Ki Aakhirat Barbaad Karne Me Koi Kasar Baki
Nahi Chhod Rahe Hain. Aise Me Zaruri Hai Ke Humein Ulama
-E- Haq Ki Taraf Ruju Karna Chahiye Taaki Hum Gumrah
Firqon Ke Faraibkaariyo Se Aagah Ho Sakein Aur Apne Imaan
Aur Aqide Ki Hifazat Kar Sakein.
Abhi Kuch Dino Pehle Maqala Banam “Islaah Samaj Ki
Buniyadi Batein” Nazar Se Guzra Jisko “Aalamin Educational
and Welfare Society Bareily” Ki Janib Se Shaya Kiya Gaya
Tha, Padh Kar Bahut Hairat Huyi Ki Aaj Ke Naam Nihad
Musalmano Ko Kya Ho Gaya Hai Jo Kafiron Ke Qadmo Me
Gire Jaa Rahe Hai. Jin Logon Ke Sath Islam Muhabbat Karne
Ko Haraam Qaraar Deta Hai Unhi Ko Apne Bhai Bata Kar
Musalmano Ko Unse Muhabbat Karne Ka Hath Badhaya Ja
Raha Hai Aur Shariate Islamiya Ko Majrooh Kiya Jaa Raha Hai
6
Us Maqale Me Surah Nisa Ki Pehli Aayat Ka Hawala Dete
Huye Zaahir Kiya Gaya Ke “Saare Insaan Aapas Me Bhai Bhai
Hai Chahe Wo Kisi Bhi Dharm Ke Ho Lihaza Humein Kisi Se
Nafrat Nahin Karna Chahiye”
Quraan Pak Ke Aap Tamam Tarajim Wa Tafsir Padh Lein
Lekin Aapko Is Aayat Ka Ye Matlab Nahi Milega Lekin Afsos
Sad Afsos Kaafiron Aur Mushriqon Ko Apna Bhai Banane Ke
Liye Ye Log Is Had Tak Guzar Gaye Ke Maaz’Allah Inhone
Quraan Par Jhuth Bandha Aur Quraan Par Jhuth Ka Matlab
Inhone Allah Par Juth Bandha!
Irshade Rabbani Hai:
ِٰت ہ
ی
ٰ
ا
ِ
َبب
َک ذَ
ۡ
ًااَو
ِہ َکِذب
ٰ
ِنا ۡفََتٰی َعََلالل
َ
م ِمم
ُ
ۡظلَ
َ ۡناَ
َفم
(سورۂ اعراف، 37)
Tarjuma : “Is Se Badh Kar Zalim Kaun Jisne Allah Par Jhuth
Baandha Ya Uski Aayatein Jhutlayi”
Hum Qur’aan Majeed Se Kuch Aayat Pesh Kar Rahe Hai
Jinhein Padh Kar Aap Ka Zehan Bilkul Saaf Ho Jayega Ke
Allah Ne Humein Kya Karne Ka Hukm Diya Hai Aur Hum Kya
Kar Rahe Hai Aur Naam Nihad Musalmano Ka Shaq Bhi Dur
Ho Jayega.
In Shaa Allah
(1) Musalman-Musalman Bhai Bhai Hai
(Surah Hazraat:10)
7
(2) Muslaman Kaafiro Ko Apne Dost Na Bana Le, Muslamano
Ke Siwa Jo Aisa Karega Use Allah Se Kuch Ilaaqa Na Raha.
(Surah Aale Imran:28)
(3) Aye Imaan Waalon! Apne Baap Aur Apne Bhaiyo Ko Dost
Na Samjho Agar Woh Imaan Par Kufr Pasand Kare Aur Tum
Me Se Jo Koi Unse Dosti Kare.
(Surah Tauba:23)
(4) Aye Imaan Waalon! Jinhone Tumhare Deen Ko Hansi Khel
Bana Liya Hai Wo Jo Tumse Pahle Kitaab De Gaye (Yahood o
Nasara) Aur Kaafir Un Mein Se Kisi Ko Dost Na Banao Allaah
Se Darte Raho Agar Imaan Rakhte Ho.
(Surah Maaida:57)
(5) Zarur Tum Musalmano Ka Sab Se Badh Kar Dushman
Yahoodiyo Aur Mushriqo ko Paaoge.
(Surah Maaida:82)
Mazkurah Aayat Se Hume Pata Chal Gaya Ke Kafiron Aur
Mushriqon Se Dosti Karna Kaisa Hai
Allah Ne Yahan Tak Farmaya Ke Jo Koi Unse Dosti Karega To
Allah Se Uska Kuch Ilaaqa Nahi Yani Woh Seedha Jahannam
Rashid Ho Jayega. Aur Doosri Jagah Irshad Farmaya Agar
Tumhare Baap Aur Bhai Bhi Imaan Aur Kufr Ko Sirf Pasand
Kare To Unse Bhi Dosti Na Nibhao. Unhein Bhi Doodh Mein
Se Makkhi Ki Tarah Nikaal Kar Phenk Do Aur Farmaya
8
Kafiron Ne Tumhare Deen Ka Hansi Khel Bana Liya Hai To
Tum Kaise Unhein Bhai Ya Dost Bana Sakte Ho Aur Agar
Tum Imaan Wale Hoge Allah Se Darte Hoge To Hargiz
Unhein Dost Nahi Banaoge.
Allah Ta’ala Ne Musalmano Ka Sabse Bada Dushman
Yahoodiyo Aur Mushriko Ko Bataya. Hum Jis Mulk Me Reh
Rahe Hai Isme Taadaad Ke Hisab Se Mushriq Zyada Hain
Isliye Humare Sab Se Badh Kar Dushman Mushriq Hain. Afsos
Aaj Naam Nihad Musalman Allah Ke Farman Ko Bhool Kar
Mushriko Ke Talwe Chatte Nazar Aa Rahe Hai Aur Unke Sath
Dosti Nibhate Nazar Aa Rahe Hai Kya Isiliye Tumhein
Musalman Banaya Gaya Tha Ki Tum Duniya Me Aa Kar
Kafiron Mushriqo se Muhabbat Aur Ulfat Ka Dars Do.
Aaj Tum Allah Uske Rasool -E- Kareem صلى الله عليه وسلم Ko Naraaz
Kiya Hai. Tabhi Musalman Dar Dar Ki Thokrein Khaa Rahe
Hain. Aaj Musalman Har Jagah Musibato Me Nazar Aa Rahe
Hai. Sirf Isliye Ke Tum Apne Deen Ko Chhorh Kar Kufr Me
Izzat Talash Karne Lag Gaye Ho. Kafiro Se Muhabbat Ka
Paath Padhne Waale Apni Aakhirat Ka Janaza Na Nikaalein
Aur Haan! Agar Unhein Kufr Pasand Hai To Islam Ka Naam
Na Lein. Aur Na Aise Maqale Chhap Kar Musalmano Ko
Kafiro Se Muhabbat Karne Ka Dars Dein. Izzat Allah Ke Hath
Mein Hai Aur Tum Kafiro Se Izzat Ki Bhikh Mangte Ho.
Irshade Rabbani Hai:
Wo Jo Musalmano Ko Chodh Kar Kaafiron Ko Dost Banate
Hain Kya Unke Pas Izzat Dhoondhte Hai To Izzat To Saari
Allah Ke Liye Hai.
9
Humara Deen Humein Har Kisi Se Pyaar Muhabbat Karne Ki
Ijajat Nahi Deta Kyun Ki Jaisa Humare Liye Khaane Pine Ki
Hadein Bani Huyi Hain Ki Ye Halaal Hai Ye Haraam Hai Aise
Hi Dosti Aur Dushmani Ki Bhi Hadein Hai Ki Ye Dosti
Haraam Hai Aur Ye Halaam.
Kafiron Se Dosti Nibhane Walo Ke Liye Saja:
Irshade Rabbani Hai:
مال نَار
ُ
َ سَ ُک
اَفَتم
ۡ
و
ُ
َنَظلَم
ۡ
ِذی
ۡۤۡا اََِلال َ
نو
َکُ
ۡ
ََلتَر
Tarjuma : Aur Zaalimo Ki Taraf Na Jhuko Ke Tumhein Aag
Chhuyegi.
(Surah Hood:113)
Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi Rahmatullah Alaih Is Aayat
Ke Tafseer Me Farmate Hai:
Hargiz Maa’yil Na Honaa Un Badbakht Kafiro Ki Taraf Jo
Duniya Jahan Me Khaali Raha. Yani Qauli Aur Amali
Muhabbat Tu Darkinaar Un Ki Tareef Ka Dil Me Khyaal Tak
Na Aane Paye Na Unke Kisi Amal Se Khus Hona, Na Deen Ke
Muqable Kabhi Kisi Muamle Me Kisi Kafir Ki Ita’at Karna, Na
Kafiron Aur Badkaaron Ki Majliso Sohbato Me Bethna. Unme
Se Jo Kaam Bhi Kiya Jaye To Maa’ilan(Yani Kafiro Ki Taraf
Jhukna) Paya Gaya. Lihaaza Aye Musalmano Agar Tum Baaz
Na Aaye To Allah Aur Uske Rasool Alaihissalam Ki Muhabbat
Tum Se Mit Jayegi Uska Anjaam Kya Hoga Tum Ko Jahannam
10
Ki Aag Bhadakti Huyi Chhuyegi Aur Uska Chhuna Bhi Bada
Azaab Hai. Ye To Sirf Milan Zalim Ki Saja Hai To Andaza
Lagao Ke Zalim Ki Saja Kya Hogi!
Musalman Kaun:
Irshade Rabbani Hai:
)1(
َ
ِ ۡم َحر
فِسہ
ۡۤۡاَنۡ ُ
ِف
ا
ۡ
دو
ُ
مَ ََلیَ ِج
ُ
ۡمث
ہ
ُ
بَ ۡیَن
َ
ا َش َجر
َ
ۡم
ۡ َکفِی
و
ُ
َُحِ کم
ی
ٰ
ۡ َن َح ّت
نو
ُ
ِم
ۡ
و
ُ
ِ َکََلی
ب
َ
َر
َفََلو َا
ِمم
جا
ً
ًا
ۡم
ۡسلِی
اتَ
ۡ
و
ُ
َسلِ م
ُ
ی
َ
ۡ َتو
َق َضی
To Aye Mehboob! Tumahre Rab Ki Qasam Wo Musalman Na
Honge Jab Tak Ki Apne Aapas Ke Jhagde Me Tumhein
Haakim Na Banaye. Phir Jo Kuch Tum Hukm Farma Do Apne
Dilon Me Is Se Rukawat Na Banaye Aur Use Maan Lein.
(Surah Nisa:65)
Yani Musalman Wahi Hai Jo Apne Deeni Aur Duniyaawi
Muamlo’n Me Huzoor Alaihissalam Ke Hukm Ko Maane. Jaisa
Ki Huzoor Alaihissalam Ne Farmaya : Aisa Kare Apni Taraf Se
Deen Me Taweelein Na Kare.
)2( کَ
ۡ
لَو
َ
ہو
لَ ٗ
ۡ
و
ُ
َس
َر
َہو
ٰ
ۡن َحٓاد َالل
ۡ َن َم
و
ُ
ٓاد
َ
و
ُ
ی
ِ
ٰ ِخر
ۡ ِما َۡل
َو
الۡی
َ
ِہو
ٰ
الل
ِ
ۡ َنب
نو
ُ
ِم
ۡ
و
ُ
مای
ًۡ
د َقو
ُ
ِج
ََلتَ
ۡ
ۡماَو
ُ
بَٓاَءہ
ٰ
ۡۤۡا ا
و
ُ
ان
ۡماَ
ُ
ح م اَب ِ ۡنہ َۡنٓاَءہ
ٍۡ
و
ُ
ِر
ۡمب
ُ
َدہ
اَی َ
َ
َنو
ا
َ
ۡم
ما َۡلِی
ُ ِ
ِہ
ب
ۡ
و
ُ
قل
ُ
ۡ
َبِف
َک َکَت
ِئ
ٰٓ
ٰ
ول
ُ
ؕ ا
ۡم
ہ
ُ
ۡ َع ِش َۡۡیتَ
ۡماَو
ہ
ُ
انَ
َ
اِ ۡخو
ۡ
و
Yaani Musalman Wahi Hai Jo Allah Aur Uske Rasool
Alaihissalam Se Mukhalifat Karne Wale Ko Apna Dushman
Jane. Chahe Wo Uske Baap Ya Kisi Dost Ya Bhai Ya Rishte
Dar Hi Kyun Na Ho.
11
)3( ِح
ُ
ی
َ
ۡمو
ہ
ُ
ُ
ُ ِح ب
می
ٍ ۡ
َقو
ِ
ہب
ُ
ٰ
ِِتالل
ۡ
َفیَا
ۡ
َسو
ِۡن ہ َف
ۡنِدی
ۡم َع
ُک
ِمۡن
تَ دَ
ۡ
ۡنی َر
ا َم
ۡ
نو
ُ
ٰ َم
َنا
ۡ
ِذی
َہاال َ
ُ
ی
ۡۤاَ
ۃ ٰ
ی ٍ
ِذل َ
اَ
ۙ
ۡۤ
ہ
نَ ٗ
ۡ
و
ُ
ب
َن
ۡ
ی
ِ
ۃ َعََلالۡ ٰکِفر
ِمِنَۡۡیاَِع زٍَ
ۡ
و
ُ
َعََلالۡم
Aye Imaan Waalon! Tum Mein Jo Koi Apne Deen Se Phire Ga
(Yani Murtad Ho Jayega) To Anqareeb Allah Aise Log Layega
Ke Wo Allah Ke Pyaare Aur Allah Unka Pyaara, Musalmano
Par Narm Aur Kafiron Par Sakht.
(Surah Maaidah:54)
Yani Musalmano Ki Pahchaan Ye Hai Ke Wo Apne Musalman
Bhai Ke Liye Narm Hote Hai Kafiron Ke Liye Sakht Hote Hai.
Allah Ta’ala Humein Kafiron, Badmazhabo, Gumrahon,
Zaalimon Ki Muhabbat Se Bachaye Aur Musalmano Se Acche
Akhlaq Se Paish Aane Ki Taufeeq Ataa Farmaye Ameen.
Ahqar Muhammad Hassan Raza Rayeeni
Tafreehul Khatir Mein Ek Jhooti Riwayat
Mash’hoor Kitab “Tafreehul Khatir” Mein Huzoor Sayyiduna
Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Ki Nisbat Se Ye
Riwayat Dakhil Hai Ke Aap Radiallaho Ta’ala Anho Ka Ek
Khadim Faut Ho Gaya
Uski Biwi Aapki Khidmat Mein Haazir Huyi Aur Aah Wazari
Karne Lagi
Usne Aapse Apne Shauhar Ko Zinda Karne Ki Iltija Ki
Aapne Ilme Batin Se Dekha Ke Malkul Maut Us Din Qabz Ki
Gayi Tamam Rooho Ko Le Kar Aasman Par Ja Rahe Hain
12
Aapne Use Roka Aur Kaha Ke Mere Khadim Ki Rooh Wapas
Kar Do To Malkul Maut Ne Ye Keh Kar Mana Kar Diya Ke
Maine Ye Roohein Allah Ta’ala Ke Hukm Se Qabz Ki Hain
Jab Malkul Maut Ne Rooh Wapas Nahin Ki To Aapne Rooho
Ki Tokri (Jis Mein Us Din Qabz Ki Gayi Tamam Roohein Thi,
Wo) Chheen Li! Isse Hua Ye Ke Jitni Roohein Thi Wo Sab
Apne Apne Jismo Mein Wapas Chali Gayi
Malkul Maut Ne Allah Ta’ala Ke Huzoor Arz Ki : Maula Tu To
Jaanta Hai Jo Takraar Aaj Mere Aur Abdul Qadir Ke Darmiyan
Huyi, Usne Tamam Arwaah Chheen Li
Is Par Allah Ta’ala Ne Irshad Farmaya Ke Aye Malkul Maut
Beshak Abdul Qadir Mera Mahboob Hai, Tu Ne Us Ke
Khadim Ki Rooh Ko Wapas Kyun Nahin Kiya? Agar Ek Rooh
Ko Wapas Kar Dete To Itni Roohein Apne Haatho Se De Kar
Pareshan Na Hote
) ااثلۃنم
ب ۃ
ق
مت
ل
ًاصخلم:رفتحیااخلرطیفانمبقاخیشلدبعااقلدر،ا ، ص،68 ط اقدری روضی بتک اخہن الوہر(
Isi Riwayat Ke Baare Mein Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat
Rahimahullah Se Sawal Kiya Gaya, Bas Farq Itna Hai Ke
Yahan Khadim Ki Biwi Ka Zikr Hai Aur Sawal Mein Khadim
Ke Bete Ka
Sawal Mein Ye Izafa Bhi Hai Ke Jab Malkul Maut Ne Rooh
Wapas Karne Se Inkar Kiya To Huzoor Ghause Paak Ne
Unhein Ek Thappad Maara Jisse Malkul Maut Ki Aankh
Baahar Nikal Gayi!
13
Aala Hazrat Radiallaho Ta’ala Anho Ne Jawaban Irshad
Farmaya Ke Ye Riwayat Iblees Ki Ghadi Huyi Hai Aur Is Ka
Padhna Aur Sunna Dono Haraam! Ahmaq, Jahil, Be Adab Ye
Samajhta Hai Ke (Is Riwayat Ko Bayaan Kar Ke) Hazrate
Ghause Aazam Ki Tazeem Karta Hai Halanki Wo Huzoor Ki
Sakht Tauheen Kar Raha Hai
(ارظن: اتفوی روضہی، ج،29 ص،630 ط راض افؤڈننشی الوہر، س 1426ھ )
Abde Mustafa
Baarah Saal Pehle Doobi Huyi Baraat
Chand Kitabo Mein Huzoor Sayyiduna Ghause Aazam
Radiallaho Ta’ala Anho Ki Ek Karamat Ka Zikr Milta Hai Ke
Aapne 12 Saal Pehle Doobi Huyi Baraat Ko Waapas Nikal
Diya
Ye Riwayat Awaam -o- Khawas Mein Bahut Mash’hoor Hai
Lihaza Mukammal Waqiya Likhne Ki Zaroorat Nahin
Is Riwayat Par Guftagu Karte Huye Khalifa -e- Aala Hazrat,
Hazrat Allama Syed Deedar Ali Shah Alaihi Rahma Farmate
Hain Ke Huzoor Ghause Aazam Ki Karamaat Darja -eTawatur Ko Pahunchi Huyi Hain Jaisa Ke Imam Yafai Ne
Likha Hai Ke “Aapki Karamaat Mutawatir Ya Tawatur Ke
Qareeb Hain Aur Ulama Ke Ittefaq Se Ye Amr Maloom Hai Ke
Aapki Manind Karamaat Ka Zuhoor Aapke Baghair Aafaq Ke
Mashaikh Mein Se Kisi Se Na Hua” Magar Ye Baraat Waali
Riwayat Kisi Moatbar Ne Nahin Likhi Lekin Isse Ye Laazim
Nahin Aata Ke Hazrate Ghause Paak Is Darje Ke Na The
14
Aksar Milad Khwan (Muqarrireen) Waqif Na Hone Ki Wajah
Se Muhmal Riwayaat Auliya Wa Ambiya Ki Taraf Mansoob
Kar Dete Hain Aur Ye Samajhte Hain Ke Agar Ye Yahan
Ghalat Hai To Bhi Unki Tareef Humne Poori Kar Di, Ye Sawab
Ki Tawaqqo Bhi Karte Hain, Khair Khuda In Par Raham Kare
Hazaaro Karamaat Auliyaullah Aur As’haab -e- Rasool
Alaihissalam Se Zahir Na Huyi To Kya Jhooti Riwayat Keh
Dene Se Unka Rutba Badh Jayega? Harghiz Nahin
As’haab -e- Rasool Tamam Ghauso Qutub -o- Auliya Se Afzal
Hain Aur Tehqeeq Se Saabit Hai Ke Auliyaullah Ki Karamaat
Aksar Ashaab Se Zyada Hain, Bahar Haal Ye Riwayat Kisi
Moatbar Ne Nahin Likhi Aur Imkaan -e- Aqali Se Koi Amr
Yaqeeni Nahin Ho Sakti
(ًاصخلم: اتفوی ددیارہی، ص 45)
Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullah Se Jab Is
Riwayat Ke Mutalliq Sawal Kiya Gaya To Aapne Farmaya Ke
Agarche Ye Riwayat Nazar Se Kisi Kitab Mein Na Guzri Lekin
Zubaan Par Mash’hoor Hai Aur Is Mein Koi Amr Khilaf -eShara Nahin Lihaza Is Ka Inkar Na Kiya Jaaye
(ارظن: اتفوی روضہی، ج،29 ص،630 ط راض افؤڈننشی الوہر، س 1426ھ )
Maloom Hua Ke Is Riwayat Ka Koi Moatbar Wa Mustanad
Makhaz Maujood Nahin Aur Ek Pahlu Ye Hai Ke Ba Qaul
Imam -e- Ahle Sunnat Is Riwayat Ka Inkar Bhi Na Kiya Jaaye
Lekin Phir Bhi Hum Kehte Hain Ke Zyada Munasib Yahi Hai
Ke Aisi Riwayaat Ko Bayaan Karne Se Parhez Kiya Jaaye
15
Hazrate Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Ke Fazail
Bayaan Karne Ke Liye Deegar Sahih Riwayaat Ko Shamil -eBayaan Kiya Jaaye
Abde Mustafa
Mera Mureed Jannat Mein
Hazrate Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Ne
Apne Mureedeen Ke Liye Jo Basharatein Irshad Farmayi Hain
Ke Mera Mureed Baghair Tauba Ke Na Marega Aur Main
Uske Liye Jannat Ka Zaamin Hoon Waghaira, Inko Bayaan
Karte Huye Etidal Ko Malhooz Rakhna Bahut Zaroori Hai
Humare Kehne Ka Matlab Ye Hai Ke Awaamun Naas Ke
Saamne Ye Ya Is Tarah Ki Baato Ko Is Andaaz Mein Pesh Na
Kiya Jaaye Jisse Wo Maidan -e- Amal Mein Hathyar Daal Dein
Aur Isi Ummeed Par Nek Kaamo Ko Tark Kar Dein Ke
Humare Liye To Jannat Ki Basharat Rakhi Huyi Hai
Iska Ye Matlab Bhi Nahin Ke In Basharato Ko Chhupaya Jaaye
Aur Sirf Khauf Paida Karne Ke Liye Aisa Tarz Apnaya Jaaye
Ke Ek Aam Aadmi Ye Samajh Baithe Ke Ab To Humara
Kuchh Ho Hi Nahin Sakta Aur Jahannam Humare Liye Tayyar
Hai
Mukhtasar Ye Ke Khauf Wa Ummeed Ke Darmiyan Raha
Jaaye
Imam Faqeeh Abulais Nasr Samarqandi Hanfi Alaihi Rahma Isi
Amr Ki Baabat Likhte Hain Ke Waayiz (Muqarrir) Khauf Wa
Ummeed Dono Ko Apna Mauzu -e- Sukhan Banaye
16
Sirf Khauf Ya Sirf Ummeed Ke Mauzu Par Bayaan Na Kare
Kyunki Aisa Karna Mamnoo Hai
ردنقی،ص )
م
للس
(ارظن:اتسبنااعلرنیف 58
Abde Mustafa
Tu Mera Ghulam, Tera Baap Mere Nana Ka Ghulam
Hasnain -e- Kareemain Ki Shaan -o- Azmat Bayaan Karni Ho
Ya Faruque -e- Aazam Ka Ishqe Rasool, Dono Ke Liye Ek
Riwayat Kasrat Se Bayaan Ki Jaati Hai Jo Kuchh Yun Hai :-
Ek Martaba Hasnain -e- Kareemain Aur Faruque -e- Aazam Ke
Bete Bachpan Mein Saath Mil Kar Khel Rahe The Ke Achanak
Kisi Baat Ko Le Kar Ladayi Ho Jaati Hai! Baato Hi Baato Mein
Imam Husain Radiallaho Ta’ala Anho Ne Faruque -e- Aazam
Ke Shahzade Se Farmaya Ke “Tu Mera Ghulam Aur Tera Baap
Mere Nana Ka Ghulam”
Ye Sun Kar Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta’ala Anho Ke
Sahabzade Ko Bura Laga Aur Wo Is Baat Ki Shikayat Karne
Ke Liye Apne Walid Ke Paas Chale Gaye
Walid Sahab Se Kaha Ke Hasnain Mujhe Aisa Aisa Kehte Hain
Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta’ala Anho Ne Apne Bete
Se Farmaya Ke Jaao Aur Unse Ye Baat Likhwa Kar Le Aao,
Chunanche Ibne Umar Ne Hasnain Kareemain Se Kaha Ke
Aapne Jo Kaha Hai Use Kaghaz Par Likh Dijiye
Imam Husain Radiallaho Ta’ala Anho Ne Wahi Baat Likh Bhi
Di
Jab Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta’ala Anho Ke Haath
Mein Wo Kaghaz Diya Gaya To Aap Use Chumne Lage Aur
17
Bahut Khush Huye, Phir Apne Bete Se Farmaya Ke Beta Ab
Mujhe Maidan -e- Hashr Ka Koi Khauf Nahin Kyunki Mujhe
Aale Rasool Ne Rasoolullah Ka Ghulam Likh Diya Hai, Is
Chitthi Ko Mere Kafan Mein Rakh Dena Taaki Munkar Nakeer
Mujhse Sawalaat Na Karein, Phir Aapne Apne Bete Ko
Naseehat Karte Huye Hasnain Kareemain Ke Fazail Bataye
Aur Unki Ghulami Karne Ka Hukm Diya
Ye Waqiya Mukhtalif Alfaaz Mein Bayaan Kiya Jaata Hai
Ye Waqiya Itna Mash’hoor Hai Ke Aksar Muqarrireen Ise
Bayaan Karte Hain
Humne Kitabo Mein Ise Talash Kiya Lekin Humein Nahin
Mila, Iske Bar Aks Jo Mila Wo Peshe Khidmat Hai :-
Hazrat Allama Mufti Shah Muhammad Ajmal Qadri
Rahimahullah Se Isi Waqiye Ke Mutalliq Sawal Kiya Gaya Ke
Ye Waqiya Sahih Hai Ya Ghalat? Saayil Ne Ye Bhi Likha Hai
Ke Is Waqiye Par Sufi Azeez Ahmad Sahab Barelwi Aur
Chand Ulma Ne Aitraz Kiya Hai
Aapne Jawab Mein Tehreer Farmaya :-
Ye Waqiya Kisi Arabi Ki Moatbar Wa Mustanad Kitab Mein
Meri Nazar Se Nahin Guzra To Yaqeen Ke Saath Na Isko
Sahih Kaha Ja Sakta Hai Na Ghalat
ب ۃ،ج )
مل
ج
(اتفویا ،4 ص،629 ط ریبش ربادرز الوہر، س2005ء
Abde Mustafa Kehta Hai Ke Jo Hazraat Is Riwayat Ko Bayaan
Karte Hain Un Par Lazim Hai Ke Hawala Bhi Bayaan Karein
Aur Kisi Bhi Riwayat Ko Bayaan Karne Se Pehle Is Baat Ko
Madde Nazar Rakhein Ke Sirf Mash’hoor Hone Ki Wajah Se
Kisi Riwayat Ko Bayaan Karna Durust Nahin
18
Abde Mustafa
Ja Tujhe Saat Bete Honge
Hazrate Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Ki
Karamat Bata Kar Ye Riwayat Bayaan Ki Jaati Hai Ke Ek
Aurat Aap Ki Khidmat Mein Haazir Huyi Aur Kaha Ke Ya
Hazrat Mujhe Beta Do!
Aapne Farmaya Ke Lauhe Mehfooz Mein Teri Qismat Mein
Beta Nahin Hai
Aurat Ne Kaha : Agar Lauhe Mehfooz Mein Hota To Aap Ke
Paas Kyun Aati?
Aap Ne Allah Ta’ala Se Arz Kiya Ke Ya Khuda Tu Is Aurat Ko
Ek Beta De De
Jawab Aaya Ke Lauhe Mehfooz Mein Nahin
Arz Kiya Ke Do Bete De, Hukm Hua Ke Jab Ek Nahin To Do
Kahan Se Doon?
Arz Kiya Ke Teen Bete De, Irshad Hua Ke Ek Bhi Nahin To
Teen Kahan Se Doon? Iski Taqdeer Mein Bilkul Nahin
Jab Wo Aurat Na Ummeed Ho Gayi To Ghause Aazam Ne
Ghusse Mein Aa Kar Apne Darwaze Ki Khaak Se Taweez
Bana Kar De Di Aur Kaha Ke Ja! Tujhe Saat Bete Honge
Wo Aurat Khush Ho Kar Chali Gayi Aur Uske Saat Ladke
Huye
Is Riwayat Ke Mutalliq Hazrat Allama Mufti Shah Muhammad
Ajmal Qadri Rahimahullah Likhte Hain Ke Ye Waqiya Kisi
Moatbar Wa Mustanad Kitab Mein Nazar Se Na Guzra Aur Ba
19
Zaahir Be Asal Aur Laghw (Wahiyaat) Maloom Hota Hai, Inse
Ihteraz Karna Chahiye Aur “Bahjatul Asraar” Se Hazrat Ki
Karamaat Bayaan Karni Chahiyein
ب ۃ،اتکبارطخلواالابۃح،ج
) مل
ج
ًاصخلم:اتفویا ،4 ص،9 ط ریبش ربادرز الوہر، س2005ء(
Abde Mustafa
Ghause Aazam Aur Haque Goyi
Allama Ibne Kaseer Apni Tarikh Mein Likhte Hain Ke Hazrate
Sayyiduna Shaykh Abdul Qadir Jilani Radiallaho Ta’ala Anho
Khulafa, Wuzara, Salateen Aur Awaam Wa Khawaas Sab Ko
Neki Ka Hukm Dete Aur Buraiyo Se Mana Farmate Aur Badi
Saaf Goyi Aur Jurat Ke Saath Inko Bhare Majme Mein Aur Bar
Sare Mimbar Alal Ailan Tok Dete The Aur Allah Ta’ala Ke
Mamle Mein Kisi Malamat Karne Waale Ki Aapko Parwa Na
Hoti Thi, Intehayi Be Baak Aur Haque Go The
مص ارظن: القدئ اوجلارہ، ص8 ر)
دبعادیمحلادمحیفنحب
مطت عۃ
( ،عبطب
Abde Mustafa
Huzoor Ghause Paak Ka Khwab
Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Radiallaho Ta’ala Anho Se
Sawal Kiya Gaya Ke Kya Ye Riwayat Sahih Hai Ke Huzoor
Ghause Paak Radiallaho Ta’ala Anho Ne Khwab Dekha Ke
Imam Ahmad Bin Hambal Radiallaho Ta’ala Anho Farmate
Hain Ke Mera Mazhab Zayeef Hua Jaata Hai Lihaza (Aye
Abdul Qadir) Tum Mere Mazhab Mein Aa Jaao, Mere Mazhab
20
Mein Aane Se Mere Mazhab Ko Taqwiyat Ho Jayegi, Isliye
Ghause Paak Hanafi Se Hambali Ho Gaye?
Aala Hazrat Radiallaho Ta’ala Anho Ne Jawab Mein Farmaya
Ke Ye Riwayat Sahih Nahin, Huzoor Ghause Paak Humesha
Se Hambali The Aur Baad Ko Jab Mansab -e- Ijtihad -eMutlaq Haasil Hua To Mazhab -e- Hambal Ko Kamzor Hota
Hua Dekh Iske Mutabiq Fatwa Diya Ke Huzoor Muhiyuddin
Aur Deen -e- Mateen Ke Ye Chaaro Sutoon Hain, Logon Ki
Taraf Se Jis Sutoon Me Za’af Aata Dekha Uski Taqwiyat
Farmayi
(اتفوی روضہی، ج،26 ص ،433 راض افؤڈننشی الوہر، س1425ھ)
Abde Mustafa
Kutte Ki Takhleeq Par Ek Be Asal Riwayat
Ek Riwayat Bayaan Ki Jaati Hai Ke Hazrate Adam
Alaihissalam Ke Putle Par Iblees Ne Thook Diya To Allah
Ta’ala Ne Wahan Se Mitti Nikal Kar Kutta Bana Diya
(Mulakkhasan)
Main (Abde Mustafa) Ne Baaz Logon Ko Ye Bhi Kehte Huye
Suna Ke “Chunki Hazrate Adam Alaihissalam Ki Mitti Se
Kutte Ko Paida Kiya Gaya Isiliye Ye Jaanwar Wafadar Hota
Hai Aur Napaak Isliye Ke Iblees Ka Thook Shamil Hai” Is
Riwayat Mein Itne Bareek Nukto Ko Dekh Paana Humare Bas
Ki Baat Nahin Albatta Jo Humari Aankho Ne Dekha Use
Bayaan Karte Hain
Is Riwayat Ke Mutalliq Hazrat Allama Mufti Waqaruddin
Qadri Razvi Rahmatullahi Ta’ala Alaih Farmate Hain Ke Ye
21
Riwayat Be Bunyad Aur Laghw (Bakwas) Hai, Sahih Riwayat
Mein Iska Koi Tazkira Nahin Milta
(واقر ااتفلوی، ج ،1 ص344)
Abde Mustafa
Imam Shaybi Aur Jhoota Muqarrir
Imam Shaybi Jo Ke Ajilla Tabayeen Mein Se Hain, Farmate
Hain Ke Main Ek Masjid Mein Namaz Padhne Ke Liye Gaya
To Dekha Ke Ek Lambi Dadhi Waala Shakhs Taqreer Kar Raha
Hai, Unhein Log Ghere Huye Hain, Usne Bayaan Kiya Ke
Nabiye صلى الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya Ke Allah Ta’ala Ne Do Soor
Paida Farmaye Hain, Har Soor Mein Do Baar Phoonka Jayega
Ek Behoshi Ke Liye Ek Qayamat Ke Liye
Imam Shaybi Ne Us Muqarrir Se Kaha Ke Allah Se Dar! Jhooti
Hadees Mat Bayaan Kar, Allah Ta’ala Ne Sirf Ek Soor Paida
Kiya Hai Jis Mein Do Baar Phoonka Jayega To Us Muqarrir Ne
Kaha Ke Aye Badkirdar Tu Mera Radd Karta Hai Aur Joota
Utha Kar Imam Shaybi Ko Maarne Laga Phir Poora Majma
Imam Shaybi Par Toot Pada Aur Pitayi Shuru Kar Di Aur Imam
Shaybi Kehte Hain Ke Mujhe Us Waqt Tak Nahin Chhoda Jab
Tak Main Ne Ye Nahin Kaha Ke Allah Ta’ala Ne Do Soor
Paida Kiye Hain, To Un Logon Ne Meri Jaan Bakhshi
(ًاصخلم، اتفوی اشرح اخبری، دلج دوم، ہحفص ربمن130)
22
Aaj Ke Muqarrireen Aur Awaam Ka Bhi Yahi Haal Hai, Agar
Koi Shakhs Keh De Ke Fulan Muqarrir Ne Jhoota Waqiya
Bayaan Kiya Hai To Uski Khair Nahin
Abde Mustafa
Biwi Ho To Aisi
Ek Tabeyi Buzurg, Hazrate Sayeed Bin Musayyab
Rahmatullahi Ta’ala Alaih Ne Apni Sahabzadi Ka Nikah Apne
Ek Talib -e- Ilm Se Kiya, Dusre Din Subah Ke Waqt Jab Unke
Shauhar Ghar Se Nikalne Lage To Shehzadi Sahiba Ne Puchha
Ke Mere Sartaj! Kahan Tashreef Le Ja Rahe Hain?
Unhone Kaha Ke Ilme Deen Seekhne Ke Liye (Aapke Walid)
Sayeed Bin Musayyab Ki Majlis Mein Ja Raha Hoon
Shehzadi Sahiba Ne Kaha Ke Aap Baith Jaiye! (Mere Walid Ke
Paas Mat Jaiye) Ilme Sayeed Main Aapko Sikhati Hoon!
(ارظن: ادمللخ النب ااحلج یکم، ج ،1 ص156ہب وحاہل امانہہم اضیفن دمہنی)
Allah Ta’ala Humein Bhi Aisi Ilm Waali Biwi Ata Farmaye Jo
Khidmat -e- Deen Mein Humari Madad Kare
Aamin
Abde Mustafa
Jhoote Muqarrir Ne Had Kar Di
Kabhi Kabhi Humein Muqarrireen Se Aisi Riwayaat Sunne Ko
Milti Hai Ke Hum Hairan Wa Pareshan Ho Jaate Hain
23
Aise Aise Qisse Ke Na To Kabhi Aankho Ne Dekhe Aur Na
Kaano Ne Sune
Aisi Riwayaat Sun Kar Awaam Bhi Khush Hoti Hai Ke Chalo
Aaj Kuchh Naya Sunne Ko Mila Hai
Daur -e- Haazir Mein To Kuchh Muqarrireen Ka Yahi
Rawaiyya Hai Ke Bas Kuchh Naya Hona Chahiye
Aise Muqarrireen Ko Bas Apne Bazaar Aur Apni Shohrat Ki
Fikr Hoti Hai
Humare Zamane Ke Muqarrireen To Qabil -e- Tareef Hain Hi
Lekin Guzishta Zamane Mein Bhi Aise Muqarrireen Guzre
Hain Jinke Karname Qabil -e- Zikr Hain
Ek Martaba Imam Ahmad Bin Hambal Aur Imam Yahya Bin
Muyeen Ne Ek Masjid Mein Namaz Ada Ki
Isi Dauran Ek Qissa Go Muqarrir Khada Hua Aur Usne Bayaan
Shuru Kiya Ke “Mujhse Ahmad Bin Hambal Aur Yahya Bin
Muyeen Ne Riwayat Ki Aur Unhone Abdur Razzaq Se Riwayat
Ki, Unse Maamar Ne, Unse Qatada Ne, Unse Anas Bin Malik
Ne Ke Rasoolullah صلى الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya Ke Jis Shakhs Ne Ek
Martaba Kalima -e- Tayyiba Padha To Allah Ta’ala Uske Har
Lafz Se Ek Parinda Paida Farmata Hai Jiski Chonch Sone Ki
Hoti Hai Aur Uske Par Marjaan Ke Hote Hain…….. ” Aur Phir
Is Hadees Ko Itna Tool Diya Ke Taqreeban Bees Safahaat
Mein Aaye
Muqarrir Sahab Ki Bayaan Karda Riwayat Sun Kar Imam
Ahmad Bin Hambal Imam Yahya Bin Muyeen Ko Dekhne
Lage Aur Wo Imam Ahmad Bin Hambal Ko
24
Imam Ahmad Bin Hambal Ne Imam Ibne Muyeen Se Puchha
Ke Kya Aapne Ise Ye Hadees Bayaan Ki? To Imam Ibne
Muyeen Ne Kaha Ke Khuda Ki Qasam! Maine Ye Hadees Aaj
Pehli Baar Suni Hai
Jab Wo Qissa Go Apni Taqreer Se Farigh Hua To In Dono Ne
Usko Bulaya Aur Imam Ibne Muyeen Ne Puchha Ke Ye
Hadees Tumse Kisne Bayaan Ki? Usne Jawab Diya Ke Mujhse
Ahmad Bin Hambal Ne Aur Yahya Bin Muyeen Ne Bayaan
Kiya Hai_ Is Par Imam Ibne Muyeen Ne Farmaya Ke Main Hi
Ibne Muyeen Hoon Aur Ye Ahmad Bin Hambal Hain Aur
Hum Dono Ne Aaj Pehli Baar Ye Hadees Tumhare Moonh Se
Suni Hai
Ye Sun Kar Usne Fauran Kaha Ke Are Tum Ibne Muyeen Ho?
Unhone Kaha Ke Haan Main Hi Hoon To Usne Kaha Ke
Maine To Suna Tha Ke Ibne Muyeen Ahmaq Hai, Aaj Is Baat
Ki Tasdeeq Bhi Ho Gayi!
Imam Ibne Muyeen Ne Puchha Ke Tumne Kaise Jaana Ke
Main Ahmaq Hoon? Usne Kaha Ke Tum Samajhte Ho Ke
Dunya Mein Tum Dono Ke Ilawa Koi Ahmad Bin Hambal Aur
Ibne Muyeen Nahin Hai, In Ahmad Bin Hambal Ke Ilawa
Maine Satra (17) Ahmad Bin Hambalo Se Ye Riwayat Suni Hai
(ااجلعم االاکحم ارقلآن، ج ،1 ص 69؛ ہب وحاہل دقن و رظن، ص 13)
Abde Mustafa
25
Purane Zamane Ke Jhoote Muqarrireen
Aaj Humare Beech Kaseer Tadaad Mein Aise Muqarrireen
Maujood Hain Jo Jhooti Riwayaat Aur Manghadat Qisse
Bayaan Karne Mein Mahir Hain
Aise Muqarrireen Ki Tarikh Bahut Purani Hai Chunanche
Imam Ibne Qutaiba (Mutawaffa 276 Hijri) Apne Zamane Ke
Muqarrireen Ke Baare Mein Kya Likhte Hain Use Padhein,
Aisa Lagta Hai Ke Daure Haazir Unki Nazro Mein Hai
Aap Likhte Hain Ke Ye Waayizeen Jab Jannat Ka Zikr Karte
Hain To Kehte Hain Is (Jannat) Mein Mushk Ya Zafran Ki
Hoorein Hongi, Inke Badan Ki Banawat Aisi Hogi, Allah Ta’ala
Ne Apne Waliyo Ke Liye Motiyo Ka Safed Mahal Banaya Hai
Jis Mein Sattar Hazaar Ye Hoga Sattar Hazaar Wo Hoga Aur
Phir Wo Muqarrir Sattar Sattar Hazaar Ki Itni Cheezein
Bayaan Karega Ke Goya Jannat Mein Kisi Cheez Ki Tadaad
Sattar Hazaar Se Kam Hona Jaayez Hi Nahin
(Aap Mazeed Likhte Hain Ke) Jitna Ye (Hairat Angez
Riwayatein) Zyada Hongi Utna Hi Tajjub Aur Pasandeedgi
Mein Izafa Hoga Aur Utna Hi Der Tak Log Inke Paas
Baithenge Aur Phir Itni Hi Tezi Se Bakhshish Aur Inamaat
Pesh Kiye Jaayenge
ب ۃادلونیری،ص
اتولیفلتخمادحلثیالنبق 28ہب وحاہل ادللیخ یف اریسفتل: ادمح احشت ومیس، ص59( ) طی
(اموخذ از دقن و رظن)
26
Hazaaro Saal Pehle Bhi Aise Muqarrireen Maujood The Jo
Logon Ko Hairan Karne Ke Liye Aur Unse Nazrane Wasool
Karne Ke Liye Qisse Kahaniya Sunaya Karte The, Aaj Bhi Aise
Muqarrireen Ki Bharmaar Hai Jinko Awaam Mein
Maqbooliyat Bhi Haasil Hai
Inki Bayaan Karda Riwayat Maano Pathhar Ki Lakeer Hai
Yaani Jo Inhone Bayaan Kar Diya Wo Ghalat Ho Hi Nahin
Sakta
Inke Muqable Mein Log Bade Se Bade Aalim Ki Baat Manne
Ko Bhi Tayyar Nahin Hote
Ab To Bas Itna Hi Kaha Ja Sakta Hai Ke Allah Bachaye Aise
Muqarrireen Se
Abde Mustafa
Likhne Waale Zaroor Padhein
Imam Qastalani Alaihi Rahma Ne Ek Kitab Likhi Jis Mein
Unhone Imam Suyooti Alaihi Rahma Ki Kitabo Se Madad Li
Lekin Kahin Imam Suyooti Ka Zikr Nahin Kiya
Imam Suyooti Kaha Karte The Ke Unhone Meri Kitabo Se
Madad Li Aur Ye Zaahir Nahin Kiya Ke Wo Meri Kitabo Se
Naqal Kar Rahe Hain, Ye Ek Qism Ki Khayanat Hai Jo Naqal
Mein Mayoob Hai Aur Kuchh Haque Poshi Bhi Hai
Imam Suyooti Ki Is Shikayat Ka Itna Charcha Hua Ke Ye
Shikayat Shaykhul Islam, Zainuddin Zakariya Ansari Ke
Huzoor Muhakama Ki Shakl Mein Pesh Huyi
27
Imam Suyooti Ne Imam Qastalani Ko Kayi Jagaho Par Qasoor
Waar Thehrate Huye Farmaya Ke Inhone Apni Kitab Mein
Kayi Mawaqe Par Bayhaqi Ke Hawale Diye Hain, Zara Ye
Batayein Ke Bayhaqi Ki Tasneefat Kis Qadar Inke Paas
Maujood Hain Aur Kin Tasneefat Se Inhone Naqal Ki Hai
Jab Imam Qastalani Nishandehi Karne Se Aajiz Rahe To Imam
Suyooti Ne Kaha Ke Aapne Meri Kitabo Se Naqal Kiya Hai
Aur Maine Bayhaqi Se Pas Aapko Likhte Waqt Ye Zaahir
Karna Chahiye Tha Ke Aapne Mujh Se Naqal Kiya Aur Maine
Bayhaqi Se Taaki Mujhse Istefade Ka Haque Bhi Ada Hota
Aur Tasheeh -e- Naqal Ki Zimmedari Se Bhi Bari Ho Jaate
Imam Qastalani Mulzim Ki Haisiyat Se Majlis Se Uthe Aur
Humesha Dil Mein Ye Baat Rakhi Ke Imam Suyooti Ke Dil Se
Is Kudoorat Ko Dhoya Jaaye
Ek Roz Isi Irade Se Imam Qastalani Nange Sar Wa Pair Imam
Suyooti Se Milne Shehre Misr Se Baahar Nikle Aur Imam
Suyooti Ke Darwaze Par Dastak Di, Imam Suyooti Ne Daryaft
Kiya Ke Kaun? Imam Qastalani Ne Kaha Ke Main Ahmad
Hoon, Barhana Sar -o- Paa Aapke Darwaze Par Khada Hoon
Ke Aapke Dil Se Kudoorat Ko Door Kar Ke Aapko Raazi
Karoon
Ye Sun Kar Imam Suyooti Ne Andar Se Kaha Ke Maine Dil Se
Kudoorat Nikal Di, Lekin Na Darwaza Khola Aur Na Mulaqat
Ki!
رتممج،ص )
(ًاصخلم:اتسبنادحملث ،204 ط ریم دمحم بتک اخہن رکایچ
Is Waqiye Se Wo Log Sabaq Haasil Karein Jo Dusro Ki
Tehreer Ko Apni Taraf Mansoob Karte Hain
28
Agar Hum Kisi Ki Tehreer Ko Naqal Karte Hain To Chahiye
Ke Use Joo Ka Too Rehne Dein
Ye Amr Bhi Laazmi Hai Ke Jisse Istefada Kiya Gaya Hai Uska
Zikr Kiya Jaaye
Abde Mustafa
Jagah Jee Lagane Ki Dunya Nahin Hai
Ek Moazzin Jis Ne 40 Saal Tak Minare Par Chadh Kar Azaan
Di, Ek Din Azaan Dene Ke Liye Minare Par Chadha Aur Azaan
Dete Huye Jab “Haiyya Alal Falah” Par Pahuncha To Uski
Nazar Ek Nasrani Aurat Par Padi, Uski Aqal Aur Dil Jawab De
Gaye
Azaan Chhod Kar Us Aurat Ke Paas Ja Pahuncha Aur Use
Nikah Ka Paigham Diya, Wo Aurat Kehne Lagi Ke Mera
Mehar Tujh Par Bhari Hoga
Us Shakhs Ne Kaha Ke Tera Mehar Kya Hai?
Aurat Boli Ke Deen -e- Islam Ko Chhod Kar Mere Mazhab
Mein Dakhil Ho Ja!
Us Moazzin Ne Islam Ko Chhod Kar Us Aurat Ka Mazhab
Ikhteyar Kar Liya (Maaz Allah)
Phir Aurat Ne Kaha Ke Mera Baap Ghar Ke Nichle Kamre
Mein Hai, Tum Usse Ja Kar Nikah Ki Baat Karo
Jab Wo Seedhiyo Se Niche Utarne Laga To Uska Paaon Phisal
Gaya Jiski Wajah Se Kufr Ki Haalat Mein Hi Mar Gaya!!!
Apni Shahwat Bhi Poori Na Kar Saka Aur Deen -e- Islam Se
Bhi Haath Dho Baitha
29
)ارظن: ارلوض اافلقئ رتہمج ہب انم اکحںیتی اور ںیتحیصن، ص،42 ۃبتکم ادملہنی رکایچ(
Is Zindagi Ka Koi Bharosa Nahin Ke Kab Saath Chhod De
Kya Pata Aaj Raat Hum Soyein Aur Phir Aankh Hi Na Khule
Allah Ta’ala Humein Bure Khatime Se Bachaye (Aamin)
Abde Mustafa
Jannat Mein Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Shadi
Hazrat Saad Bin Junada Radiallaho Ta’ala Anho Se Riwayat
Hai Ke Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Irshad Farmaya Ke Allah Azzawajal
Jannat Mein Meri Shadi Hazrate Maryam Binte Imran (Yaani
Hazrat Eisa Alaihissalam Ki Walida) Aur Hazrat Aasiya Aur
Moosa Alaihissalam Ki Bahan Se Farmayega
)ارظن: امجعمل اریبکل ربطللاین، رتممج، ج،4 ص ،135 ح ،5353 ط رپورگوسی سکب الوہر(
Ek Aur Riwayat Mein Hai Ke Rasool -e- Kareem صلى الله عليه وسلم Ne Hazrate
Ayesha Radiallaho Ta’ala Anha Se Irshad Farmaya Ke Kya
Tumhein Maloom Hai Ke Allah Azzawajal Jannat Mein Mera
Nikah Hazrat Maryam Binte Imran Aur Hazrat Moosa
Alaihissalam Ki Bahan Kulsum Aur Firaun Ki (Nek Wa Paarsa)
Biwi Aasiya Se Karega
)ارظن: امجعمل اریبکل ربطللاین، رتممج، ج،5 ص،724 ح ،7931 ط رپورگوسی سکب الوہر(
Hazrat Allama Mufti Muhammad Imtiyaz Qadri Hafizahullah
Likhte Hain Ke Tafseer -e- Saawi Mein Hai Ke Paanch
Khawateen Afzal Hain Maryam, Khadija, Fatima, Ayesha Aur
Aaisya Radiallaho Ta’ala Anhum Ajmayeen, Bibi Aasiya Aur
30
Bibi Maryam Jannat Mein Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Azwaaj (Wives) Mein
Se Hongi
)ارظن: اطعنیئ اردو رشح ریسفت الجنیل، ج ،1 ص ،401 ط ادارۂ اضیفن راض رکایچ(
Hazrat Allama Mufti Muhammad Akmal Madni Hafizahullah
Fatawa Razviya Ke Hawale Se Likhte Hain Ke Hazrat Maryam,
Hazrat Kulsum Aur Hazrat Aasiya Ka Nikah Jannat Mein
Huzoor صلى الله عليه وسلم Se Hoga
)ًاصخلم: ایک آپ وک ولعمم ےہ؟، ہصح،1 ص 146 ہب وحاہل اتفوی روضہی دقمی، ج ،9 ص11(
Hazrat Allama Mufti Abdur Raheem Hafizahullah Tafseer -eIbne Kaseer, Tafseer -e- Durre Mansoor, Tafseer -e- Khazin,
Tafseer -e- Qurtubi Waghaira Ke Hawale Se Likhte Hain Ke
Jannat Mein Hazrat Maryam, Hazrat Aasiya Aur Hazrat
Kulsum (Kulsum/Hakeema/Kaleema) Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Zaujiyat Se
Musharraf Wa Sarfaraz Hongi
(ًاصخلم: اتفوی ربیلی رشفی، ص،222 ط زاوہی رشلبپز الوہر)
Mufti Muhammad Yunus Raza Owaisi Hafizahullah Ne Bhi Ye
Likha Hai Ke Jannat Mein Hazrat Maryam Ka Nikah Huzoor صلى الله عليه وسلم
Se Hoga
(اًاضی، ص321)
Abde Mustafa
Aap In Mein Se Kya Hain?
Hazrate Abu Huraira Radiallaho Ta’ala Anho Bayaan Karte
Hain Ke Maine Nabiye Kareem صلى الله عليه وسلم Ko Ye Farmate Huye Suna:-
نمافیھااَلذکراہللوماواَلہوعالماومتعلم
ٌ
اَلانالدنیاملعونۃملعو
31
Tarjuma : Dunya Mal’oon (Lanat Zada) Hai Aur Is Mein
Maujood Har Cheez Mal’oon Hai, Sirf Allah Ta’ala Ka Zikr,
Uska Zikr Karne Waala, Aalim Aur Talib -e- Ilm (Mal’oon
Nahin Hain)
-انب امہج، ج،2 ص ،780 ر ،4112 ط ریبش ربادرز الوہر، س2013ء
و رتذمی، ج،4 ص،281 ر ،2322 ط دوعت االسیم اپاتسکن
Allah Azzawajal Se Dua Hai Ke Wo Humein Dunya Ki
Muhabbat Se Bachaye Aur Apna Zikr Karne Aur Zyada Se
Zyada Ilme Deen Haasil Karne Ki Toufique Ata Farmaye
Abde Mustafa
Hazrate Fatima Ki Taraf Mansoob Ek Mauzu Riwayat
Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullah Se Sawal
Hua Ke Khatoon -e- Jannat, Hazrat Fatima Radiallaho Ta’ala
Anha Ki Nisbat Se Ye Bayaan Karna Ke Roze Mehshar Wo
Barhana Sar -o- Paa (Yaani Nange Sar Aur Pair) Zaahir Hongi,
Imam Hasan Wa Husain Ke Khoon Aalud Aur Zahar Aalud
Kapde Kandhe Par Liye Huye Aur Nabiye Kareem صلى الله عليه وسلم Ke
Dandan Mubarak Jo Jung -e- Uhud Mein Shaheed Huye The
Use Haath Mein Liye Huye Bargaah -e- Ilahi Mein Haazir
Hongi Aur Arsh Ka Paaya Pakad Kar Hilayengi Aur Khoon Ke
Muawze Mein Gunahgar Ummat Ko Bakhshwayengi, Ye
Sahih Hai Ya Nahin?
Imam -e- Ahle Sunnat Jawaban Likhte Hain Ke Ye Sab Mahaz
Jhoot, Iftira, Kizb, Gustakhi Aur Be Adabi Hai, Majma -e-
32
Awwaleen Wa Aakhireen Mein Unka Barhana Tashreef Laana
Jinko Barhana Sar Kabhi Aaftab Ne Nahin Dekha, Wo Ke Jab
Siraat Par Se Guzar Farmayengi To Zere Arsh Se Munaadi
Nida Karega Ke Aye Ahle Mehshar! Apne Sar Jhuka Lo Aur
Apni Aankhein Band Kar Lo Ke Fatima Binte Muhammad صلى الله عليه وسلم
Siraat Par Guzar Farmayengi Phir Wo Noor -e- Ilahi Burq Ki
Tarah Sattar Hazaar Hoorein Jalwe Mein Liye Huye Guzar
Farmayega
(ًاصخلم:ااکحِمرشتعی،ص160)
Abde Mustafa
Huzoor صلى الله عليه وسلم Ki Ungliya Mubarak
Huzoor -e- Akram, Syed -e- Aalam صلى الله عليه وسلم Ki Shahadat Ki Ungli
Mubarak Darmiyani Ungli Se Lambi Thi Aur Darmiyani Ungli
Apne Saath Waali Ungli Se Lambi Thi Aur Wo Apne Saath
Waali Ungli Se Lambi Thi Yaani Shahadat Ki Ungli Mubarak
Ke Baad Teeno Ungliya Ek Ke Baad Ek Lambayi Mein Chhoti
Thi
Allama Dumeri Rahimahullah Ne Is Par Guftagu Karte Huye
Ek Hadees Bhi Naqal Ki Hai Aur Us Hadees Ke Baare Mein
Imam Ibne Hajar Haytmi Shafayi Rahimahullah Likhte Hain Ke
Is Hadees Ko Shaykhul Islam, Ibne Hajar Rahimahullah Ne
“Asadul Ghaba” Mein Aur Allama Qurtubi Rahimahullah Ne
Surah -e- Baqrah Ki Tafseer Mein Zikr Kiya Hai
(اتفوی حہثی، ص،754 ط ہبتکم ایلع رضحت)
Abde Mustafa
33
Sahaba Ko Bura Mat Kahiye
Imam Bukhari Alaihi Rahma (Mutawaffa 256 Hijri) Farmate
Hain Ke Maine Ek Hazaar (1000) Se Zyaada Ahle Ilm Se
Mulaqat Ka Sharf Haasil Kiya Jin Mein Hijaaz -e- Muqaddas,
Makkah, Madina, Koofa, Basra, Waasit, Baghdad, Shaam,
Misr Aur Al Jazeera Ke Buzurg Bhi Hain, Aur Inse Sirf Ek Baar
Hi Nahin 46 Saal Se Zaayid Arsa Mein Kayi Martaba Mulaqat
Ka Sharf Haasil Hua Magar Maine In Mein Koi Ek Buzurg Bhi
Aise Nahin Dekhe Jo Sahaba -e- Kiraam Ki Burayi Karte Ho
قطا:ًرشحاوصلااقتعدالہاۃنسلواامجلۃع،ج
– ، ،164 رمق،320 ط بتکم دار اریصبلۃ رصم ملت 1
و نم وھ اعموہی، ص 16
Abde Mustafa
Maafi Ki Kya Baat Hai
Ek Buzurg Ko Kisi Ne Khaane Par Bulaya, Jab Wo Ghar
Pahunche To Maazrat Kar Li Ke Khane Ko Kuchh Nahin Hai!
Teen Baar Bula Kar Aisa Hi Kiya Lekin Un Buzurg Ne Uff Tak
Na Kiya
Teesri Martaba Wo Shakhs Qadmo Mein Gir Pada Aur Maafi
Maangte Huye Kehne Laga Ke Maine To Aapka Imtehan Liya
Tha
Ye Sun Kar Wo Buzurg Kehne Lage Ke Is Mein Maafi
Maangne Ki Kyq Baat Hai? Ye Mamla To Kutte Jaisa Hai,
Bulao To Chala Aata Hai Aur Dhutkaro To Chala Jaata Hai
34
Allahu Akbar! Daur -e- Haazir Mein Aisa Akhlaq Kahan
Dekhne Ko Milta Hai
Agar Humein Koi Dawat De Kar Aisa Kare To Ayinda Se Us
Ki Dawat Ko Qabool Karna To Kuja Hum Us Ki Shakal
Dekhna Bhi Gawara Nahin Karenge, Abhi To Haal Ye Hai Ke
Khane Mein Thodi Bahut Kami Reh Jaaye To Hum Shikayato
Ke Pahaad Khade Kar Dete Hain
Allah Ta’ala Humein Akhlaq -e- Hasana Ata Farmaye Aur
Takabbur Wa Riyakari Se Mehfooz Rakhe
Abde Mustafa
Popular Posts
-
Kya Bataun Ki Kya Madina Hai 62 views
-
Mere Aaqa Aaye Jhoomo 29 views