Main To Panjtan Ka Ghulaam Hoon

Main Ghulaam Ibn-e-ghulam Hoon

Mujhe Ishq Hai To Khuda Se Hai

Mujhe Ishq Hai To Rasool Se

Yeh Karam Hai Sara Batool Ka

Mere Mooh Se Aye Mehak Sadaaa

Jo Mein Naam Loon Tera Jhoom Ke

Main To Panjtan Ka Ghulaam Hoon (2)

Mujhe Ishq Sarvo .. Saman… Se Hai

Mujhe Ishq Saare Chaaman Se Hai

Mujhe Ishq Unke Watan Se Hai

Mujhe Ishq Unki Galiii Se Hai

Mujhe Ishq Hai To Ali Se Hai

Mujhe Ishq Hai To Hasan Se Hai

Mujhe Ishq Hai To Hussain Se

Mujhe Ishq Shahe Zaman Se Hai

Main To Panjtan Ka Ghulaam Hoon (2)

Hua Kaise Tan Wo Sar… Judaaa

Jahan Ishq Ho Wahi Karbalaa

Meri Baat Unhii Ki Baat Hai

Meri Saamne Wo Hi Zaat Hai

Wohi Jinko Sher-e-khuda Kahen

Jinhe Baab E Sall-e-ala Kahen

Wohe Jinko Aal-e-nabi Kahen

Wohe Jinko Zaat-e-ali Kahen

Wohe Pukhta Hain, Main To Khaam Hoon

Main To Panjtan Ka Ghulaam Hoon (2)

Main Qamar Hon Share Be Nawa

Meri Haiseyat Bhi Bhala Kia

Woh Hain Badshahon Ky Badshah

Main Hon Un Ke Dar Ka, Bas Ik Gadaa

Mera Panjatan Sy Hai Wasta

Mera Nisbaton Ka Hai Silsila

Main Faqeer Khair-ul-anam Hoon

Main To Panjtan Ka Ghulaam Hoon (2)

Mera Sher Kiya Mera Zikr Kiya

Meri Baat Kiya Meri Fikr Kiya

Meri Baat Unke Sabab Se Hai

Mera Sher Unke Adab Se Hai

Mera Zikr Unke Thufel Se

Meri Fikr Unke Thufel Se

Kahan Muj Men Itni Sakhat Bhala

Keho Mankhabat Ka Bhi Hak Ada

Main To Panjtan Ka Ghulaam Hoon (2)

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *