Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukde Muhammad Ke

Azal Se Kha Raha Hai Ye Gada Tukhe Muhammad Ke

Padi Hai Kya Mujhe Shahon Ke Dar Se Jaake Mai Maangun

Khilata Hai Mujhe Mera Khuda Tukde Muhammad Ke

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukde Muhammad Ke

Inhe Khaakar Abu Bakr O Umar Usman Bante Hain

Ye Rutbe Mein Hain Kuch Aise Juda Tukde Muhammad Ke

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukde Muhammad Ke

Hain Shehre Ilm Khud Aaqa Ali Hain Uska Darwaza

Tu Darwaza Se Aa Aur Khaeja Tukde Muhammad Ke

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukde Muhammad Ke

Mere Maula Ali O Fatima Hasnain Ke Sadqe

Meri Naslon Ko Bhi Karna Ata Tukde Muhammad Ke

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukde Muhammad Ke

Koi Salmaane Faras Aur Janaabe Qur Se Pooche Ke

Wafadaaron Ko Milte Hai Sada Tukde Muhammad Ke

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukde Muhammad Ke

Mere Raste Ki Har Muskil Guzzar Jati Hai Qutraa Kar

Ke Deta Hain Mujhe Mushkil Kushaa Tukre Muhammad Ke

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukde Muhammad Ke

Tera Daman Kabhi Altaf Khali Reh Nahi Sakta

Ke Dete Hain Tujhe Aal-e-aba Tukre Muhammad Ke

Meri Jholi Mein Rehte Hain Sada Tukde Muhammad Ke

Koi Salmaane Faras Aur Janaabe Qur Se Pooche Ke
Koi Salmaane Faras Aur Janaabe Qur Se Pooche Ke

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *