Mustafa Ke Rozo Shab Ka Lahza Lahza Hai Be Mishal

Ye Pyari Naat Sharif Huzoor Nabi E Kareem Ki Shan E Mubarak Aur Un Ki Be-Mishal Seerat Par Mabni Hai. Is Kalame Pak Mein Mustafa Ke Rozo Shab, Un Ki Azmat Aur Ahle Bait Ki Shaan Ka Pyara Zikr Hai. Is Khubsurat Naat Ko Padhiye Aur Bazaat E Khud Apne Dil Ko Anware Mustafa Se Munawwar Kijiye.

Naat InformationDetails
Naat TitleMustafa Ke Rozo Shab Ka Lahza Lahza Hai Be Mishal
Poet / WriterRiaz
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Mustafa Ke Rozo Shab Ka Lahza Lahza Hai Be Mishal Lyrics In Roman

Mustafa Ke Rozo Shab Ka Lahza Lahza Be Mishal
Un Ki Roshan Zeest Ka Hai Goosha Goosha Be Mishal

Un Ki Thokar Se Rawan Aab E Muqaddas Lajawab
Chashma E Panjaap Ka Hai Qatra Qatra Be Mishal

Saahib E Mairaj Ko Jab Deed E Rab Hasil Hui
Tha Shab E Mairaj Ka Wo Lamha Lamha Be Mishal

Hain Jahan Aaram Farma Shafe E Roz E Jaza
Is Dayar E Paak Ka Hai Zarra Zarra Be Mishal

Jin Ki Jaanib Uth Gayi Chashm E Atai Mustafa
Ho Gaye Dareen Mein Wo Cheeda Cheeda Be Mishal

Mashghala Jin Ka Raha Hai Medhat E Khairul Anam
Is Ki Barkat Se Hue Wo Rafta Rafta Be Mishal

Sarwar E Konain Ke Qadmon Ki Hain Ye Barkatein
Hai Madina Tayyiba Ka Koocha Koocha Be Mishal

Pad Rahi Hain Sab Pe Kirnein Ayat E Tatheer Ki
Ahle Bait E Mustafa Ka Bachha Bachha Be Mishal

Rab Ne Jo Sadr E Alam Nashrah Pe Ki Nazil Riaz
Is Kitaab E Noor Ka Hai Safha Safha Be Mishal

Mustafa Ke Rozo Shab Ka Lahza Lahza Hai Be Mishal Lyrics In Hindi

मुस्तफ़ा के रोज़ ओ शब का लहज़ा लहज़ा बे मिसाल
उनकी रोशन ज़ीस्त का है गोशा गोशा बे मिसाल

उनकी ठोकर से रवाँ आब-ए-मुक़द्दस लाजवाब
चश्मा-ए-पंजाप का है क़तरा क़तरा बे मिसाल

साहिब-ए-मेराज को जब दीद-ए-रब हासिल हुई
था शब-ए-मेराज का वो लम्हा लम्हा बे मिसाल

हैं जहाँ आराम फ़रमा शाफ़ि-ए-रोज़-ए-जज़ा
उस दयार-ए-पाक का है ज़र्रा ज़र्रा बे मिसाल

जिन की जानिब उठ गई चश्म-ए-अता-ए-मुस्तफ़ा
हो गए दारैन में वो चीदा चीदा बेमिसाल

मशग़ला जिन का रहा है मिधत-ए-ख़ैरुल अनाम
इस की बरकत से हुए वो रफ़्ता रफ़्ता बे मिसाल

सरवर-ए-कौनैन के क़दमों की हैं ये बरकतें
है मदीना तैयिबा का कूचा कूचा बे मिसाल

पड़ रही हैं सब पे किरणें आयत-ए-ततहीर की
अहल-ए-बैल-ए-मुस्तफ़ा का बच्चा बच्चा बे मिसाल

रब ने जो सदर-ए-अलम नशरह पे की नाज़िल रियाज़
इस किताब-ए-नूर का है सफ़हा सफ़हा बे मिसाल

Mustafa Ke Rozo Shab Ka Lahza Lahza Hai Be Mishal Lyrics In Urdu

مصطفیٰ کے روز و شب کا لحظہ لحظہ بے مثال
ان کی روشن زیست کا ہے گوشہ گوشہ بے مثال

ان کی ٹھوکر سے رواں آبِ مقدس لاجواب
چشمۂ پنجاپ کا ہے قطرہ قطرہ بے مثال

صاحبِ معراج کو جب دیدِ رب حاصل ہوئی
تھا شبِ معراج کا وہ لمحہ لمحہ بے مثال

ہیں جہاں آرام فرما شافعِ روزِ جزا
اس دیارِ پاک کا ہے ذرہ ذرہ بے مثال

جن کی جانب اٹھ گئی چشمِ عطائے مصطفیٰ
ہو گئے دارین میں وہ چیدہ چیدہ بےمثال

مشغلہ جن کا رہا ہے مدحتِ خیرالانام
اس کی برکت سے ہوئے وہ رفتہ رفتہ بے مثال

سرورِ کونین کے قدموں کی ہیں یہ برکتیں
ہے مدینہ طیبہ کا کوچہ کوچہ بے مثال

پڑ رہی ہیں سب پہ کرنیں آیتِ تطہیر کی
اہلِ بیتِ مصطفیٰ کا بچہ بچہ بے مثال

رب نے جو صدرِ الم نشرح پہ کی نازل ریاض
اس کتابِ نور کا ہے صفحہ صفحہ بے مثال

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top