Na Arsh Aiman Na Inni Zaahibun Me Lyrics
By Payal Patel / Leave a Comment / Ala Hazrat, Naat
Na Arsh Aiman Na Inni Zaahibun Me naat lyrics
Na Arsh Aiman Na Inni Zaahibun Me naat lyrics
Na Arsh Aiman Na Inni Zaahibun Me naat lyrics
न अ़र्शे ऐमन न इन्नी ज़ाहिबुन में मेहमानी है
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Hafiz Bilal Qadri,
Hadaaiqe Bakhshish Part 1
न अ़र्शे ऐमन न इन्नी ज़ाहिबुन में मेहमानी है
न लुत्फ़े उदनू या अह़मद नसीबे लंतरानी है
Na Arsh Aiman Na Inni Zaahibun Me Mehmaani Hai
Na Lutfe Udnoo Ya Ahmad Naseebe Luntaraani Hai
नसीबे दोस्तां गर उनके दर पे मौत आनी है
खुदा यूं ही करे फिर तो हमेशा ज़िन्दिगानी है
Naaseeb-E-Dosta(N) Gar Unke Dar Pe Mout Aani Hai
Khuda Yun He Kare Fir To Hamesha Zindigaani Hai
उसी दर पर तड़पते हैं मचलते हैं बिलकते हैं
उठा जाता नहीं क्या ख़ूब अपनी न तुबानी है
Usi Dar Par Tadapte Hein Machalte Hein Bilakatey Hein
Utha jata Nahi Kya Khoob Apni Na Tubaani Hai
हर इक दीवार पर मेह़र ने की है जबीं साई
निगारे मस्जिदे अ़क़्दस में कब सोने का पानी है
Har Ik Deewar Par Mehr Ne Ki Hai Jabi(N) Saai
Nagaare Masjid-E-Aqdas Me Kab Sone Ka Paani Hai
तेरे मंगता की ख़ामोशी शफ़ाअ़त ख़्वाह है उसकी
ज़बाने बे ज़बानी तरजुमाने ख़स्ता जानी है
Tere Mangta Ki Khamoshi Shafa’at Khwah Hai Uski
Zabaane Be Zabaani Tarjumaane Khasta Jaani Hai
खुले क्या राज़े मह़बूबो मस्ताने ग़फ़्लत पर
शराबे क़राअल हक़ ज़ैबे जामें मनरआनी है
Khule Kya Raaze Mahboob-O-Mastaan-E-Ghaflat Par
Sharabe Qaraa’al Haq Zaibe Jaame(n) Manr’aani Hai
जहां की ख़ाक रुबी ने चमन आरा किया तुझको
सबा हमने भी उन गलियों की कुछ दिन ख़ाक छानी है
Jaha Ki Khaak Rubi Ne Chaman Aara Kiya Tujhko
Saba Hamne Bhi Un Galiyon Ki Kuchh Din Khaak Chhaani
शहा क्या ज़ात तेरी ह़क़ नुमा है फ़र्दे इम्कां में
कि तुझसे कोई अव्वल है न तेरा कोई सानी है
Shaha Kya Zaat Teri Haq Numa Hai Farde Imka(N) Me
Ki Tujhko Koi Awwal Hai Na Tera Koi Saani Hai
कहां उस कूश्के जाने जिनां में ज़र की नक़्क़ाशी
इरम के ताइरे रंगे परीदा की निशानी है
Kaha(N) Us Kooshke Jaane Jinaa(N) Me Zar Ki Naqqashi
Iram Ke Taa’ire Range Pareeda Ki Nishani Hai
ज़ियाबुन फ़ी सियाबिन लब पे कल्मा दिल में गुस्ताख़ी
सलाम इस्लामे मुलह़िद को कि तस्लीमे ज़बानी है
Ziyabun Fee Siyaabin Lab Pe Kalma Dil Me Gustaakhi
Salaam Islaame Mulhid Ko Ki Tasleem-E-Zabani Hai
यह अक्सर साथ उन के शानओ मिस्वाक का रहना
बताता है कि दिलरेशों पे ज़ाइद मेरहबानी है
Yeh Aksar Saath Ke Shaan-O-Miswaak Ka Rahna
Bata’ta Hai Ki Dilreshon Pe Zaa’id Mehbaani Hai
इसी सरकार से दुनिया व दीं मिलते हैं साइल को
यही दरबारे आ़ली कन्ज़े आमालो अमानी है
Isi Sarkar Se Duniya Wa Dee Milte Hein Saa’il Ko
Yahi Darbaare Aali Kanze Aamaalo Amaani Hai
दुरूदें सूरते हाला मुह़ीते माहे त़यबा हैं
बरसता उम्मते आ़सी पे अब रह़मत का पानी है
Duroode Surate Haala Muheet-E-Maahe Taiba Hein
Barsta Ummate Aasi Pe ab Rahmat Ka Paani Hai
तआ़लल्लाह इस्तिग़्ना तेरे दर के गदाओं का
कि इन को आ़र फ़र्रो शौकते साह़िब क़िरानी है
Ta’aalallah Istighna Tere Dar ke Gadao(N) Ka
Ki In Ko Aar Farro Shoukat-E-Saahib Qiraani Hai
वोह सर गर्में शफ़ाअ़त हैं अ़रक़ अफ़्शा है पेशानी
करम का इ़त्र सन्दल की ज़मीं रह़मत की घानी है
Woh Sar Garme Shafa’at Hein Araq Afsha Hai Peshaani
Karam Ka Itr Sundal Ki Zami Rahmat Ki Ghaani Hai
यह सर हो और वोह ख़ाके दर, वोह ख़ाके दर हो और यह सर
रज़ा वोह भी अगर चाहें तो अब दिल में यह ठानी है
Yeh Sar Ho Aur Woh Khaake Dar, Woh Khaake Dar Ho Aur Yeh Sar
RAZA Woh Bhi Agar Chaahen To Ab Dil Me Yeh Thaani Hai
Hindi And English Naat Lyrics
Hindi And English Naat Lyrics
ⓈⓉ:-
✮✮~ SEERAT E PAAK SEHZADI-E-RASOOL ﷺ SAIYEDA FATIMA ZAHRA رضي الله تعالى عنها
✮✮~
SAYEDA FATIMA رضي الله تعالى عنها KI SHADI MUBARAK
Huzur ﷺ Ne Ek Faseeh-O-Baligh Khutba Padha Jisme Khuda Ki Hamd-O-Sana Ke Bad Targibe Nikah Ka Mazmoon Tha *Fir Farmaya Muje Hukme Ilahi Hai Ke Me Fatima Ko Ali Ke Aqd Me De du, Lihaza Inka Mehar 400 Misqal(Ya’ni Dedh Tola) Chandi Mukarrar Karta hu, Aye Ali ! Tum Manzoor Karte ho??? Hazrat Ali-E-Murtuza Ne Arz Kiya Me Ba’Khubi Manzoor Karta hu Huzur ﷺ Ne 3 Bar Iski Takrar Farma Kar Aakhir Me Is Trah Duwa ki…
JAMA KARE ALLAH TAA’LA TUMHARI PARAGANDAGI KO AUR BHALAIYA TUMHARE QAREEB RAHE AUR BARKAT DE, ALLAH TAA’LA TUMHARE ANDAR AUR TUMSE NEK AUR PAAK AULADE ATA FARMAYE….
Gunahgar Ummat Ki Bakshish Mera Mehar Mukarrar Ho…
Hazrat Sayeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ka Jab Wisale Paak Qareeb Aaya To Ameer-Ul-Momineen Sayedna Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ne Farmaya Ke Aye Sehzadi-E-Rasool Jab Aap ALLAH Ke Pyare Habib ﷺ Ki Bargah Me Pahuche To Mera Salam Arz Kare Aur Ye Kahe ki Ali-E-Murtuza Aapke Bahut Mushtaq Hai…
Hazrat Sayeda Fatima رضي الله تعالى عنها Ne Kaha Ke Aye Ali-E-Murtuza Meri Bhi Aapko Wasiyyat Hai Wo Ye Hai ke Jab Mera Inteqal Ho Jaye To Mujpar Cheekh Chilla Kar Matam Naa Karna, Aur Mere Dono Sehzado Hasan Aur Hussain Ko Marna Nahi, Aur Aye Sher-E-Khuda ! Wo Dekhiye Huzur ﷺ Farishto Ki Kaseer Jama’at Ke Sath Tashrif Le Aate hai, Ab Me Jaa Rahi Hu
Aur Fula Jagah Mene Kagaz Ka Ek Tukda Badi Hifazat Se Rakha hai, Mere Inteqal Ke Bad Use Nikalkar Mere Kafan Me Rakh Dena Aur Use Padhna Nahi…
Tajkirah shahjadi e rasool Khatoone jannat