peshe aaka naate unki hum sunate Naat Lyrics
Mustafa(saw) Mustafa(saw) Mustafa(saw) ya Mustafa (saw)

Mustafa(saw) Mustafa(saw) Mustafa(saw) ya Mustafa (saw)

Peshe aaka naate unki hum sunate jaenge

Sun ke pyaare mustafa(saw) khud muskurate jaenge

Mustafa(saw) Mustafa(saw)……………………………………………

 

Hai yaki medane mahasara me bhi wallah dekhna

Hum gunahgaar ko aaka hi bachate jaenge

Mustafa(saw) Mustafa(saw)……………………………………………

 

Ya aata karte hain bin mange waha bhi dekhna

Rab se bakhshis ka khazina wo dilate jaenge

Mustafa(saw) Mustafa(saw)……………………………………………

 

Rifa-at sarkar dekhoge waha tum najdiyo

Ik ishara karke lakho bakhshwate jaenge

Mustafa(saw) Mustafa(saw)……………………………………………

 

Jante ho mehfile kab zumti hain ishq me

Jab kalaam aehmad raza ham gungunate jaenge

Mustafa(saw) Mustafa(saw)……………………………………………

 

Khud bakhud islaam ka danka bajega dahar me

Jab talak hum sunnto ke gul khilate jaenge

Mustafa(saw) Mustafa(saw)……………………………………………

 

Kar muhbbat e ‘rafi’ aale rasoole paak se

Hashr mei ye apne nana se milate jaenge

Mustfa Mustfa……………………………………………

 

 

Astaghfar Ka Taruf, Ahmiyat, Fazilat Aur Dua

 

Astaghfar kise kehte hai ?

Insan ki fitrat hai ke us se khata, galati ya gunah ho jate hai, aur jab wo apne kiye par sharminda ho kar sacche dil se apne Rab se muafi talab karta hai tou usey ‘Astaghfar‘ kehte hai.
Astaghfar ki Ahmiyat:
✦ Hadith: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Main Allah ki bargah me Astaghfar (Muafi Manga) karta hoon aur uski taraf ruju karta hoon din me 70 baar se bhi jyada.” [Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith no. 319]
Hum sab jante hai ke Ambiya (Alaihi Salato Salam) Gunaho se paak hote hai, aur Allah ke Nabi (Salallahu Alaihi Wasallam) tou bakhshe bakhshaye hai, lekin fir Aap (ﷺ) apni Ummat ko tarbiyat dene ke liye khud Astagfar ki qasrat kiya karte they. lihaja hum par tou lazim hai ke hume jyada se jyada Astaghfar karna hai.
________________________________________
Astaghfar ki Fazilat:
✦ Hadith: Anas (RaziAllahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya:
“Jo Astghfar karne ko apne upar lazim karega tou Allah Subhanahu usko har tangi se nikalne ka ek raasta ata farmayega aur har gham se nijat dega aur aisi jagah se rozi ata farmayega jahan se usko guman bhi nahi hoga.”
– Sunan Abu Dawood, 1505
________________________________________
Astaghfar ki Dua:
1). DUA: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya : Allah se Astaghfar (Apne Gunaaho Ki Muafi) ki sabse behtar Dua hai, “Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana ‘Ala Ahdika Wa Wa’dika Mastata’tu, A’udhu Bika Min Sharri Ma Sana’tu, Abu’u Laka Bini’matika ‘Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.”
Aage Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Agar koi Shakhs ye Dua yakeen ke sath din me parhe aur Shaam se pehle Intiqaal(Mout) kar jaye tou Jannat me jayega aur agar yakeen ke sath raat ko parhe aur Subah hone se pehle inteqal kar jaye tou Jannat me jayega.”[Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith no. 318]
________________________________________
2). DUA: Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya, Jisne ye kaha tou uske Gunah Muaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se hi Kyu na bhag gaya ho. ”Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih”(Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu). [Sunan Abu Dawud, 1517-Sahih]
________________________________________
3). DUA: “Astaghfirullahu Rabbi Min Kulli Zanbbiuw Watoobu Ilaih” (Ya Allah ! Magfirat chahta hu har kism ke Gunaah se aur Main teri baargah me Taubah karta hu).
Mafhoom-e-Hadees: Zaid(R.A) se Riwayat hai ke Rasool’Allah (ﷺ) ne farmaya, Jisne ye kaha to uske gunah muaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se hi Kyu na bhag gaya ho
” Astagfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih”
(Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu )
– (Sunan Abu Dawud, 1517-Sahih)
Allah Se Magfirat Maangney Ka Sabse Accha Tariqa (Sayyidul Istighfar)
Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana ‘Ala Ahdika Wa Wa’dika Mastata’tu, A’udhu Bika Min Sharri Ma Sana’tu, Abu’u Laka Bini’matika ‘Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.”
Mafhoom-e-Hadees: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
Sayyidul Istighfar (Allah Se Magfirat Maangney Ka Sabse Accha Tariqa) Ye Hai :
“Aye Allah ! Tu Mera Rab Hai, Tere Siwa Koi Maabud Nahi, Tuney Hi Mujhe Paida Kiya Hai Aur Main Tera Hi Banda Hu, Main Apne Taqat Ke Mutabiq Tujhse Kiye Huye Ahad Aur Wadey Par Qayam Hun, Unn Boori Harkaton Ke Azab Se Jo Mainey Ki Hain Teri Panaah Mangta Hun, Mujh Par Naimatein Teri Hain Iska Iqrar Karta Hun, Meri Magfirat Kar De! Ki Tere Siwa aur Koi Bhi Gunaah Muaf Nahi Karta.”
*Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya Ki –
‘Jisney Iss Dua Ke Alfaaz Par Yaqeen Rakhtey Huye Dil Se Inko Kah Liya
*Aur Usi Din Shaam Hone Se Pahle Uska Inteqal Ho Gaya Tou Wo Jannati Hai,
*Aur Jisney Iss Dua Ke Alfaaz Par Yakeen Rakhtey Huye Raat Me Inko Par Liya
*Aur Phir Uska Subah Honey Se Pahley Inteqal Ho Gaya Tou Wo Jannati Hai’.
– (Sahih Bukhari, Duaon Ka Bayan Hadith no. 6306.
Ameen! Allahumma Ameen

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *