Soye Hain Woh Bazahir Dil Unka Jaagta Hai Naat Lyrics
Soye hain woh Bazahir Dil unka jaagta hai naat lyrics
Soye hain woh Bazahir Dil unka jaagta hai naat lyrics
Shayar:Ajmal Sultanpuri | Naat e Paak
सोए हैं वह बज़ाहिर दिल उनका जागता है
तलवे से उनके क़ुदसी पेशानी मल रहा है
Soye Hain Wah Bazahir Dil Unka Jaagta Hai
Talwe Se Unke Kudsi Peshani Mal Raha Hai
आंखें खुलीं तो पूछा जिबरील कहिये क्या है
जिबरील बोले आक़ा ख़ालिक़ बुला रहा है
Aankhe Khuli To Poochha Jibreel Kahiye Kya Hai
Jibreel Bole Aaqa Khaliq Bula Raha Hai
सरकार हूक्म हो तो हाज़िर करूं सवारी
सज कर बुराक़े अनवर दरवाज़े पर खड़ा है
Sarkar Hukm Ho To Haazir Karu(N) Sawaari
Saj Kar Buraqe Anwar Darwaze Per Khada Hai
नालैने पाक पहने निकले हरम से बाहर
देखो तो क़ुदसियों का मेला लगा हुआ है
Nalainay Paak Pahne Nikle Haram Se Bahar
Dekho To Kudsiyon Ka Mela Laga Hua Hai
तअ़ज़ीम से फ़रिश्ते बोले सलाम अलै-का
सल्ले अल़ा का नग़मा हर सम्त गूंजता है
Taa-Zeem Se Farishte Bole Salam Alay-Ka
Sal-Lay Ala Ka Nagma Har Samt Goonjta Hai
उम्मत को याद करके आक़ा हुए रवाना
और पहुंचे बैते मक़दिस जो खा़नए ख़ुदा है
Ummat Ko Yaad Karke Aaqa Hue Ravana
Aur Pahunche Bai-Tay Maqdis Jo Khana E Khuda Hai
देखा कुल अम्बिया हैं मौजूद बा-जमाअ़त
बाद अज़ सलाम बोले अब इंतजार क्या है
Dekha Kul Ambiya Hain Moujood Ba Jama-At
Baad Az Salam Bole Ab Intijaar Kya Hai
सरकार ने इमामत फ़रमाई अम्बिया की
हर मुक़तदी से अफ़ज़ल रुतबा इमाम का है
Sarkar Ne Imamat Farmai Ambiya Ki
Har Muqtadi Se Afzal Rutba Imaam Ka Hai
फिर हो गए मुहम्मद सूए फ़लक रवाना
अब हो किसी भी शय जुम्बिश मजाल क्या है
Fir Ho-Gay Muhammad Su-A Falak Rawana
Ab Ho Kisi Bhi Shae Jumbish Majal Kya Hai
जन्नत सजी हुई है अफ़लाक है मुज़य्यन
रास्ते में क़ुदसियों का पहरा लगा हुआ है
Jannat Saji Hue Hai Aflaak Hai Muzai-Yan
Raaste Me Qudsiyo(N) Ka Pahra Laga Hua Hai
जिबरील ने भी आख़िर सिदरा से साथ छोड़ा
बोले कि या मुहम्मद यह मेरी मुन्तहा है
Jibreel Ne Bhi Aakhir Sidra Se Saath Chhoda
Bole Ki Ya Muhammad Ye Meri Muntaha Hai
रफ़ रफ़ में बैठ कर के आगे बढे़ मुहम्मद
अर्शे बरीं को देखा क़दमों को चूमता है
Raf Raf Mai Baith Kar Ke Aage Baday Muhammad
Arshe Bari(N) Ko Dekha Qadmo Ko Chomta Hai
वा-रफ़्ता बर समाअ़त आव़ाज़े उद्नु मिन्नी
मेहमान मुस्तफ़ा हैं और मेज़बाँ ख़ुदा है
Wa-Rafta Bar Sma-At Awaze Udnu Minni
Mehmaan Mustafa Hain Aur Mezba(N) Khuda Hai
ये वस्ल दो कमां का या इससे भी कहीं कम
क़ुर्बे खुदा की मन्ज़िल मेराजे मुस्तफ़ा है
Ye Wasl Do Kama(N) Ka Ya Isse Bhi Kahi(N) Kam
Qurbe Khuda Ki Manzil Merajay Mustafa Hai
मेरअ़्राज में नबी को अल्लाह ने बुलाकर
सब कुछ दिखा दिया है सब कुछ बता दिया है
Meraaj Me Nabi Ko Allah Ne Bula Kar
Sab Kuchh Dikha Diya Hai Sab Kuchh Bata Diya Hai