Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai

Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai

 

 

Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai.

 

Shahinshahon Ke Muqaddar Me Kahan Zebayi
Jis Qadar Unki Ghulami Ka Kada Sajta Hai.

 

Ye Ghulami Kahin Kamtar Nahin Hone Deti
Unka Naukar Ho To Shahon Me Khada Sajta Hai.

 

Sarwar-E-Deen Ke Musalle Pe Khuda Janta Hai
Murtaza Peechhe Hon Siddiq Khada Sajta Hai.

 

Aise Aaqa Hoñ To Lazim Hai Ghulami Pe Ghuroor
Aisi Nisbat Ho To Phir Bol Bada Sajta Hai.

 

Kaan Me Hurr Ke Muqaddar Ne Ye Sargoshi Ki
Tu Nageena Hai Angoonthi Me Jada Sajta Hai.

 

Mola Shabbar Se Khuda Jane Sakhi Mehdi Tak
Gulshan-E-Zahra Ka Har Phool Bada Sajta Hai.

 

Dekh Kar Bole Ye Siddiq-O-Umar Taiba Meiñ
Dosh-e-Sarkar Pe Shabbir Pada Sajta Hai.

 

Mujhse Kehte Hain Yehi Ahle Mohabbat Sarwar
Naat Ka Naghma Tere Lab Pe Bada Sajta Hai.

Leave a Reply