Tere Daamane Karam Mein Jise Neend Aa Gayi Hai
Jo Fanaa Na Hogi Aisi Use Zindagi Mili Hai
Mujhe Kya Padi Kisi Se Karu Arz Muddaaa Mai
Meri Lau To Bas Unhi Ke Dare Jood Se Lagi Hai
Woh Jahaan Bhar Ke Daata Mujhe Pher Denge Khaali
Meri Tauba Aye Khuda Ye Mere Nafs Ki Badi Hai
Main Gunaahgaar Hu Aur Bade Martabo Ki Khwaahish
Tu Magar Kareem Hai Jo Teri Banda Parwari Hai
Jo Paye Sawaal Aaye Mujhe Dekh Kar Ye Bole
Ise Chain Se Sulaao Ke Yeh Bandaye Nabi Hai
Main Maru To Mere Maula Ye Malaaika Se Keh De
Koi Is Ko Mat Jagaana Abhi Aankh Lag Gayi Hai
Teri Yaad Thapki Dekar Mujhe Ab Shahaa Sulaa De
Mujhe Jaagte Hue Yoon Badi Der Ho Gayi Hai
Aye Naseeme Kooye Jaana Zaraa Sooye Bad Naseebaan
Chali Aa Khuli Hai Tujh Pe Jo Humaari Bekasi Hai
Tera Dil Shikastah Akhtar Isi Intizaar Mein Hai
Ke Abhi Naweede Waslat Tere Dar Se Aa Rahi Hai
तेरे दामने करम में जिसकी नींद आ गई है
जो फना ना होगी ऐसी उसे जिंदगी मिली है।
मुझे क्या पड़ी किसी से करु अरज़ मुड्ढा माई
मेरी लौ तो बस उन्हीं के दर्द से लगी है।
वो जहां भर के दाता मुझे फेर देंगे खाली
मेरी तौबा ऐ खुदा ये मेरे नफ़्स की बड़ी है।
माई मारू तो मेरे मौला ये मलिका से कह दे
कोई इस को मत जगाना अभी आंख लगी है।
मैं गुनहगार हूं और बड़े शहीदों की चाहत
तू मगर करीम है जो तेरी बंदा परवारी है।
तेरी याद थपकी देकर मुझे अब साहस दे
मुझे जागते हुए यूं बड़ी देर हो गई है।
तेरा दिल चाहता अख्तर इसी इंतजार में है
कि अभी भी उम्मीद तेरे दर से आ रही है।