Tere Daaman e Karam Me Jise Neend Aa Gaai Hai Naat Lyrics

Tere Daaman e Karam Me Jise Neend Aa Gaai Hai Naat Lyrics

 

Shayar: Akhtar Raza Khan | Naat e Paak

Naat Khwan: Asad Iqbal, Qari Rizwan, Asad Attari, Nisar Ahmad Marfani, Asad Attari, Qari Riyajuddin Ashrafi, Muhammad Anas Qadri,

 

तेरे दामने करम में जिसे नींद आ गई है

जो फ़ना न होगी ऐसी उसे ज़िन्दगी मिली है

Tere Daaman e Karam Me Jise Neend Aa Gari Hai

Jo Fana Na Hogi Aisi Use Zindagi Mili Hai

 

मुझे क्या पड़ी किसी से करुं अ़र्ज़े मुद्दआ़ मैं

मेरी लौ तो बस उन्हीं के दरे जूद से लगी है

Mujhe Kya Padi Kisi Se Karun Arze Mudda’a Mein

Meri Lou To Bas Unhi Ke Darey Jood Se Lagi Hai

 

वह जहान भर के दाता मुझे फ़ेर देंगे ख़ाली

मेरी त़ौबा ऐ खुदा यह मेरे नफ़्स की बदी है

Wah Jahan Bhar Ke Data Mujhe Fer Denge Khaali

Meri Touba Ey Khuda Yeh Mere Nafs Ki Badi Hai

 

 

मैं मरुं तो मेरे मौला यह मलाइका से कह दे

कोई इसको मत जगाना अभी आंख लग गई है

Mein Marun Mere Moula Yeh Malaika Se Kah Do

Koi Isko Mat Jagana Abhi Aankh Lag Gaai Hai

 

मैं गुनाहगार हूं और बड़े मर्तबों की ख़्वाहिश

तू मगर करीम है जो तेरी बन्दा परवरी है

Mein Gunah Gaar Hoon Aur Badey Marbo(N) Ki Khwahish

Tu Magar Kareem Hai Jo Teri Banda Parwari Hai

 

तेरी याद थपकी देकर मुझे अब शहा सुला दे

मुझे जागते हुए यूं बड़ी देर हो गई है

Teri Yaad Thapki Dekar Mujhe Ab Shaha Sula De

Mujhe Jaagte Hue Yoon Badi Der Ho Gai Hai

 

तेरा दिल शिक़्स्ता अख़्तर इसी इन्तिज़ार में है

के अभी नवेदे वसलत तेरे दर से आ रही है

Teri Dil Shiqista Akhtar Isi Intizaar Me Hai

Ke Abhi Nawede Wasl Tere Dar Se Aa Rahi Hai

Leave a Reply