ज़मीन-ए-कर्बला तुझ पर अली का लाल आया है / Zameen-e-Karbala Tujh Par Ali Ka Laal Aaya Hai
ज़मीन-ए-कर्बला तुझ पर ‘अली का लाल आया है
दिखाने हैदरी तेवर ‘अली का लाल आया है
अगर तुम बे-नमाज़ी हो, हुसैनी हो नहीं सकते
यही सज्दे में बतला कर ‘अली का लाल आया है
चले जब ज़ुलफ़िक़ार-ए-हैदरी मैदान में ले कर
यज़ीदी भाग उठे कह कर ‘अली का लाल आया है
नबी के दीन की ख़ातिर मदीने से सफ़र कर के
लुटाने घर कटाने सर ‘अली का लाल आया है
क़दम उन के पड़े तो यूँ लगा हैदर उतर आए
ज़मीं भी काँप उठी थर थर, ‘अली का लाल आया है
ना’त-ख़्वाँ:
नूर अली नूर कानपुरी
zameen-e-karbala tujh par ‘ali ka laal aaya hai
dikhaane haidari tewar ‘ali ka laal aaya hai
agar tum be-namaazi ho, husaini ho nahi.n sakte
yahi sajde me.n batla kar ‘ali ka laal aaya hai
chale jab zulfiqaar-e-haidari maidaan me.n le kar
yazeedi bhaag uThe keh kar ‘ali ka laal aaya hai
nabi ke deen ki KHaatir madine se safar kar ke
luTaane ghar kaTaane sar ‘ali ka laal aaya hai
qadam un ke pa.De to yu.n laga haidar utar aae
zamee.n bhi kaanp uThi thar thar, ‘ali ka laal aaya hai
Naat-Khwaan:
Noor Ali Noor Kanpuri