aankh uthi muhabbat ne angrayi li Lyrics

aankh uthi muhabbat ne angrayi li Lyrics

 

 

aankh uthi muhabbat ne angrayi li
tanhayi mein fariyaad to kar sakta hoon
veerane ko aabaad to kar sakta hoon
jab chaahun tumhein mil nahi sakta lekin
jab chaahun tumhein yaad to kar sakta hoon

achchi soorat ko sanwarne ki zaroorat kya hai
saadgi mein bhi qayaamat ki ada hoti hai
tum jo aa jaate ho masjid mein ada karne namaaz
tumko maloom hai kitnon ki kaza hoti hai

maine maasoom baharon mein tumhein dekha hai
maine purnoor sitaaron mein tumhein dekha hai
mere mehboob teri parda nasheeni ki kasam
maine ashqon ki qataaron mein tumhein dekha hai

aaj ki baat phir nahi hogi
yeh mulaakaat phir nahi hogi
aise baadal to phir bhi aayenge
aisi barsaat phir nahi hogi

raat unko bhi yun hua mehsoos
jaise yeh raat phir nahi hogi
ik nazar mud ke dekhne waale
kya yeh khairaat phir nahi hogi

chaandni raat yaad aati hai
woh mulaakaat yaad aati hai
dekh ke un ghaneri zulfon ko
mast barsaat yaad aati hai

aankh uthi muhabbat ne angrayi li
dil ka sauda hua chaandni raat mein
unki nazaron ne kuch aisa jaadu kiya
lut gaye hum to pehli mulaakaat mein

khud tadap kar unki jaanib dil gaya
unki nazaron ne hum pe aisa jaadu kiya

sharaab seekh par daali kabaab sheeshe pe
unki nazaron ne hum pe aisa jaadu kiya

hum hosh bhi apne bhool gaye
imaan bhi apna bhool gaye
ik dil hi nahi us bazm mein hum
na jaane kya kya bhool gaye
jo baat thi unko kehne ki
wo baat hi kehna bhool gaye
gairon ke fasaane yaad rahe
hum apna fasaana bhool gaye

kya kya nigaah e yaar mein taseer ho gayi
bijli kabhi bani kabhi shamsheer ho gayi
aisi mili hai apni nazar us nazar ke saath
sab chhorne pade hain mujhe umr bhar ke saath
mehfil mein baar baar unhi par nazar gayi
humne bachayi laakh magar phir udhar gayi
unki nigah mein koi jaadu zaroor tha
jispar padhi uske jigar mein utar gayi

saath apna wafa mein na chhoote kabhi
pyar ki dor bandh kar na toote kabhi
chhoot jaaye zamaana koi gham nahi
haath tera rahe bas mere haath mein

rut hai barsaat ki dekho zidd mat karo
raat andheri hai baadal hain chhaaye hue
ruk bhi jaao sanam tumko meri qasam
ab kahaan jaaoge aisi barsaat mein

hai teri yaad is dil se lipti hui
har ghadi hai tasawwur tere husn ka
teri ulfat ka pehra laga hai sanam
kaun aayega mere khayaalaat mein

Leave a Reply