ऐसे होते हैं अली के नौकर / Aise Hote Hain Ali Ke Naukar
मौला ‘अली ! मुश्किल-कुशा !
मौला ‘अली ! मुश्किल-कुशा !

वो नहीं मानते हैदर को ख़ुदा के जैसा
बा’द नबियों के वो सिद्दीक़ को जाने आ’ला
वो नहीं मानते हैदर को नबी से बढ़ कर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

ज़िक्र-ए-सरकार में करते हैं जो दिन-रात बसर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

आल-ओ-असहाब-ए-नबी के हैं तराने लब पर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !
‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !

दीन-ए-हक़ के लिए घर-बार लुटा देते हैं
जो बहत्तर भी हज़ारों को मिटा देते हैं
तोड़ देते हैं जो मैदान में बातिल की कमर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !
‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !

‘इल्म का बाब हैं और शेर ख़ुदा के हैं ‘अली
वो ‘अली, जिन को मेरे आक़ा की बेटी है मिली
झूम कर यूँ बयाँ करते हैं जो शान-ए-हैदर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

मुस्तफ़ा पे हैं फ़िदा ! मौला ‘अली वाले !
हैं सहाबा के गदा ! मौला ‘अली वाले !
नाम लें सिद्दीक़ का ! मौला ‘अली वाले !
चार यारों पे फ़िदा ! मौला ‘अली वाले !

मुस्तफ़ा पे हैं फ़िदा ! हैं सहाबा के गदा !
नाम लें सिद्दीक़ का ! चार यारों पर फ़िदा !

मौला ‘अली वाले ! मौला ‘अली वाले !
मौला ‘अली वाले ! मौला ‘अली वाले !

‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !
‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !

इज़्ज़त-ए-आक़ा पे देते हैं जो पहरा हर-दम
जिन के होंटों पे है लब्बैक का ना’रा हर-दम
जिन के आगे न रुके जंग में कोई लश्कर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !
‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !

कोई मौसम, कोई भी वक़्त, कोई भी ‘इलाक़ा हो
जहाँ ज़िक्र-ए-‘अली छेड़ा, वहाँ दीवाने आ बैठे

‘अली वालों का मरना भी कोई मरने में मरना है !
चले अपने मकाँ से और ‘अली के दर पे जा बैठे

इधर रुख़्सत किया सब ने, उधर आए ‘अली लेने
यहाँ सब रो रहे थे, हम वहाँ महफ़िल सजा बैठे

अभी मैं क़ब्र में लेटा ही था, इक नूर सा फैला
कि मेरे सामने तो ख़ुद ‘अली-ए-मुर्तज़ा बैठे

‘अली के नाम की महफ़िल सजी शहर-ए-ख़मोशाँ में
थे जितने बा-वफ़ा वो सब के सब महफ़िल में आ बैठे

ये कौन आया कि इस्तिक़बाल को सब अम्बिया उट्ठे
न बैठेगा कोई तब तक, न जब तक मुस्तफ़ा बैठे

‘अली वाले जहाँ बैठे वहीं जन्नत बना बैठे

‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !
‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !

कोई बहलूल हुआ, कोई ग़ज़ाली है बना
कोई शिबली, कोई बग़दाद का वाली है बना
तख़्त-ए-शाही को लगाई है किसी ने ठोकर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !
‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !

ए मुसलमान ! सदा हैदरी किरदार पे चल
और अक़्वाल-ए-‘अली पर हो तेरा ऐसा ‘अमल
कि फ़रिश्ते भी कहें तेरी लहद के अंदर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

प्यारे सिद्दीक़ पे तुम सब्ब-ओ-शतम करते थे
उन की नफ़रत में भी तहरीर रक़म करते थे
क्या कहोगे जो कभी पूछेंगे तुम से हैदर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर ?

‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !
‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !

‘आशिक़-ए-मौला-‘अली का है तरीक़ा जैसा
अपना किरदार बना, आसिम-ए-रिज़वी ! ऐसा
देख के तुझ को कहें ख़ुद ये जनाब-ए-हैदर

ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर
ऐसे होते हैं ‘अली के नौकर

‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !
‘अली ‘अली मौला ‘अली ! ‘अली ‘अली मौला ‘अली !

शायर:
मौलाना आसिम रिज़वी

नात-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी और हाफ़िज़ अहसन क़ादरी

 

maula ‘ali ! mushkil-kusha !
maula ‘ali ! mushkil-kusha !

wo nahi.n maante haidar ko KHuda ke jaisa
baa’d nabiyo.n ke wo siddiq ko jaane aa’la
wo nahi.n maante haidar ko nabi se baDh kar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

zikr-e-sarkaar me.n karte hai.n jo din-raat basar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

aal-o-ashaab-e-nabi ke hai.n taraane lab par

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !
‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !

deen-e-haq ke liye ghar-baar luta dete hai.n
jo bahattar bhi hazaaro.n ko mita dete hai.n
to.D dete hai.n jo maidaan me.n baatil ki kamar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !
‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !

‘ilm ka baab hai.n aur sher KHuda ke hai.n ‘ali
wo ‘ali, jin ko mere aaqa ki beti hai mili
jhoom kar yu.n bayaa.n karte hai.n jo shaan-e-haidar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

mustafa pe hai.n fida ! maula ‘ali waale !
hai.n sahaaba ke gada ! maula ‘ali waale !
naam le.n siddiq ka ! maula ‘ali waale !
chaar yaaro.n pe fida ! maula ‘ali waale !

mustafa pe hai.n fida ! hai.n sahaaba ke gada !
naam le.n siddiq ka ! chaar yaaro.n par fida !

maula ‘ali waale ! maula ‘ali waale !
maula ‘ali waale ! maula ‘ali waale !

‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !
‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !

izzat-e-aaqa pe dete hai.n jo pahra har-dam
jin ke honto.n pe hai labbaik ka naa’ra har-dam
jin ke aage na ruke jang me.n koi lashkar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !
‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !

koi mausam, koi bhi waqt, koi bhi ‘ilaaqa ho
jahaa.n zikr-e-‘ali chhe.Da, wahaa.n deewaane aa baithe

‘ali waalo.n ka marna bhi koi marne me.n marna hai !
chale apne makaa.n se aur ‘ali ke dar pe jaa baithe

idhar ruKHsat kiya sab ne, udhar aae ‘ali lene
yahaa.n sab ro rahe the, ham wahaa.n mahfil saja baithe

abhi mai.n qabr me.n leta hi tha, ik noor saa phaila
ki mere saamne to KHud ‘ali-e-murtaza baithe

‘ali ke naam ki mahfil saji shahar-e-KHamoshaa.n me.n
the jitne baa-wafa wo sab ke sab mahfil me.n aa baithe

ye kaun aaya ki istiqbaal ko sab ambiya uTThe
na baithega koi tab tak, na jab tak mustafa baithe

‘ali waale jahaa.n baithe wahi.n jannat bana baithe

‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !
‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !

koi bahlool huaa, koi gazaali hai bana
koi shibli, koi baGdaad ka waali hai bana
taKHt-e-shaahi ko lagaai hai kisi ne Thokar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !
‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !

ai musalmaan ! sada haidri kirdaar pe chal
aur aqwaal-e-‘ali par ho tera aisa ‘amal
ki farishte bhi kahe.n teri lahad ke andar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

pyaare siddiq pe tum sabb-o-shatam karte the
un ki nafrat me.n bhi tahreer raqam karte the
kya kahoge jo kabhi poochhe.nge tum se haidar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar ?

‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !
‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !

‘aashiq-e-maula-‘ali ka hai tareeqa jaisa
apna kirdaar bana, Aasim-e-Rizvi ! aisa
dekh ke tujh ko kahe.n KHud ye janaab-e-haidar

aise hote hai.n ‘ali ke naukar
aise hote hai.n ‘ali ke naukar

‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !
‘ali ‘ali maula ‘ali ! ‘ali ‘ali maula ‘ali !

Poet:
Maulana Aasim Rizvi

Naat-Khwaan:
Hafiz Tahir Qadri and Hafiz Ahsan Qadri

 

 

POST:-0⃣5⃣

✦─••─••─┄•──•••☆•••──•┄─••─••─✦⎆​
🌺🎊SAWANE UMRI HAZRAT ALI رضي اللّه تعالى عنهKARAMALLAHU WAJAHUL KAREEM🌺🎊
✦─••─••─┄•──•••☆•••──•┄─••─••─✦⎆​

🌹🎊AAPKI WILADAT KI BASHARAT🌺🎊

🎴ABU TALIB :- Mere Walid ka Naam Abdul Muttalib hai…

🎴HAZRAT MASHRAM :- Aye Abu Talib Meri baat ko Gour se Suno…

🀄Mene Pehle ki Qitabo me Padha hai Ke Hazrat Abdul Muttalib Ke Do Pote Honge Unme Se Ek Nabi Mursal Hoga Uske Baap ka Naam Abdullah Hoga Aur Dusra Wali-E-Qamil Hoga Uske Baap ka Naam Abu Talib Hoga Aur Jab wo Nabi 30 Saal ke Ho Jaenge To Allah Taa’la Us Wali e Qamil ko Paida Farmaega….

🎴Itna Kehne ke Bad Hazrat Mashram Ne Fir Is trah Guftagu Shuru Ki…

🀄HAZRAT MASHRAM :- Aye Abu Talib Kya wo Nabi Mursal Paida Ho Chuke hai ???

🎴ABU TALIB :- Haan! Wo Nabi Mursal Paida Ho chuke hai Aur Unka Naam Muhammad hai Aur Is Waqt Unki Umar Sharif 29 Saal hai….

🀄HAZRAT MASHRAM :- Abu Talib Mubarak ho
Is Saal Allah Taa’la Tumhe Wo Farzand Ata Farmaega Jo Imaam-E-Muttaqiya Aur Peshwa-E-Momin Hoga Aye Abu Talib Jab Tum Makkah Pahocho To Apne Bhatije Muhammad ﷺ Se mera Salam Kehna Aur Ye bhi Arz Karna Ke Mashram Apke Gaibana Niyazmando Me hai Aur Is baat Ki Sahadat Deta hai Ke Khuda Ek hai Aur Aap Uske Sacche Rasool hai. ….

🎴Hazrat Mashram Ne Kaha Jab Tumhara Farzand Paida ho To Unhe Mera Salam-E-Shok Arz Karna Aur Meri Traf se Unhe Basharat Dena Ke Aap “WASI-E-PAIGAMBAR HONGE” Aur Aap Par Maratib-E-Wilayat Ka Ikhtetam Hoga….

🀄Janab Abu Talib Ne Hazrat Mashram Ki Ye Bate Sunkar Kaha Aye Hazrat Mashram Muje Apni Koi Qaramat Dikhao Jise Dekh kar me Tumhe Sahibe Tasarruf Maan Saku Aur Tumhari Bato Ki Tasdiq Kar Saku Hazrat Mashram ne Kaha Aye Abu Talib Aap Kya chahte hai Batao ???

🎴Muje Yakeen Hai Me Dua Karunga Mera Rab Apne Qaram E khaas Se Qabool Farmaega Abu Talib Ne Idhar Udhar Dekha to Ek “ANAR” Sukha Darakht Nazar Aaya Kaha Me Chahta hu Ke Ye Darakht Taro taza Hokar Abhi Fal De …..

🀄Hazrat Mashram Ne Dua ki Aur “ANAR” Ka Wo Darakht Usi Waqt Sabzo Shadab Ho gaya Aur Usne Fal Aa gae Abu Talib Ne Usme Se 2 fal Liye Aur Jab ek Anar Ko Tarasha To Misle Laa’an Rummani Ke Usme Se Surkh Dane nikle…

🎴Abu Talib Hazrat Mashram ki Ye Qaramat Dekh kar Vapas Aa Gae Aur Usi Saal Hazrat Mashram ki Peshangoi ke Mutabiq Hazrat Saiyedna Ali E Murtuza رضی الله عنہ Ki Wiladat E Paak Khana E Qaba Sharif Ke Andar hui Jiski Tafsil Ab Aage ke Part me pesh ki jaegi…..

📔Tazkira E Ali E Murtaza

POST:-0⃣6⃣

✦─••─••─┄•──•••☆•••──•┄─••─••─✦⎆​
🌺🎊SAWANE UMRI HAZRAT ALI رضي اللّه تعالى عنهKARAMALLAHU WAJAHUL KAREEM🌺🎊
✦─••─••─┄•──•••☆•••──•┄─••─••─✦⎆​

💠🎊AAPKI WILADAT-E-PAAK QABA SHARIF KE ANDAR 💠🎊

🌺📃👉Ameerul Momineen Ali E Murtaza رضی الله عنہ Ki Walida Majida Hazrat Fatima Binte Asad رضي الله تعالى عنها Khana-E-Qaba Sharif ke Tawaf ke Liye Aayi Us Waqt Hazrat Ali-E-Murtaza رضی الله عنہ Walida Majida ke Shikam e Paak me Jalwa Farma the….Douran-E-Tawaf Apki Walida Majida ko Dard-E-Zeh Mehsus Huea Aur Tawaf Ke Chouthe (4) Chakkar me Apko Taklif ka Ahsas Zyada hone Laga Aapne Dua ki *”AYE PARWARDIGAAR YE WAQT E WILADAT MERE LIYE AASAN FARMA DE “

🌹🍃👉Achanak Qaba Muqarrama Ki Deewar Shak Hui Aur Hazrat Fatima Binte Asad Qaba Sharif ke Ander Tashrif Le Gayi….Khandan Ke Logo Ne Apko Qaaba Sharif Ke Aas pas Bahot Talash kiya Lekin Aap na Mili Aur wo Hairan The Aap kaha Chali gai Sab Logo ne Huzur Sallahu Alayhi Wasallam ki Bargah Me Arz Kiya Ki Apki Chachi Sahiba Hazrat Fatima Binte Asad Ka Pata Nahi Chal raha…Huzur E Aqdas ﷺ Ne Tasalli Dete hue Farmaya Aap log Mutmain Rahe WO jaha Kahin bhi hai Khairiyat se hai Aur Inshaa’Allah Waqt Aane par Khairiyat Se Vapas Aa jaegi Huqm-E-Ilahi Nahi ki Is Raaz ko Zahir kiya jae…….

⛔Note:-

🔮🎊👉IS BAAT SE ALLAH KE RASOOL ﷺ KA ELAN E NABUWWAT SE PEHLE ILM E GAIB HONA SABIT HUA..

Chunache 3 Din Ka’ba Sharif ke Andar Guzarne Ke bad 4the Roz Hazrat Fatima Binte Asad رضي الله تعالى عنها Apni Goud Me Hazrat Ali-e-Murtuza رضي الله تعالى عنها Ko Liye huwe Ka’ba Sharif Se Bahar Tashrif Le Aai…Janab Abu Talib Aage Badhe Aur Hazrate Ali-e-Murtaza رضی الله عنہ Ko Apni Goud me liya Pyar Kiya lekin Jab Apke Chehre Par Nazar Padi To Dekha Ke aap Aankhe Band Kiye Hue Hai To Pareshan Ho ho Gaye Aur Huzur ﷺ Se Arz kiya Ke Mera Baccha Har Trah Se Kheriyat hai Lekin Aankhe Band Kiye hue hai Jisse muje Kuch Pareshani Ho rahi hai….

🌼🍁👉Huzur-E-Aqdas ﷺ Ne Hazrat Ali-E-Murtuza رضی الله عنہ Ko Turant Apni Aagosh E Paak Me liya Aur Abu Talib Se Farmaya Ke Chacha Dekhiye….Bacche ne Dono Aankhe khol Rakhi hai Abu Talib Ne Dekha To Waqai Hazrat Ali-E-Murtaza رضی الله عنہ Ne Dono Aankhe khol Rakhi thi Aur Gour se Allah ke Pyare Habib E paak ﷺ Ke Chehre ko Dekh rahe the….

🌼🎊👉hazrat Abu Talib Bahot Khush hue Aur Kehne Lage Ke meri Goud me the to Aankhe Band kar Rakhi Thi Muje Khouf Hua ki Kahin Mera Baccha Nabina To Nahi hai Is Khayal me Me Pareshan ho haya…Fir Allah ke Rasool ﷺ Ne Apne Mubarak Hatho se Apko Gusl Diya Aur Gusl Dete Waqt Huzur E Aqdas ﷺ Ne Farmaya ki Aaj Ne Is Bache ko Gusl De Raha hu Ho Sakta hai Ke wo Waqt bhi Aaye ke Yahi Bacha muje Aakhri Gusl de….

🌸🌿👉Gusl Deker Huzur-E-Aqram ﷺNe Apko Kapde Pehnaye Fir Apni Goud me liya Aur Apni Zuban-e-Mubarak Hazrat Saiyedna Ali-e-Murtuza رضی الله عنہ Ke Munh me De di….Aap Kafi Dair Tak Allah ke Pyare Habib Ki Zaban-e-Paak Chooste Rahe Aur is Darmiyan Ek Nazar se Chehra-e-Mustufa ﷺ Ko Dekhte Rahe….Ek Riwayat Milti hai Ke Ek Martaba Jawani ke Aalam me Allah ke Pyare Habib ﷺ ne Hazrat Ali رضی الله عنہ se Farmaya “AYE ALI-E-MURTUZA ” Ye Batao ke Jab Tum Paida hue To Tumne Aankhe Band kar rakhi thi Lekin Jab mene Tumhe Apni Goud me liya to Tumne Fouran Aankhe Khol Di…Hazrat Ali رضی الله عنہ Ne Arz kiya ki Huzur Tamanna Thi ke Jab Me Aankhe Kholu to Meri Nigaah Pehle Apke Chehra-E-Paak ko Dekhe Aur me Dunia me Sabse Pehle Apke Jamal-e-Aqdas ka Mushahida Karu……
📔Tazkira E Ali E Murtaza

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *