Ek Roz Momino Tumhe Marna Zarur Hai Lyrics

Ek Roz Momino Tumhe Marna Zarur Hai Lyrics

Ek roz mominon tumhe marna zarur hai (x2)

Padte raho namaz ye qole rasool hai

Padte raho namaz ye qole rasool hai

Padte raho namaz to chehre pe noor hai

Padte nahi namaz to apna kasoor hai

Apne kiye aap saza jald paoge

Sidhe aye be namazi jahannam mein jaaoge

Also Check:- New Naat Lyrics

Jis roz ke takht pe baithega kibriya

Us waqt kya kahoge tumhe aayegi haya

Sharmo haya se us gadi sar ko jhukaye

Jannat to kya milegi jahannam mein jaoge

Tauba karo khudara namazien pada karo

Makro fareb jhuth se har dam bacha karo

Masjid khuda ka ghar hai ibadat ka kaam hai

Duniya ka kaam karna to mutlak haram hai

Padte hein jo namaz jama’at se sar b sar

Tayyar kar rahe hein wo jannat mein apna ghar

Bakhshayenge khuda se use shahe bahrobar

Musleem mein aur bukhari ne likhi hai ye khabar

Also Check:- Durood Sharif

Jo tark ki namaz to wo naash ho gaya

Jisne padhi namaz to wo paak ho gaya

Padte raho namaz to behtar hai kaam hai

Deene rasool e paak ka is se kayam hai

Mat khao sud sud ka khana haram hai

Bas ye dua khuda se meri subho shaam hai

Paband be namazi ko kardo namaz ka

Aur uske dil mein shok tum bhar do namaz ka

Naraz apni biwi se hote ho har gadi

Kahete ho kaam usko tum har wakt har gadi

Usko bhi hai namaz sikhe koi gadi

Tumse nikah kar ke musibat mein hai padi

Dekho namaz padna na usko dikhao

Biwi ke sath khud bhi jahannam mein jaoge

Ae momino namaz ko tum karna na kaza

Quraan mein ye sab ye kehte hai kibriya

Also Check:- Islamic Dua

Marne ke baad hashr mein dulha banayegi

Sahera najat ka ye sar pe aayegi

Shimr laeen ne sar ko jo tan se juda kiya

Us dam sare hussain tha sajde mein juka hua

Ahle jahan ko shok e shahadat dikha diya

Hakki raza mein apna hai kya ghar luta diya

Dekhoge kesi kesi ibadat namaz hai

Bhule na marte dam bhi wo na’amat namaz hai

Ae momino namaz khuda se milayegi

Marne ke baad gulshan e jannat dilayega

Khalik se tumko roze jaza bakhshvae gi

Jannat mein sath apne tumhe leke jayegi

Sari ibadaton mein ibadat namaz hai

Ae momino ye deen ki daulat namaz hai

Jo kuchh ka martaba hai bataya namaz ka

Howe ga sar pe hashr mein saya namaz ka

Mazboot pakdo hath safaya namaz ka

Ye martaba khuda ne banaya namaz ka

Padlo namaz dil se toh ho jaoge wali

Khil jayegi fir aapse dil ki kali kali

Taufik mujko dedo ae mere kibriya

Karti rahun namaz ki tableegh ka bazar

Karti rahun namaz ki tableegh ka bazar

Karti rahun namaz ki tableegh ka bazar

Bab-Ul-Hamaasat Min Diwan-E-Hamaasa

Badal Ya Fard Jo Kamil Hai Ya Ghous Lyrics

Leave a Reply