Hota agar zameen par saya Rasool ka Naat Lyrics
Hota Agar Zameen Par Saya Rasool Ka
Phir Pao Ummati Kaha Rakhta Rasool Ka

Padhte Hai Yu Toh Gair Bhi Kalma Rasool Ka
Jannat Usse Milengi Joh Hoga Rasool Ka

Karte Hai Ahtraam Janaza Ka Isliye
Woh Jara Hai Dekhne Chehra Rasool Ka

Sher e Khuda Na Banta Toh Banta Bhi Aur Kya
Bachpan Se Hi Toh Tha Yeh Paala Rasool Ka

Duniya Ko Dekhna Bhi Gawara Nhi Kiya
Jab Tak Ali Ne Dekha Na Chehra Rasool Ka

Khwaga ne esa dankka bajaya Rasool ka
Lagvaya pandito se bhi naara Rasool ka

Nara Raza Ka Lagta Hai Duniya Mai Islliye
Ahmed Raza Ke Lab Pe Tha Naara Rasool Ka

 

होता अगर ज़मीन पर साया रसूल का / Hota Agar Zameen Par Saaya Rasool Ka
होता अगर ज़मीन पर साया रसूल का
फिर पाओं उम्मती कहाँ रखता रसूल का

पढ़ते हैं यूँ तो ग़ैर भी कलमा रसूल का
जन्नत उसे मिलेगी जो होगा रसूल का

करते हैं एहतिराम जनाज़े का इस लिए
वो जा रहा है देखने चेहरा रसूल का

दुनिया को देखना भी गवारा नहीं किया
जब तक ‘अली ने देखा न चेहरा रसूल का

शेर-ए-ख़ुदा न बनता तो बनता भी और क्या ?
बचपन से ही तो था ये पाला रसूल का

ना’रा रज़ा का लगता है दुनिया में इस लिए
अहमद रज़ा के लब पे था ना’रा रसूल का

नात-ख़्वाँ:
साजिद क़ादरी
असद रज़ा अत्तारी

 

hota agar zameen par saaya rasool ka
phir paa.o.n ummati kahaa.n rakhta rasool ka

pa.Dhte hai.n yu.n to Gair bhi kalma rasool ka
jannat use milegi jo hoga rasool ka

karte hai.n ehtiraam janaaze ka is liye
wo jaa raha hai dekhne chehra rasool ka

duniya ko dekhna bhi gawaara nahi.n kiya
jab tak ‘ali ne dekha na chehra rasool ka

sher-e-KHuda na banta to banta bhi aur kya ?
bachpan se hi to tha ye paala rasool ka

naa’ra raza ka lagta hai duniya me.n is liye
ahmad raza ke lab pe tha naa’ra rasool ka

Naat-Khwaan:
Sajid Qadri
Asad Raza Attari

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *