Huzoor Aisa Koi Intezam Naat Lyrics
Huzoor Aisa Koi Intizam Ho Jaye,
Ke Phir Madina Rawana Ghulam Ho Jaye.
Naseeb Waalon Mein Mera Bhi Naam Ho Jaye,
Jo Zindagi Ki Madinay Mein Shaam Ho Jaye.
Main Shaad Shaad Maroon Ga, Agar Dum-e-akhir,
Naseeb Jalwa E Kahirul Anam Ho Jaye.
Zubaan Pe Jaari Muhammad Ka Naam Ho Jaye
Fuzool Goi Say Bach Jaye Yeh Zaban Meri,
Mera Kalaam Durood-o-salaam Ho Jaye.
Pia Raza Ne Pia Jo Murshid Nay,
Ataa Mujhe Shaha Aisa Jaam Ho Jaye.
Shaha Ubaid-e-raza Dar Badar Phiray Kab Tak,
Huzoor Is Ka Madinah Maqam Ho Jaye.
Ubaid Mar Kay Madinah Mein Paa Chuka Hai Baqi,
Khabar Watan Mein Kabhi To Yeh Aam Ho Jaye.
*****************other*****************
****************version****************
Huzor Aisa Koi Intezam Ho Jaaye
Salam Ke Liye Hazir Gulam Ho Jaaye
Mai Sirf Dekh Lu Ek Baar Sub’he Tayba Ko
Nazar Se Chum Lu Ek Baar Sabz Gumbad Ko
Bala Se Fir Meri Duniya Tamaam Ho Jaaye
Huzor Aap Jo Sun Le To Baat Ban Jaaye
Huzor Aap Jo Keh De To Kaam Ho Jaaye
Tajalliyat Se Bhar Lu Mai Apna Kasa E Jaan
Kabhi Jo Un Ki Gali Mai Kayam Ho Jaaye
Huzor Aap Jo Chahe To Kuchh Nahi Mushkil
Simat Ke Fasla Ye Chand Gaam Ho Jaaye
Maza To Jab Hai Farishte Ye Kabr Mai Keh De
Sabih Mid’hat E Khairul Anam Ho Jaaye
Huzor Aisa Koi Intezam Ho Jaaye
Salam Ke Liye Hazir Gulam Ho Jaaye
Woh Bazm-e-khaas Jo Darbaar-e-aam Ho Jaye
Umeed Hai Keh Hamara Salaam Ho Jaye
Idher Bhi Ik Nigaah-e-lutf-e-aam Ho Jaye
Ke Aashiqon Mein Hamara Bhi Naam Ho Jaye
Tere Ghulam Ki Shaukat Jou Dekh Le Mehmood
Abhi Ayaaz Ki Surat Ghulam Ho Jaye
Mein Qayal Aap Ke Rauzay Ka Hoon Woh Qayal Tur
Kaleem Se Na Kissi Din Kalaam Ho Jaye
Madinay Jaon Phir Aaon Dobara Phir Jaon
Tamaam Umar Issi Mein Tamaam Ho Jaye
Bulao Jald Madinay Mein Hai Ameer Ko Khauf
Kaheen Na Umar Do Roza Tamaam Ho Jaye
Tumhari Naat Parhon Mein Sunoo Likhoon Har Dum
Ye Zindagi Meri Yunhi Tamaam Ho Jaye
Meri Namaz-e-janazah Ki Yun Ibadat Ho
Ke Do Jahan Ke Aaqa Imam Ho Jaye
Piya Raza O Ziya Ne Piya Jou Murshid Ne
A’ta Mujhay Bhi Shah Aisa Jaam Ho Jaye