JAA KE SABA TU KOO-E-MUHAMMAD SALL ALLAHU ALAIHI WA SALLAM

JAA KE SABA TU KOO-E-MUHAMMAD SALL ALLAHU ALAIHI WA SALLAM

Jaa Ke Saba Tu Koo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam
Laa Ke Sungha Khushboo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

Chaak Hai Hijr Se Apna Seena, Dil Meiñ Basa Hai Shahr-e-Madina
Chashm Lagi Hai Soo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

Hashr Ka Khauf Hai Sab Par Ghaalib, Sab Haiñ Raza-e-Haq Ke Taalib
Haq Ki Nazar Hai Soo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

 

Tishna Dahaano! Gham Hai Tumheñ Kya, Abr-e-Karam Ab Jhoom Ke Barsa
Lo Wo Khule Gaisoo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

 

Rang Hai Un Ka Baagh-e-Jinaañ Meiñ, Un Ki Mahak Hai Khuld-o-Jinaañ Meiñ
Sab Meiñ Basi Khushboo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

Shams-o-Qamar Meiñ ‘Arz-o-Falak Meiñ, Jinn-o-Bashar Meiñ Hoor-o-Malak Meiñ
‘Aks Figan Hai Roo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

Mushk-o-Gulaab-o-‘Ood-o-‘Ambar Khaak Meiñ Daalooñ Sab Ke Oopar
Paooñ Agar Khushboo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

Ho Na Kabhi Taa Hashr Numaayaañ Aisa Hilaal-e-‘Eid Ho Qurbaañ
Dekhe Agar Abru-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

Saif-e-Khuda Par Jang Ho Aasaañ, Ho Ghazawaat Meiñ Fatah Numaayaañ
Ay Teri Shaukat Moo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

Deen Ke Dushman Un Ko Sataa-eñ, Deñ Ye Hamesha Un Ko Dua-eñ
Sab Se Niraali Khoo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

Ho Na JAMEEL-E-QAADIRI Muztar, Haath Ut’ha Kar Haq Se Dua Kar
Mujh Ko Dikha De Koo-e-Muhammad Sall Allahu Alaihi Wa Sallam

 

Leave a Reply