Khaak me khaak e bashar phir se mila de zahra

Khaak me khaak e bashar phir se mila de zahra

 

 

Khaak me khaak e bashar phir se mila de zahra
Apni chakki ko agar ulta chala de zahra

 

Koi moosa koi salman bana de zahra
Raaz e tauheed jise jitna bata de zahra

 

Chahe to hurr ko wo rumaal se noori kar de
Chahe to khaak se hawa ko bana de zahra

 

Khaak se hawa banana bhi koi mojza hai
Ye hunar chahe to fizza ko sikha de zahra

 

Roz kahte hain ali rizq ki taqseem ke waqt
Rizq dena hai kise kitna bata de zahra

 

Baant kar aate hain jab rizq e do aalam maula
Aake kahte hain mujhe meri ghiza de zahra

 

Murtaza jiske ke liye aayaat na utre kyunkar
Apni chadar me jise roz ghiza de zahra

 

Abu talib ki bahu aur ali ki zoujah
Haq hai qaabe pe agar tala laga de zahra

 

Khol sakta nahin menhdi ke siwa koi use
Aaj bhi gar qaabe pe taala laga de zahra

 

Karz shabbir ka utra nahin ab tak usse
Kaise allah tere karz chuka de zahra

Leave a Reply