KUCH AISA KAR DE MERE KIRDIGAAR AANKHON ME LYRICS

KUCH AISA KAR DE MERE KIRDIGAAR AANKHON ME LYRICS

 

Kuch Aisa Kar De Mere Kirdigaar Aankhoñ Me
Hamesha Naqsh Rahe Roo e Yaar Aankhoñ Me

Na Kaise Ye Gul o Gunche Hoñ Khwaar Aankhoñ Me
Basay Huwe Haiñ Madinay Ke Khaar Aankhoñ Me

Basa Huwa He Ko-ee Gul ‘Azaar Aankhoñ Me
Khila He Chaar Taraf Laalah Zaar Aankhoñ Me

Huwa He Jalwa-Numa Gul ‘Azaar Aankhoñ Me
Khazaañ Ke Dawr Me Phooli Bahaar Aankhoñ Me

Suroor O Noor Ho Dil Me Bahaar Aankhoñ Me
Jo Khwaab Me Kabhi Aa-e Nigaar Aankhoñ Me

Wo Noor De Mere Parwardigaar Aankhoñ Me
Ke Jalwah Gar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhoñ Me

Nazar Ho Qadmoñ Par Un Ke Nisaar Aankhoñ Me
Banaa-eñ Apna Hoñ Wo Rah Guzaar Aankhoñ Me

Na Ik Nigaah Hee Sadqe Ho Dil Bhi Qurbaañ Ho
Karam Kare To Wo Naaqah Sawaar Aankhoñ Me

Basar Ke Saath Baseerat Bhi Khoob Roshan Ho
Lagaa-uñ Khaak e Qadam Baar-Baar Aankhoñ Me

Tumhare Qadmoñ Pe Moti Nisaar Hone Ko
Haiñ Be-Shumaar Meri Ashk-baar Aankhoñ Me

Nazar Na Aaya Qaraar e Dil e Hazeeñ Ab Tuk
Nigaah Rehti He Yuñ Be-Qaraar Aankhoñ Me

Unheñ Na Dekha To Kis Kaam Ki Haiñ Ye Aankheñ
Ke Dekhne Ki He Saari Bahaar Aankhoñ Me

Nazar Me Kaise Samaa-enge Phool Jannat Ke
Ke Bas Chukay Haiñ Madine Ke Khaar Aankhoñ Me

Ajab Nahiñ Ke Likha Lauh Ka Nazar Aa-e
Jo Naqsh e Paa Ka Lagaa-uñ Ghubaar Aankhoñ Me

Milay Jo Khaak e Qadam Un Ki Mujh Ko Qismat Se
Lagaa-uñ Surmah Na Phir Zee-Nihaar Aankhoñ Me

Madina Jaane Chaman Awr Khazaañ Se Aiman He
Lagaa-e Khaak Wahaañ Ki Hazaar Aankhoñ Me

Khulay He Deedah e Ush’shaaq Khwaab e Marg Me Bhi
Ke Us Nigaar Ka He Intezaar Aankhoñ Me

Khazaañ Ka Dawr Huwa Door, Wo Jahaañ Aa-e
Huwi He Qadmoñ Se Un Ke Bahaar Aankhoñ Me

Ye Ishtiyaaq Teri Deed Ka He Jaan e Jahaañ
Dam Aa Gaya He Dam e Ikhtidaar Aankhoñ Me

Ye Aasmaan Ke Taare Ye Nargis e Shahla
Tera Hee Jalwa He In Be Shumaar Aankhoñ Me

Ye Dum Humaara Ko-ee Dum Ka Awr Mehmaañ He
Karam Se Lijiye Dum Bhar Qaraar Aankhoñ Me

Wo Sabz, Sabz, Nazar Aa Raha He Gumbad e Sabz
Qaraar Aa Gaya Yuñ Be Qaraar Aankhoñ Me

Bahaar e Dunya He Faani Nazar Na Kar Is Par
He Ko-ee Dum Ki Ye Saari Bahaar Aankhoñ Me

Ye Gul Ye Ghunche Ye Gulshan Ke Beyl Awr Bootay
Unheeñ Ke Dum Ki He Saari Bahaar Aankhoñ Me

Ye Haal e Zaar He Furqat Me Tere Muztar Ka
Ke Ashk Aate Haiñ Be-Ikhtiyaar Aankhoñ Me

Wahee Mujhe Nazar Aa-eñ Jidhar Nigaah Karuñ
Unheeñ Ka Jalwa Rahe Aashakaar Aankhoñ Me

Ye Dil Tar’ap Ke Kahiñ Aankhoñ Me Na Aa Jaa-e
Ke Phir Raha He Kisi Ka Mazaar Aankhoñ Me

Na Aise Phool Khilay Haiñ Kabhi Na Aage Khileñ
Bahaaroñ Me He Arab Ki Bahaar Aankhoñ Me

Qareeb He Rag e Gardan Se Par Juda He Wo
Na Yaar Dil Me Makeeñ He, Na Yaar Aankhoñ Me

Ye Qurb Awr Ye Doori Khuda Ki Qudrat He
Ke Hoga Khuld Me Deedaar e Yaar Aankhoñ Me

Karam Ye Mujh Pe Kiya He Mere Tasaw’wur Ne
Ke Aaj Kheench Di Tasweer e Yaar Aankhoñ Me

Farishto Poochte Ho Mujh Se Kis Ki Ummat Ho
Lo Dekh Lo Ye He Tasweer e Yaar Aankhoñ Me

 

Na Sirf Aankheñ Hee Roshan Hoñ Dil Bhi Beena Ho
Agar Wo Aa-eñ Kabhi Ek Baar Aankhoñ Me

Hazaar Aankheñ Haiñ Taaroñ Ki Ik Gul e Mahtaab
Ye Ek Phool He, Jaise Hazaar Aankhoñ Me

Yuñ Hee Haiñ Maah e Risaalat Bhi Sub Nabiyoñ Me
Karor Aankhoñ Nahiñ Be-Shumaar Aankhoñ Me

Ye Kya Sawaal He Mujh Se, Ke Kis Ka Banda He
Me Jis Ka Banda Hooñ, He Noor Baar Aankhoñ Me

He Aashakaar Nazar Me Jahaañ Ki Nee-rangi
Jama He Naqsha e Layl o Nahaar Aankhoñ Me

Jama Huwa He Tasaw’wur Me Rauza e Waala
Basay Huwe Haiñ Wo Layl o Nahaar Aankhoñ Me

Nahaar Chehra e Waala, To Gaisoo Haiñ Wal Layl
Baham Huwe Haiñ Ye Layl o Nahaar Aankhoñ Me

Piya He Jaam e Muhab’bat Jo Aap Ne Noori
Hamesha Us Ka Rahega Khumaar Aankhoñ Me

Murshid e Kareem Huzoor Sayyidi Taajush Shariah would also read this
She’r in the following manner:
Diya He Jaam e Muhab’bat Jo Aap Ne Noori
Hamesha Us Ka Rahega Khumaar Aankhoñ Me

 

Leave a Reply

%d bloggers like this: