MANQABAT HAZRAT SAYYID SAALAAR MAS’OOD GHAZi LYRICS RADI ALLAHU ANHU

MANQABAT HAZRAT SAYYID SAALAAR MAS’OOD GHAZi LYRICSٰ

 

 

Hazrat e Mas’ud e Ghazi Akhtar e Burj e Huda
Bekasoñ Ka Hum-nawa Woh Saalikoñ Ka Muqtada

Saaqi e Sahba e Ulfat Raazdaan e Ma’rifat
Badshah Aisa Woh Jis Ki Ek Dunya He Gada

Aasmaan e Noor Ka Aisa Darakhshanda Qamar
Jis Ki Taabish Se Munawwar Saara Aalam Ho Gaya

Naa-ib e Shaah e Shaheedaañ Woh Muhaafiz Noor Ka
Jis Ne Seencha He Lahu Se Gulshan e Deen e Khuda

Istiqaamat Ka Woh Koh e Muhkam o Baala Tareeñ
Jis Ke Aage Koh e Aafaat o Masa-ib Jhuk Gaya

Saadagi Me Bhi He Woh Sardaar e Khubaañ Dekhiye
Kya Muqad’das Zaat He Jis Ki Niraali Har Adaa

Nausha e Bazm e Jinaañ Woh Banda e Rab e Jahaañ
Hoor o Ghilmaañ Jis Ki Khidmat Par Muqar’rar Haiñ Sada

Tere Noor e Faiz Se Khayraat Dunya Ko Mili
Hum Ko Bhi Hadd e Mu’azzam Ka Milay Sadqa Shaha

Ya Ilaahi Tere Bande Ke Dar e Pur Noor Par
Gardish e Ay’yaam Ka Me Tujh Se Karta Huñ Gila

Ya Ilaahi Be Niyaz e Dahar Tu Kar De Mujhe
Door Kar De Mere Dil Se Ulfat e Har Ma-Siwa

Allah-Allah Ye Naseeb e Akhtar e Shireeñ Sukhan
Faiz e Maula Se He Woh Saalaar Ka Mid’hat Saraa

Leave a Reply