Rab Ke Huzoor Sar Ko Jhukane Ka Waqt Hai

रब के हुज़ूर सर को झुकाने का वक़्त है / Rab Ke Huzoor Sar Ko Jhukane Ka Waqt Hai
रब के हुज़ूर सर को झुकाने का वक़्त है
ऐ मोमिनो ! ख़ुदा को मनाने का वक़्त है

मिस्ल-ए-यज़ीद ज़ुल्म किए जाता है पलीद
मिस्ल-ए-हुसैन सर को कटाने का वक़्त है

उम्मत ये ख़स्ता-हाल तेरी राह तकती है
ऐ आमिना के ला’ल ! ये आने का वक़्त है

गुस्ताख़ियाँ जो करते हैं शान-ए-रसूल में
औक़ात उन को फिर से बताने का वक़्त है

जो भौंकते हैं हर घड़ी इस्लाम के ख़िलाफ़
दो चार हाथ उन को लगाने का वक़्त है

सदक़ा ‘अता हो सय्यिदा ज़हरा के नाम का
आक़ा हुज़ूर ! हम को बचाने का वक़्त है

ये दौर आप का है, मेरे पीर दस्त-गीर !
नज़र-ए-करम बस एक उठाने का वक़्त है

उट्ठो, ऐ मेरी क़ौम के जाँ-बाज़ रहबरो !
नाम-ए-नबी पे सर को कटाने का वक़्त है

राजा है तू ही हिन्द का, ऐ ख़्वाजा-ए-मु’ईन !
कुफ़्फ़ार को ये बात बताने का वक़्त है

फिर से सता रही है शबाहत को तेरी याद
इस को, हुज़ूर ! फिर से बुलाने का वक़्त है

शायर:
सय्यिद शबाहत हुसैन

ना’त-ख़्वाँ:
मुहम्मद अली फ़ैज़ी

 

rab ke huzoor sar ko jhukaane ka waqt hai
ai momino ! KHuda ko manaane ka waqt hai

misl-e-yazeed zulm kiye jaata hai paleed
misl-e-husain sar ko kaTaane ka waqt hai

ummat ye KHasta-haal teri raah takti hai
ai aamina ke laa’l ! ye aane ka waqt hai

gustaaKHiyaa.n jo karte hai.n shaan-e-rasool me.n
auqaat un ko phir se bataane ka waqt hai

jo bhaunkte hai.n har gha.Di islaam ke KHilaaf
do chaar haath un ko lagaane ka waqt hai

sadqa ‘ata ho sayyida zahra ke naam ka
aaqa huzoor ! ham ko bachaane ka waqt hai

ye daur aap ka hai, mere peer dasta-geer !
nazar-e-karam bas ek uThaane ka waqt hai

uTTho, ai meri qaum ke jaa.n-baaz rahbaro !
naam-e-nabi pe sar ko kaTaane ka waqt hai

raaja hai tu hi hind ka, ai KHwaja-e-mu’een !
kuffaar ko ye baat bataane ka waqt hai

phir se sata rahi hai Shabaahat ko teri yaad
is ko, huzoor ! phir se bulaane ka waqt hai

Poet:
Sayyed Shabahat Husain

Naat-Khwaan:
Muhammad Ali Faizi
हिन्दी
ENG
اردو

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top