ye hamne dekha tha khwaab ke nadi kinare Lyrics

ye hamne dekha tha khwaab ke nadi kinare Lyrics

 

ye hamne dekha tha khwaab ke nadi kinare
zameen pe utare the do sitaare nadi kinare

na jaane guzre hain kitne saawan iss aarzu mein
kabhi toh koi hamein pukaare nadi kinare

wohi shajar hain wohi hain saaye magar paraye
hain apne basti ke rung sa nadi kinare

kabhi idhar se guzar ke dekho toh yaad aayein
woh kaul apne wachan tumhare nadi kinare

kati hai ik umar hamnasheen ke bagair apni
koi toh apni tarah guzaare nadi kinare

tumhein na dekha toh raahe gandhae lage hain
sharaab shabnam shafaq sharaab nadi kinare

ye ghar ki tanhayiyan toh mohsam sada rahengi
chalo sahar ki hawa pukare nadi kinare

Leave a Reply