सियाह ज़ुल्फ़ें हसीन आँखें मेरे नबी का जमाल देखो / Siyah Zulfen Haseen Aankhen Mere Nabi Ka Jamal Dekho
सियाह ज़ुल्फ़ें हसीन आँखें, मेरे नबी का जमाल देखो
ख़ुदा से मिलते हैं ला-मकाँ पर, जहान वालो ! कमाल देखो
है कौन जल्वा-नुमा ‘अरब में कि सारा ‘आलम है जगमगाया
ज़मीं मुनव्वर, फ़ज़ा मु’अत्तर, है बुत-कदों पर ज़वाल आया
अरे मुसलमान ! ग़फ़लतों में हम उन को भूले हुए हैं क्यूँकर ?
हमारी बख़्शिश का वो करेंगे ख़ुदा के आगे सवाल देखो
नसीम-ए-सहरी ! मदीने जा कर मेरे नबी को पयाम देना
नहीं है ख़ौफ़-ए-ख़ुदा किसी को, है ऐसा उम्मत का हाल देखो
जो आसमाँ पर नज़र उठा कर नबी ने देखा, किया इशारा
तो शक़ हुआ फिर क़मर फ़लक पर, ये मो’जिज़े की मिसाल देखो
ये ख़्वाब देखा था एक दिन मैं हुज़ूर-ए-अक़्दस के सामने था
वहाँ मैं, हमदर्द ! कह रहा था कि अब नहीं कुछ मलाल देखो
शायर:
डॉ. शाकिरुल्लाह हमदर्द
ना’त-ख़्वाँ:
अब्दुल बासित हस्सानी
siyaah zulfe.n haseen aankhe.n, mere ka jamaal dekho
KHuda se milte hai.n laa-makaa.n par, jahaan waalo ! kamaal dekho
hai kaun jalwa-numa ‘arab me.n ki saara ‘aalam hai jagmagaaya
zamee.n munawwar, faza mu’attar, hai but-kado.n par zawaal dekho
are musalmaan ! gaflato.n me.n ham un ko bhoole hue hai.n kyunkar ?
hamaari baKHshish ka wo karenge KHuda ke aage sawaal dekho
naseem-e-sahri ! madine jaa kar mere ko payaam dena
nahi.n hai KHauf-e-KHuda kisi ko, hai aisa ummat ka haal dekho
jo aasmaa.n par nazar uTha kar ne dekha, kiya ishaara
to shaq huaa phir qamar falak par, ye mo’jize ki misaal dekho
ye KHwaab dekha tha ek din mai.n huzoor-e-aqdas ke saamne tha
wahaa.n mai.n, Hamdard ! keh raha tha ki ab nahi.n kuchh malaal dekho
Poet:
Dr. Shakir Ullah Hamdard
Naat-Khwaan:
Abdul Basit Hassani
Popular Posts
-
Mere Aaqa Aaye Jhoomo 7 views
-
Kya Bataun Ki Kya Madina Hai 6 views
-
Mustafa Mujtaba Khatam-ul-Ambiya 5 views