CHAMAK NE LAGA SUNNIYAT KA SITAARA NAAT LYRICS

Aandhiyon Mein Bhi Jala Hai Maslak E Ahmad Raza Lyrics

 

 

Aandhiyoñ Meiñ Bhi Jalaa Hai Maslak E Ahmad Raza.
Woh Charaagh E Mustafaa Hai Maslak E Ahmad Raza.

 

Sham’e Deen E Mustafaa Hai Maslak E Ahmad Raza,
Ya’ni Ahmad Ki Raza Hai Maslak E Ahmad Raza.

 

Kis Meiñ Hai Mehboobiyat Aur Kis Meiñ Mardoodiyat,
Door Se Pehchaanta Hai Maslak E Ahmad Raza.

Aashiqaan E Mustafaa Ki Ungliyaañ Pakre Huwe,
Soowe Jannat Le Chala Hai Maslak E Ahmad Raza.

Maslak E Ahmad Raza Koi Nayaa Maslak Nahiñ,
Khuld Waala Raasta Hai Maslak E Ahmad Raza.

Maslak E Ahmad Raza Par Harf Aa Sakta Nahiñ,
Bu Haneefa Ki Ataa Hai Maslak E Ahmad Raza.

Hazrat E Noori Miyañ Ka Qawl E Faisal Dekhiye,
Mere Gharka Ka Ek Diya Hai Maslak E Ahmad Raza.

Aap Barkaati Gharaane Meiñ To Chal Kar Dekhiye,
Bachcha Bachcha Bolta Hai Maslak E Ahmad Raza.

Woh Dar E Ghawth Ul Waraa Se Khwaaja E Ajmer Se,
Laa Ke Sab Ko Jhorta Hai Maslak E Ahmad Raza.

Kya Mitaayega Koi Ahmad Raza Ke Naam Ko,
Ghawth O Khwaja Ki Raza Hai Maslak E Ahmad Raza.

Najdiyoñ ‘Ishq E Shehenshaah E Madinah Ke Siwa,
Tum Se Kya Kuch Maangta Hai Maslak E Ahmad Raza.

Nagma E ‘Ishq E Risaalat Ke Waseele Se ASAD,
Rooh Ko Tarpaa Raha Hai Maslak E Ahmad Raza.

 

 

Ye Dawr Ghawth Ka Hai Lyrics

mufti e azam e deen e khair ul wara lyrics

Leave a Reply