AB MERI NIGAHON MEIN, JACHTA NAHI KOI Naat Lyrics

AB MERI NIGAHON MEIN JACHTA NAHI KOI Naat Lyrics

 

Ab Mere Nigahoon Mein Jachta Nahi Koi
Jaisay Meray Sarkar Hein, Aisa Nahin Koi.

Tumsa To Haseen Ankh Nay, Dekha Nahi Koi
Yeh Shan E Latafat Hai, Kay Saya Nahi Koi.
Jesy Mery Sarkar Hein Esa Nahi Koi.

Aey Zarfenazar Deikh, Magar Deikh Adab Say
Sarkar Ka Jalwa Hai, Tamasha Nahi Koi.
Ab Meri Nigahoon Mey Jachta Nahi Koi….

Eizaz Yeh Hasil Hai, To Hasil Hey Zameen Ko
Aflaq Pay To Gumbad E Khazra Nahin Koyee.
Jesay Meray Sarkar Hain Eisa Nahi Koi…

Sarkar Ki Rehmat Ney, Magar Khoob Nawaza
Yeh Sach Hey Key Khalid Sa Nikama Nahi Koi.
Ab Meri Nigahoon Mey Jachta Nahi Koi
Jesy Mery Sarkar Hein Esa Nahi Koi

 

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi

अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई
अब मेरी निगाहों में जचता नहीं कोई
जैसे मेरे सरकार हैं वैसा नहीं कोई !

 

तुमसा तो हंसीं आंख ने देखा नहीं कोई
यह शान-ए-लताफ़त है के साया नहीं कोई!

 

ऐ ज़र्फ़-ए नज़र देख, मगर देख अदब से
सरकार का जलवा है तमाशा नहीं कोई !

 

यह त़ूर से कहती है अभी तक शब-ए-मे’राज
दीदार की ताक़त हो तो पर्दा नहीं कोई !

 

होता है जहां ज़िक्र मोहम्मद ﷺ के करम का
उस बज़्म में मैहरूम-ए-तमन्ना नहीं कोई !

 

ए’ज़ाज़ यह हासिल है तो हासिल है ज़मीं को
अफ़लाक पे तो गुंबद-ए-ख़ज़रा नहीं कोई !

 

दरमान-ए ग़म व दर्द, शिफ़ा-ए दिले बेताब
जुज़ आपके ऐ जान-ए-मसीहा नहीं कोई !

 

सरकार की रहमत ने मगर ख़ूब नवाज़ा
ये सच है के ‘ख़ालिद’ सा निकम्मा नहीं कोई !

 

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi

اب میری نگاہوں میں جچتا نہیں کوئی
جیسے مرے سرکار ہیں ویسا نہیں کوئی

Ab Meri Nigahon Mein Jachta Nahi Koi
Jaise Meray Sarkaar Hain Waisa Nahi Koi

 

تم سا تو حسیں آنکھ نے دیکھا نہیں کوئی
یہ شان لطافت ہے کہ سایہ نہیں کوئی
Tumsa Tou Haseen Aankh Ne Dekha Nahi Koi
Ye Shaan-e-Latafat Hai Ke Saaya Nahi Koi

 

اے ظرفِ نظر دیکھ مگر دیکھ ادب سے
سرکار کا جلوہ ہے تماشا نہیں کوئی
Aye Zarf e Nazar Dekh Magar Dekh adab se
Sarkar Ka Jalwa Hai Tamasha Nahin Koi

 

یہ طور سے کہتی ہے ابھی تک شب معراج
دیدار کی طاقت ہو تو پردہ نہیں کوئی
Ye Toor Say Kehti Hai Abhi Tak Shab-e-Mairaj
Deedar Ki Taaqat Ho To Parda Nahin Koi

 

ہوتا ہے جہاں ذکر محمد ﷺ کے کرم کا
اس بزم میں محرومِ تمنا نہیں کوئی

Hota Hai Jahañ Zikr Muhammad ﷺ Ke Karam Ka
Uss Bazm Mein Mehroom e Tamanna Nahi Koi

 

اعزاز یہ حاصل ہے تو حاصل ہے زمیں کو
افلاک پہ تو گمبد ِ خزرا نہیں کوئی
Aizaaz Ye Haasil Hai Tou Haasil Hai Zamee Ko
Aflaak Pe Tou Gumbad-e-Khizra Nahi Koi

 

درمانِ غم و درد شفاءِ دلِ بیمار
جزو آپ کے اے جان مسیحا نہیں کوئی
Darmaan e Gham o Dard, Shifaa e Dil e Betaab
Juz Aap ke Ay Jaane Masiha Nahiñ Koi

 

سرکار کی رحمت نے مگر خوب نوازا
یہ سچ ہے کہ خالد سا نکما نہیں کوئی
Sarkar Ki Rehmat Ne Magar Khoob Nawaza
Ye Sach Hai Ke Khalid Sa Nikamma Nahi Koi

از کلام : خالد محمود خالد نقشبندی

ab meri nigaho me jachta nahi koi naat lyrics

Leave a Reply