Adab Se Arz Hai Ba Chashm-e-Tar Gharib Nawaz Lyrics

Adab Se Arz Hai Ba Chashm-e-Tar Gharib Nawaz Lyrics

 

 

Adab Se Arz Hai Ba Chashm-e-Tar

Adab Se Arz Hai Ba Chashm-e-Tar Ghareeb Nawaz,
Idhar Bhi Ek UchaT’ti Nazar Ghareeb Nawaaz.

 

Mire Junooñ Meiñ Ho Tum Mustatar Ghareeb Nawaaz,
Mera Junuñ Hai Tumhari Khabar, Ghareeb Nawaaz.

 

Bahut Dinoñ Se Hai Zauq-e-Safar, Ghareeb Nawaaz,
Nigah e Shauq Meiñ Hai Rahguzar, Ghareeb Nawaaz.

 

Jinheñ Hawas Hai Unheñ Seem-o-Zar Ghareeb Nawaaz,
Idhar To Sirf Karam Ki Nazar, Ghareeb Nawaaz

 

Nawaziye Mujhe Jaldi Nawaziye Khwaja,
Na Dekhiye Mere Aib o Hunar Ghareeb Nawaaz.

 

Mueenuddin, Risaalat Bhi Hai, Wilaayat Bhi,
Ke Mubtada Haiñ Muhammad ﷺ, Khabar, Ghareeb Nawaaz.

 

Tumhare Naam Pe MiTte Raheñge Deewane,
Na Mit Sakega Tumhara Asar, Ghareeb Nawaaz.

 

Jinheñ Naseeb Gadaayi Tumhare Dar Ki Hai,
Ghani Rahenge Wohi Umr Bhar Ghareeb Nawaaz

 

Wo Kam Nazar Haiñ Na Dekheñ Tumhen Jo Ulfat Se,
Wo Be Basar Haiñ, Unheñ Kya Khabar, Gharib Nawaz.

 

Ba Faiz-e Hazrat-e Peeran-e Peer o Aal-e Abaa,
Tumhare saaye Meiñ Hai, Ghar Ka Ghar, Gharib Nawaz.

 

Zahe Naseeb, Do Guna Urooj Haasil Hai,
Idhar Mere Shah-e-Jeelaañ, Udhar Gharib Nawaz.

 

Khabar Nahiñ Ke Ghareeboñ Ka Hashr Kya Hota,
Khuda Tumhe Na Banaata Agar Gharib Nawaz.

 

Tumhare Dar Se Qayamat Hi Ab Uthayegi,
Yahañ Se Jaayeñ To Jaayeñ, Kidhar Gharib Nawaz.

 

Mere Mazaaq-e Talab Ki Bhi Laaj Rah Jaye,
Ye Munhasir Hai Karam Aap Par Gharib Nawaz.

 

Tumhare Lutf o Karam Se Pata Chala Mujh Ko,
Nahin Hai Aah Meri Be Asar, Gharib Nawaz.

 

Sar-e-Niyaaz Ko Tum Ne Bulandiyaañ Bakhsheeñ,
Kamaal e Fakhr Se Ooñcha Hai Sar, Gharib Nawaz.

Naseer! Khwaja e Ajmer Is Liye Haiñ Kareem,
Ke Hai Azal se Muhammad ﷺ Ka Ghar “Ghareeb Nawaaz”

 

Leave a Reply