DAROOD E HAQ

 

 

v DAROOD -E- HAQ:Nafs ko saakit karke Rooh se amal karna.

v Kufr : Kissi bhi amal mein nafs ka dakhal dena kufr hain.

v Shirk: Kissi bhi shar o khair mein makhlooq ko zimmedaar theraana shirk hain.

v Munafiqat kissi bhi Roohaani amal ko nafs se taabir karna munafiqat hain.

v Namaz-e-ishq: Ke liye insaano ke khoon se wazu karna hoga.

v WATER(Paani) :
i)MAZAA:Momin jab kulli karta hain aur maza alag hain to thook deta hain.
ii)RANGA: Momin jab wazu karta hain to jab haat mein paani leta hain agar us mein rang hain to chod deta hain kyon ke saaf paani nahin hai .
iii)BOO:Jab naak mein leta hain agar boo aayi to chod deta hain.

v Quran kis per utaari?
Rooh par -Ya ayyuhal lazina
Nafs par – Ya ayyuhan naas.

v HAZA MIN FAZLI RABBI:
Jisne nafs ki nafi ki Allaah ko pehchaan liya usne sab kuch paa liya.Fazal woh hai jo Allaah hain Naemat woh hain jo hamesha rehne wali hain.

 

v Mujjassima – Adam (A.S)
Rooh – To Allaah ki Zaat dhadak rahi hain
YA AIYUHAL LAZINA – Rooh (99%)
YA AIYUHAL NAFSU – Nafs (0%) Shaitan – (1%)
YA AIYUHAL MOMININA WA MOMINAAT – Kamiyaab imaan wale Muslimoona wa Muslimaat.

 

v ADAM ALAIHISALAAM KE ANDAR JO ROOH (Allaah ki Zaat ) maujood hai hum uss ko sajda karte hai.
Hamaray jism me maujood faristay sajda karte hain aur shaitan waswasey dalta rahta hain. Peer ki baat hi hamaray liye shariyat hai.

v HADIS : Qabar hi illin hai qabar hi sijjin kisi bhi insaan ke liye.

v Shariyat : Rooh ko pahchanna aur nafs ko sakit karna
tariqat : peer ka amal aur mera amal ek hi hona

v Marifath:Zaat ki pahchaan,Rooh ki pahchaan

v Haqiqat: Har zarreh zarreh may Allaah ko dekhna

v Bandagi ke mane yahi hai ke maqlooq ki di hue arziyato(zulm)ko bardash karna matlab

v Zikr namaz se afzal hai

v Meri maut hi mera imaan hai

v Mera ilm hi Allaah ki pehchaan hai.

v MASHALLAAH : Tu khatam ho jayega magar banane wala hamesha reh jayega.

v SUBHAN ALLAAH : Paak hain woh Zaat jo saari kaayenat ko dhadka rahin hain.Dhadkan paak hai uski sifat naapak hain.

v INSHAALLAAH : Mein nafs ke aitbaar se saakit hoon mein kuch nahi kar sakta. Mere andar Alah ki Zaat hain wohi sab kuch kar sakti hain.

v DUA:

i)RABBANA AATINA FID DUNIYA HASANATAU WA FIL AAQIRATI HASANATAU WA QINA AZAABAN NAAR.
Ay Allaah mujhe woh duniya ata farma jo tujhe pasand hain aur tere Nabi (S.A.W.S) ko pasan hain. Nabi (S.A.W.S) ke tareeke wali zindagi ata farma agar woh tareeke wali zindagi mujhe mil gayi to zaroor mein akhirat ke azaab se bach sakta hoon.
ii)HAAZA MIN FAZLI RABBI
Jis ne nafs ki nafi ki usne Allaah ko pehchaan liya.Usne sab kuch paa liya. Fazal woh hain jo Allaah hain Naimat woh hain jo Hamesha rehne wali hain.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *