har maraz ka utar gaya pani naat lyrics
Har maraz ka utar gaya pani Lyrics || Asad Iqbal
Har maraz ka utar gaya pani
Meine Zamzam ka jab piya pani
Dekh kar Husne Mustafai ko
Chand ke Munh mein aa gaya pani
Chand Talwe ko chum kar bola
Husn Mujpe chad gaya pani
Hath utthe the Mere Aaqa ke
Kis tarha baat kat’ta pani
Mustafa ke labon ka hilna tha
Badalon se baras pada pani
Nanhe Asgar ki pyas ke sadqe
Sari Duniya ko mil gaya pani
Mere Shabbir chah lete to
Ek thokar se fut’ta pani
Mere Khwaja ka hukm sunte hi
Ek Kase mein aa gaya pani
Aaya jab Ek mas’ala aesa
Hai bhala kaun aur bura pani
Dudh ka dudh Aala Hazrat ne
Aur pani ka kar diya pani
Aala Hazrat ka jo bhi Dushman hai
Daldo Us pe kholta pani
Aye Asad sab Khuda ki ne’mat hai
Rang Khushbu ghata hawa pani
Hui Sarkar ki aamad zamana ho gaya roushan lyrics
KHUDA HI JAANE TUMHARA RUTBA HAI LYRICS
MUSTAFA KHAIRUL WARA HO NAAT LYRICS
Ye Dil Bhi Hussaini Hai Manqabat Lyrics
Qurani Maloomat Urdu Pdf Free Download
KARAM HI KARAM HAI NAAT LYRICS
Bolte Hain Sangreze Aapke Ishare Se Naat Lyrics
Aasiyo Ko Dar Tumhara Mil Gaya Naat Lyrics