Jo Aab o Taab e Dandaan e Munaw’war Dekh Lun Noori Lyrics

Jo Aab o Taab e Dandaan e Munaw’war Dekh Lun Noori Lyrics

 

 

Par’huñ Wo Matla’ e Noori Thana e Mahr e Anwar Ka
Ho Jis Se Qalb Roshan Jaise Matla’ Mahr e Mahshar Ka

Sar E Arsh e ‘Ulaa Pahuncha Qadam Jub Mere Sarwar Ka
Zubaan e Qudsiyaañ Par Shor Tha ‘Allahu Akbar’ Ka

Bana Arsh e Bareeñ Masnad Kaf e Paa-e Munaw’war Ka
Khuda Hee Jaanta He Martaba Sarkaar Ke Sar Ka

Do Aalam Sadqa Paate Haiñ Mere Sarkaar Ke Dar Ka
Isee Sarkaar Se Milta He Jo Kuch He Muqad’dar Ka

Bar’ay Darbaar Me Pahunchaaya Mujh Ko Meri Qismat Ne
Me Sadqe Jaa-uñ, Kya Kehna Mere Ach’che Muqad’dar Ka

He Khushk o Tar Pe Qabza Jis Ka Wo Shaah e Jahaañ Ye He
Yahi He Baadsha Bar Ka, Yahi Sultañ Samandar Ka

Mit’ay Zulmat Jahaañ Ki Noor Ka Tar’ka Ho Aalam Me
Naqaab e Roo e Anwar Ay Mere Khursheed Ab Sarka

Zia Bakhshi Teri Sarkaar Ki Aalam Pe Roshan He
Mah o Khursheed Sadqah Paate Haiñ Pyaare Tere Dar Ka

Nigaah e Mahr Se Apni Banaaya Mahr Zar’roñ Ko
Ilaahi! Noor Din Doona Ho Mahr e Zar’ra Parwar Ka

Tabaq Par Aasmaañ Ke Likhta Me Na’at e Shah e Waala
Qalam Ay Kaash Mil Jaata Mujhe Jibreel Ke Par Ka

Maqaabil Un Ke Zar’rah Ke Zara Saa Munh Nikal Aaya
Bahut Shohra Suna Karte Thay Hum Khursheed Mahshar Ka

Jamaal e Haq Numa Dekheñ, Ayaañ Noor e Khuda Paa-eñ
Kaleem Aa-eñ, Hata Dekheñ, Zara Pardah Tere Dar Ka

Na Saaya Rooh Ka Har Giz Na Saaya Noor Ka Har Giz
To Saaya Kaisa Us Jaan e Jahaañ Ke Jism e Anwar Ka

Wo Aa-ina Agar Dekheñ, To Apne Aap Ko Dekheñ
Kahaañ He Aa-ina Me Awr Ko-ee Un Ke Baraabar Ka

Muhaal e Aql He Tera Mumaathil Ay Mere Sarwar
Tawah’hum Kar Nahiñ Sakta He Aaqil Tere Hum-sar Ka

Khuda Shaahid, Raza Ka Aap Ki Taalib Khuda Hoga
Ta’aal-Allah Rutbah Mere Haami Mere Yaawar Ka

Daba Jaata Pija Jaata Huñ Me Aaqa, Duha-ee He
Ye Bhaari Bojh ‘Isyaañ Ka Mere Sar Ka Zara Sarka

Bujhegi Sharbat e Deedar Hee Se Tishnagi Apni
Tumhari Deed Ka Pyaasa Huñ, Yuñ Pyaasa Huñ Kawthar Ka

Zubaañ Par Jam Ga-e Kaante He Saara Halq Khushk Apna
Shaheed e Karbala Ka Sadqa, Do Ek Jaam Kawthar Ka

Kamee Kuch Bhi Khazaane Me Tumhari Ho Nahiñ Sakti
Tumheñ Haq Ne Ata Farma Diya Jub Chashma Kawthar Ka

Jo Aab o Taab e Dandaan e Munaw’war Dekh Luñ Noori
Mera Bahre Sukhan Sar Chashma Ho Khush Aab e Gohar Ka

 

Leave a Reply