sawaneh e hayat Qari Abdul Malik Urdu PDF Book

Sawaneh e Hayat Qari Abdul Malik Urdu PDF Book

 

Sawaneh e Hayat Qari Abdul Malik Urdu PDF Book
Sawaneh e Hayat Qari Abdul Malik Urdu PDF Book
Small size file – (File Size: 7.96 MB)
High quality file – (File Size: 141.54 MB)

 

 

 

सवाल : एक शख्स की रमज़ान में लेट आंख खुली वह यह समझते हुए कि अभी सहरी का टाइम बाक़ी है खाना खाता रहा बाद में मालूम हुआ सहरी का वक़्त खत्म हो गया था फिर भी उस ने रोज़ा रख लिया, तो इस रोज़े का क्या हुक्म है ?

अल जवाब : सूरते मसऊला में उस का रोज़ा नहीं हुआ, उस पर उस दिन की क़ज़ा रखना फ़र्ज़ है, यानी उस रोज़े के बदले में एक रोज़ा रखना पड़ेगा, लेकिन कोई कफ्फारा नहीं और चूंकि खताअन ऐसा हुआ है इसलिए गुनाह भी नहीं

याद रहे ऐसी सूरत में अगर्चे रोज़ा नहीं होता, लेकिन बक़िया सारा दिन रोज़ेदार की त़रह रहना वाजिब होता है, लिहाज़ा अगर इस तरह की सूरत किसी को पेश आई हो और उस ने सारा दिन रोज़ादार की त़रह ना गुजारा तो वह ज़रूर गुनहगार होगा !

हवाला ⤵️

📚📗 रमज़ान के फतवे सफ़ा 26

 

••••Fazaail e Ramzan••••
◉෴◉෴◉෴◉෴◉

Sarkare Madeena ﷺ Ne Irshad Farmaya, ” Roza Sipar Hai Dozakh Se” (Yaani Jis Tarah Sipar (Yaani Dhaal) Talwar Ke War Ko Rokti Hai! Issi Tarah Roza Bhi Jahannum Ki Aag wa Azaab Se Rozedar Ka Bachau Karta Hai! Qiyamat Mein Jab Dozakh Gunaahgaar Par Hamla Aawar Hogi To Hukm Hoga Jo Log Roza Daar Mare Hai, Kaha Hai? Jab Wo Samne Jaayenge To Dozakh Unki Boo Pehchan Kar Chalees(40) Baras Ke Fasle Par Unsey Door Hatt Jayengi!
📖 { Anisul Wae’zeen }

Rozadaar Ko Aag Na Jalayegi
•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•-•

Hadis Sharif Mein Hai Ki Qiyamat Ke Din Ek Gunaahgaar Dozakh Mein Dala Jayega Aag Ussey Bhagegi! Darogh-e-Jahannum Hazrate Sayyeduna Malik (Alayhis Salam) Dozakh Ki Aag Se Kahege, Tu Isey Kyun Nahi Pakadti? Aag Arz Karegi, Main Isey Kyunkar Pakdu Iske Munh Se Roze Ki Boo Aati Hai! Hazrat Sayyeduna Malik (Alayhis Salam) Uss Gunaahgaar Se Puchenge, Kya Tu Rozedaar Mara Tha? Wo Kahenge, Ji Haan!
📖 { Anisul Wae’zeen }

Mahe Ramzan Ke Fazaail Se Kutube Ahadees Malamaal Hai! Ramzan’ul Mubarak Mein Iss Qadr Barkate Aur Rahmate Hai Ki Hamare Pyaare Aaqa ﷺ Ne Yeh Tak Irshad Farmaya:
“Agar Bando Ko Maloom Hota Ki Ramzan Kya Hai To Meri Ummat Tamanna Karti Ki Kash! Pura Saal Ramzan Hi Ho!”
📖 { Ibne Khuzama }

Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ•Θ

Leave a Reply