Sayyada Fatima ka Dulara Wo Hussain ibne Haider Hamara Naat Lyrics
Sayyada Fatima ka dulara, wo Hussain ibne Haider hamara
Sarware ambiya Ka hai pyara, Wo Hussain ibne Haider hamara.
Jisko jhula farishte jhulate Rahe
Jisko Kandhe pe Nana bithate Rahe,
Jo yazeedon ka chhakka chuda Rahe
Teer khate Rahe muskurate Rahe,
Jo yazeedon se hargiz na Hara, Wo Hussain ibne Haider hamara.
Apna bazu Koi aazmane chale
Apne halq pe teer ko khane chale,
Haqqo baatil hai kya ye batane chale
Bahre zulmat pe ghoda Dodane chale,
Lag raha hai zamane Mein Nara, wo Hussain ibne Haider hamara.
Mera Shabbir khela hai shamshir se
Aur shamshir khele Hai Shabbir se,
Aise khele Hain zulfe nabi, se Hussain
Khelti jaise aayat Ho tafseer se,
Chashme maula Ali ka sitara, Wo Hussain ibne Haider hamara.
Bandh kar Wo kafan apne sar par chala
Sue karbo bala ibne Haider chala,
Apne Hamrah lekar 72 chala
Jis ghadi 6 mahine ka Asgar chala,
Ho Gaya hurmala para para, wo Hussain ibne Haider hamara.
Mat Kaho Ala hazrat ne kya de Diya
Mustafa ki Gali Ka pata de Diya,
Ahle sunnat ko ek Aslaha de Diya
Yani addaulat-ul-makkiyah de Diya
Jiski ulfat Mein jivan guzara, Wo Hussain ibne Haider hamara.
- Ghous Ka Deewana Qawwali Lyrics
- Ghouse Azam Lo Mureedon Ka Salam Lyrics
- Chand Hai Hairat Me Muh Takta Hai Tara Ghous Ka Lyrics
- Mushkil Pade To Yaad Karo Dastagir Ko Lyrics
- QASEEDA-E-GAUSIYA NAAT LYRICS
- Aseero Ke Mushkil Kusha Gaus e Aazam lyrics
- BAGHDAD WAADA ! NODHAARI NAAWDINE TAARO NAAT LYRICS
- ALMAH KAHAR HAIN AE GHOUS WO TIKHA TERA NAAT LYRICS