Shabe Meraj Ghause Paak

TEHQEEQI PAMPHLET NO. 5
Shabe Meraj
Ghause Paak
KYA SHABE MERAJ HUZOOR GHAUSE PAAK
KI MULAQAT HUMARE NABI SE HUYI?
KYA NABIYE KAREEM SALLALLAHO ALAIHI WASALLAM
NE AAP KE KANDHO PAR APNA QADAM RAKHА?
مخلفات
AM ABDE MUSTAFA
ABOUT US
Abde Mustafa Official, a team from Ahle Sunnat Wa Jama’at
Our motto : Serving Quraano Sunnat, preaching Ilme Deen and
to reform people.
This team came into existence in the year 2012 and in very
few years this team did a lot of acts.
There is also a special place of Abde Mustafa Official on
social media networking sites.
Lots of people from all over the world are connected to us
via Facebook, WhatsApp, Instagram, Telegram, YouTube and
Blogger.
Abde Mustafa Official
ملفاي
BM ABDE MUSTAFA
ABDE MUSTAFA OFFICIAL
abdemustafaofficial.blogspot.com
[1]
Chand Kitabo Mein Ye Waqiya Dekhne Ko Milta Hai Ke Shabe
Meraj Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Arsh Par
Tashreef Le Gaye To Wahan Huzoor Ghause Paak Ki Rooh Haazire
Khidmat Huyi Aur Nabiye Kareem Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne
Huzoor Ghause Paak Ke Kandho Par Apna Qadam Rakha Aur Irshad
Farmaya : Beta! Mere Ye Qadam Tumhari Gardan Par Hain Aur Tumhare
Qadam Tamam Waliyo Ki Gardano Par Honge Ye Waqiya Mukhtalif
Tariqo Se Bayaan Kiya Jaata Hai
Tafreehul Khatir Naami Kitab Mein Is Tarah Bhi Likha Hua Hai Ke
Jab Nabiye Kareem Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Arsh Ke Qareeb
Pahunche To Us Ko Bahut Uncha Paaya Jis Par Baghair Seedhi Ke
Chadhna Mumkin Na Tha To Allah Ta’ala Ne Huzoor Ghause Paak Ki
Rooh Ko Bheja Aur Aap Ki Rooh Ne Seedhi Ki Jagah Apne Kandhe Rakh
Diye, Phir Aap Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Kandho Par Apne
Paaon Mubarak Rakhne Ka Irada Farmaya To Allah Ta’ala Se Is Ke Baare
Mein Poochha, Allah Ta’ala Ne Farmaya Ke Ye Aap Ki Awlaad Mein Se
Hai Aur Is Ka Naam Abdul Qadir Hai (Aur) Aye Mahboob! Agar Aap
Aakhiri Nabi Na Hote to Aap Ke Baad Ohda-e-Nuboowat Ise Ata Kiya
Jaata Is Par Nabiye Kareem Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Allah
Ta’ala Ka Shukr Ada Kiya Phir Farmaya Ke Aye Mere Bete! Tujhe
Mubarak Ho Ke Tune Mujhe Dekha Aur Meri Neamat Se Sarfaraz Hua
Phir Use Bhi Mubarak Ho Jo Tujhe Dekhe Aur Tere Dekhne Waale Ko
Dekhe, Phir Jo Use Dekhe Phir… Is Tarah Aap Sallallaho Ta’ala Alaihi
Wasallam Ne Sattayis (27 Baar) Tak Farmaya Phir Farmaya Ke Maine
Apna Qadam Teri Gardan Par Rakha Hai Aur Tera Qadam Tamam
Waliyo Ki Gardano Par Hoga, Agar Mere Baad Nuboowat Hoti To Tum
Nabi Hote Lekin Mere Baad Koi Nabi Nahin
ب اخیشلدبعااقلدر،اردو،ص )

(دںیھکی:رفتحیااخلرطیفانمق ،47 اقدری روضی بتک اخہن الوہر
[2]
Is Kitab Mein Ye Waqiya Mukhtalif Alfaaz Aur Andaz Ke Saath
Darj Hai Ye Waqiya Jinhone Kabhi Nahin Suna Un Ke Liye To Faqat Ye
Waqiya Hi Kaafi Hairat Angez Hai Lekin Baaz Muqarrireen Jab Is Mein
Namak Mirch Laga Kar Bayaan Karte Hain To Sunne Waale Hairan Hone
Ke Saath Saath Pareshan Bhi Ho Jaate Hain Hum Pehle Is Waqiye Ke
utalliq Baaz Ulama -e- Ahle Sunnat Ke Aqwaal Pesh Karte Hain Phir
Mazeed Kuchh Arz Karenge
Imam-e-Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta’ala Likhte
Hain Ke Matalib Chand Qism Hain, Har Qism Ka Martaba Juda Aur Har
Martabe Ka Paaya -e- Suboot Alahida (Yaani Har Tarah Ki Baat Ko
Saabit Karne Ke Liye Ek Jaise Ya Ek Paaye Ka Suboot Zaroori Nahin Hai
Balki Jaisi Baat Hoti Hai Usi Tarah Ki Daleel Zaroori Hoti Hai) Is Qism
Matalib (Yaani Mazkoora Shabe Meraj Waala Waqiya) Ahadees Mein
Zuhoor Na Hona Mudar Nahin Balki Kalimaat-e- Ulama Mashaikh Mein
In Ka Zikr Kaafi Imam Jalaluddin Suyooti Ne Is Riwayat Ki Nisbat Ke
Hazrate Umar Faruque Radiallaho Ta’ala Anho Ne Huzoor Pur Noor
Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Wisal Ke Baad Kalaam-e-Taweel
Mein Huzoor Alaihissalam Ko Har Jumla Par Ba Kalimaye “Ya
Rasoolallah Aap Par Mere Maa Baap Qurban Ho” Nida Kar Ke Fazail-eJaleela Wa Khasais-e-Jameela Bayaan Kiye, Tehreer Farmaya :
لماجدہفشیئمنکتباالثرلکنصاحباقباساالنواروابنالحاجفمدخلہذکراہفضمن
حدیثطویلوکیفبذلكسندالمثلہفانہلیسممایتعلقباالحکام
)نسیمالریاضبحوالہمناہلالصفایفتخریجاحادیثالشفاء،الفصلالسابع1/248، (
“Yaani Maine Ye Riwayat Kisi Kitab -e- Hadees Mein Na Paayi
Magar Saahib -e- Iqtebasul Anwaar Aur Imam Ibnul Haaj Ne Apni
Mudkhal Mein Ise Ek Hadeese Taweel Ke Ziman Mein Zikr Kiya Aur Aisi
Riwayat Ko Isi Qadar Sanad Kifayat Karti Hai Ke Inhein Kuchh Baab -eAhkaam Se Talluq Nahin”
[3]
Biljumla Roohe Muqaddas Ka Shabe Meraj Ko Haazir Hona Aur
Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ka Hazrate Ghausiyat
Ki Gardan Mubarak Par Qadam -e- Akram Rakh Kar Buraaq Ya Arsh Par
Jalwa Farmana Aur Sarkaar -e- Abad Qaraar Se Farzande Arjumand Ko
Is Khidmat Ke Sila Mein Ye Inaam -e- Azeem Ata Hona (Ke Tumhara
Qadam Waliyo Ki Gardano Par Hoga) In Mein Koi Amr Na Aqlan Aur
Shar’an Mehjoor Aur Kalimaat -e- Mashaikh Mein Mastooro Masoor,
Kutub -e- Hadees Mein Zikr Madoom Na Ke Adam Mazkoor, Na
Riwayaat -e- Mashaikh Is Tarah Sanad -e- Zahiri Mein Mahsoor Aur
Qudrate Qadir Wasee Wa Maufoor Aur Qadre Qadri Ki Bulandi
Mash’hoor Phir Raddo Inkar Kya Muqtadaye Adabo Sha’oor
(اتفوی روضہی، ج،28 ص411و 412)
Is Waqiye Mein Ye Jumla Ke “Mere Baad Agar Nuboowat Hoti To
Tum Nabi Hote” Par Aala Hazrat Likhte Hain Ke Agarche (Ye) Apne
Mafhoom -e- Sharti Par Sahih Wa Jaayezul Itlaaq Hai Ke Beshak Martaba
-e- Aliya Rafiya Huzoor Pur Noor Radiallaho Ta’ala Anho Tulu Martaba
-e- Nuboowat Hai (Yaani Martaba -e- Ghausiyat, Martaba -e- Nuboowat
Ke Pichhe Hai), Khud Huzoor-e-Mualla Radiallaho Ta’ala Anho Farmate
Hain : Jo Qadam Mere Jadde Akram Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam
Ne Uthaya Maine Wahin Qadam Rakha Siwa Aqdaam-e-Nuboowat Ke,
Ki Un Mein Ghaire Nabi Ka Hissa Nahin
دندقم
ہ
ازیبن ببدانتشاگمازوتبب
ا

ت
ہ
خ
ل
بوۃدساشماھا
ب
ہ
لن
ریغادقاما
(Nabi Ka Kaam Qadam Uthana Aur Aap Ka Kaam Qadam Rakhna
Hai Ilawa Aqdaam-e-Nuboowat Ke, Ki Wahan Khatme Nuboowat Ne
Rasta Band Kar Diya Hai) Aur Jawaz-e-Itlaaq (Is Jumle Ka) Yun Ke Khud
Hadees Mein Ameerul Momineen, Umar Faruque Radiallaho Ta’ala
Anho Ke Liye Warid:
[4]
لوكانبعدینیبلکانعمربنالخطابرواہاحمدوالرتمذیوالحا کمعن ِعقبۃبنعامروالطرباینیف
الکبریعنعصمۃبنمالکریضاللہتعایل عنھما
“Mere Baad Nabi Hota To Umar Hota” (Is Ko Imam Ahmad, Tirmizi
Aur Hakim Ne Uqba Bin Aamir Se Jabki Tabrani Ne Moajame Kabeer
Asma Bin Malik Radiallaho Ta’ala Anhuma Se Riwayat Kiya)
)جامعالرتمذیابوابالمناقبمناقبعمربنخطابریضاللہعنہ/209، ،2 المستدركللحا کم
کتابمعرفۃالصحابۃ،لوكانبعدینیبلکانعمر،دارالفکربریوت/85، ،3المعجمالکبری،
حدیث،475 المکتبۃ الفیصلیۃ بریوت، /180 ،17مسنداماماحمدبنحنبل،حدیثعقبہبن
عامر،المکتباالسالیمبریوت/154، 4(
Dusri Hadees Mein Hazrate Ibrahim Saahibzada -e- Huzoore
Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Liye Warid:
لوعاشابراھیملکانصدیقانبیا۔رواہابنعسا کرعنجابربنعبداللہوعنابنعباسوعن
ابنایباویفوالباوردیعنانسبنمالكریضاللہتعایلعھن
“Agar Ibrahim Jeete To Siddique Wa Paighambar Hote” (Is Ko Ibne
Asakar Ne Jabir Bin Abdullah Aur Ibne Abbas Aur Ibne Abi Aufa Se
Jabki Al Bawardi Ne Hazrate Anas Bin Malik Se Riwayat Kiya, Allah
Ta’ala Un Se Raazi Ho)
)تاریخدمشقالکبریبابذکربنیہوبناتہعلیہالصلوۃوالسالموازواجہ،داراحیاءالرتاثالعریب
بریوت، ،3/75کزنالعمالبحوالہالباوردیعنانسوابنعسا کرعنجابربنعبداللہ،ابن
یف /469 ،11 حدیث32204( ،
ی
عباسوابنایباو
Ulama Ne Imam Abu Muhammad Juweni Rahimahullahu Ta’ala Ki
Nisbat Kaha Hai Ke Agar Ab Koi Nabi Ho Sakta To Wo Hote. Imam Ibne
Hajar Makki Apne Fatawa Hadeesiya Mein Farmate Hain:
[5]
قالیف”شر حالمہذب”نقالعنالشیخاالمامالمجمععیلجاللتہوصالحہوامامتہایبمحمدالجویین
الذیقیلیفترجمتہلوجازانیبعثاللہیفھذہاالمۃنبیالکانابامحمدالجویین
“Sharah Muhazzab Mein Kaha Naqal Karte Huye Us Shaykh Wa
Imam Se Jin Ki Jalalat Wa Salahiyat Wa Imamat Par Ijma Hai Yaani Abu
Muhammad Juweni Alaihir Rahma Jin Ke Taaruf Mein Kaha Gaya Hai
Ke Agar Ab Allah Ta’ala Ki Taraf Se Is Ummat Mein Kisi Nabi Ko Bhejna
Jaayez Hota To Wo Abu Muhammad Juweni Hote”
) خ،داراحیاءالرتاثالعریب
ھذہاالمۃنبیاال
الفتاویالحدیثیہ،مطلبقیللوجازانیبعثاللہیف ی
بریوت، ص ،324 325(
Magar Har Hadees Haque Hai, Har Haque Hadees Nahin Hadees
Manne Aur Huzoore Akram, Syed -e- Alam Sallallaho Ta’ala Alaihi
Wasallam Ki Taraf Nisbat Karne Ke Liye Suboot Chahiye, Be Suboot
Nisbat Jaayez Nahin Aur Qaul -e- Mazkoor Saabit Nahin, Wallahu Ta’ala
Aalam
(ااضی،ً ص،415 416)
Ek Aur Sawal Ke Jawab Mein Likhte Hain Ke Raha Shabe Meraj
Mein Rooh Pur Futooh Hazrate Ghausus Saqalain Radiallaho Ta’ala
Anho Ka Haazir Ho Kar Paaye Aqdas Huzoor Pur Noor Syed -e- Aalam
Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Niche Gardan Rakhna Aur Waqte
Rukoob -e- Buraaq Ya Su’ood -e- Arsh Zeena Banna, Shar’an Wa Aqlan
Is Mein Koi Bhi Istehala Nahin Sidratul Muntaha Agar Muntahaye Urooj
Hai To Ba Aitbar -e- Ajsaam Na Ba Nazre Arwaah Urooj -e- Roohani
Hazaaro Akabir Auliya Ko Arsh Balki Mafauqul Arsh Tak Saabit Wa
Waaqe Jis Ka Inkar Na Karega Magar Uloom -e- Auliya Ka Munkar Balki
Ba Wuzu Sone Waale Ke Liye Hadees Mein Warid Ke : “Us Ki Rooh
Arsh Tak Buland Ki Jaati Hai” Na Is Qissa Mein Maaz Allah Booye
[6]
Tafzeel Ya Hamsari Huzoor Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala
Anho Ke Liye Nikalti Hai, Na Is Ki Ibarat Ya Isharat Se Koi Zahne Saleem
Is Taraf Ja Sakta Hai. Kya Ajab Sawari Buraaq Se Bhi Yahi Maana
Tarashe Jaayein Ke Upar Jaane Ka Kaam Hazrate Jibreel Alaihissalam
Aur Rasool -e- Kareem Alaihissalato Wattasleem Se Anjaam Ko Na
Pahuncha Buraaq Ne Ye Muhim Sar Anjaam Ko Pahunchayi (Yaani Jo
Ye Kahe Ke Kya Huzoor Ghause Paak Ke Kandho Ke Baghair Huzoore
Akram Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Buraaq Ya Arsh Par Jalwa
Farma Hone Se Qasir The Ya Muhtaji Ke Maana Tarashe To Phir Ye Bhi
Dekhna Chahiye Ke Zameen Se Aasmano Ka Safar Buraaq Par Hua To
Kya Hazrate Jibreel Aur Aaqa -e- Kareem Sallallaho Ta’ala Alaihi
Wasallam Is Se Qasir The Ke Az Khud Tashreef Le Ja Sakein)
Darparda Is Mein Buraaq Ko Fazeelat Dena Laazim Aata Hai Ke
Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ba Nafse Nafees To
Na Pahunch Sake Aur Buraaq Pahunch Gaya, Is Ke Zariye Se Huzoor Ki
Rasayi Huyi Ya Haaza (Ye) Khidmat Ke Af’aal Jo Ba Nazre Tazeem Wa
Ijlaal -e- Salateen Baja Laate Hain Kya In Ke Ye Maana Hote Hain Ke
Badshah In Umoor Mein Aajiz Aur Humara Muhtaj Hai?…
Ilawa Baree Kisi Bulandi Par Jaane Ke Liye Zeena Banne Se Ye
Kyun Kar Mafhoom Ke Zeena Banne Waala Khud Be Zeena Wusool Par
Qadir…Seedhi Hi Ko Dekhein Ke Zeena -e- Su’ood Hai Aur Khud Aslan
Su’ood Par Qadir Nahin
Farz Kijiye Ke Hungam-e-But Shikni Hazrate Ameereul Momineen
Maula Ali Karramallahu Wajhahu Ki Arz Qabool Farmayi Jaati Aur
Huzoor Pur Noor Afzalus Salawaatullahi Wa Akmalut Tasleematihi
Alaihi Wa Ala Aalihi Un Ke Doshe Mubarak Par Qadam Rakh Kar But
Girate To Kya Is Ka Ye Mafaad Hota Ke Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala
Alaihi Wasallam To Maaz Allah Is Kaam Mein Aajiz Aur Hazrate Ali
Karramallahu Ta’ala Wajhahu Qadir The, Gharz Aisi Maane Muhaal, Na
Hargiz Ibarat -e- Qissa Se Mustafaad, Na In Ke Qayileen Becharo Ko
؛Muraad
[7]
واہلل ااہلدی ایل لیبس ارلاشد
(Aur Allah Ta’ala Hi Durust Raaste Ki Taraf Hidayat Ata Farmane Waala
Hai)
Ye Bayaan Ibtaal -e- Istehaala Wa Isbaat -e- Sihhat Ba Maana
Imkaan Ke Mutalliq Tha
Khulasa Maqsad Is Ka Ma Ziyadaat -e- Jadeeda Ye Ke Is Ki Asal Kalimaat
Baaz Mashaikh Mein Mastoor, Is Mein Aqli Wa Sharayi Koi Istehala
Nahin, Balki Ahadees Wa Aqwaal -e- Auliya Wa Ulama Mein Muta’addid
Bandgaan -e- Khuda Ke Liye Aisa Huzoor -e- Roohani Warid (Yaani
Ahadees Wa Aqwaal Mein Kayi Logon Ka Roohani Taur Par Haazir
Hona Mazkoor Hai, Jin Mein Baaz Ka Zikr Darje Zel Hai)
Muslim Apni Sahih Aur Abu Dawood Teyalisi Musnad Mein Jabir
Bin Abdullah Ansari Aur Abd Bin Hameed Ba Sanade Hasan Anas Bin
Malik Radiallaho Ta’ala Anhum Se Rawi, Huzoor Syed -e- Alam
Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Farmate Hain :
ودخلتالجنۃفسمعتخشفۃفقلتماھذہقالواھذاباللثمدخلتالجنۃفسمعتخشفۃفقلت
ماھذہقالواھذہالغمیصاءبنتملحان
“Main Jab Jannat Mein Dakhil Hua To Ek Pehchal Suni, Maine
Puchha: Ye Kya Hai? Malaika Ne Arz Ki: Ye Bilal Hain Phir Tashreef Le
Gaya, Pehchal Suni, Maine Puchha: Ye Kya Hai? Arz Kiya: Ghamisa
Binte Malhaan, Yaani Umme Sulem Maadar -e- Anas Radiallaho Ta’ala
Anhuma”
)کزنالعمالبحوالہعبدبنحمیدعنانسوالطیالیسعنجابر،حدیث،33161موسسۃالرسالہ
بریوت، ،11/653مسندایبداودالطیالیس،عنجابرحدیث،1719،دارالمعرفۃبریوت،الجزء
[8]
السابع،ص238 خ،قدییمکتبخانہ
،صحیحمسلم،کتابالفضائلبابمنفضائلامسلیمال
کرایچ/292، 2(
Imam Ahmad Wa Abu Yaala Ba Sanad -e- Sahih Hazrate Abdullah
Bin Abbas Aur Tabrani Kabeer Aur Ibne Adi Kamil Ba Sanade Hasan
Abu Imama Bahili Radiallaho Ta’ala Anho Se Raawi, Huzoore Aqdas
Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Farmate Hain :
دخلتالجنۃفسمعتیفجانبھاوجسافقلتیاجربئیلماھذاقالھذاباللالمؤذن
“Main Shabe Meraj Jannat Mein Tashreef Le Gaya Us Ke Goshe
Mein Ek Aawaz -e- Narm Suni, Puchha: Aye Jibreel! Ye Kya Hai? Arz
Ki: Ye Bilal Moazzin Hain Radiallaho Ta’ala Anho”
)کزنالعمال، حدیث،33162 ،33163مؤسسۃالرسالہبریوت،11/653،الکاملالبنعدیترجمہ
لکلیب،دارالفکربریوت7/2670،( بنایبحبۃابن
جنابا
ی
یحیی
Imam Ahmad Wa Muslim Wa Nisayi Anas Radiallaho Ta’ala Anho
Se Raawi, Huzoor Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Farmate Hain:
دخلتالجنۃفسمعتخشفۃبنییدی،فقلتماھذہالخشفۃ،فقیلالغمیصاءبنتملحان
“Main Bihisht (Jannat) Mein Raunaq Afroz Hua, Apne Aage Ek
Khatka Suna, Puchha: Aye Jibreel! Ye Kya Hai? Arz Ki Gayi: Ghamisa
Binte Malhaan”
) خ،قدییمکتبخانہکرایچ،
صحیحمسلم،کتابالفضائل،بابمنامسلیما ،2/292 مسند ل
احمدبنحنبلعنانسریضاللہتعایلعنہ،المکتب االسالیم بریوت، 3/99(
Imam Ahmad Wa Nisayi Wa Hakim Ba Asnaade Sahiha Ummul
Momineen Siddiqa Radiallaho Ta’ala Anha Se Raawi, Huzoor Syedul
Mursaleen Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya :
[9]
ذلکمالرب
ذلکمالربک ی
دخلتالجنۃفسمعتفیہاقراءۃ،فقلتمنھذا؟قالواحارثۃبننعمانک ی
“Main Bihisht Mein Jalwa Farma Hua, Wahan Quran -e- Kareem
Padhne Ki Aawaz Aayi, Puchha : Ye Kaun Hai? Arz Ki Gayi : Harisa Bin
Nomaan, Neki Aisi Hoti Hai, Neki Aisi Hoti Hai”
)مسنداحمدبنحنبلعنعائشہریضاللہ عنھا، المکتب االسالیم بریوت، ،6/36 المستدرک
للحا کم،کتابمعرفۃالصحابۃ،مناقبحارثہبننعمان،دارالفکربریوت،3/208، االصابۃ یف
تمییزالصحابۃبحوالہالنسائی،حارثہبننعمان،دارصادربریوت1/298،(
Ibne Saad Tabqaat Mein Abu Bakar Udwi Se Mursalan Raawi,
Huzoor Syedul Mursaleen Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Farmate
Hain:
دخلتالجنۃفمسعتنحمۃمننعیم
“Main Jannat Mein Tashreef Farma Hua To Nuyaim Ki Khankar
Suni”
)الطبقاتالکربیالبنسعدالطبقۃالثانیۃمنالمہاجرینواالنصار،ترجمہنعیمبنعبداللہ
المعروفالنحام،دارصادربریوت/138، 4(
Ye Nuyaim Bin Abdullah Udwi Maroof Ba Nahaam (Ke Isi Hadees
Ki Wajah Se In Ka Ye Urf Qaraar Paaya) Khilafat -e- Ameereul
Momineen Faruque -e- Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Mein Junge
Ajnadain Mein Shaheed Huye
یاخرونکما
حقومصعبالزبرییو
ی
کماذکرہمویسبنعقبۃیفالمغازیعنالزھریوکذاقالہابناس
یف االصابۃ
[10]
Jaisa Ke Moosa Bin Uqba Ne Maghazi Mein Zahri Ke Hawale Se Is
Ko Zikr Kiya Yun Hi Kaha Ibne Is’haaq Aur Musab Zubairi Aur Deegar
Ulama Ne Jaisa Ke Asaba Mein Hai
(االصابۃیفتمییزالصحابۃ،ترجمہنعیمبنعبداللہ،دارصادربریوت/568، 3)
Subhan Allah! Jab Ahadees -e- Sahiha Se Ihya -e- Aalam Shahadat
Ka Huzoor Saabit To Aalam -e- Arwaah Se Baaz Arwaah -e- Qudsiya Ka
Huzoor Kya Door
Imam Abu Bakar Bin Abiddunya, Abul Makhariq Se Mursalan
Raawi, Huzoor Pur Noor Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Farmate Hain
:
یییببرجلمغیبنورالعرش،قلت:منھذا،املک؟قیل:ال۔قلت:نیب؟قیل:ال۔
مررتلیلۃاسر
قلت:منھذا؟قال:ھذارجلكانیفالدنیالسانہرطبمنذکراللہتعایلوقلبہمعلقبالمساجد
و لم یستسب لوالدیہ قط
“Yaani Shabe Asra Mera Guzar Ek Mard Par Hua Ke Arsh Ke Noor
Mein Ghaayib Tha, Maine Farmaya : Ye Kaun Hai? Koi Firishta Hai? Arz
Ki Gayi : Nahin
Maine Farmaya: Nabi Hai?
Arz Ki Gayi: Nahin
Maine Farmaya: Kaun Hai?
Arz Ki Gayi : Ye Ek Mard Hai, Dunya Mein Is Ki Zubaan Yaade Ilahi Se
Tar Thi Aur Dil Masjido Se Laga Hua Aur (Is Ne Kisi Ke Maa Baap Ko
Bura Keh Kar) Kabhi Apne Maa Baap Ko Bura Na Kehalwaya
)الدرالمنثوربحوالہابنایبالدنیاتحتآالیۃ ،2/152مکتبہٓایۃاللہالعظیمقمایران/149، ،1
الرتغیبوالرتھیببحوالہابنایبالدنیاکتابالذکروالدعاء،الرتغیبیفاال کثارمنذکراللہالخ
مصطیف،البایبمصر/395، 2(
[11]
ثماقولوباللہالتوفیق
(Phir Main Kehta Hoon Aur Toufiq Allah Hi Ki Taraf Se Hai) Kyun
Raahe Door Se Maqsade Qurb Nishan Dijiye, Faize Qadriyat Josh Par
Hai, Behre Hadees Se Khaas Gohar Muraad Haasil Kijiye
Hadeese Marfoo Marwi Kutub -e- Mash’hoora Ayimma -eMuhaddiseen Se Saabit Ke Huzoor Sayyiduna Ghause Aazam Radiallaho
Ta’ala Anho Ma (Saath Mein) Apne Tamam Murideen Wa Ashaab Wa
Ghulamaan Bargahe Aasman Qabbab Ke Shabe Asra Apne Meherban
Baap Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ki Khidmat Mein Haazir Huye
Aur Huzoore Aqdas Ke Hamraah Baitul Mamoor Mein Gaye, Huzoor Pur
Noor Ke Pichhe Namaz Padhi, Huzoor Ke Saath Baahar Tashreef Laaye
والحمدللہربالعالمنی
Ab Naazir Ghair Waseeun Nazar Muta’ajjibana Puchhega Ke Ye
Kyun Kar? … Haan Hum Se Sune: Ibne Jareer Wa Ibne Abi Haatim Wa
Abu Yaala Wa Ibne Murdwiya Wa Bayhaqi Wa Ibne Asakar Hazrate Abu
Sayeed Khudri Radiallaho Ta’ala Anho Se Hadeese Taweel Meraj Mein
Raawi, Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Farmate Hain:
ثمصعدتایلالسماءالسابعۃفاذاانابابراھیمالخلیلمسندالظھرہایلالبیت
المعمور)فذکرالحدیثایلانقال(واذابامیتشطرینشطرعلمھیثیاببیضكانھاالقراطیس
وشطرعلمھیثیابرمدفدخلتالبیتالمعمورودخلمیعالذینعلمھیالثیابالبیضوحجب
االخرونالذینعلمھیثیابرمدوھمعیلخریفصلیتاناومنمیعمنالمومننییفالبیت
المعمورثمخرجتاناومنمیع)الحدیث(
“Phir Main Saatwein Aasman Par Tashreef Le Gaya, Nagaah Wahan
Hazrate Ibrahim Khaleelullah Mile Ke Baitul Mamoor Se Peeth Lagaye
[12]
Tashreef Farma Hain Aur Nagaah Apni Ummat Do Qism Paayi, Ek Qism
Ke Safed Kapde Hain Kaghaz Ki Tarah Aur Dusri Qism Ka Khakistar
Libaas
Main Baitul Mamoor Ke Andar Tashreef Le Gaya Aur Mere Saath
Safed Posh Bhi Gaye, Maile Kapde Waale Roke Gaye Magar Hain Wo
Bhi Khairo Khoobi Par Phir Maine Aur Mere Saath Ke Musalmano Ne
Baitul Mamoor Mein Namaz Padhi Phir Main Aur Mere Saath Waale
Baahar Aaye
) خ،داراحیاءالرتاثالعریببریوت،
تاریخدمشقالکبری،بابذکرعروجہایلالسماءا /294 ،3 ل
دالئلالنبوۃللبیہیق،بابالدلیلعیلانالنیبصیلاللہعلیہوسلمعر جبہایلالسماء،دارالکتب
العلمیۃ بریوت، /94 2 خ،
،الدرالمنثوربحوالہابنجریروابنحاتموغریہا تحتآالیۃ،داراحیاء ل
الرتاثالعریببریوت5/172،(
Zaahir Hai Ke Jab Saari Ummate Marhooma Bifazlihi Azzawajal
Shareef Baryaab Se Musharraf Huyi Yahan Tak Ke Maile Libas Waale
Bhi To Huzoor Ghausul Wara Aur Huzoor Ke Muntasibaan -e- Ba Safa
To Bila Shubha Un Ujli Poshak Waalo Mein Hain, Jinhone Huzoor
Rahmat -e- Aalam Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Saath Baitul
Mamoor Mein Ja Kar Namaz Padhi
والحمدللہربالعالمنی
Ab Kahan Gaye Wo Jahilana Istebaad Ke Aaj Kal Ke Kam Ilm
Muftiyo Ke Sadde Raah Huye, Aur Jab Yahan Tak Bihamdillah Saabit To
Mamla -e- Qadam Mein Kya Wajhe Injar Hai Ke Qaule Mashaikh Ko
Khwahi Nakhwahi Radd Kiya Jaaye Haan Sanad Muhaddisana Nahin…
Phir Na Ho… Is Jagah Isi Qadar Bas Hai Sanad -e- Muanan (An Fulaan
An Fulaan Waali Sanad) Ki Haajat Nahin
کمابیناہیفرسالتنا”ھدیالحریانیفنیفالفئیعنسیداال کوان
[13]
(Jaisa Ke Hum Ne Apne Risale Mein Ise Bayaan Kiya Hai)
ااضی،ً ص420 )
( ت426
Ek Aur Sawal Ke Jawab Mein Likhte Hain:
Kutub -e- Ahadees Wa Siyar Mein Is Riwayat Ka Nishan Nahin,
Risala Ghulam Imam Shaheed Mahaz Na Motabar, Balki Sareeh Abateel
Wa Mauzuaat Par Mushtamil Hai
Manzile Asna Ashriya Koi Kitab Faqeer Ki Nazar Se Na Guzri Na Kahin
Is Ka Tazkira Dekha
Tohfa -e- Qadriya Shareef Aala Darje Ki Mustanad Kitab Hai, Is Ke
Mutale Bil Istiyaab Se Baaraha Musharraf Hua, Jo Nuskha Mere Paas Hai
Ya Aur Jo Meri Nazar Se Guzra Un Mein Ye Riwayaat Aslan Nahin
(a) Tohfa -e- Qadriya, Hazrat Shah Abul Muaali Qadri (1114H) Ki
Farsi Taleef Hai Jis Mein Huzoor Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho
Ke Halaat Aur Karamaat Ka Tazkira Hai
Aap Apne Waqt Ke Mashaikh Mein Shumar Hote Hain
Hazrate Shaykh Abdul Haque Muhaddise Dehelvi Rahimahullah Ne Aap
Ke Irshad Par Ash’atul Lam’aat Aur Sharah Futoohul Ghaib Mukammal
Farmayi
Aap Ka Mazaar Lahore Mein Waaqe Hai
Tohfa -e- Qadriya Ke Qalami Nuskhe Aksar Kutub Khano Mein Maujood
Hain, Asal Farsi Nuskha Ta Haal Taba Na Hua, Albatta Is Ka Urdu
Tarjuma Seeratul Ghaus Moallifa Muhammad Baqir Naqshbandi
(1323H) Aur Tohfa -e- Qadriya (Urdu) Moallifa Maulana Abdul Hakeem
(1324H) Malak Fazluddin Tajir Kutub Lahore Ke Naamo Se Shaaya Ho
Chuke Hain
(Aala Hazrat Mazeed Likhte Hain Ke) Ba’yee Hama Is Zamane Ke
Muftiyaan -e- Juhool, Mukhtiyaan -e- Ghufool (Ghafil Aur Khatakaar
[14]
Mufti) Ne Jo Is Ka Batlaan Yun Saabit Karna Chaha Ke Sidratul Muntaha
Se Baala Urooj Kiya Aur Is Mein Maaz Allah Huzoore Aqdas Wa Anwar
Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Par Huzoor Pur Noor Ghause Aazam
Radiallaho Ta’ala Anho Ki Tafzeel Nikalti Hai(b)
Ye Mahaz Tassub Wa Jahalat Hai Jis Ka Rad Faqeer Ne Ek Mufassal
Fatwe Mein Kiya Hai
(b) Deobandiyo Ke Hakeemul Ummat Molvi Ashraf Ali Thanvi,
Madrasa Deoband Ke Asateen Molvi Khaleel Ahmad Aur Molvi Rasheed
Ahmad Ambethwi Ke Fatawa Ki Tardeed Ho Rahi Hai Jis Mein Is
Riwayat Ko Le Kar Ghalat Fatwa Diya Gaya Tha
(Aala Hazrat Mazeed Likhte Hain Ke) Fazil Abdul Qadir Qadri Ibne
Shaykh Muhiyuddin Arbali Ne Kitab “Tafreehul Khatir” Mein Ye
Riwayat Likhi Hai Aur Ise Jaame Shariat Wa Haqeeqat Shaykh Rasheed
Bin Muhammad Junaidi Rahimahullah Ki Kitab Harazul Aashiqeen Se
Naqal Kiya Hai Aur Aise Umoor Mein Itni Hi Sanad Bas Hai
Is Ka Bayaan Faqeer Ke Dusre Fatwe Mein Hai (Jise Hum Naqal Kar
Chuke)
ااضی،ً ص428 )
( ت430
Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Rahimahullahu Ta’ala Is Waqiye
Ke Mutalliq Likhte Hain :
Mujaddid -e- Aazam, Aala Hazrat, Imam Ahmad Raza
Rahimahullahu Ta’ala Farmate Hain Ke Kutub -e- Ahadees Wa Siyar
Mein Is Riwayat Ka Nishan Nahin, Risala Ghulam Imam Shaheed Mahaz
Na Motabar, Balki Sareeh Abateel Wa Mauzuaat Par Mushtamil Hai
Manzile Asna Ashriya Koi Kitab Faqeer Ki Nazar Se Na Guzri Na Kahin
Is Ka Tazkira Dekha Tohfa -e- Qadriya Shareef Aala Darje Ki Mustanad
Kitab Hai, Is Ke Mutale Bil Istiyaab Se Baaraha Musharraf Hua, Jo
[15]
Nuskha Mere Paas Hai Ya Aur Jo Meri Nazar Se Guzra Un Mein Ye
Riwayaat Aslan Nahin
Fazil Abdul Qadir Qadri Ibne Shaykh Muhiyuddin Arbali Ne Kitab
“Tafreehul Khatir” Mein Ye Riwayat Likhi Hai Aur Ise Jaame Shariat Wa
Haqeeqat Shaykh Rasheed Bin Muhammad Junaidi Rahimahullah Ki
Kitab Harazul Aashiqeen Se Naqal Kiya Hai Aur Aise Umoor Mein Itni
Hi Sanad Bas Hai Is Ka Bayaan Faqeer Ke Dusre Fatwe Mein Hai (Jise
Hum Naqal Kar Chuke)
Lekin Is Kitab Mein Ye Waqiya Buraq Par Sawar Hote Waqt Ka
Likha Hai Waise Baaz Kitabo Mein Arsh Jaane Ke Baare Mein Bhi Likha
Hai
Is Riwayat Mein Aqlan Ya Shar’an Koi Istebaad Nahin Albatta Is Jahil
(Sawal Mein Saayil Ne Jis Ka Zikr Kiya, Us) Ne Jin Kalimaat Ke Saath Is
Ko Bayaan Kiya Hai, Ye Us Ki Jahalat Hai, Is Se Use Tauba Karna Farz
Hai Kyunki Us Ne Huzoor -e- Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam
Par Jhoot Bandha Hai, Jin Kitabo Mein Ye Riwayat Hai Un Mein Ye
Kalimaat Nahin, Riwayat Mein Sirf Itna Hai Ke Huzoor Ghause Paak
Radiallaho Ta’ala Anho Ki Roohe Paak Haazir Huyi Aur Apna Kandha
Pesh Kiya, Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Kandhe
Par Qadam Rakha Aur Buraaq Se Arsh Par Tashreef Le Gaye, Is Par
Huzoor Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Khush Ho Kar Farmaya Ke
Mera Qadam Teri Gardan Par Aur Tumhara Qadam Saare Auliyaullah Ki
Gardan Par, Wallahu Ta’ala Aalam
اتفوی رحاخبری،ج )

( ش ،1 ص312
Allama Mufti Shariful Haq Amjadi Rahimahullahu Ta’ala Se Ek Aur
Sawal Kiya Gaya Ke Shabe Meraj Sayyiduna Ghause Paak Ne Paaye
Aqdas Huzoor Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ko Apne Kandhe Ka
Sahara Diya Jabki Wo Maujood Nahin The?
[16]
Saayil Ko Laga Ke Us Waqt To Aap Paida Nahin Huye The To Ye Kaise
Mumkin Hai?
Aap Rahimahullah Jawab Mein Likhte Hain Ke Yahan (Is Waqiye Mein)
Muraad Roohe Mubarak Hai
(ااضی،ً ص312)
Imam -e- Ahle Sunnat, Aala Hazrat Rahimahullahu Ta’ala Se In
Ash’aar Ke Baare Mein Sawal Kiya Gaya Ke Kya Ye Durust Hain :
Roobaru-e-Ahmad Ke Hum Ko
Khush Wasila Aaj Tum Ho
Khadimo Mein Hum Ko Samjho
Al Madad Ya Abdal Qadir
Tum Shabe Meraj Aa Kar
Dosh Bar Paaye Payambar
Le Chadhe Arshe Baree Par
Al Madad Ya Abdal Qadir
Imam -e- Ahle Sunnat Jawab Mein Likhte Hain Ke Pehle Do Sher
Bahut Achhe Hain Aur Pichhle Shero Mein Ghalati Hai
Tafreehul Khatir Waghaira Mein Ye Mazkoor Hai Ke Huzoore
Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Shabe Meraj Huzoor Ghause
Paak Radiallaho Ta’ala Anho Ke Doshe Mubarak Par Paaye Anwar Rakh
Kar Buraaq Par Tashreef Farma Huye Aur Baaz Ke Kalaam Mein Hai Ke
Arsh Par Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Tashreef
Le Jaate Waqt Aisa Hua Na Ye Ke Huzoor Ghausiyat Paaye Aqdas
Kandhe Par Le Kar Shabe Meraj Khud Arsh Par Gaye
Shayar Agar Yun Kehta Mutabiq -e- Riwayate Mazkoor Hota :
[17]
Tha Tumhara Doshe Athar
Zeena -e- Paaye Payambar
Jab Gaye Arshe Baree Par
Al Madad Ya Abdal Qadir
Ye Dono Surato Ko Shamil Hai Jab Gaye Yaani Jis Waqt Ya Jis Shab
Ke Is Mein Pehli Surat Bhi Dakhil Aur Agar Tarjee Ka Misra Yun Hota
To Aur Behtar Tha “Al Madad Ya Ghause Aazam” Ke Khaali Naame
Paak Ke Saath Nida Bhi Na Hoti Aur Taqtee Se Laam Bhi Na Girta
Wallahu Ta’ala Aalam
ہقی )
ہ
ً
اتفویاف ، ص،56 57 صا
ہ
خ
مل
، )
Allama Mufti Faiz Ahmad Owaisi Rahimahullahu Ta’ala Is Waqiye
Ke Mutalliq Likhte Hain :
Jo Hadees Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta’ala Anho Ke Mutalliq
Bayaan Ki Jaati Hai Wo Kashf Hai, Istelahan Ise Hadees Nahin Kaha
Jaata Agarche Is Kashf Ki Tayeed Isharatan Hadees -e- Meraj Se Hoti Hai
Lekin Wo Bhi Khabre Wahid Hai
Apne Kashfiyaat Wa Khabre Wahid Se Aqaid Saabit Nahin Hote
Haan Albatta Fazail Saabit Hote Hain Aur Huzoor Ghause Paak Ki
Fazeelat Ka Koi Munkar Nahin
Huzoor Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Ka Qadam Mubarak
Auliya -e- Hazireen, Mutaqaddimeen Wa Mutakhireen Sab Par Hai
Hazireen Par Zaahir Aur Mutaqaddimeen Wa Mutakhireen Par Batinan
Aur Roohani Taur Par Lekin Mutaqaddimeen Mein Se Muraad Sahaba
Wa Ahle Bait Ko Mustasna Karenge, Aise Hi Mutakhireen Mein Imam
Mahdi Ko Mustasna Kiya Jayega Yun Hi Tabayeen Mein Se Baaz
Hazraat, Tafseelan Faqeer Ki Tasneef “Qadamul Ghausil Jali Ala Raqbati
Kullil Wali” Mein Hai
[18]
Huzoor Mujaddide Alfe Saani Radiallaho Ta’ala Anho Bhi Is
Qadami Ke Hukm Mein Dakhil Hain
Aap Ke Maktoob Jild Awwal Ki Ibarat Se Jismani Qadam Ki Nafi Muraad
Hai Aur Qadam Se Buzurgi Aur Ghalba -e- Silsila Bhi Muraad Liya Gaya
Hai Aur Huzoor Ghause Aazam Radiallaho Ta’ala Anho Ki Fazeelat Ke
Huzoor Mujaddide Alfe Saani Radiallaho Ta’ala Anho Bhi Munkar Nahin
Jaisa Ke Maktoobat Ghause Aazam…
ی ست ہ،ص )
:اتفویاو
ً
قطا

( ، 400 ملب 399
Allama Mufti Abdul Mannan Aazmi Rahimahullah Is Waqiye Ke
Mutalliq Likhte Hain :
Tafreehul Khatir Waghaira Mein Is Qism Ki Riwayato Ka Zikr Hai Aur
Aqle Sharayi Mein Is Ka Istebad Bhi Nahin Ke Huzoor Ghause Paak Ki
Roohe Mubarak Us Waqt Aap Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ki
Bargaah Mein Haazir Huyi Ho Aur Koi Khidmat Baja Laayi Ho
Is Riwayat Ki Sanad Humare Saamne Nahin Ke Is Ki Koi Tanqeed Karein
Wallahu Ta’ala Aalam
(اتفوی رحب اولعلم، ج،6 ص178)
Allama Mufti Jalaluddin Ahmad Amjadi Rahimahullahu Ta’ala Is
Riwayat Ke Mutalliq Likhte Hain :
Fatawa Africa Mein Hai Ke Tafreehul Khatir Waghaira Mein Hai Ke
Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Shabe Meraj Huzoor
Ghause Paak Radiallaho Ta’ala Anho Ke Doshe Mubarak Par Paaye
Anwar Rakh Kar Buraaq Par Tashreef Farma Huye Aur Baaz Ke Kalaam
Mein Hai Ke Arsh Par Huzoor Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ke
Tashreef Le Jaate Waqt Aisa Hua Wallahu Ta’ala Aalam
[19]
(اتفوی ضیف ارلوسل، ج،1 ص153)
Allama Mufti Noorullah Nayeemi Qadri Rahimahullahu Ta’ala Ne
Bhi Fatawa Africa Ke Hawale Se Likha Hai Ke Tafreehul Khatir
Waghaira Mein Hai Ke Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam
Shabe Meraj Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta’ala Anho Ke Doshe
Mubarak Par Paaye Anwar Rakh Kar Buraaq Par Tashreef Farma Huye
Aur Baaz Ke Kalaam Mein Hai Ke Arsh Par Huzoor Sallallaho Ta’ala
Alaihi Wasallam Ke Tashreef Le Jaate Waqt Aisa Hua
(اتفویونرہی، ج،5 ص169)
Irfaan -e- Shariat Mein Bhi Is Waqiye Ke Hawale Se Tehreer Hai Jise
Hum Upar Fatawa Razviya Ke Hawale Se Naqal Kar Chuke Hain
(رعافن رشتعی، ص55)
Allama Mufti Ajmal Qadri Rahimahullahu Ta’ala Is Riwayat Ke
Baare Mein Likhte Hain: Shabe Meraj Huzoore Akram Sallallaho Ta’ala
Alaihi Wasallam Ke Buraaq Par Sawar Hote Waqt Ya Arsh Par Tashreef
Le Jaate Waqt Huzoor Ghause Paak Radiallaho Ta’ala Anho Ki Roohe
Mubarak Ka Sarkar Ke Paaye Aqdas Ke Niche Apne Dosh Mubarak Ko
Zeena Banana, Is Ko Tafreehul Khatir Waghaira Kutub, Manaqib Mein
Likha Hai Agar Mujhe Kitab Dastyaab Ho Jaati To Ibarat Bhi Naqal Kar
Di Jaati Haan Mere Murshide Bar Haque, Imam -e- Ahle Sunnat,
Mujaddide Deeno Millat, Muftiye Shariat, Shaykhul Islam Wal
Muslimeen, Sanadul Muhaqqiqeen Wa Muftiyeen, Aala Hazrat, Maulana
Molvi Al Haafiz Shah Imam Ahmad Raza Rahimahullahu Ta’ala Fatawa
Africa Mein Ek Sawal Ke Jawab Mein Farmate Hain :
Tafreehul Khatir Waghaira Mein Hai Ke Huzoore Aqdas Sallallaho
Ta’ala Alaihi Wasallam Shabe Meraj Huzoor Ghause Paak Radiallaho
[20]
Ta’ala Anho Ke Doshe Mubarak Par Paaye Anwar Rakh Kar Buraaq Par
Tashreef Farma Huye Aur Baaz Ke Kalaam Mein Hai Ke Arsh Par Huzoor
Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ke Tashreef Le Jaate Waqt Aisa Hua
Na Ye Ke Huzoor Ghausiyat Paaye Aqdas Kandhe Par Le Kar Shabe
Meraj Khud Arsh Par Gaye (Fatawa Africa)
Aur Majmua -e- Fatawa Irfan -e- Shariat Hissa Siwum Mein Is Sawal
Ka Jawab Paanch Safahaat Mein Nihayat Sharah Wa Bast Ke Saath Likha
(Jise Hum Naqal Kar Chuke Hain) Aur Ye Saabit Kiya Ke Is Riwayat Ke
Maan Lene Mein Koi Sharayi Wa Aqli Istehala Laazim Nahin Aata Aur
Is Par Ahadees Se Istedlal Kiya Aur Is Mabsoot Fatwe Ko In Alfaaz Par
Khatm Farmaya :
Biljumla Roohe Muqaddas Ka Shabe Meraj Ko Haazir Hona Aur
Huzoore Aqdas Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ka Hazrate Ghausiyat
Ki Gardan Mubarak Par Qadam -e- Akram Rakh Kar Buraaq Ya Arsh Par
Jalwa Farmana Aur Sarkaar -e- Abad Qaraar Se Farzande Arjumand Ko
Is Khidmat Ke Sila Mein Ye Inaam -e- Azeem Ata Hona (Ke Tumhara
Qadam Waliyo Ki Gardano Par Hoga) In Mein Koi Amr Na Aqlan Aur
Shar’an Mehjoor Aur Kalimaat -e- Mashaikh Mein Mastooro Masoor,
Kutub -e- Hadees Mein Zikr Madoom Na Ke Adam Mazkoor, Na
Riwayaat -e- Mashaikh Is Tarah Sanad -e- Zahiri Mein Mahsoor Aur
Qudrate Qadir Wasee Wa Maufoor Aur Qadre Qadri Ki Bulandi
Mash’hoor Phir Raddo Inkar Kya Muqtadaye Adabo Sha’oor (Irfan -eShariat)
ت ہ،ج )
مل
جب
(اتفویا ،1 ص112
Mazkoora Tamam Fatawa Wa Aqwaal Ki Raushni Mein Yahi Kaha
Ja Sakta Hai Ke Is Waqiye Ka Inkar Karna, Ise Mauzu Wa Manghadat
Qarar Dena Ya Is Ke Bayaan Karne Waale Ko Tanqeed Ka Nishana
Banana Hargiz Durust Nahin Hai Agarche Ye Waqiya Kisi Hadees Ki
[21]
Kitab Mein Mazkoor Nahin Hai Lekin Is Ki Tayeed Ahadees Se Hoti Hai
Aur Is Ke Suboot Ke Liye Jitni Sanad Honi Chahiye Utni Maujood Hai
Kyunki Baabe Ahkaam Se Is Ka Koi Talluq Nahin
Jin Muhaqqiq Ulama Ke Fatawa Se Ye Risala Sajaya Gaya Hai,
Unhone Kayi Mauzu Riwayaat Aur Manghadat Waqiyaat Ki Nishan Dehi
Apni Kutub Aur Fatawa Mein Farmayi Hai Aur Sakhti Se Radd Farmaya
Hai Lihaza Agar Is Riwayat Mein Aisa Kuchh Hota To Wo Zaroor Is Ka
Bhi Radd Farmate Lekin Unhone Aisa Nahin Kiya Aur Is Ki Taweel Ki Jo
Aqlan Wa Shar’an Qabile Qabool Hai Jab Muhaqqiq Ulama Ne Ise Baaqi
Rakha Hai To Is Ke Inkar Ki Koi Wajah Nahin Hai
Aakhir Mein Muqarrireen Se Ye Guzarish Zaroor Karte Hain Ke Ise
Bayaan Karne Mein Alfaaz Ka Khayal Rakhein Aur Mukammal Wazahat
Ke Saath Bayaan Karein Taaki Awaamun Naas Ghalat Fahmi Ka Shikar
Na Ho Dekha Gaya Hai Ke Muqarrireen Ki Ghalati Ka Fayeda
Badmazhabo Ko Khoob Pahunchta Hai Lihaza Ehtiyat Laazim Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top