Khirad-mandon se kya poochun keh meri ibtida kya hai
Keh main is fikr mein rehta hun meri inteha kya hai

Tere ishq ki inteha chahta hun

Na shohrat na sarwat na mehraab-o-mimbar bas ..
Tere ishq ki inteha chahta hun

Jo giraftaar tumhara hai wohi hai azad
Jis ko azad karo tum kabhi azad na ho
Tere ishq ki inteha chahta hun

Aql ne jab bhi diya mujh ko fareb-e-mantiq
Ishq aaya hai mujhe raah dikhaane ke liye
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun

Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko

Apni jannat mujhe dikhla na saka tu vaaez
Koocha-e-yaar mein chal dekh le jannat meri
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko

Bahisht mein bhi pohonch kar mujhe qarrar nahi
Yeh koi aur jagah hai maqam-e-yaar nahin
Yeh jannat mubarak rahe zahidon ko
Keh mein aap ka samna chahta hun

Mana keh teri deed ke qabil nahi hun mein
Tu mera shaoq dekh mera intezaar dekh
Mein aap ka samna chahta hun

Yahi aalam raha parda-nashini ka to zahir hai
Khudaai aap se hogi na ham se bandagi hogi
Kya farz hai keh sab ko mile aik sa jawab?
Aao na hum bhi sair karen koh-e-toor ki
Rakha hai us ne wa’ada-e-deedar hashr par
Achi saza hui hai dil-e-na-saboor ki
Keh mein aap ka samna chahta hun

Hamen ma’aloom hai ham se suno mehshar main kya hoga
Sab us ko dekhte hon ge woh ham ko dekhta hoga
Jahannam ho keh jannat jo bhi hoga faisla hoga
Ye kya kam hai hamara aur un ka samna hoga?
Keh mein aamna samna chahta hun

Jab se chali hai adam-o-yazdan ki dastan
Har ba-wafa ka rabt hai ik be-wafa ke sath
Peer-e-mughan se ham ko koi bair to nahin
Thora sa ikhtilaaf hai mard-e-Khuda ke sath
Mehshar ka khair kuch bhi natija ho ay adam!
Kuch guftugu to khul ke karen ge Khuda ke sath
Mein aamna samna chahta hun

Yeh roz-e-hashr hai malik savaalon par bhi aa jana
Zara deedar to kar loon tera ay roo-e-janana
Keh mein aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun

Bhari bazm mein raaz ki baat keh di
Bada be-adab hun saza chahta hun

Rind-e-kharab haal ko zahid na cherh tu
Tujh ko paraai kya parhi apni nabairh tu
Bada be-adab hun saza chahta hun

Janab-e-shaikh ye kya majra hua aakhir?
Suna hai aap ko ka’abay mein bhi Khuda na mila
Bada be-adab hun saza chahta hun

Ab to ghabra ke yeh kehte hain keh mar jayenge
Mar ke bhi chain na paya to kidhar jayenge
Zauq jo madrase ke bigde hue hain mulla
In ko maiḳhane mein le aao sanwar jayenge
Bada be-adab hun saza chahta hun

Zahid ko ratt lagi hai sharab-e-tahoor ki
Aya hai maikaday mein to soojhi hai door ki
Vaaez na tum piyo na kisi ko pila sako
Kya baat hai tumhari sharab-e-tahoor ki!
Bada be-adab hun saza chahta hun

Milegi shaikh ko jannat hamain dozakh atta hoga
Bus itni baat hai jis ke liye mahshar bapa hoga?
Rahe do do farishtay sath ab insaf kya hoga
Kisi ne kuch likha hoga kisi ne kuch likha hoga
Gunah se ashnai jab nahin rakhte farishte phir
Gunah likhte hue shayad farishta sochta hoga

Bada be-adab hun saza chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri sadgi dekh kya chahta hun
Keh main aap ka samna chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun
Tere ishq ki inteha chahta hun

Singer: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie
Poets: Allama Iqbal | Abdul Hamid Adam | Mirza Ghalib | Ibrahim Zauq | Jigar Muradabadi | Hari Chand Akhtar | Hafeez Jaunpuri | Bedam Shah Warsi | Seemab Akbarabadi | Fani Badayuni | Wahshat Kalkatvi | Muhammad Samie

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *