Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska Naat Lyrics

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska Naat Lyrics

 

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska Naat | ये कौन आया के ज़िक्र जिसका

ये कौन आया कि ज़िक्र जिसका

Naat Khwan: Zulfiqar Ali Hussaini

 

जब मौज पे आयीं वो लहरें
क़तरे को समन्दर कर डाला
ये उनकी शाने करीमी है
जिसे खाली देखा भर डाला

Jab Mouj Pe Aain Wo Lahren
Qatre Ko Samandar Kar Dala
Ye Unki Shan-e-Karimi Hai
Jise Khali Dekha Bhar Dala

 

करम के बादल बरस रहे हैं
दिलों की खेती हरी भरी है
ये कौन आया कि ज़िक्र जिसका
नगर-नगर है, गली-गली है

Karam Ke Badal Baras Rahe Hain
Dilon Ki Kheti Hari Bhari Hai
Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska
Nagar-Nagar Hai, Gali-Gali Hai

 

ये कौन बनकर क़रार आया
ये कौन जाने बहार आया
गुलों के चेहरे हैं निखरे-निखरे
कली-कली में शगुफ़्तगी में

Ye koun Bankar Qaraar Aaya
Ye Kon Jane Bahar Aaya
Gulon Ke Chehre Hain Nikhre-Nikhre
Kali-Kali Me Shaguftgi Hai

ये कौन आया कि ज़िक्र जिसका
नगर-नगर है, गली-गली है

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska
Nagar-Nagar Hai, Gali-Gali Hai

 

दिये दिलों के जलाये रखना
नबी की महफ़िल सजाये रखना
जो राहत-ए-दिल सुकूने जां है
वो ज़िक्र ज़िक्र-ए-मुह़म्मदी है

Diye Dilon Ke Jalaye Rakhna
Nabi Ki Mahfil Sajaye Rakhna
Jo Rahat-e-Dil, Sukoon-e-Jaan Hai
Wo Zikr Zikr-e-Muhammadi Hai

मेरे नबी की है शान बाला
बड़ा सख़ी है मदीने वाला
हमें तो जो कुछ भी मिल रहा है
ये मेहरबानी हुज़ूर की है

Mere Nabi Ki Hai Shaan Bala
Bada Sakhi Hai Madine Wala
Hamen To Jo Kuchh Bhi Mil Raha Hai
Ye Meherbani Huzoor Ki Hai

ये कौन आया कि ज़िक्र जिसका
नगर-नगर है, गली-गली है

Ye Koun Aaya Ke Ziqr Jiska
Nagar-Nagar Hai, Gali-Gali Hai

 

Leave a Reply